Click Here

Wednesday, November 28, 2012

Kya Zauq Hai, Kya Shauq Hai So Martaba Dekha

Kya Zauq Hai, Kya Shauq Hai So Martaba Dekha

Phir Bhi Ye Kahon Jalwaa-€-Janaa'n Nahi Dekha

Mehshar Main Wo Naadim Hon Khuda Ye Na Dikhaye

Aankhon Ne Kabhi Is Ko Pashaimaa'n Nahi Dekha

Har Chand Tere Zulm Ki Kuch Hadd Nahi Zaalim

Par Hum Nay Kisi Shakhs Ko Nalaa'n Nahi Dekha

Milta Nahi Hum Ko Dil-€-Gumshudaa Hamara

Tu Ne Kahin Aaye Ghum-€-Janaa'n Nahi Dekha ?

Lo Aur Suno Kehtay Hain Wo Dekh K Mujh Ko

J0 Haal Suna Tha Wo Pareshaa'n Nahin Dekha

Kya Pochte Ho Kon Hai Ye Kis Ki Hai Shohrat

Kya Tum Ne Kabhi Daagh Ka Deewaa'n Nahin Dekha ...

Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Ye Husn tera, Ye ishq mera













Ye Husn tera ye ishq mera
rangin to hai badnam sahi
mujh par to kai ilzam lage
tujh par bhi koi ilzam sahi
is raat ke nikhari rangat ko
kuch aur nikhar jane de zara
nazron ko bahak jane de zara
zulfon ko bikhar jane de zara
kuch der ke hi taskin sahi
kuch der ka hi aaram sahi
jazbat ke kaliyan chunana hai
aur pyar ka tohfa dena hai
logon ke nigahen kuch bhi kahen
logon se hamen kya lena hai
ye khas ta'alluq aapas ka
duniya ke nazar mein aam sahi
rusavai ke dar se ghabara kar
hum tark-e-vafa kab karte hain
jis dil ko basa lain pehlu mein
us dil ko juda kab karte hain
jo hashr hua hai lakhon ka
apna bhi wohi anjam sahi
ye husn tera ye ishq mera
rangin to hai badnam sahi
mujh par to kai ilzam lage
tujh par bhi koi ilzam sahi

Poet : Sahir Ludhianvi

Monday, November 5, 2012

Ab K Rut Badli To Khushboo Ka Safar Dekhey Ga Kon ?
















Ab K Rut Badli To Khushboo Ka Safar Dekhey Ga Kon ?

Zakhm Phoolon Ki Tarah Mahkein Gay Par Dekhey Ga Kon ?

Dekhna Sab Raqs-E-Bismal Main Magan Ho Jayein Gay,

Jis Taraf Say Teer Aaye Ga Udhar Dekhey Ga Kon ?

Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehrumi Ki Hai,

Log To Phal-Phool Dekhein Gay Shajar Dekhey Ga Kon ?

Ham Chiraag-E-Shab Hi Jab Thahrey To Phir Kya Sochna ?

Raat Thi Kis Ka Muqaddar Aur Sahar Dekhey Ga Kon ?

Aa Faseel-E-Shahar Say Dekhein Ghaneem-E-Shahar Ko,

Shahar Jalta Ho To Tujh Ko Baam Par Dekhey Ga Kon ?

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Zakhm Ko Phool To Sar Sar Ko Saba Kehtay Hain















Zakhm Ko Phool To Sar Sar Ko Saba Kehtay Hain

Janay kya daur hai kya log hain kya kehtay hain

kya qayamat hai k jin k liye ruk ruk k chalay

Ab wohi log hamain aabla-pa kehtay hain

koi batalao k ik umar ka bichara mehboob

Ittefaaqan kaheen mil jaye to kya kehtay hain ?

Ye bhi andaz-e-sukhan hai k jafa ko teri

Gamza-o-ishva-o-andaz-o-adaa kehtay hain

Jab talak door hai tu teri parastish kar lain

Hum jisay chhu na sakain us ko Khuda kahte hain ....

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Ye Meri Nazmein, Ye Meri Ghazlein


















Ye Meri Nazmein, Ye Meri Ghazlein
Tamam Teri Hikayetein Hain
Ye Tazkerey Tere Lutf Ke Hain
Ye Shair Teri Shikayetein Hain
Mein Sab Teri Nazr Kar Raha Hoon
Yeh Un Zamanon Ki Saa Atein Hain
Jo Zindagai Ke Naey Safar Mein
 Tujhey Kisi Waqt Yaad Aaen
To Eik Eik Hurf Ji Uthey Gaa
 Pahan Ke Alfaaz Ki Qabaaen
Udaas Tanhaaeeyon Ke Lamhon Mein
Naach Uththen Gi Apsaraaen
Mujhe Terey Dard Ke Alawa Bhi
Aur Dukh They Yeh Maanta Hoon
Mujhe Khabar Thi Ke Tere Aanchal Mein
Dard Ki Reit Chaanta Hoon
Magar Her Eik Baar Tujh Ko Choo Ker
Yeh Reit Rang E Hina Bani Hai
Yeh Zakhm Gulzar Ban Gaey Hain,
Yeh Aahe Sozan Ghata Bani Hai
Yeh Dard Moje Saba Huaa Hai,
Yeh Aag Dil Ki Dawa Bani Hai
Aur Ab Yeh Saari Mutaa E Hasti,
Yeh Phool Yeh Zakhm Sab Tere Hain
Yeh Dukh Ke Nohe, Yeh Sukh Ke Naghme,
Jo Kal Mere They Voh Ab Tere Hain
Jo Teri Furqat Teri Judaaee Mein
 Kut Gaey Rozo Shab Tere Hain
Voh Tera Shaair Tera Mughanni ,
Voh Jis Ki Baatein Ajeeb Si Theen
Voh Jis Ke Jeene Ki Khuahishen Bhi
Khud Us Ke Apne Naseeb Si Theen
Na Pooch Us Ka Keh Voh Diwana,
Na Jaane Kab Kaa Ujar Chuka Hai
Voh Kohkan To Naheen Thaa Lekin
Kari Chatanon Se Lar Chuka Hai
Voh Thak Chuka Thaa Aur Us Kaa Teesha
Usi Ke Seene Mein Gar Chuka Hai
Voh Mar Chuka Hai, Voh Mar Chuka Hai ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Ye Kya K Bayaan Sab Se Dil Ki Haalat'ain Karni














Ye Kya K Bayaan Sab Se Dil Ki Haalat'ain Karni
FARAZ Tumko Na Aayin Mohabbat'ain Karni,

Ye Qurb Kya Hai K Tu Saamnay Hai Aur Humain
Shumaar Abhi Se Judai Ki Saa'atain Karni..

Koi Khuda Ho K Pathar Jisay Bhi Hum Chaa'hain
Phir Tamaam Umr Usi Ki Ibaadat'ain Karni..

Hum Apny Dil Se Hain Majboor Aur Logon Ko
Zara Si Baat Pe Barpa Qayamat'ain Karni..

Milayain Jab Un Se To Mubham Si Guftagu Karna..!!
Phir Apny Aap Se So So Wazahat'ain Karni...

Poet : Ahmad Faraz
Contribute: Zahid Shah

Ye Alam Shauq Ka Dekha Na Jaye,


















Ye Alam Shauq Ka Dekha Na Jaye,
Wo But Hai Ya Khuda Dekha Na Jaye,

Yeh Kin Nazroon Say Tu Nay Aaj Dekha,
K Tera Dekhna Dakha Na Jaye,

Hamesha K Liye Mujh Say Bichar Ja,
Ye Manzar Barha Dekha Na Jaye,

Ghalat Hai Suna Par Aazma Kar,
Tujhe Ay Be-Wafa Dekha Na Jaye,

Ye Mehroomi Nahi Paas-E-Wafa Hai,
Koi Aur Tare Siwa Dekha Na Jaye,,

Yehi To Aashna Bantay Hain Aakhir,
Koi Na Aashna Dekha Na Jaye,

Faraz Apne Siwa Hai Kaun Tera,
Tujhe Tujh Se Juda Dekha Na Jaye ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Wafa K Khuwab Mohabbat Ka Aasra Lay Ja,



















Wafa K Khuwab Mohabbat Ka Aasra Lay Ja,
Agar Chala Hai To Jo Kuch Mujhe Diya, Lay Ja,

Muqaam -e- Sood-o- Ziyaan Aa Gaya Hai Phir Jaana,
Ye Zakhm Mujhe Sahi, Teer Tu Utha Lay Ja,

Yehi Hai Qismat -e- Sehra, Yehi Karam Tera,
K Boond Boond Ataa Kar, Ghata Ghat Lay Ja,

Gharoor -e- Dost Se Itna Bhi Dil-Sikashta Na Ho,
Phir Us K Saamnay Damaan-e- Ilteja Lay Ja,

Nidaamatein Hon To Sar-e-Baar Dosh Hota Hai,
Faraz Jaan K Iwazz Aabru Bacha Lay Ja ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Us Ne Sakoot e Shab Mein Bhi Apna Payaam Rakh Diya,












Us Ne Sakoot e Shab Mein Bhi Apna Payaam Rakh Diya,

Hijr ki raat baam per maah -e- tamam rakh diya,

Aamad e dost ki naveed koye wafa mein garam thi,

Main nay bhi ik charaagh sa dil sar -e- shaam rakh diya,

Shiddat -e- tishnagi mein bhi gherat -e- May-kashi rahi,

Us ne jo phaink di nazar, main ne bhi jaam rakh diya,

Us ne nazar nazar mein hi aisay bhalay sukhan kehay,

Main nay bhi us k paoon mein sara kalaam rakh diya,

Dekho ye mere khuwab thay, dekho ye mere zakham hein,

Main ne to sab hisaab -e- jaa bar-sar-e-aam rakh diye,

Jo bhi mila us ka dil halqa bagoosh yaar tha,

Us ne to saaray shahar ko kar k ghulam rakh diya,

Aur Faraz Chayiyen kitni mohabbatain tujhe,

Maaon Ne Tere Naam Par Bachon Ka Naam Rakh Diya ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Us Nay Kaha .... Sun















Us Nay Kaha .... Sun
Ehad NibhaNay Ki khatir Mat Aana
Ehad Nibhanay Walay Aksar
majboori ya Mehjoori ki thakan say Louta Kartay hain
Tum Jao ...
Aur Dariya Dariya Piyaas Bujaao
Jin Aankhon mein Doobo
Jis Dil Mein Utro
Meri Jalan Aawaaz Na Day Gi,
Lekin Jab meri Chahat
Aur meri khawaish Ki Lo
Itni taiz Aur itni
Oonchi Ho Jaye
Jab Dil Ro Day
Tab Laut Aana ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Us Ko Juda Huay Bhi Zamana Bohat Hua,


Us Ko Juda Huay Bhi Zamana Bohat Hua,
Ab Kya Kehein Ye Qissa Purana Bohat Hua,

Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab -e- Firaq,
Ay Marg -e- Nagahaan Tera Aana Bohat Hua,

Hum Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ay Khuda,
Itne Se Waqiye Ka Fasana Bohat Hua,

Ab Hum Hain Aur Saaray Zamaanay Ki Dushmani,
Us se Zara Rabt Barhana Bohat Hua,

Ab Kiyun Na Zindagi Pay Mohabbat Ko Waar Dain,
Is Aashiqi Mein Jaan Se Jana Bohat Hua,

To Dil Ka Dik Se Ta'arruf Na Ho Saka,
Maana K Us Se Milna Milana Bohat Hua,

Kya Kya Na Hum kharab Huay Hain Magar Ye Dil,
Ay Yaad -e- Yaar Tera Thikana Bohat Hua,

Kaha Tha Naasehon Se Mere Moonh Na Aaiyo,
Phir Kya Tha Ek Hu Ka Bahana Bohat Hua,

Lo Phir Tere Labon Pay Usi Be-Wafa Ka Zikr,
"Ahmed Faraz" Tujh Se Kaha Na, Bohat Hua ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Tu Paas Bhi Ho To Dil Beqaraar Apna Hai













Tu Paas Bhi Ho To Dil Beqaraar Apna Hai
K Ham Ko Tera Nahi Intezar Apna Hai

Woh Door Ho To Baja Terk-E- Dosti Ka Khiyal
Woh Saamnay Ho Tu Kab Ikhtiyaar Apna Hai

Zamanay Bhar K Dukhon Ko Laga Liya Dil Say
Is Aasray Pay K Aik Ghamgusaar Apna Hai

Milay Koi Bhi Tera Ziker Chair Daitay Hain
K Jaisay Saara Jahan Raazdaar Apna Hai ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Tum Bhi Khafa Ho Log Bhi Beream Hain Dosto,



















Tum Bhi Khafa Ho Log Bhi Beream Hain Dosto,
ab ho chala yaqeen k buray hum hain dosto,

kis ko humare haal say nisbat hai kya karain
aankhain to dushmano ki bhi purnam hain dosto

apne siwa hamare na honay ka gham kisay
apni talash main to ham hi ham hain dosto

kuch aaj sham hi say hai dil bhi bujha bujha
kuch shahar k chirag bhi madham hain dosto

is shahar-e-aarzu say bhi bahar nikal chalo
ab dil ki raunaqain bhi koi dam hain dosto,

sab kuch sahi 'Faraz' par itna zarur hai
duniya main aise log bahut kam hain dosto ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Tere Honay Per Bhi Khud Ko Tanha Samjhon ...















Tere Honay Per Bhi Khud Ko Tanha Samjhon
Main Be_wafa Hon Ya Tujh Ko Be_wafa Samjhon
Teri Berukhi Say Waqt To Guzar Gaya Hai Mera
Yeh Khud'Daari Hai Ya Teri Anaa Samjhon
Tere Baad Kya Haal Huwa Hai Mera
Yeh Teri Inaayat Hay Ya Saza Samjhon
Zakham Daitay Ho Aur Marham Bhi Lagatay Ho
Yeh Teri Aadat Hai Ya Adaa Samjhon ...

Poet : Ahmed Faraz

Tarap Uthoon Bhi To Zaalim Teri Duhaaii Na Doon


















Tarap Uthoon Bhi To Zaalim Teri Duhaaii Na Doon
Main Zakhm Zakhm Hoon Phir Bhi Tujhe Dikhaaii Na Doon

Tere Badan Mein Dhadakane Laga Hoon Dil Ki Tarah
Ye Aur Baat Ke Ab Bhi Tujhe Sunaaii Na Doon

Khud Apane Aap Ko Parakhaa To Ye Nadaamat Hai
Ke Ab Kabhi Use Ilzaam-E-Bewafaaii Na Doon

Mujhe Bhi Dhoondh Kabhi Mahv-E-Aaiinaa-Daari
Main Tera Aqs Hoon Lekin Tujhe Dikhaaii Na Doon ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Suna Hai Log Usey Aankh Bhar Kay Dekhtay Hain,















Suna Hai Log Usey Aankh Bhar Kay Dekhtay Hain,
so us kay shehar mein kuch din Theher kay dekhtay hain
suna hai rabt hai us ko Kharaab haalon say
so apne aap ko barbaad kar kay dekhtay hain
suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk us ki
so hum bhi us ki gali say guzar kar dekhtay hain
suna hai us ko bhi hai sher-o-shaairi say shagaf
so hum bhi moajzay apne hunar kay dekhtay hain
suna hai boley to baaton say phool jharrtay hain
ye baat hai to chalo baat kar kay dekhtay hain
suna hai raat usey chaand taktaa rehta hai
sitaarey baam-e-falak say uter kar dekhtay hain
suna hai hasher hain us ki Ghazaal si Aankhein
suna hai us ko hiran dasht bhar kay dekhtay hain
suna hai din ko usey titliyaan sataati hain
suna hai raat ko jugnoo Theher kay dekhtay hain
suna hai raat say barrh kar hain kokalein us ki
suna hai shaam ko saaye guzar kay dekhtay hain
suna hai us ki siyaah chashamgi qayamat hai
so us ko surmaa farosh aankh bhar kay dekhtay hain
suna hai us kay labon say gulaab jaltay hain
so hum bahaar par ilzaam dhar kay dekhtay hain
suna hai aaeena tamaasal hai jabeen us ka
jo saada dil hain ban sanwar kay dekhtay hain,
suna hai jab se Hamaail hain us ki gardan mein,
mizaaj aur hi laal-o-gauhar kay dekhtay hain
suna hai chashm-e-tasawwur say dasht-e-imkaan mein
palang zaaviye us ki Kamar kay dekhtay hain
suna hai us kay badan kay taraashai say hain
ke phool apni qabaayein kutar kay dekhtay hain
Wo Sarv-qadd Hai Magar Bey-Gull-e-Muraad Nahi,
kay us shajar pay shagoofay samar kay dekhtay hain
Bus Ek Nigaah Say Loota Hai Qaafila Dil Ka
So Rah_Rawaan-e-Tamanna Bhi Darr Kay Dekhtay Hain
Suna Hai Us Kay Shabistaan Say Mutta'sil hain
Behisht Makeen udhar kay Bhii Jalway Idhar Kay Dekhtay Hain
Rukay To Gardishein Us Ka Tuwaaf Karti Hain,
Chalay To Us Ko Zamaaney Theher kay dekhtay hain
Kissey Naseeb Kay Bey-Pairahan Usey Dekhay
Kabhi Kabhi Darr-o-Diwaar Ghar Kay Dekhtay Hain
Kahaniyaan Hi Sehi Sab Mubaal'ghey Hi Sehi
Agar Wo Khwaab Hai Taabeer Kar Kay Dekhtay Hain
Ab Us Kay Sheher Mein Theherein K Kooch Kar Jaaein
'Faraz' Aao Sitaarey Safar Kay Dekhtey Hain

Poet : Ahmed Faraz
Contributed : Zahid Shah

Shola Tha Jal-Bhujaa hoon hawaayein mujhe na do














Shola Tha Jal-Bhujaa hoon hawaayein mujhe na do
main kab ka ja chukaa hoon sadaayain mujhe na do

jo zahar pee chukaa hoon tumheen nay mujhe diya
ab tum to zindagi ki duaayain mujhe na do,

aisa kaheen na ho ke palat kar na aa sakoon,
har baar door jaa ke sadaayain mujhe na do,

kab mujh ko aiteraaf-e-muhabbat na thaa 'Faraaz'
kab main ne ye kahaa thaa sazaayain mujhe na do ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

sakoot-e-sham-e-Khizan hai qareeb aa jao,



















sakoot-e-sham-e-Khizan hai qareeb aa jao,
bara udaas samaan hai qareeb aa jao,

na tum ko Khud pay bharosa na hum ko zom-e-wafa,
na aitabar-e-jahan hai qareeb aa jao,

Raah-e-talab mein kisi ko dhiyaan nahi,
Hujoom-e-ham-safraan hai qareeb aa jao,

jo dasht-e-ishq main bichrein wo umar bhar na milay,
yahan yahan dhuaan hi dhuan hai qareeb a jao

ye andhiyaan hain to shahar-e-wafa ki Khair nahi,
zamana khak-fashaan hai qareeb aa jao,

faqeeh-e-shahar ki majlis nahi k door raho,
ye bazm-e-pir-e-magan hai qareeb aa jao,

'Faraz' door k sooraj Gharoob samjhe gaye
ye daur-e-kamnazara hai qareeb aa jao ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Sab Log Liye Sang-E-Malamat Nikal Aaye,













Sab Log Liye Sang-E-Malamat Nikal Aaye,
kis shahar main ham ahal-e-muhabbat nikal aaye,

ab dil ki tamanna hai to ay kash yahi ho,
Aansu ki jagah aankh say hasrat nikal aaye,

har ghar ka diya gul na karo tum k na-janay,
kis baam say khursheed-e-qayamat nikal aaye,

jo darpa-e-pindaar hain un qatal-gaahon say,
jaan de k bhi samjho k salamat nikal aaye,

ay ham-nafso kuch to kaho ahad-e-sitam ki,
ik harf say mumkin hai hikayat nikal aaye,

yaro mujhe maslub karo tum k mere baad
shayad k tumhara qad-o-qamat nikal aaye ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhaney K Liye Aa,

















Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhaney K Liye Aa,
Aa Phir Sey Mujhey Chorr K Janey K Liye Aa

Kuch To Mere Pandaar-e- MUHABBAT Ka Bharam Rakh
Tu Bhi To Kabi Mujh Ko Mananey K Liye Aa,

Pehley Sey Marasim Na Sahi Phir Bhi Kabi To
Rasm-o-Raah-e-Duniya Hi Nibhaney K Liye Aa,

Kis Kis Ko Bataein Gey Judai Ka Sabab Ham,
Tu Mujh Sey Khafa Hai To Zamaney K Liye Aa,

Ik Umer Sey Hain Lazzat-e-Girya Sey Bhi Mehroom,
Ay Raahat-e-Jaan Mujh Ko Rulaney K Liye Aa,

Ab Tk Dil-e-Khush_Fehm Ko Tujh Sey Hain Umedein,
Ye Aakhiri Shama Bhi Bujhaney K Liye Aa.

Poet Ahmad Faraz
Contribute : Zahid Shah

Qurbaton Mein Bhi Judai k Zamane Mange..














Qurbaton Mein Bhi Judai k Zamane Mange..

Dil w0h be-Mehr k Rone k Bahane Mange..

Hum Na Hote Tu kisi Or k Charche Hote..

KhalQat-e-Sher Tu kehne Ko Fasane Mange..

Yahe Dil Tha k TarasTa Tha Marasim k Lye..

Ab Yahe Tark-e-TaluQ K Bahane Mange..

Apna Yeh Hal k Ji Haar Chuke Lot B Chuke..

Or Mohabbat Wahe Andaz Purane Mange..

Zindagi Hum Tere Daghon Say Rahe Sharminda..

Or Tu hY k Sada Aayina Khane Mange..

Dil kisi Haal Pay Qane He Nahe Jaan-e-Faraz.

Mil Gaye Tum Bhi Tu kYa Or Na Jane Mange....

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Phir Usi Rah-Guzar Pe Shayed















Phir Usi Rah-Guzar Pe Shayed
Ham Kabhi Mil Sakein Magar Shayed

Jin Ke Hum Muntazir Rahey Unko
Mil Gaye Aur Ham-safar Shayed

Jan Pehchhan Se Bhi Kya Hoga
Phir Bhi Aye Dost, Ghaur Kar Shayed

Ajnabiat Ki Dhund Chhut Jaye!
Chamak Uthey Teri Nazar Shayed

Zindagi Bhar Lahu Rulayegi
Yad-e-Yaaraan-e-Bekhabar Shayed

Jo Bhi Bhichrey Woh Kab Miley Hein
Phir Bhi Tu Intizaar Kar Shayed ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Payam Aaye Hain Us Yar-E-Bevafa K Mujhe,


















Payam Aaye Hain Us Yar-E-Bevafa K Mujhe,
Jise Qarar Na Aaya Kahi Bhula K Mujhe,

Nashay Say Kahoon To Nahi Yaad-E-Yar Ka Alam,
K La Ura Hai Koi Dosh Par Hava K Mujhe,

Judaiyan Hon To Aisi Ki Umar Bhar Na Milay,
Fareb To Do Zara Silsilay Barha K Mujhe,

Main Khud Ko Bhul Chuka Tha Magar Jahan Walay
Udaas Chor Gaye Aaeena Dikha K Mujhe ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Mutafawatain hain mere khuda ki ye tu nahi koi aur hai

Mutafawatain hain mere khuda ki ye tu nahi koi aur hai

ki tu asaman pe ho to ho pisar-e-zameen koi aur hai

wo jo raste thay, wafa k thay, ye jo manzilain hain saza ki hain

mera hamsafar koi aur tha mera ham-nasheen koi aur hai

mere jism-o-jan main tere siva aur koi bhi doosra

mujhe phir bhi lagta hai is tarah ki kaheen kaheen koi aur hai

main aseer apni ghazal ka main faqeer dasht-e-Wisal ka

jo hiran ko bandh k lay gaya wo subuk-tageen koi aur hai ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Muntazir Kab Se Tahayyur Hai Teri Taqreer Ka



















Muntazir Kab Se Tahayyur Hai Teri Taqreer Ka

Baat Kar,Tujh Pe Gumaan Honay Laga Tasweer Ka

Raat Kya Soye K Baaqi Umar ki Neend Urr Gai

Khuwab Kya Dekha Dharkaa Lag Gaya Tabeer Ka

Kaisay Paya Tha Tujhe, Phir Kis Tarha Khoya Tujhe

Mujh Sa Munkirr Bhi To Qayil Ho Gaya Taqdeer Ka

Jis Tarha Badal Ka Saya Piyaas Bharkata Rahay

Main Ne Ye Alam Bhi Dekha Hai Teri Tasweer Ka

Ishq Mein Sar Porhna Bhi Kya, K Ye Be-Mehar Log

Joye Khoon Ko Naam De Dety Hain Joye Sheer Ka

Jis Ko Bhi Chaha Usy Shiddat Se Chaha Hai Faraz

Silsilah Toota Nahi Hai Dard Ki Zanjeer Ka ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Kuch mohtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai,

Kuch mohtasibon k khilwat main kuch waiz k ghar jati hai,

Ham bada-kashon k hissay ko ab jam main kam kam aati hai,

Yun arz-o-talab se kab ai dil patthar-dil pani hote hain,

Tum lakh raza k khu dalo kab khu-e-sitamgar jati hai,

Bedad-garon ki basti hai yan dad kahan fariyad kahan,

Sar phorti phirti hai nadan fariyad jo dar dar jati hai,

Han ji k zayan k ham ko bhi tashwish hai lekin kya kjiye,

Har rah jo udhar ko jati hai maqtal se guzar kar jati hai,

Ab kucha-e-dilbar ka rah-rau rahzan bhi bane to bat bane,

Pahre se udu talte hi nahin aur rat barabar jati hai,

Ham ahal-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subah-e-watan,

Yadon se muattar ati hai ashkon se munawwar jati hai ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Khuwaab Marte Nahi ...














Khuwaab Marte Nahi
Khuwaab Dil Hain Na Ankhein Na Sansein Ke Jo
Reza-Reza Hue To Bikhar Jayenge
Jism Ki Maut Se Ye Bhi Mar Jayenge
Khwab Marte Nahi
Khuwaab Tou Roshni Hain, Nava Hain, Hava Hain
Jo Kale Pahron Se Rukte Nahin
Zulm Ke Dozakhon Se Bhi Phukte Nahin
Roshni Aur Nava Aur Hava K Aalam
Maqtalon Main Pahunch Kar Bhi Jhukte Nahi
Khuwaab To Harf Hain
Khuwaab To Nur Hain
Khuwaab To Suqrat Hain
Khuwaab Mansur Hain ...

Poet : Ahmed Faraz
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Khamosh Ho Kiyon Daad-E-Jafa Kiyon Nahi Detey,












Khamosh Ho Kiyon Daad-E-Jafa Kiyon Nahi Detey,
Bismil Ho To Qaatil Ko Dua Kiyon Nahi Detey,

Wehshat Ka Sabab Ruzan-E-Zinda To Nahi Hai,
Mehar-O-Maah-O-Anjum Ko Bujha Kiyon Nahi Detey,

Ik Ye Bhi To Andaaz-E-Ilaaj-E-Gham-E-Jaan Hai,
Ay Charagaro Dard Barha Kiyon Nahi Detey,

Munsif Ho Agar Tum To Kab Insaaf Karo Gay,
Mujrim Hain Agar Hum To Saza Kiyon Nahi Detey,

Rahzan Ho To Haazir Hai Mataa-E-Dil-O-Jaan Bhi,
Rahbar Ho To Manzil Ka Pata Kiyon Nahi Detey,

Kya Beet Gai Ab K 'Faraz' Ehal-E-Chaman Par,
Yaaran-E-Qafas Mujh Ko Sada Kiyon Nahi Detey !

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Kathin Hai Rah-Guzar Thori Door Saath Chalo,


















Kathin Hai Raah_Guzar Thori Door Saath Chalo,
Bohat Barra Hai Safar Thori Door Saath Chaalo,

Tamaam Umar Kahaan Koi Saath Deta Hai,
Main Jaanta Hoon Magar Thori Door Saath Chalo,

Nashey Main Choor Hoon Main Bhi Tumhein Bhi Hosh Nahi,
Barraa Maza Ho Agar Thori Door Saath Chalo,

Ye Ek Shab Ki Mulaaqaat Bhi Ghaneemat Hai,
Kisey Hai Kal Ki Khabar Thori Door Saath Chalo,

Abhi To Jaag Rahey Hain Chiraag Raahon K,
Abhi Hai Door Sahar Thori Door Saath Chalo,

Tawaaf-E-Manzil-E-Jaana Humein Bhi Karna Hai 'Faraz',
Tum Bhi Agar Thori Door Saath Chalo !

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Karoon Na Yaad Agar Kis Tarah Bhulaoon Usey,












Karoon Na Yaad Agar Kis Tarah Bhulaoon Usey,
Ghazal Bahana Karoon Aur Gungunaoon Usey,

Wo Khaar-Khaar Hai Shaakh-E-Gulaab Ki Maanind,
Main Zakhm-Zakhm Hoon Phir Bhi Gallay Lagaoon Usey,

Ye Log Tazkarey Kartey Hain Apane Logon Sey,
Main Kaisey Baat Karoon Aur Kahan Sey Laaoon Usey,

Magar Wo Zood_Faraamosh Zood_Ranj Bhi Hai,
K Rooth Jaaye Agar Yaad Kuch Dilaoon Usey,

Wohi Jo Doulat-E-Dil Hai Wohi Jo Raahat-E-Jaan,
Tumhari Baat Pay Ay Naasiho Ganwaoon Usey,

Jo Ham Safar Sar-E-Manzil Bichar Raha Hai 'Faraz',
Ajab Nahi K Agar Yaad Bhi Na Aaoon Usey !

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Kaha Tha Kis Nay K Ehed-e-Wafa Karo Us Say,



Kaha Tha Kis Nay K Ehed-e-Wafa Karo Us Say,
Jo Yoon Kiya Hai To Phir Kiyon Gila Karo Us Say,

Ye Ehel-e-Baaz Tunak Housala Sahi Phir Bhi,
Zara Fasaana-e-Dil Ibtedaa Karo Us Say,

Ye Kya K Tum Hi Gham-e-Hijr K Fasaaney Kaho,
Kabhi To Us K Bahaanay Suna Karo Us Say,

Naseeb Phir Koi Taqreeb-e-Qarb Ho K Na Ho,
Jo Dil Mein Hon Wohi Baatein Kiya Karo Us Say,

'Faraz' Tarq-e-Ta'alluq To Khair Kya Ho Ga,
Yehi Bohat Hai K Kam Kam Mila Karo Us Say .. !!

Poet : Ahmed Faraz
Contribute : Zahid Shah

Juz Tere, Koi Bhi Din Raat Na Jaanay Mere,


Juz Tere, Koi Bhi Din Raat Na Jaanay Mere,
Tu Kahan Hai Magar Dost Puranay Mere,

Tu Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar,
Barg Aawara Ki Maanind Thikanay Mere,

Shamma Ki Lo Thi K Wo Tu Tha Magar Hijr Ki Raat,
Dair Tak Rota Raha Koi Sarhanay Mere,

Khalq Ki Be_Khabri Hai K Meri Ruswaai,
Log Mujh Ko Hi Sunatay Hai Fasanay Mere,

Lutt K Bhi Khush Hoon K Ashkon Say Bhara Hai Daaman,
Dekh Ghaarat_Gar Dil Ye Bhi Khazanay Mere,

Aaj Ik Aur Baras Beet Gaya Us K Baghair,
Jis K Hotay Huey, Hotay Thay Zamanay Mere,

Kaash Tu Bhi Meri Aawaaz Kaheen Sunta Ho,
Phir Pukaara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Nay Mere,

Kaash Tu Bhi Kabhi Aa Jaye Maseehaai Ko,
Log Aatay Hain Bohat Dil Ko Dukhanay Mere,

Kaash Auron Ki Tarha Main Bhi Kabhi Keh Sakta,
Baat Sun Li Hai Meri, Aaj Khuda Nay Mere,

Tu Hai Kis Haal Mein Ay Zood_e_Faramosh Mere,
Mujh Ko To Chheen Liya Ehad_e_Wafa Nay Mere,

Chaara_Gar Youn To Bohat Hain Magar Ay Jaan_E_Faraz,
Juzz Tere, Aur Koi Zakhm Na Janay Mere ....

Poet : Ahmed Faraz
Contribute : Zahid Shah

Is Say Pehle Ke Bewafa Ho Jayein,


Is Say Pehle Ke Bewafa Ho Jayein,
Kyon Na Ay Dost Hum Juda Ho Jayein,

Tu Bhi Heeray Say Ban Gaya Patthar,
Hum Bhi Kal Kya Se Kya Ho Jayein,

Hum Bhi Majbooriyon Ka Uzr Karein,
Aur Kaheen Aur Mubtala Ho Jayein,

Ishq Bhi Khel Hai Naseebon Ka,
Khaak Ho Jayein Keemiya Ho Jayein,

Ab K Gar Tu Milay To Hum Tujh Say,
Aise Liptein Tera Qaba Ho Jayein,

Bandagi Hum Nay Chhor Di Hai Sanam,
Kya Karein Jab Log Khuda Ho Jayein ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Is qadar musalsal theen shiddatein judai ki

Is qadar musalsal theen shiddatein judai ki
Aaj pehli baar main ne us se be wafai ki

Warna ab talak yun tha khwahishon ki barishmein
Ya to toot ke roya ya ghazal sarai ki

Taj diya tha kal jin ko hum ne teri chahat mein
Aaj un se majburan taazaa aashnai ki

Ho chala tha jab mujh ko ikhtelaf apne se
Tu ne kis ghari zaalim meri hum nawai ki

Tanz o taa'na o tohmat, sub hein hunar nasseh ke
Aap se koi pooche hum ne kya burai ki

Phir qafas mein shor utha qaidion ka aur sayyaad
Dekhna urha de ga phir khabar rihaai ki ...

Is Dour-E-Be_Junoo'n Ki Kahani Koi Likho,


Is Dour-E-Be_Junoo'n Ki Kahani Koi Likho,
Jismo'n Ko Barf Khoon Ko Paani Koi Likho,

Koi Keho K Haath Qalam Kis Tarah Huey,
Kiyon Ruk Gai Qalam Ki Rawaani Koi Likho,

Kiyon Ehal-E-Shouq Sar-Wa-Girebaan Hain Dosto,
Kiyon Khoon-Ba-Dil Hai Ehad-E-Jawani Koi Likho,

Kiyon Surma-Dar-Gulu Hai Har Ek Tayar-E-Sukhan,
Kiyon Gulsitaan Qafas Ka Hai Saani Koi Likho,

Haan Taza Saanehon Ka Karey Kon Intezaar,
Haan Dil Ki Wardaat Purani Koi Likho !

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Inhi Khush_Gumaaniyon Mein Kaheen Jaan Say Bhi Na Jaao,


Inhi Khush_Gumaaniyon Mein Kaheen Jaan Say Bhi Na Jaao,
Wo Jo Chaara_Gar Nahi Hai Usey Zakhm Kiyon Dhikhaao,

Ye Udaasiyon K Mousam Kaheen Raayegaan Na Jaaye,
Kisi Zakhm Ko Kuredo Kisi Dard Ko Jagaao,

Wo Kahaaniyaan Adhoori Jo Na Ho Sakein Gi Poori,
Unhein Main Bhi Kiyon Sunaoon Unhein Tum Bhi Kiyon Sunaao,

Mere Hamsafar Puraaney Mere Ab Bhi Muntazir Hain,
Tumhein Saath Chorrana Hai To Abhi Say Chorr Jaao,

Ye Judaaiyon K Raastey Barri Door Tak Gaye Hain,
Jo Gaya Wo Phir Na Loutaa Meri Baat Maan Jaao,

Kisi Bewafa Ki Khaatir Ye Junoon 'Faraz' Kab Tak,
Jo Tumhein Bhula Chuka Hai Usey Tum Bhi Bhool Jaao !

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Hui Hai Shaam To Aankhon Main Bas Gaya Phir Tu,


Hui Hai Shaam To Aankhon Main Bas Gaya Phir Tu,
Kahaan Gaya Hai Mere Shahar K Musafir Tu,

Bohat Udaas Hai Ik Shakhs Tere Jaaney Sey,
Jo Ho Sakey To Chala Aa Usi Ki Khaatir Tu,

Meri Misaal K Ik Nakhl-E-Khushk-E-Saharaa Hoon,
Tera Khayaal Ki Shaakh-E-Chaman Ka Taair Tu,

Main Jaanta Hoon K Duniya Tujhe Badal Dey Gi,
Main Maanta Hoon K Aisa Nahin Ba_Zaahir Tu,

Hansi Khushi Say Bicharr Ja Agar Bicharrna Hai,
Ye Har Maqaam Pay Kya Sochta Hai Aakhir Tu,

'Faraz' Tu Nay Usey Mushkilon Main Daal Diya,
Zamaana Saahib-E-Zar Aur Sirf Shaayar Tu !

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Hawa K Zor Sey Pindaar-E-Baam-O-Dar Bhi Gaya,


Hawa K Zor Sey Pindaar-E-Baam-O-Dar Bhi Gaya,
Chiraag Ko Jo Bachaatey Thay Un Ka Ghar Bhi Gaya,

Pukaartey Rahey Mehfooz Kishtiyon Walay,
Main Doobata Hua Dariya K Paar Utar Bhi Gaya,

Ab Ehtiyaat Ki Diwaar Kya Uthaatey Ho,
Jo Chor Dil Main Chupa Tha Wo Kaam Kar Bhi Gaya,

Main Chup Raha K Is Main Thi Aafiyat Jaan K,
Koi To Meri Tarah Tha Jo Daar Par Bhi Gaya,

Sulagtey Sochtey Veeraan Mausamon Ki Tarah,
Karraa Tha Ahad-E-Jawani Magar Guzar Bhi Gaya,

Jisey Bhoola Na Saka Us Ko Yaad Kya Rakhta,
Jo Naam Dil Main Raha Zehan Sey Utar Bhi Gaya,

Phati-Phati Hui Aankhon Sey Yoon Na Dekh Mujhe,
Tujhe Talaash Hai Jis Ki Wo Shakhs Mar Bhi Gaya,

Magar Falak Ki Adaawat Usi K Ghar Sey Na Thi,
Jahaan 'Faraz' Na Tha Sail-E-Gham Udhar Bhi Gaya !

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Gilay Fuzool Thay Ahad-E-Wafa K Hotey Huey,


Gilay Fuzool Thay Ahad-E-Wafa K Hotey Huey,
So Chup Raha Sitam-E-Naarawa K Hotey Huey,

Ye Qurbaton Mein Ajab Faasley Parrey,
K Mujhe Hai Aashna Ki Talab Aashna K Hotey Huey,

Wo Hi Laagar Hain Jo Majabooriyaan Shumaar Karein,
Chiraag Hum Nay Jalaaye Hawa K Hotey Huey,

Na Kar Kisi Pey Bharosa K Kashtiyaan Doobi,
Khuda K Hotey Huey Na_khuda K Hotey Huey,

Kissey Khabar Hai Ki Kasa-Ba-Dast Phirtey Hain,
Bohat Sey Log Saron Par Huma K Hotey Huey,

'Faraz' Aisey Bhi Lamhey Kabhi Kabhi Aaye,
K Dil Girifta Raha Dilruba K Hotey Huey !

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Faraz Ab Koi Sauda Koi Junoon Bhi Nahi,


Faraz Ab Koi Sauda Koi Junoon Bhi Nahi,
Magar Qaraar Say Din Kat Rahey Hon Yoon Bhi Nahi,

Lab-O-Dahan Bhi Mila Guftagu Ka Fan Bhi Mila,
Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakoon Bhi Nahi,

Meri Zubaan Ki Luknat Say Bad_Gumaan Na Ho,
Jo Tu Kehey To Tujhe Umar Bhar Miloon Bhi Nahi,

Faraz Jaisey Koi Diya Turbat-E-Hawa Chaahey Hai,
Tu Paas Aaye To Mumkin Hai Main Rahoon Bhi Nahi .!

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibhaanay Waala,


Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibhaanay Waala,
Wohi Andaaz Hai Zaalim Ka Zamaanay Waala,

Ab Issay Log Samajhtay Hain Giraftaar Mera,
Sakht Naadim Hai Mujhe Daam Main Laney Waala,

Kya Kahein Kitney Maraasim Thay Humaarey Is Sey,
Wo Jo Ik Shakhs Hai Moonh Pher K Jaanay Waala,

Tere Hotay Huey Aa Jaati Thi Saari Duniya,
Aaj Tanha Hoon To Koi Nahi Aanay Waala,

Muntazir Kis Ka Hoon Tooti Hui Dehleez Pay Main,
Kon Aaye Ga Yahaan Kon Hai Aanay Waala,

Main Ney Dekha Hai Bahaaron Main Chaman Ko Jaltay,
Hai Koi Khwaab Ki Taabeer Bataanay Waala ?

Kya Khabar Thi Jo Meri Jaan Main Ghula Hai Itana,
Hai Wohi Mujh Ko Sar-E-Daar Bhi Laanay Waala,

Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhtay Ho 'Faraz'
Dost Hota Nahi Har Haath Milaanay Waala ..!

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Dil Bhi Bujha Ho Shaam Ki Parchaaiyaan Bhi Hon,


Dil Bhi Bujha Ho Shaam Ki Parchaaiyaan Bhi Hon,
Mar Jaaiye Jo Aisey Main Tanhaaiyaan Bhi Hon,

Aankhon Ki Surkh Lehar Hai Mouj-E-Suparadagi,
Ye Kya Zaroor Hai K Ab Angarraaiyaan Bhi Hon,

Har Husn-E-Saada_Lo Na Dil Main Utar Saka,
Kuch To Mizaaj-E-Yaar Main Geharaaiyaan Bhi Hon,

Duniya K Tazkiray To Tabiyat Hi Ley Bujhey,
Baat Us Ki Ho To Phir Sukhan Aaraaiyaan Bhi Hon,

Pehal Pehal Ka Ishq Abhi Yaad Hai 'Faraz',
Dil Khud Ye Chaahta Hai K Ruswaaiyaan Bhi Hon ..!

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Be Niyaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jaana,


Be Niyaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jaana,
Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujh Say Juda Ho Jaana,

Main Bhi Palkon Pay Sajaa Loon Ga Lahu Ki Boondein,
Tum Bhi Paabasta-E-Zanjir-E-Hina Ho Jaana,

Khalq Ki Sang_zani Meri Khataaon Ka Sila,
Tum To Masoom Ho Tum Door Zaraa Ho Jaana,

Ab Mere Waastey Tariyaq Hai Ilhad Ka Zahar,
Tum Kisi Aur Pujaari K Khuda Ho Jaana !

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Sunday, November 4, 2012

Barson K Baad Dekha Ik Shakhs Dil Ruba Sa,


Barson K Baad Dekha Ik Shakhs Dil Ruba Sa,
Ab Zehen Main Nahi Hai Par NaamTha Bhala Sa,

Abroo Kheenchey Kheenchey Sey Aankhain Jhuki Jhuki Si,
Baatain Ruki Ruki Si Lehja Thaka Thaka Sa,

Alfaaz Thay K Jugnu Awaaz K Safar Mein,
Ban Jaaye Jungalon Mein Jis Tarah Raasta Sa,

Khwaabon Main Khwaab Us K Yaadon Mein Yaad Us Ki,
Neendon Mein Ghul Gaya Ho Jaisey K Rat Jaga Sa,

Pehley Bhi Log Aaye Kitney Hi Zindagi Mein,
Wo Har Tarah Sey Lekin Auron Sey Tha Juda Sa,

Agli Mohabbaton Ney Wo Naa_Muraadiyaan Di,
Taaza Rafaaqaton Sey Dil Tha Dara Dara Sa,

Kuch Ye K Muddaton Sey Hum Bhi Nahi Thay Roye,
Kuch Zehar Main Bujha Tha Ehbaab Ka Dilaasa,

Phir Yoon Hua K Saawan Aankhon Main Aa Basey Thay,
Phir Yoon Hua K Jaisey Dil Bhi Tha Aablaa Sa,

Ab Sach Kehein To Yaaro Hum Ko Khabar Nahin Thi,
Ban Jaye Ga Qayamat Ik Waaqia Zara Sa,

Tewar Thay Be_Rukhi K Andaaz Dosti K,
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa,

Hum Dasht Thay K Dariya Hum Zahar Thay K Amrit,
Naa_Haq Tha Zonum Hum Ko Jab Wo Nahi Tha Pyasa,

Hum Ney Bhi Us Ko Dekhaa Kal Shaam Ittefaaqan,
Apana Bhi Haal Hai Ab Logo Faraz Ka Sa !

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Badan Main Aag Si Chehra Gulaab Jaisa Hai,


Badan Main Aag Si Chehra Gulaab Jaisa Hai,
K Zahar-E-Gham Ka Nasha Bhi Sharaab Jaisa Hai,

Kahaan Wo Qurb K Ab To Ye Haal Hai Jaisey,
Tere Firaaq Ka Aalam Bhi Khwaab Jaisa Hai,

Magar Kabhi Koi Dekhey Koi Parhey To Sahi,
Dil Aaina Hai To Chehra Kitaab Jaisa Hai,

Wo Saamney Hai Magar Tishnagi Nahi Jaati,
Ye Kya Sitam Hai K Dariya Saraab Jaisa Hai,

'Faraz' Sang-E-Malaamat Say Zakhm Zakhm Sahi,
Hamain Aziz Hai Khana Kharaab Jaisa Hai ..!

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Aise Chup Hain K Ye Manzil Bhi Karri Ho Jaise,


Aise Chup Hain K Ye Manzil Bhi Karri Ho Jaise,
Tera milanaa bhi judaai ki ghari ho jaise,

apne hi saaye se har gaam laraz jata hon,
raaste main koi deevaar khari ho jaise,

manzilain door bhi hain, manzilain nazadeek bhi hain,
apne hi paaon mein zanjeer pari ho jaise,

kitne naadaan hain tere bhulane waale ke tujhe,
yaad karne ke liye umar pari ho jaise,

aaj dil khol ke roye hain to yon Khush hai 'Faraz'
chand lamhon ki ye raahat bhi bari ho jaise ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Ab Naye Saal Ki Mohlat Nahi Milne Wali,

Ab Naye Saal Ki Mohlat Nahi Milne Wali,
aa chuke ab to shab-o-roz azaabon wale,

ab to sab dashna-o-khanjar ki zuban bolte hain,
ab kahan log mohabbat ke nisaabon wale,

zinda rahne ki tamanna ho to ho jate hain,
faakhtaa'on ke bhi kirdar uqaabon wale,

Na mere zakhm khile hain na tera rang-e-hina,
mausam aaye hi nahi ab ke gulaabon wale ...

Poet : Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Ab K Tajdeed-E-Wafa Ka Nahi Imkaan Jaana,


Ab K Tajdeed-E-Wafa Ka Nahi Imkaan Jaana,

Yaad Kya Tujh Ko Dilaaye Tera Paimaan Jaana,

Yoon Hi Mausam Ki Adaa Dekh K Yaad Aaya Hai,

Kis Qadar Jald Badal Jaatey Hain Insaan Jaana,

Zindagi Teri Ataa Thi So Tere Naam Ki Hai,

Hum Ney Jaise Bhi Basar Ki Tera Ehsaan Jaana,

Dil Ye Kehta Hai Ki Shayad Ho Fasurda Tu Bhi,

Dil Ki Kya Baat Karain Dil To Hai Nadaan Jaana,

Awwal-Awwal Ki Mohabbat K Nashey Yaad To Kar,

Be-Piye Bhi Tera Chehra Tha Gulistaan Jaana,

Aakhir Aakhir To Ye Aalam Hai Ki Ab Hosh Nahi,

Rag-E-Meena Sulag Utthi Ki Rag-E-Jaan Jaana,

Muddaton Say Ye Aalam Na Tawaqqo Na Umeed,

Dil Pukarey Hi Chala Jaata Hai Jaana Jaana,

Hum Bhi Kya Saada Thay Hum Ne Bhi Samajh Rakha Tha,

Gham-E-Doraa'n Say Juda Hai Gham-E-Jaana Jaana,

Ab Ki Kuch Aisi Saji Mehfil-E-Yaaran Jaana,

Sar-Ba-Zaanu Hai Koi Sar-Ba-Gharibaan Jaana,

Har Koi Apani Hi Awaaz Say Kaanp Uthta Hai,

Har Koi Apne Hi Saaye Say Hiraasan Jaana,

Jis Ko Dekho Wahi Zanjeer-Ba-Paa Lagata Hai,

Shahar Ka Shahar Hua Dakhil-E-Zindaan Jaana,

Ab Tera Zikr Bhi Shayad Hi Ghazal Main Aaye,

Aur Say Aur Hua Dard Ka Unwaan Jaana,

Hum Ki Roothi Hui Rut Ko Bhi Mana Letey Thay,

Hum Nay Dekhaa Hi Na Tha Mausam-E-Hijraan Jaana,

Hosh Aaya To Sabhi Khuwab Thay Rezaa-Rezaa,

Jaisey Urrtay Huey Auraaq-E-Pareshaan Jaana !

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Ab K Hum Bichhrrey To Shaayad Kabhi Khuwaabon Main Milein,


Ab K Hum Bichhrrey To Shaayad Kabhi Khuwaabon Main Milein,

Jis Tarah Sookhay Huey Phool Kitaabon Main Milein,

Dhoond Ujrey Huey Logon Main Wafaa K Moti,

Ye Khazaanay Tujhe Mumkin Hai Kharaabon Main Milein,

Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa,

Dono Insaan Hain To Kiyon Itney Hijaabon Main Milein,

Gham-E-Duniya Bhi Gham-E-Yaar Main Shaamil Kar Lo,

Nasha Barata Hai Sharabain Jo Sharabon Main Milein,

Aaj Ham Daar Pey Kheenchey Gaye Jin Baaton Par,

Kya Ajab Kal Wo Zamaaney Ko Nisaabon Main Milein,

Ab Na Wo Main Hoon Na Tu Hai Na Wo Maazi Hai 'Faraz',

Jaisey Do Shakhs Tamanna K Saraabon Maim Milein ...!

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Aankh Sey Door Na Ho Dil Sey Utar Jaye Ga,


Aankh Sey Door Na Ho Dil Sey Utar Jaye Ga,
Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga,

Itna Maanoos Na Ho Khilwat-E-Gham Sey Apni,
Tu Kabhi Khud Ko Bhi Dekhey Ga To Dar Jaye Ga,

Tum Sar-E-Raah-E-Wafaa Dekhtey Reh Jaao Gay,
Aur Wo Baam-E-Rafaaqat Sey Utar Jaye Ga,

Zindagi Teri Ataa Hai To Ye Jaaney Walaa,
Teri Bakshish Teri Dehaliz Pey Dhar Jaye Ga,

Doobtey Doobtey Kashti To Ochhaala De Doon,
Main Nahi Koi To Saahil Pey Utar Jaye Ga,

Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka 'Faraz'
Zaalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga To Mar Jaye Ga !

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Mujhe Ruswa Kr Dia Tum Ne Youn Hi Khailte Khailte....!

Ruswa Kar Diya...
Mai Aksar Sochti Hoon...
Tumhain Kaise Samjhaon Kaise Batlaon...
Ek Aurat Ka Mehndi Bhara Hath Mazak Nahi Hota...
Per ye Tumhari Zid Thi Mehndi Se Meri Hatheli Pe...
Apna Nam Likhna Or Usy Ghanton Dekhna...
Ye Tumhari Had Tak To Ek Shararat Thi...
Per Mujhe Ruswa Kr Dia Tum Ne Youn Hi Khailte Khailte....!

Haath Uthey Hain Magar Lab Pay Dua Koi Nahi,


Haath Uthey Hain Magar Lab Pay Dua Koi Nahi,
Ki Ibaadat Bhi Wo Jis Ki Jaza Koi Nahi,

Ye Bhi Waqt Aana Tha Ab To Gosh Har Awaaz Hai,
Or Mere Barbaad-E-Dil Mein Sadaa Koi Nahi,

Aa K Ab Tasleem Kar Ley Tu Nahi To Main Sahi,
Kon Maaney Ga K Hum Mein Bewafa Koi Nahi,

Waqt Ney Wo Khaak Uraai Hai K Dil K Dasht Sey,
Qaafiley Guzrey Hain Phir Bhi Naqsh-E-Paa Koi Nahi,

Khud Ko Yon Mehsoor Kar Baithaa Hoon Apni Zaat Main,
Manzilein Chaaron Taraf Hain Raasta Koi Nahi,

Kaisey Raaston Se Chale Aur Kis Jagah Pohnchey 'Faraz'
Ya Hujoom-E-Dostaan Tha Saath Ya Koi Nahi !

Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah

Hum Par Tumhaari Chaah Ka Ilzaam Hi To Hai,

Hum Par Tumhaari Chaah Ka Ilzaam Hi To Hai,
Dushnaam To Nahin Hai Ye Ikraam Hi To Hai,

Karte Hain Jis Pe Taan, Koi Jurm To Nahi,
Shauq-e-Fuzul-O-Ulfat-e-Nakaam Hi To Hai

Dil Muddai K Harf-e-Malaamat Say Shaad Hai
Ay Jaan-e-Jaan Ye Harf Tera Naam Hi To Hai

Dil Na-Ummeed To Nahi, Na-Kaam Hi To Hai,
Lambi Hai Gham Ki Shaam, Magar Shaam Hi To Hai

Dast-e-Falak Main, Gardish-e-Taqdeer To Nahi,
Dast-e-Falak Main, Gardish-e-Ayyaam Hi To Hai,

Aakhir To Ek Roz Karay Gi Nazar Wafa
Wo Yaar-e-Khush Khasaal Sar-e-Baam Hi To Hai

Bheegi Hai Raat 'Faiz' Gazal Ki Ibteda Karo,
Waqt-e-Sarood Dard Ka Hangaam Hi To Hai...

Poet: Faiz Ahmad Faiz
Contribute : Zahid Shah

Hum Ko Loota Hai Usi Sheher Nay Ey Jaan_e_Wafa,


Hum Ko Loota Hai Usi Sheher Nay Ey Jaan_e_Wafa,
Jis Ki Galliyon Mein Mohabbat Ka Kuch Hisaab Na Tha,

Wo Jo Rehtay Thay Mere Saath Hamesha Din_Bhar,
Un K Mazhab Mein Wafaaon Ka Koi Baab Na Tha,

Wo Jo Aankhon Mein Mohabbat Ko Liye Phirtay Thay,
Un K Dil Mein Thi Wo Nafrat K Kuch Hisaab Na Tha,

Main Nay Jis Ko Bhi Museebat Mein Maseeha Jaana,
Jo Diya Us Nay Bara Us Say Kuch Azaab Na Tha,

Mujhe Khayaal Tha Yeh Log To Mere Apne Gein WASI,
Magar Wahaan Pay To Aisa Koi Riwaaj Na Tha.

Poet: Wasi Shah
Contribute: Zahid Shah

DIL NAY TANHA JHAILI RAAT,

DIL NAY TANHA JHAILI RAAT,
HIJR KI RAAT, SAHAILI RAAT,

DIN WALAY KAB BOOJH SAKAY,
MUSHKIL SHAAM PAHAILI RAAT,

IK SAFHAY KI TASHREEHEIN,
CHAND, CHAKOR,CHANBAILI, RAAT,

DIN APNE HAR DARD KA DOST,
IS KI AIK SAHAILI RAAT,

IK SUNSAAN NAGAR HAR SAANS,
IK WEERAAN HAWAILI RAAT,

IS KA ROOP HAR KI DHOOP,
MERI SARD HATHAILI RAAT

IS KI AANKH SE CHALKAY SHAAM
US KI ZULF SE KHAILI RAAT

MOHSIN K ANJAAM K NAAM
HIJR KI NAII NAWAILI RAAT ...

Hamein Awaaaz Matt Dena "

Hamein Awaaaz Matt Dena "
Bohat Hi Ranjj Hay...!!
Aur Inteha'ee Be-Sukooni Hay..
Keh Hum Apne Jazbon Aur Wadoon Ki....
Tamana'on Ki Aur Apne Sabhi Khuwabon Ki...
Aisi Khoobsurat Aur Jawaan Lash'en.....
(Jinhein Hum Ek Nazer Dekhein
To Ab Bhi Unpe Humko Saans Lenay Ka Ghumaan Hota Hay)
Wojood Apne Samait
Apne Hi Dil K Ek Ghooshe Mein....
Kissi Tareekh Shab Kay
Haad'saati Say Kisi Lamhe K Ander...!!
Iss Tarhan Say Dafann Kar Dhi Hein...
Keh Unko Khooj'na Toa Darkinaar...!!
Unka Nishaan Paana Bhi Abb Mumkin Nahe...!
So Jaanan........!!!
Tum Humein Ab Dhoondhne Ko Matt Nikalna....!!
Humein Awaaz matt Dena......!!
Keh Hum Ab Marr Chukey Hein ...!!

Udaas Dil Ki Veeraaniyo'n Mein Bikhar Gaye Hain Gulaab Saaray,

Udaas Dil Ki Veeraaniyo'n Mein Bikhar Gaye Hain Gulaab Saaray,

ye meri basti say kon guzra nikhar gaye hain gulaab saaray,

wo door tha to haqeeqaton par saraab ka ik gumaan sa tha,

wo paas hai to gumaan hai k haqeeqatein hain saraab saaray,

na_janay kitni shikaayatein theen, na_janay kitnay gilay thay un say,

jo un ko dekha to bhool bethay sawaal saaray jawaab saaray,

Jo wo na hota to kis tarah meri soch ko haroof miltay,

Bas aik hi zaat nay diye hain meri kitaab ko baab saaray ...

Mujhe Lauta Do ,....


Ta'alluq Torna Chaho
Tum Mujh ko Chorna Chaho
To Meri Shart Itni Hai
Tumhein Jo Day Chuka Hoon Main
Mujhe Lauta Do Wo Sab Kuch .....!
Mere Lamhay Wo Chahat K
Wo Sab Tahfay Mohabbat K
Wo Bheegi Diary Meri
Wo Sari Shayeri Meri
Mere Wo Qeemti Lamhay
Jo Tujh KO Sochtay Guzray
Wo Pal Jo Ek Qayamat Thi!
Jo Rasta Dekhtay Guzrey
KHUDA Ko Bhool Kar Wo Din
Jo Tujh Ko Sochtay Guzrey
To Phir Wo Zindagi Meri
Haan Bolo ...
Har Khushi Meri
KAHO Lauta Sako Gi Tum ...?

Nahi Jo Dil Mein Jagah to Nazar Mein Rehnay Do,

Nahi Jo Dil Mein Jagah to Nazar Mein Rehnay Do,
Meri Hayat ko Apny Asar Mein Rehnay Do,

Koi to Khwab Meri Raat Ka Muqaddar Ho,
Koi to Aaks Meri Chashm_e_Tar Mein Rehnay Do,

Main Apni Soch Ko Teri Gali Mei Chorr Aaya,
Tum Apni Yaad Ko Mere Hunar Mein Rehnay Do,

Ye Manzilain To Kisi Aur Ka Muqaddar Hain,
Mujhe Bas Apny Junoon k Safar Mein Rehnay Do,

Haqeeqatein To Bohat Talkh Ho Gai Hain Dost,
Mere Wajood Ko Khawabon K Ghar Mei Rehnay Do !

Mere Ghamon ki Rehi Zindagi Daraaz Bohat

Haqeeqato'n Pay Hai Dunya ko Aitraz Bohat,
K Hai Mizaaj-e-Zamana Fasana Saaz Bohat,

Tera Ghuroor-e-Ibadat Tujhe Na le Doobay,
Suna hai Parhta tha Iblees bhi Namaaz Bohat,

Ye keh Rahey Thay Kal Aawargaan-e-Koocha-e-Yaar,
Adaaein Aaj Bhi Hain Us ki Dil_Nawaaz Bohat,

Unhein Shaoor-e-Muhabbat nahi Khuda ki Qasam,
Jo Log hain Teri Mehfil mein Sarfraz Bohat,

Meri Khushi ka Zamana Hawa ka Jhonka tha,
Mere Ghamo'n ki rahi Zindagi Daraaz Bohat.

Tum MOHABBAT Bhi Mosam Ki Tarha NiBhatay Ho,

Tum MOHABBAT Bhi Mosam Ki Tarha NiBhatay Ho,
KaBhi Brastay Ho KBhi ek Boond Ko Tarsaty Ho,

Pal Main Kehtay Ho Zmane Main Faqat Tere Hain,
Pal Main Ezhar-e-MuhaBt Se Mukar Jaatay Ho,

Bhari Mehfil Main Dushmno Ki Trah Miltay Ho,
Our Duaon Main Mera Naam Liye Jaty Ho,

Dayar-e-Gheir Main Mujh ko Talash Karte Ho,
Miloon To Pass Se Chup Chaap Guzar Jatay Ho,

Lakh Mosam Ki Tarha Rang Badlty Raho,
Aaj To Keh do Toot K, Shiddat Se Humain Chahtay Ho.

Kehnay ko us say mera koi waasta nahi

Kehnay ko us say mera koi waasta nahi
Amjad magar woh shakhs mujhay bhoolta nahi

Darta hoon aankh kholoon to manzar badal naa jaye
Main jaag to raha hoon magar jaagta nahi

Aashaftagi say uski usay bay wafa naa jaan
Aadat ki baat aur hay dil ka bura nahi

Tanha udaas chaand ko samjho naa bay_khabar
Har baat sun raha hay magar bolta nahi

Khamosh ratjagon ka dhuwaan tha chaar soo
Nikla kub aaftaab mujhay to pata nahi

Amjad woh aankhain jheel see gehri to hain magar
Un main koi bhi aks meray naam ka nahi..

Poet: Amjad Islam Amjad
Contribute: Zahid Shah

Un Jheel Si Gehri Aankhon Mein ....


Un Jheel Say Gehri Aankhon Mein Ek Shaam Kaheen Aabaad To Ho,
Us Jheel Kinaaray Pal_Do_Pal,
Ek Khuwaab Kaan_Yela Phool Khilay,
Wo Phool Bahaa Dein Lehron Mein
Ek Roz Kabhi Hum Shaam Dhalay,
Us Phool K Behtay Rangon Mein,
Jis Waqt Larazta Chaand Chalay !
Us Waqt Kaheen In Aankhon Mein us Bisray Pal Ki Yaad To Ho
Un Jheel Say Gehri Aankhon Mein Ek Shaam Kaheen Aabaad To Ho,
Phir Chahey Umer Samundar Ki
Har Mouj Pareshaan Ho Jaye
Phir Chahey Aankh Dareechay Ki
Har Khuwaab Gurezaa'n Ho Jaye
Phir Chahey Phool K Chehrey Ka
Har Dard Numaayaa'n Ho Jaye
Us Jheel Kinaaray Pal_Do_Pal Wo Roop_Nagar Ejaad To Ho
Din Raat Us Aaeenay Say Wo Aks Kabhi Azaad To Ho
Un Jheel Say Gehri Aankhon Mein Ek Shaam Kaheen Aabaad To Ho ...

Poet : Amjad Islam Amjad
Contribute By : Zahid Shah

Dilon Mein Sama Nahi Sakti .....

Dilon Mein Sama Nahi Sakti .....

Labon Pe Rukti, Dilon Mai Sama Nahi Sakti
Wo Ek Baat Jo Lafzon Main Aa Nahi Sakti

Jo Dil Main Ho Nazar-e-Gham To Ashq Paani Hai
K Aag Khaak Ko Kundan Bana Nahi Sakti

Yaqeen, Gumaan Se Bahar To Ho Nahi Sakta
Nazar Khayaal Se Aagey To Ja Nahi Sakti

Dilon Ki Ramz Faqat Ehl-e-Dil Jaantey Hein
Teri Samajh Mein Meri Baat Aa Nahi Sakti

Ye Souz-e-Ishq To Goongey Ka Khuaab Hai
Jesey Meri Zubaan Meri Haalat Bataa Nahi Sakti

Simat Rahi Hai Mere Baazuon K Halqay Mein
Haya K Boojh Se Palkein Utha Nahi Sakti

Jo Keh Raha Hai Sulagta Hua Badan Us Ka,
Bata Bhi Paati Nahi, Aur Chupa Nahi Sakti

Ek Aise Hijar Ki Aatish Hai Mere Dil Mein
Jesey Kisi Visal Ki Baarish Bujhaa Nahi Sakti

To Jo Bhi Hona Hai, Amjad Yaheen Pe Hona Hai
Zameen Madaar Se Bahar To Jaa Nahi Sakti

Poet: Amjad Islam Amjad
Contribute: Zahid Shah

Ishq ki aisi Nighah Chahta hon ...

Maangna Khuda se Dua Chahta hon
Tere Ishq ki inteha Chahta hon

MaaL-o-doulat ki na hasrat Mujhe
Faqat ek Teri Wafa Chahta hon

Jo na khatam ho Sakay Umer Bhar
Chahat ka aisa Silsila Chahta hon

Fursat na Milay Ghair ko Dekhnay ki
Muhabat Teri be-Panaah Chahta hon

jis ney Banaya Tha Majnoo Ko Diwaana
Laila ki wo Adaa Chahta hon

Jis ney Badli Zulaikha ki Taqdeer
Ishq ki aisi Nighah Chahta hon ...

Contribute: Zahid Shah

Ye Doulat Bhi Lay Lo, Ye Shohrat Bhi Lay Lo,

Ye Doulat Bhi Lay Lo, Ye Shohrat Bhi Lay Lo,

Bhalay Cheen Lo Mujh Say Meri Jawaani,

Magar MuJh Ko Louta Do, Bachpan Ka Saawan,

Wo Kaaghaz Ki Kasthi Wo Baarish Ka Paani,

Muhallay Ki Sab Say Nishaani Puraani,

Wo Burrhiya Jisey Bach'chey Kehtay Thay Naani,

Wo Naani Ki Baato'n Mein Parriyo'n Ka Deyrra,

Wo Chehray Ki Jhurriyo'n Mein Saddiyo'n Ka Phera,

Bhoolaaye Nahi Bhool Sakta Hai Koi,

Wo Choti Si Raatein Wo Lambi Kahaani,

Karri Dhoop Mein Apney Ghar Say Nikalna,

Wo Chirriya, Wo Bul_bul Wo Titli Pakarrna,

Wo Gurriya Ki Shaadi Pay Larrna Jhagarrna,

Wo Jhoolo'n Say Girna, Wo Gir K Sambhalna,

Wo Peetal K Challo'n K Piyaarey Say Tohfey,

Wo Tooti Hui Choorriyo'n Ki Nishaani,

Kabhi Rait K Oonchey Tailo'n Pay Jaana,

Gharondey Banana, Banaa K Mitaana,

Wo Maasoom Chaahat Ki Tasweer Apni,

Wo Khwaabo'n Khiyalo'n Ki Jageer Apni,

Na Duniya Ja Gham Tha, Na Rishto'n K Bandhan,

Barri Khobsoorat Thi Wo Zindgaani !

Poet: Jagjit Singh
Contribute: Zahid Shah

Aadhi Raat Kay Shayed Sapnay Jhootay Thay,

Aadhi Raat Kay Shayed Sapnay Jhootay Thay,

Ya Phir Pehli Baar Sitaarey Tootay Thay,

Jis Din Ghar Se Bhaag Kay Sheher Mein Pohnchi Thi,

Bhaag-Bhari Kay Bhaag Usi Din Phootay Thay,

Mazhab Kay Naam Pay Kiya Taqseem Hui,

Humsaaye'on Nay Hi Humsaaye Lootay Thay,

Shoukh Nazar Ki Chutki Nay Nuqsaan Kiya,

Haathon Say Jab Chaaye Kay Bartan Chootay Thay,

Oorh Kay Jo Phirti Thi Jo "Naina" Sari Raat,

Us Raisham Ki Shaal Pay Yaad Kay Bootay Thay !

Bikhar Rahi Hai Meri Zaat Usay Kehna,

Bikhar Rahi Hai Meri Zaat Usay Kehna,
Kabhi Milay To Yeh Baat Usay Kehna,

Woh Saath Tha To Zamana Tha Humsafar Mera,
Magar Ab Koi Nahi Mere Saath Usay Kehna,

Usay Kehna K Bin Us K din Nahi Kut'ta,
Sisak Sisak K Kat'ti Hai Raat Usay Kehna,

Usay Pukaron K Khud Hi Pohanch jaon Us K Paas,
Nahi Rahay Woh Halaat Usay kehna,

Agar Woh Phir Na Lautay To Ay Meharban,
Qasid Humari Zeest K Halaat Usay Kehna,

Her Jeet Us K Naam kar Raha Hon Main,
Main Maanta Hon Apni Haar Usay kehna !

Poet : Qasid Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

Kabhi Jo Chhir Gai Yaad-e-Raftgaan Mohsin,


Kabhi Jo Chhir Gai Yaad-e-Raftgaan Mohsin,
Bikhr Gai Hain Nigahein Kahan Kahan Mohsin,

Hawaa ne Raakh Uraai "Tu" Dil ko Yaad Aya,
k Jal Bujheen Mere Khuwabon ki Bastiyaan Mohsin,

Mila To Aur Bhi Taqseem kar Gya Mujhko,
Sametna Theen Jisey Meri Kirchiyaan Mohsin,

Kaheen se Us ne Bhi Tora Hai Mujhse Rabt-e-Wafa,
Kaheen se Bhool Gya Main Bhi Daastan Mohsin..