Click Here

Monday, December 31, 2012

Usi Ki DaastaaneiN HaiN, Usi Ki Qissa Khwani Hai


Ajab Apna Haal Hota Jo Wasal -e- Yaar Hota


Teri Soorat ...


Aafat Ki Shokiyaan Hain Tumhari Nigaahein


Hidayat Nama, Daagh Dehlvi


Saaz Ye Keena Saaz Kya Jaanein,


Main Aur Harf -e- Shikwa, Ghalt , Ay Sanam Ghalt ...


Kya Zauq Hai, Kya Shauq Hai, So Martaba Dekhoon ...


Milaate Ho Usi Ko Khaak Mein Jo Dil Se Milta Hai


Tumhare Khat Mein Naya Ik Salam Kis Ka Tha ?


Lutf Wo Ishq Mein Paye Hain K Jee Janta Hai


Sabab Khula Ye Humein Un K Moonh Chhupaane Ka ...


Falak Deta Hai Jin Ko Aish Un Ko Gham Bhi Hote Hain,

Falak Deta Hai Jin Ko Aish Un Ko Gham Bhi Hote Hain,

Jahaan Bajte Hain Naq'qaare Wahaan Maatam Bhi Hote Hain,

Gile Shikwe Kahaan Tak Hon Ge Aadhi Raat To Guzri,

Parishaan Tum Bhi Hote Ho Parishaan Ham Bhi Hote Hain,

Hamaare Aansuon Ki Aab-Daari Aur Hi Kuch Hai,

Ki Yun Hone Ko Raushan Gauhar-E-Shabnam Bhi Hote Hain

Hamaare Saath Hi Paida Hua Hai Ishq Are Naaseh,

Judaayi Kis Tarah Se Ho Judaa Ho Ham Bhi Hote Hain,

Tabiyat Ki Kazi Hargiz Mitaaye Se Nahi Mit'ti,

Kabhi Seedhe Tumhaare Gesu-E-Pur-Kham Bhi Hote Hain ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Sab Se Tum Achhe Ho Tum Se Meri Qismat Achhi,

Sab Se Tum Achhe Ho Tum Se Meri Qismat Achhi,

Ye Hi Kambakht Dikha Deta Hai Soorat Achhi,

Jo Ho Aaghaaz Mein Behtar Woh Khushi Hai Bad-Tar,

Jis Ka Anjaam Ho Achha Woh Museebat Achhi,

Zor-O-Zar Se Bhi Kahin 'Daagh' Haseen Milte Hain,

Apne Nazdeek To Hai Sab Se Inaayat Achhi ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Dil Hi To Hai Na Aaye Kiyun Dam Hi To Hai Na Jaaye Kiyun,

Dil Hi To Hai Na Aaye Kiyun Dam Hi To Hai Na Jaaye Kiyun,

Hum Ko Khuda Jo Sabar De Tujh Sa Haseen Banaaye Kiyun,

Go Nahi Bandagi Qubool Par Tera Aastaan To Hai,

Kaaba-O-Dair Mein Hai Kya, Khaakh Koi Uraaye Kiyun,

Log Ho Ya Lagaav Ho Kuch Bhi Na Ho To Kuch Nahi,

Ban Ke Farishta Aadmi Bazm-E-Jahaan Mein Aaye Kiyun,

Jur'rat-E-Shauq Phir Kahaan Waqt Hi Jab Nikal Gaya,

Ab To Hain Yeh Nidamatein Sabr Kiya Tha Haaye Kiyun,

Rone Pe Woh Mere Hanse Ranj Pe Mere Shaad Hon,

Chher Mein Kuchh To Hai Mazaa Warna Sataaye Kiyun,

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Chot Dil Ki Waheen Ubhar Aayi

Chot Dil Ki Waheen Ubhar Aayi
Jab Hansi Aayi Aankh Bhar Aayi

Thi Shab-E-Wasl Kis Qadar Kotaah
Shaam Guzri Ki Bas Sahar Aayi

Mere Marqad Pe Mujh Se Kehte Hain
Kiyun Tujhe Neend Is Qadar Aayi

Aaeena Kiyun Hua Jamaal Tera
Apni Soorat Mujhe Nazar Aayi ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

Kya Koi Zamaane Mein Sitamgar Nahi Hota,

Kya Koi Zamaane Mein Sitamgar Nahi Hota,
Hota Hai Magar Tere Baraabar Nahin Hota,

Raah-zan Hi Se Ham Poochte Hain Raaz-E-Muhabbat,
Jab Ham Ko Mayyassar Koi Rehbar Nahi Hota,

Ham Jaante Hain Aaye Hain Maatam Ko Farishtey,
Jis Bazm Mein Shaghl-E-Mai-O-Saaghar Nahi Hota,

Aadat Hai Ajab Cheez, Buri Ho Ki Bhali Ho,
Marta Hun, Jo Bechain Ghadi Bhar Nahi Hota,

Be-Daad Teri Dekh Ke Yeh Haal Hua Hai,
Aashiq Koi Duniya Mein Kisi Par Nahin Hota,

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Wo Tareeq-E-Mehr-O-Raah-e-Wafa, Tumhein Yaad Ho K Na Yaad Ho,

Wo Tareeq-E-Mehr-O-Raah-e-Wafa, Tumhein Yaad Ho K Na Yaad Ho,

Tumhein Roz Yaad Dilaoon Ga, Tumhein Yaad Ho K Na Yaad Ho

Kiya Pehle Khat Mein Bohat Raqam, Kaha Phir Zubaan Se Apna Gham,

Magar Is Pe Bhi Mera Maajra, Tumhein Yaad Ho K Na Yaad Ho

Charhe Zehen Par Na Zubaan Par Ab Mere Chaar Harf-E-Wisaal Jab,

To Phir Aage Kehne Ka Lutf Kya, Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho,

Ye Kahaan K Baitho Hazaar Mein, Tumhein Sharm Aati Thi Chaar Mein,

Ye To Do Hi Din Ka Hai Maajra, Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho,

Wo Jo 'Daagh', Seher-bayaan Raha K Sanagar Uska Jahaan Raha,

Koi Sher Uska Bura Bhala, Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Milaatay Ho Khaakh Mein Jo Dil Say Milta Hai,

Milaatay Ho Khaakh Mein Jo Dil Say Milta Hai,

Meri Jaan Chahnay Wala Bari Mushkil Say Milta Hai,

Adam Ki Jo Haqeeqat Hai Wo Poocho Ahl-E-Hasti Say,

Musafir Ko To Manzil Ka Pata Manzil Say Milta Hai,

Ghazab Hai 'Daagh' K Dil Say Tumhara Dil Nahi Milta,

Tumhara Chaand-Sa Chehra Maah-E-Kaamil Say Milta Hai ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Baaqi Jahaan Mein Qais Na Farhaad Reh Gaya,

Baaqi Jahaan Mein Qais Na Farhaad Reh Gaya,

Afsaana Aashiqon Ka Faqat Yaad Reh Gaya,

Yoon Aankh Un Ki Kar Ke Ishaara Palat Gayi,

Goya Ki Lab Se Ho Ke Irshaad Reh Gaya,

Wo Din Gaye K Thi Mere Seene Mein Kuchh Kharaash,

Ab Dil Kahaan Hai Dil Ka Nishaan Yaad Reh Gaya,

Hain Tere Dil Mein Sab Ke Thikaane Bure Bhale,

Main Khaanma Kharaab Hi Barbaad Reh Gaya ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Shokhi Mein Unki Chhair Hai Kuch Izteraab Ki,

Shokhi Mein Unki Chhair Hai Kuch Izteraab Ki,

Ghar Kar Gayi Wafa Kisi Khana-Kharaab Ki,

Us Roo-e-Be_Naqaab Ka Jalwa Hua Naqaab,

Nikli Hai Rang Rang Se Soorat Hijaab Ki,

Jumbish Mein Yun Hain Woh Lab-E-Naazuk Nafas Ke Saath,

Jaise Hilay Naseem Se Patti Gulaab Ki,

Ghussay Se Aur Rang Tera Shokh Ho Gaya,

Achi Bani Bigaar Mein Soorat Janaab Ki,

Dar-Parda Josh-E-Husn Ne Be-Parda Kar Diya,

Tooti Girah Tarak Se Band-E-Naqaab Ki ...

Poet : Daagh Dehlvi

Aras-e-Hashar Mein Allah Kare Gum Hum Ko,

Aras-e-Hashar Mein Allah Kare Gum Hum Ko,
Aur Phir Dhoondte Ghabraaye Phiro Tum Hum Ko,

Jab Gayi Keh Ke Gayi, Meri Dua Se Aseer,
Gum Kare Tum Ko Khuda, Tun Ne Kiya Gum Hum Ko,

Kyun Na Hairaan Pareshaan Hon Sun Ne Waale
Main Bhala Tum Ko Kahoon Aur Bura Tum Hum Ko,

Saham Jaati Hai Khushi Darti Hai Farhat Mujh Se
Kabhi Aata Hai To Duz-Deeda Tabassum Hum Ko,

Main Bhi Hairaan Hun Aye 'Daagh' K Yeh Kya Baat,
Waada Woh Kare Hain Aata Hai Tabassum Hum Ko ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Ay Falak Chaahiye Nazar Bhar Ke Nazaara Ham Ko,

Ay Falak Chaahiye Nazar Bhar Ke Nazaara Ham Ko,

Jaa Ke Aana Nahin Duniya Mein Dobara Ham Ko,

Ham Kisi Zulf-E-Parishaan Ki Tarah Aaye Taqdeer,

Khoob Bigre The Magar Khoob Saanwara Ham Ko,

Shukar-Sad-Shukar K Ab Qabar Mein Ham Jaa Pohnche,

Tauseen-E-Umar Ne Manzil Pe Utaara Ham Ko,

Bad-Salooki Mein Maza Kya Hai Maza Hai Is Mein,

Ki Hamaara Ho Tumhein Paas Tumhara Ham Ko,

Behr-E-Hasti Mein Huay Kashti-E-Toofaan Ham To,

Nahin Milta Hai Kahin, 'Daagh' Kinaara Ham Ko ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Ay Falak Chaahiye Nazar Bhar Ke Nazaara Ham Ko,

Ay Falak Chaahiye Nazar Bhar Ke Nazaara Ham Ko,

Jaa Ke Aana Nahin Duniya Mein Dobara Ham Ko,

Ham Kisi Zulf-E-Parishaan Ki Tarah Aaye Taqdeer,

Khoob Bigre The Magar Khoob Saanwara Ham Ko,

Shukar-Sad-Shukar K Ab Qabar Mein Ham Jaa Pohnche,

Tauseen-E-Umar Ne Manzil Pe Utaara Ham Ko,

Bad-Salooki Mein Maza Kya Hai Maza Hai Is Mein,

Ki Hamaara Ho Tumhein Paas Tumhara Ham Ko,

Behr-E-Hasti Mein Huay Kashti-E-Toofaan Ham To,

Nahin Milta Hai Kahin, 'Daagh' Kinaara Ham Ko ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Jo Sar Mein Zulf Ka Sauda Tha Sab Nikaal Diya,

Jo Sar Mein Zulf Ka Sauda Tha Sab Nikaal Diya,

Bala Hoon Main Bhi, Aayi Bala Ko Taal Diya,

Jahaan Mein Aaye The Kya Ranj Hi Utthaane Ko,

Ilaahi Tu Ne Humein Kis Bala Mein Daal Diya,

Khuda Kareem Hai Yun To Magar Itna Rashk,

K Mere Ishq Se Pehle Tujhe Jamaal Diya,

Tumhi Kaho Ki Kahaan Thi Wajhaan Yeh Tarqeeb,

Humare Ishq Ne Saanche Mein Tum Ko Daal Diya,

Yaqeen Hai Thokarein Khaa Khaa Ke Kuchh Sambhal Jaye,

K Us Ki Raah Mein Hum Ne To Dil Ko Daal Diya ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Galay Mila Hai Wo Mast-E-Shabaab Barson Mein,

Galay Mila Hai Wo Mast-E-Shabaab Barson Mein,

Hua Hai Dil Ko Suroor-E-Sharaab Barson Mein,

Nigaah-E-Mast Se Us Ko Hua Yeh Haal Mera,

Ki Jaise Pee Ho Kisi Ne Sharaab Barson Mein,

Na Kiyon Ho Naaz Mujhe Apne Dil Par Ay Zaalim,

Kiya Hai Tu Ne Kisse Intekhaab Barson Mein,

Khuda Kare Ki Mazaa Intezaar Ka Na Mite,

Mere Sawaal Ka Woh Dein Jawaab Barson Mein,

Haya-O-Sharm Tumhaari Gawaah Hai Iski,

Hua Hai Aaj Koi Kaamyaab Barson Mein ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Jalway Meri Nigaah Mein Kaun-O-Makaan Ke Hain,

Jalway Meri Nigaah Mein Kaun-O-Makaan Ke Hain,

Mujh Se Kahaan Chhupein Ge Woh Aise Kahaan Ke Hain,

Jis Din Se Kuch Shareek Hui Meri Musht-E-Khaak,

Us Roz Se Zameen Pe Sitam Aasmaan Ke Hain,

Kya Iztaraab-E-Shauq Ne Mujh Ko Khazil Kiya,

Woh Poochte Hain Kehiye Iraade Kahaan KeHainm

Qaasid Yahaan Se Barq Tha Par Nisf Raah Mein,

Beemaar Ki Hai Chaal Qadam Naa-Tawaan Ke Hain,

Aashiq Tere Adam Ko Gaye Kis Qadar Tabaah,

Poocha Har Ek Musafir Ne Yeh Musafir Kahaan Ke Hain ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

Kabhi Masjid Mein Jo Shokh Peer-Zaad Aaya,

Kabhi Masjid Mein Jo Shokh Peer-Zaad Aaya,

Phir Na Allah Ke Bandon Ko Khuda Yaad Aaya,

Chhoot Kar Kunj-E-Qafas Se Bhi Yeh Khatka Na Gaya,

Jab Saba Aayi To Jaana Wahi Sayyaad Aaya,

Raat Bhar Shor Raha Hai Tere Hamsaaye Mein,

Kis Ke Armaan Bhare Dil Ko Khuda Yaad Aaya,

Di Mu'azzin Ne Shab-E-Vasl Azaaan Pichhli Raat,

Haay Kambakht Ko Kis Waqt Khuda Yaad Aaya,

Lijiye Suniye Ab Afsaana-E-Furqat Mujh Se,

Aap Ne Yaad Dilaya To Mujhe Yaad Aaya ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Jo Sar-E-Rehguzaar Phirte Hain,

Jo Sar-E-Rehguzaar Phirte Hain,
Wo Bohat Hoshiyaar Phirte Hain,

Ishq-E-Khaana-Kharaab Ke Haathon,
Dar-Ba-dar Shaharyaar Phirte Hain,

Mai-Kade Mein Ajab Tamaasha Hai,
Chaar Baithe Hain Chaar Phirte Hain,

Haaye Un Ka Khiraam-E-Mastaana,
Pee Ke Jab Baada-Khwaar Phirte Hain,

'Daagh' Ka Zikr Sun Ke Woh Bole,
Aise Aise Hazaar Phirte Hain ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Jo Ho Sakta Hai Us Se Woh Kisi Se Ho Nahi Sakta,

Jo Ho Sakta Hai Us Se Woh Kisi Se Ho Nahi Sakta,

Magar Dekho To Phir Kuch Aadmi Se Ho Nahi Sakta,

Na Rona Hai Tareeqe Ka Na Hasna Hai Saleeqe Ka,

Pareshaani Mein Koi Kaam Jee Se Nahi Ho Sakta,

Kiya Hai Waada-E-Farda Unhon Ne Dekhiye Kya Ho,

Yahaan Sabar-O-Tahammul Aaj Hi Se Ho Nahi Sakta,

Khuda Jab Dost Hai Aye 'Daagh' Kya Dushman Se Andesha,

Hamaara Kuch Kisi Ki Dushmani Se Ho Nahin Sakta ...

Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Saturday, December 29, 2012

Dil Ki Chokhat Pe Jo Ak Deep Jala Rakha Hai

Dil Ki Chokhat Pe Jo Ak Deep Jala Rakha Hai
Tere Loot Anay Ka Emkaan Saja Rakha Hai

Sans Taak Bhi Nahi Laite Tujhai Sochte Hoye
Hum Ne Is Kaam Ko Bhi Kaal Pe uTha Rakha Hai

Rooth Jate Ho To Kuch Or Haseen Lagte Ho
Hum Ne Ye Soch K Hee Tum Ko Khafa Rakha Hai

Tum Jesi Rootha Howa Choor Gayee Thay Ak Din
Hum Ne Us Shaam Ko Seenay Say Laga Rakha Hai

Chein Laine Nahi Daite Ye Kisi Toor Mujhai
Teri Yadoon Ne Jo Tufaan Utha Rakha Hai

Janay Walay Ne Kaha Tha K Wo Loote Ga Zaror
Ak Isee Aass Pee Darwaza Khula Rakha Hai

Tere Janay Say Jo k Dhol Uthee Thi Ghaam Ki
Hum Ne Us Dhool Ko Ankhon Main Basa Rakha Hai

Mujh Ko Kal Shaam Say Wo Yaad Bohut Ane Lagay
Dil Ne Mud'dat Say Jo Ak Shaks Bhula Rakha Hai

Akhri Bar Jo Ayaa Tha Mere Naam
Main Ne Us Khaat Ko Kaalejay Say Laga Rakha Hai.!

Thursday, December 27, 2012

Azaab-e-Deed mein Aankhein Lahoo Lahoo kar k,

Azaab-e-Deed mein Aankhein Lahoo Lahoo kar k,

Main Sharamsaar huwa Teri Justujoo kar k,

Khandar ki tarha say Bareeda Badan Saron k siwa,

Mila na kuch bhi Khazano'n ki Aarzoo kar k,

Suna hai sheher mein Zakhmi Dilo'n ka Mela hai,

Chalein gay hum bhi Magar Perahan Raffoo kar k,

Musafat-e-Shab-Hijraan k baad Bhaid Khula,

Hawaa Dukhi hai Charaagho'n ki Aabroo kar k,

Zameen ki Piyaas usi k Lahoo ko chaat gayi,

Wo Khush huwa tha Samandar ko Aab-e-Jo kar k,

Ye kis nay Hum say Lahoo ka Khiraaj phir Maanga,

Abhi to soay thay Maqtal ko Surkharoo kar k,

Jaloos-e-Ahl-e-Wafa kis k darr pay Phohncha hai ?

Nishaan-e-Tauq-Wafa Zeenat-e-Galoo kar k,

Ujaar Roth ko Gulaabi Banaaye rakhti hai,

Hamari aankh teri Deed say Wazzoo kar k,

Koi to Habs-e_Hawa se ye poochta MOHSIN,

Mila hai kya Usey kaliyo'n ko Bey-Namoo kar k !

Poet: Mohsin Naqvi
Contribute: Zahid Shah

Saturday, December 22, 2012

Wo Is Andaz Ki Mujh Se Mohabbat Chahta Hai


Bharkaayein Meri Piyas Ko Aksar Teri aankheiN


Chaak Daaman Ko Jo Dekha To Mila Eid Ka Chaand


Aankhon Mein Tere Kuch ArmaaN Chhor Jayein Ge ..


Sakoon Bhi Khuwab Hua, Neend Bhi Hai Kam Kam Phir


Chaara-gar Haar Gaya Hi Jaise ...


Humare DarmiyaaN Aisa Koi Rishta Nahi Tha ...


Dukh Bolte Hain


Us Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machchal Jaate Hain ...


Sab Ko Dil Ke Daagh Dikhaye, Aik Tujhi Ko Dikha Na Sake,


Insha Jee Utho, Ab Kooch Karo ...


Bari Hairat Se Arbab-e-Wafa Ko DEkhte Hain


Hum Ko Gali Mein Dekh Kar Khud Ko Chupa Liya ...


Naye DinoN K Naye Safar MeiN Dheyan Rakhna


Bewafa Ki Bewafai Bhulai Nahi Jati ...


Yak-Tarfa Mohabbat Ka Nuqsan Bohat Hai


Dil Dharakne Ka Sabab Yaad Aaya


Wo Ishq Jo Hum Se Rooth Gaya.


Jisse Ishq Ka Teer Kaari Lage ...


Ishq Karo |To Ye Bhi Socho Arz-e-Sawaal Se Pehle ...


AY Ishq Is Qafas Se Mujhe Rehai De ...



" Mere Paas Laut Aana "


Jab Yaad Meri Aaye To Rukna Mat
"Mere Paas Laut Aana"
Jab Raat Ka Diya Bhuj Jaye
Or Kuch Saaf Nazar Na Aaye
To Darna Mat
"Mere Paas Laut Aana"
Jab Bin Baadal Barsaat Ho Jaye
Or Tumhien Raasta Na Mil Paaye
To Udaas Mat Hona
"Mere Paas Laut Aana"
Jab Saans Ki Dori Toote
Or Koi apna Tumhien Lootey
To Maayoos Mat Hona
Mere Paas Laut Aana
Jab Dil Tumhara Toote
Or Kisi Ka Sath Tum Se Chhoote
To Aanso Mat Bahana
"Mere Paas Laut Aana"
Apni Khushi Se Chor Ke Gayi Ho Tum
Mere Jazbat,Pyar,Aitbar
Ko Tor Ke Gayi Ho Tum
Phir Bhi Meri Yaad Agar Aye
Or Aankhien Tumhari Bher Ayein
To Shermindah Mat Hona
"Mere Paas Laut Aana"
Bas Itna Kehna Chahta Hoon
Ke Hamesha Intizar Karoonga
Is Kaeenat Se Ziada Pyar Karoonga
Magar Jab Tumhien Meri Yaad Aye
To Rukna Mat
"Mere Paas Laut Aana" ...

Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Koi Pathar Koi Gohar Kyon Hai,


Koi Pathar Koi Gohar Kyon Hai,

Farq Logon Mein Is Qadar Kyon Hai,

Tuu Mila Hai To Ye Khayaal Aaya,

Zindagi Itni Mukhtasar Kyon Hai,

Jab Tujhe Laut Kar Nahin Aana,

Muntzar Meri Chashm-E-Tarr Kyon Hai,

Us Ki Aankhen Kahin Sadaf To Nahin,

Us Ka Har Ashk Hi Gohar Kyon Hai,

Raat Pehle Hi Kyon Nahi Dhalti,

Teergi Shab Ki Ta Sahar Kyon Hai,

Ye Bhi Kesa Azaab De Daala,

Hai Muhabbat To Is Qadar Kyon Hai,

Tuu Nahin Hai To Roz-o-Shab Kesi,

Shaam Kyon Aa Gai Sahar Kyon Hai,

Kyon Rawana Hai Har Ghari Dunya,

Zindagi Mustaqil Safar Kyon Hai,

Main To Ek Mustaqil Musafir Hun,

Tuu Bhala Mera Hamsafar Kyon Hai,

Tujh Ko Milna Nahin Kisi Se Adeem,

Phir Bichharne Ka Tujh Ko Darr Kyon Hai...!!

Kuch Likha Tha Teri Yaad Mein ...


Kuch Likha Tha Teri Yaad Mein
Mere Aansu'on Nay Mita Diya

Doston Say Chhupai Thi Dil Ki Baat
Mere Chehray Ny Sab Kuch Bata Diya

Meri Chahton Ka B Kiya Sila Mila Mujhe
Jisy Toot K Chaha Aj Ussi Ny Mujhko Bhula Diya

Aik Khat Likha Tha Tere Naam
Phir Apny Hi Hathon Say Usko Jala Diya

Gila Karna Mera Pesha Nahi
Tere Deedaar Ki Hasrat Hai

Aa K Dekh Teri Muhabat Nay
Mujhko Kiya Say Kiya Bana Diya ...

www.zahid-shah.blogspot.com/

Friday, December 21, 2012

Husn Walay Wafa Nahi Kartay,



Husn Walay Wafa Nahi Kartay,
Ishq Walay Dagha Nahi Kartay,
Zulm Karna To Inki Aadat Hai,
Yeh Kisi Ka Bhala Nahi Kartay,
Jo Nazar Aar Paar Ho Jaye,
Wohi Dil Ka Qaraar Ho Jaye,
Apni Zulfon Ka Daal Do Saya,
Teergi Khush_gawaar Ho Jaye,
Teri Nazron Ko Dekh Paye Agar,
Shaikh Bhi Mai_gusaar Ho Jaye,
Tujh Ko Daikhay Jo Ik Nazar Wo Rang,
Chand Bhi Sharam_Saar Ho Jaye,
Aaeena Apne Saamnay Say Hata,
Ye Na Ho Khud Say Pyar Ho Jaye,
Bhool Ho Jati Hai Yoon Taish Mein Aaya Na Karo,
Faaslay Khatam Karo Baat Barhaya Na Karo,
Ye Nigahein, Ye Ishaaray, Ye Adaayein Tauba,
In Sharabon Ko Sar-e-Aam Lutaya Na Karo,
Shaam Gehri Ho To Kuch Aur Haseen Hoti Hai,
Saya-e-zulf Ko Chehray Say Hataya Na Karo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo,
Na Chey'ro Humein, Hum Sataye Huey Hein,
Bohat Zakhm Seenay Pay Khaaye Huey Hein,
Sitam_Gar Ho Tum, Khoob Pehchantay Hein,
Tumhari Adaaon Ko Hum Jantay Hein,
Dagha_Baaz Ho Tum Sitam Dhaanay Walay,
Faraib-e-Mohabbat Mein Uljhanay Walay,
Ye Rangeen Kahani Tumhi Ko Mubarak,
Tumhari Jawani Tumhi Ko Mubarak,
Humari Taraf Say Nigaahein Hata Lo,
Hamein Zinda Rehnay Do Ay Husn Walo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Daalo,
Zanjeer Mein Zulfoon Ki Phans Janay Ko Kia Kahiye,
Deewana Mera Dil Hai, Deewanay Ko Kya Kahiye,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo,
Sambhalo Zara Apna Aanchal Gulabi,
Dikhao Na Hans Hans K Aankhein Sharabi,
Sulook Inka Dunya Mein Acha Nahi Hai,
Haseeno'n Pay Hum Ko Bharosa Nahi Hai,
Utha'tay Hein Nazrein To Girti Hai Bijli,
Adaa Jo Bhi Nikli, Qayamat Hi Nikli,
Jahaan Tum Nay Chehray Say Aanchal Hataya,
Waheen Ehl-e-dil Ko Tamasha Banaya,
Khuda K Liye Hum Pay Dorein Na Dalo,
Hamein Zinda Rehnay Do Ey Husn Walo,
Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo,
Aawara Hui Jaati Hein Zulfon Ko Sambhalo,
Dil Mera Ulajh Jaye Ga Yeh Jaal Na Dalo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo,
Apni Is Zulf-e-pareshaan Ko Sambhalo Warna,
Aisay Gustaakh Ko Hum Choom Liya Kartay Hain,
Uljha Hai Paaon Yaar Ka Zulf-e-daraaz Mein,
Lo Aap Apne Dam Mein Sayyad Aa Gaya,
Sada_waar Kartay Ho Tum Deg-e-jafa Ka,
Bahatay Ho Tum Khoon Ehl-e-wafa Ka,
Ye Nagan Si Zulfein, Ye Zehreeli Nazrein,
Wo Pani Na Mangay Ye Jiss Ko Bhi Das Lay,
Wo Lut Jaye Jo Tum Say Dil Ko Laga Lay,
Phiray Hasraton Ka Janaza Uthaye,
Hai Maloom Hum Ko Tumhari Haqeeqat,
Mohabbat K Parday Mein Kartay Ho Nafrat,
Kaheen Aur Ja K Adaayein Uchalo,
Humein Zinda Rehnay Do Ey Husn Walo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Ye Jhooti Numaish Ye Jhooti Banaawat,
Faraib_E_Nazar Hai Nazar Ki Lagawat,
Ye Sumbal Say Gesu, Ye Aariz Gulabi,
Zamanay Milayein Gay Ik Din Kharabi,
Fana Hum Ko Kar Dena Ye Muskarana,
Adaa Kafirana Chalan Zaalimana,
Dikhao Na Ye Ishwa-o-naz Hum Ko,
Sikhao Na Ulfat K Andaaz Hum Ko,
Kisi Aur Per Zulf Ka Jaal Dalo,
Humein Zinda Rehnay Do Ey Husn Walo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Apni Zulfon Ka Prudah Bana Lijiye,
Husn_e_Masoom Ab Fitna_gar Ho Gaya,
Palkein Gir Jayein Gi, Door Jal Jaye Ga,
Rukh Tumhari Nazar Ka Jidhar Ho Gaya,
Humein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo,
Humein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo ...

Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Surkh Kapron Mein Nikla Hai Wo Be_Wafa,



Surkh Kapron Mein Nikla Hai Wo Be_Wafa,
Aaj Duniya Lutay Gi Meri Dosto,

Udhar Doli Utthay Gi Mere Yaar Ki,
Idhar Maiyyat Utthay Gi Meri Dosto,

Joothi Us Ki Wafaaon Say Waqif Hoon Main,
Us Ki Saari Adaaon Say Waqif Hoon Main,

Laal Ghoongat Say Chehra Nikaalein Gay Wo,
Jab Bhi Soorat Chupay Gi Meri Dosto,

Main Nay Zindagi Lutaai Usi K Liye,
Us Nay Mehndi Lagaai Kisi K Liye,

Ho Gi Mehndi Mere Khoon Ki,
Jab Bhi Gardan Katay Gi Meri Dosto,

Dekh Kar Piyaar K Phool Ghabraaye Gi,
Kafan Say Bhi Wafa Ki Mehek Aaye Gi,

Wo Bhi Hairaan Ho Jaye Gi Dekh Kar,
Jab Bhi Maiyyat Sajay Gi Meri Dosto,

Surkh Kapron Mein Nikla Hai Wo Be_Wafa,
Aaj Duniya Lutay Gi Meri Dosto ..... !

Contribute: Zahid Shah



تم پوچھو اور میں نہ بتاؤں ، ایسے تو حالات نہیں


تم پوچھو اور میں نہ بتاؤں ، ایسے تو حالات نہیں

ایک ذرا سا دل ٹوٹا ھے ، اور تو کوئی بات نہیں

کس کو خبر تھی سانولے بادل بن برسے اڑ جائیں گے

ساون آیا لیکن اپنی قسمت میں برسات نہیں

ٹوٹ گیا جب دل تو پھر یہ سانس کا نغمہ کیا معنی

گونج رھی ھے کیوں شہنائی جب کوئی بارات نہیں

غم کے اندھیارے میں تجھ کو اپنا ساتھی کیوں سمجھوں

تو پرتو ھے میرا تو سایا بھی میرے ساتھ نہیں

ختم ھوا میرا افسانہ ، اب یہ آنسو پونچھ بھی لو

جس میں کوئی تارا چمکے آج کی رات وہ رات نہیں

میرے غمگیں ھونے پر احباب ھیں یوں حیراں قتیل

جیسے میں پتھر ھوں ، میرے سینے میں جذبات نہیں

قتیل شفائی

Wo Thaka Hova Meri Baanhoo'n Main Zara So Gaya Tha To Kya Hua,

Wo Thaka Hova Meri Baanhoo'n Main Zara So Gaya Tha To Kya Hua,

Abhi Main Nay Dekha Hai Chaand Bhi Kisi Shaakh Gul Pay Jhuka Hua,

Mere Saath Saath Sada Raha Woh Meri Nazar Say Chhupa Hua,

Ye Ajeeb Hijar-O-Saal Hai,, Na Kabhi Mila, Na Juda Hua,

Koi Phool Dhoop Ki Pattiyo'n Main Harray Rabn Say Bandha Hua,

Wo Ghazal Ka Lehja Naya Naya, Na Kaha Hua, Na Suna Hua,

Jissay Lay Gayi Abhi Hawaa, Wo Warq Tha Dil Ki Kitaab Ka,

Kaheen Aansu'on Say Mita Hua, Kaheen Aansuo'n Say Likha Hua,

Kayi Mail Rait Ko Kaat Kar Koi Moj Phool Khila Gayi,

Koi Pair Piyaas Say Mar Raha Hai Nadi Kay Pass Khara Hua,

Mujhe Haadso'n Nay Saja Saja Kay Bohat Haseen Bana Diya,

Mera Dil Bhi Jaisey Dulhan Ka Haath Ho Mehndiyo'n Say Racha Hua,

Wohi Khat Kay Jis Pay Jaga Jaga Do Mehktey Honto'n K Chaand Thay,

Kisi Bhooli Bisri Si Taaq Par Teh Gird Ho Ga Daba Hua ...

Poet : Basheer Badar
www.zahid-shah.blogspot.com/

Mosam Bhi Nahi Badla Manzar Bhi Nahi Badla
















Mosam Bhi Nahi Badla Manzar Bhi Nahi Badla

Us Sheher Ko Jaanein Ka Rasta Bhi Nahi Badla

Tum Chor Gaey Jaisay Sab Waisa He Rakha Hai

Bistar Kya Tere Chaadar Taqqia Bhi Nahi Badla

Haan Aaj Bhi Bethay Hain Deevaar Say Lag Kay Ham

Galliyaan Bhi Wohi Apni Koocha Bhi Nahi Badla

Tum Kuch To Nibha Detey Aakhir Yeh Mohabbat Thi

Ham Ne To Aqeedat Mein Lehja Bhi Nahi Badla ...

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

ChaaNd SitaaroN Se Kya PochhooN Kab DiN Mere Phirte HaiN,


ChaaNd SitaaroN Se Kya PochhooN Kab DiN Mere Phirte HaiN,

Vo To Bechaare Khud HaiN Bhikaari Dere Dere Phirte HaiN,

JiN GaliyoN MeN Ham Ne Sukh Ki SeJ Pe RaateN Kaati ThiiN,

UN GaliyoN MeN Vyaakul Ho Kar SaaNJh Savere Phirte HaiN,

Ruup-Saruup Ki Jot JagaaNa Is Nagari MeN Jokhim Hai,

ChaaroN KhuuNt Baguule BaN Kar Ghor ANdhere Phirte HaiN,

JiN Ke Shaam-BadaN Saaye MeN Mera MaN Sustaaya Tha,

Ab Tak AaNkhoN Ke Aage Vo Baal GhaNere Phirte HaiN,

Koi HameN Bhi Ye SamJha Do UN Par Dill KyoN RiiJh Gaya,

Teekhi ChitavaN Baa'Nki Chhab Vaale Bahutere Phirte HaiN,

Is Nagari MeN BaaG Aur BaN Ki Yaaro Liilaa Nyaari Hai,

PaNchi ApNe Sar Pe Uthaakar ApNe Basere Phirte HaiN,

Log To DaamaN Si Lete HaiN Jaise Ho Ji Lete HaiN,

Abid Hum DeevaaNe HaiN Jo Baal Bikhere Phirte HaiN ...

www.zahid-shah.blogspot.com/

Yaar Ki Shakal Hoon Aur Yaar Mein Fana Hoon Main,














Dekh Lay Shakal Meri, Kis Ka Aaeena Hoon Main,
Yaar Ki Shakal Hoon Aur Yaar Mein Fana Hoon Main,

Tumhare Husn Ko Hasil Ghuroor Mera Hai,
Sharab Tum Hi To Us Mein Suroor Mera Hai,

Isi Ko Kehtay Hain Shayad, Ta'alluq-e-Khatir,
Safar Pay Tum Ho, Aur Badan Choor Choor Mera Ha,

Dekh Lay Shakal Meri, Kis Ka Aaeena Hoon Main,
Yaar Ki Shakal Hoon Aur Yaar Mein Fana Hoon Main,

Apni Har Saans Mein, Awaaz Mein Payi Unki
Apni Soorat Mujhe Soorat Nazar Aayi Un ki,

Yaar Ki Shakal Hoon Aur Yaar Mein Fana Hoon Main,

Pehle Apni Shakal Par, Us Ne Banaya Hai Mujhe,
Phir Meri Soorat Pay Dekho, Khudhi Shaida Ho Gaya Hai Wo,

Tu Mujh Mein Baqaa Hai, Main Tujh Mein Fana Hoon,
Tu Mujh Mein AyaaN Hai, Main Tujh Mein NehaaN Hoon,

Tu Mujh mein Khuda Hai, Main Teri Anaa Hoon,
Na Tu Hi Juda Hai, Na Main Hi Juda Hoon,

Yaar Ki Shakal Hoon Aur Yaar Mein Fana Hoon Main,

Pata Lagaye Koi, Ya Mere Patay Ka Pata,
Mere Patay Ka Pata Hai, Hai K Lapata Hoon Main,

Ay Jigar Hai Meri Hasti Ki Haqeeqat Itni,
Tujh Mein Aabaad Hain Sab, Main Kaheen Abaad Nahi,

Mujh Hi Ko Dekhein, Bas Tere Dekhnay Walay,
Tu Aaeena Hai Mera, Tera Aaeena Hoon Main,

Main Mit Gaya Hoon To, Phir Kis Ka Naam Hai Be-daam,
Wo Mil Gaye Hain To, Phir Kis Ko Dhoondta Hoon Main,

Dekh Lay Shakal Meri, Kis Ka Aaeena Hoon Main,
Yaar Ki Shakal Hoon Aur Yaar Mein Fana Hoon Main ...

www.zahid-shah.blogspot.com/

Kash Hum Khul kay zindagi kartay,

Kash Hum Khul kay zindagi kartay,
Umar guzri hai khud-kushi kartay,














Bijliyan is taraf nahi aayeen,
Warna hum ghar mein roshni kartay,

kaun dushman teri tarha ka tha?
Aur hum kis say dosti kartay ?

Bujh gaye kitnay chaand say chehray,
badal kay sehra mein chandni kartay,

ishq ujrat talab na tha warna,
hum tere dar pay naukri kartay,

Is tamanna mein ho gaye ruswa,
Hum bhi jee bher kay aashiqi kartay,

husn us ka na khul saka mohsin,
thak gaye log shayeri kartay ...

Poet : Mohsin Naqvi
Contribute : Zahid Shah