Click Here

Sunday, September 30, 2012

Sath Toh Ek Pal Ka Tha Phir Kyun Mujhe Yaad Aatay Ho Tum,


Sath Toh Ek Pal Ka Tha Phir Kyun Mujhe Yaad Aatay Ho Tum,
Aks Ki tarah Mere Dil Pe Kyun Chha Jatay Ho Tum,
Dilbar Bhi nahi Ho Mere Humdam Bhi Nahi,
Yeh Rastay Pyaar K Mujhe Phir Kyun Dikha Jatay Ho Tum,
Hum Kabhi Milay Thay Toh Ek Ajnabi Ki Tarah,
Meri Raaton Ki Neend Phir Kyun Urrah Jatay Ho Tum,
Hawaon Se Hum Tumhara Pata Puchtay Rahay,
Kuch Issi tarah Se Apna Dewana Bana Jatay Ho Tum .....
www.zahid-shah.blogspot.com/

BaS Nazar Ka Aik Dh0ka Hai, SamaJhta Ky0n Nahin,


BaS Nazar Ka Aik Dh0ka Hai, SamaJhta Ky0n Nahin,
Tu Nahin Ye Tera Saya Hai, SamJhta Ky0n Nahin,
Baat Meri Maan Le Tu D00b JayeGa Yahan,
Ye Samandar TuJh Se Gehra Hai, SamaJhta Ky0n Nahin,
Kab Talak Aankhen ChurayeGa Tu Apne Aap Se,
Aaine MEin AkS Tera Hai, SamaJhta Ky0n Nahin,
TuJh K0 LaGta Hai Ke Har Gham BaS Teri MiraS Hai,
K0i Tere Gham MEin R0ta Hai, SamaJhta Ky0n Nahin,
Aur Kya De PayeGa TuJh K0 Saraab0n Ke Siwa,
JuStJu MEin Khud Ye Sehra Hai, SamaJhta Ky0n Nahin,
Dill AGar HaSsaS h0 T0 RanJ Bhi H0Ga Zar00r,
Kuchh Na Kuchh T0 Sehna Parta Hai, SamaJhta Ky0n Nahin,
'Shaad' Karte Hain Yahaan Sab Chadte SuraJ K0 Salaam,
Haan ISi Ka Naam Duniya Hai, SamaJha Ky0n Nahin...!!
(KhuShbir SinGh Shaad)

Hasrat Bhari Nigahon Ko Aaram Tak Nahi,


Hasrat Bhari Nigahon Ko Aaram Tak Nahi,
Palti Wo Zindigani K Phir Shaam Tak Nahi,
Jis Ki Talab Mein Zindagi Apni Guzaar Di,
Us Bewafa K Lab Pe Mera Naam Tak Nahi,
Jo Keh Gaye Thay Sham Ko Bethen Ge Aaj Phir,
Kuch Saal Ho Gaye Koi Paighaam Tak Nahi,
Hoon Dafan Tere Hijr Ki Ek Aisi Qabar Mein,
Kutbay Pe Jis K Aaj Koi Naam Tak Nahi,
Be-Ikhtiyaar Uth'tay Hain Mere Qadam Udhar,
Halaan K Us Gali Mein Mujhe Kaam Tak Nahi..

Din Ko Khayal E Yar Main Rehna,


Din Ko Khayal E Yar Main Rehna,
Taare Gin'na Ratoon ko.
Duniyaa Wale Kia Samjhaen Gay,
Dil Walo'on ki Batoon ko.
Sawaan Ayaa, Badal Chaye, Bulbul Chehki,
Phol Khele.
Tum Hi Nahi Jab Barsaton main,
Agg lage Barastoon ko.
Dard E Mohabat, Zakham E Judai,
Tum ko De Kar Bhol gaye.
Dil Se Laga Kar Hum ne Rakha,
Teri in Soughatoon Ko.
Jhoote Wahde, Jhoti Qasmeen,
Jhote Sare Qoal o Qarar.
In Batoon Main Kia Rakha hai,
Rehne Do In Baton Ko.
Din Ko Khayal E Yar Main Rehna,
Taare Gin'na Ratoon ko.
Duniya Wale kia smjhaen Gey,
Dil Waloon ki Baaton ko...
www.zahid-shah.blogspot.com/

Mujhe Mohabbaton se kuch mila nahi,


Mujhe Mohabbaton se kuch mila nahi,
Mujhe tum se bhi koi gila nahi,
Meri zindagi to bas aik uljhan si hai,
Jisay kabhi kisi nay suljhaya nahi,
Meri zaat se kisi ko koi takleef ho,
Main nay to kabhi yeh chaha nahi,
Har aik nay mujh hi ko dard diya,
Mera dard to kisi ne samjha nahi,
Kiyon main raston ko ilzaam doon,
Mera humsafer hi sath chala nahi,
Main tujh ko bewafa sa lagta hon,
Jisay khud wafa ka pata nahi..!

Ab Dekh Ke Jee Gabrata Hai Saawan Ki Suhani Raaton Ko,


Ab Dekh Ke Jee Gabrata Hai Saawan Ki Suhani Raaton Ko,
Piya Chor Gaye Dil Tor Gaye, Ab Aag Lagay Barsaaton Ko,
Ay Jaan E Mohabbat, Jaan E Ghazal Aao To Tumhari Nazar Karein,
Aankhon Mein Sajaye Baithay Hain Hum Piyar Bhari Soughaaton Ko,
Yoon Piyar Ki Qasmein Kha Kha Kar Kiyun Jhooti Tasalli Detay Ho ?
bas Rehnay Do Hum Jaan Gaye Sarkaar Tumhari Baaton Ko,
Maska Hua Aanchal Shaanon Pay Ye Zulf Ki Lat Uljhi Uljhi,
Aankhon Ki Khumari Kehti Hai Rehtay Ho Kaheen ? Tum Raaton Ko,
Zulfon Ko Hawa Mein Lehrana Hans Hans K Tumhara Bal Khana,
Andaz Hain Sab Dil Lainay K Hum Jaan Gaye In Baaton Ko,
Be-Dard Haseenon Ki Khatir Kiyun Hotay Hi Badnaam Fana,
Saffaak Sitamgar Kya Samjhay Hum Dil-Walon Ki Baaton Ko,
Ab Dekh Ke Jee Gabrata Hai Saawan Ki Suhani Raaton Ko,
Piya Chor Gaye Dil Tor Gaye, Ab Aag Lagay Barsaaton Ko .....
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Kabhi Tum Lout Kar Aao Mujhe Bus Itna Samjao


Kabhi Tum Lout Kar Aao
Mujhe Bus Itna Samjao
Kahan Se Seekh Li Tum Ne
Ada Mujh Ko Bhulanay Ki
Tumhein Jo Mujh Se Shikwa Tha
Ya Koi Bhi Shikayat Thi
Zehmat To Zara Si Thi
Na Koshish Ki Batanay Ki
Bhala Yun Chor K Apna
Koi Apno Ko Jaata Hai
Musalsal Dukh Ki Barish Mein
Jeewan Bhar Rulaata Hai
Abhi Bhi Rait Geeli Hai
Abhi Sab Naqsh Baqi Hain
Gaye Qadmon Pay Lout Aao
Mujhe Bas Itna Samjhao
Kahan Se Seekh Li Tum Ne
Ada Mujhko Bhulanay Ki ...?

husn ko chand jawani ko kanwal kehtey hain


husn ko chand jawani ko kanwal kehtey hain
unki soorat nazar aaye to ghazal kehtey hain

sang e marmar say tarasha hua shafaaf badan
dekhnay walay usay taj mahal kehtey hain

unki soorat nazar aaye to ghazal kehtey hain
husn ko chand jawani ko kanwal kehtey hain

wo tere husn ki qeemat say nahi hain waqif
pankhri ko jo tere lab ka badal kehtey hain

un ki soorat nazar aaye to ghazal kehtey hain
husn ko chand jawani ko kanwal kehtey hain

par gaee paaon mein taqdeer ki zanjeer to kya
hum to is ko bhi teri zulf ka bal kehtey hain

unki soorat nazar aaye to ghazal kehtey hain
husn ko chand jawani ko kanwal kehtey hain ...

Aao Phir Lipat Jayen !


Aao Phir Lipat Jayen !
Ik Doosray Mein Dhal Jayen !
Tumhare Door Honay Say Hamein Takleef Hoti Hai..
Qareeb Aao K Aaj Qadam Behak Jayen !
Youn Jhijak Janay Say "JAAN"
Ab Kuch Nahi Ho Ga,
Hamein Itna Karo Piyar K Hum Bikhar
Jayen!
Mat Sirko Haseen Is Raat Ki Chaadar Say,
Hum mein Samaao Aaj Itna K Had Say Guzar
Jayen !
Is Adaa Say Honton Ko Chhoo Lo Aaj,
K Kheench Lo Hamaari Saansein 0r Hum
Mar Jayen ..
www.zahid-shah.blogspot.com/

Ishq Mein Kabhi Kabhi, Aisa Bhi To Hota Hai,


Ishq Mein Kabhi Kabhi, Aisa Bhi To Hota Hai,
Ishq Mein Kabhi Kabhi, Waisa Bhi Hota Hai,
tum nay mujh say poocha hai ...
to main kya kahoon tum say ...
mere tere beech mein ye kaisa ajeeb rishta hai,
is ka sirra kaheen say mujh ko,
mil nahi paata
wo saari baatein jo main tum say kehna chahta hoon,
kabhi keh nahi paata,
aisa bhi to hota hai waqt k andheron mein,
jab saya sath chalta ho,
ishq mein kabhi kabhi, aisa bhi to hota hai ,
ishq mein kabhi kabhi, waisa bhi to hota hai,
jin ko sath chalna ho, wo sath chal nahi paatay,
ishq mein kabhi kabhi, aisa bhi to hota hai,
Lekin main nay socha hai, ishq k andheron mein,
tum say mil na paaya to, waqt ka sath main khud hi chor jaon ga,
badaltay huey lamhon mein, doobti saanson k sath,
zindagi ki sarhad say paray, us taraf yunhi utartay utartay,
waqt ko bhool jaon ga, saans ko tor jaon ga,
ishq mein kabhi kabhi, aisa bhi to hota hai ,
ishq mein kabhi kabhi, waisa bhi to hota hai,
tum nay mujh say poocha hai, k tum meri kon lagti ho ?
chalo ! tum ko batata hoon k tum meri kon lagti ho ...
- Meri saans mein basi ho tum
- Mere ishq ki hansi ho tum
- Aankh ki nami ho tum
Phir bhi mujh say kehti ho, tum meri kon lagti ho
Ishq Mein Kabhi Kabhi, Aisa Bhi To Hota Hai,
Ishq Mein Kabhi Kabhi, Waisa Bhi Hota Hai,
tum say keh nahi sakta, jo main soch leta hun,
Ishq Mein Kabhi Kabhi, Aisa Bhi To Hota Hai,
Ishq Mein Kabhi Kabhi, Waisa Bhi Hota Hai ...
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Kabhi Jo Mil Gaye Raahon Mein Muskura Dena,


Kabhi Jo Mil Gaye Raahon Mein Muskura Dena,
Kay Zindagi Kay Liye Itna Pyaar Kafi Hai,

Jo Tere Qurb Ka Ehsaas Mil Sakay Na Mujhe
Tere Ye Pyaar Ka Lehja Hi Jaan Kafi Hai,

Mujhe Zamanay Ki Rangeeniyon Say Kya Lena,
Kay Tere Hijr Ki Aik Raat Yaar Kafi Hai,

Tu Milnay Aa Nahi Sakta Bohat Majboor Hai Maana,
Kay Tera Khuwaab Mein Aana Hi Jaan Kafi Hai ...

Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Pat-Jarr Say Hai Gila Na Shikayat Hawaa Say Hai


Pat-Jarr Say Hai Gila Na Shikayat Hawaa Say Hai
Phoolon Ko Kuchh Ajeeb Mohabbat Hawaa Say Hai
Sar-Shaari-E-Shaguftagi Gull Ko Kya Khabar ?
Mansoob Aik Aur Hikayat Hawa Say Hai
Rakha Hai Aandhiyon Nay Hi Hum Ko Kusheeda-Sar
Hum Wo Chiraag Hein Jinhein Nisbat Hawaa Say Hai
Us Ghar Mein Teergi K Siwa Kya Rahay Jahaan
Dil Shamma Par Hain Aur Iradat Hawaa Say Hai,
Bas Koi Cheez Hai K Sulgti Hai Dil K Paas
Ye Aag wo Nahi Jissay Sohbat Hawaa Say Hai ...

Main Shaakh Se Urra Tha SitaarOn Ki Aas Mein


Main Shaakh Se Urra Tha SitaarOn Ki Aas Mein
Murjha Ke Aa Gira Hun Magar Sard Ghaas Mein..
SochO To SilwatOn Se Bharii Hai Tamaam Ruhh
DekhO To Ek Shikann Bhi Nahi Hai Libaas Mein..
Sehraa Ki Bood-O-Baash Hai, Achhi Na Kiun Lage
Sookhi Hui Gulaab Ki Tehni Glaass Mein..
Chamke Nahi Nazar Mein Abhi Naqsh Door Ke
MasrOOf Hun Abhi Aml-E-In'akaas Mein..
DhOke Se Us Hasseen Ko Agar ChOOm Bhi Lia
PaaO Ge Dil Ka Zehr LabbOn Ki Mithaas Mein..
Taara Koi Riwaa-E-Shab-E-Abr Mein Na Tha
Betha Tha Main Udaas Bayabaan-E-Yaas Mein..
Ju-€-Rawaan-€-Dasht ! Abhi Sookhna Nahi
Saawan Hai Door Aur Wahi Shiddat Hai Peyaas Mein..
Rehta Tha SaamNe Tra Chehra Khula Hua
Parrhta Tha Main Kitaab Yahi Her Claass Mein..
KaantOn Ki Baarr Phaand Gya Tha Magar Jan¡Ã„
Rasta Na Mil Saka Mujhe PhOOlOn Ki Baas Mein....

Abhi Ik Hijr Baaqi Hai ....


Abhi Ik Hijr Baaqi Hai ....
Abhi Ik Hijr Baaqi Hai.
Abhi Toh Bas Aziat Hai.
Aziat Dar Aziat Hai.
Abhi Kuchh Talkhia'n Bhi Hein.
Abhi Takleef Ke Manzar.
Bohot Pursoz Hein Lekin
Abhi Rastay Bhi Baaqi Hein.
Abhi Pa'on Salamat Hein.
Abhi Aankhen Nahin Thehri.
Abhi Manzil Se Mayoosi Nahin.
Umeed Toh Kuch Hai.
Abhi Tareekh Lamho'n Ne.
Seher Ki Baat Toh Ki Hai.
Abhi Zindah Hein Hum Lekin.
Kabhi Jab Hum Nahin Hon Ge.
Toh Ab Samjhe.
Abhi Ik Hiijr Baaqi Hai ...

Ban K Tasweer-e-Gham Reh Gaye Hain,


Ban K Tasweer-e-Gham Reh Gaye Hain,
Khoye-Khoye Say Hum Reh Gaye Hain.
Baant Li Sab Nay Aapas Mein Khushiyan,
Mere Hissay Mein Gham Reh Gaye Hain.
Ab Na Uthna Sarhanay Say Mere,
Ab To Ginti K Dum Reh Gaye Hain.
Qaafila Chal Ke Manzil Ko Pohncha,
Thehro Thehro Mein Hum Reh Gaye Hain.
Ay Sabah Ek Zehmat Zara Phir,
Unki Zulfon Mein Kham Reh Gaye Hain.
Dekh Kar Unke Mangton Ki Gairat,
Danng Ehal-e-Haram Reh Gaye Hain.
Un Ki Saptariyan Kuch Na Poocho,
Aasiyon K Bharam Reh Gaye Hain.
Qaynaat-e-Jafa-o-Wafa Mein,
Ek Tum Ek Hum Reh Gaye Hain.
Aaj Saaqi Pila Shaikh Ko Bhi,
Ek Ye Mohtaram Reh Gaye Hain.
Allah Allah Ye Kiski Gali Hai,
Uthtay Uthtay Qadam Reh Gaye Hain ...

Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Tera Husn Ho, Mere Ishq Ho,


Tera Husn Ho, Mere Ishq Ho,
To Phir Husn-o-Ishq Ki Baat Ho,
Kabhi Main Miloon Kabhi Tu Miley,
Kabhi Hum Milein Mulaqat Ho,
Kabhi Tu Ho Chup Kabhi Mein Hoon Chup,
Kabhi Dono Hum Chup Chaap Hoon,
Kabhi Gaftugu, Kabhi Tazkare,
Koi Zikar Ho, Koi Baat Ho,
Kabhi Wisal Ho Toh Din Ko Ho,
Kabhi Hijar Ho Toh Woh Raat Ho,
Kabhi Main Tera Kabhi Tu Meri,
Kabhi Ik Dujay K Hum Hoon,
Kabhi Sath Main Kabhi Sath Tu,
Kabhi Ik Dujay Ka Sath Ho,
Kabhi Jeet Ho Kabhi Maat Ho,
Kabhi Phool Ho Kabhi Dhool Ho,
Kabhi Yaad Ho Kabhi Bhool Ho,
Na Nashaib Hon, Na Faraz Hon,
Na Zameen Ki Koi Na Falak Ki Koi,
Na Hi Wajood Ho na Hi Zaat Ho,
Sirf Tera Husan Ho Mera Ishq Ho,
Meri Aankh Ho Teri Zaat Ho ....
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Sono Chanda Tum Kiun Satatay Ho...


Suno Chanda Tum Kiyun Satatay Ho...*
Mujhe Kitna Rulatay Ho,
Muijhe Tumse Muhabbat Hai
Mujhe Kiun Aazmatay Ho,
Tumhi Ko Yaad Karte Hain,
Tumhi Ko Pyar Karte Hain,
Meri To Zindagi Tum Ho,
Samaj Tum Kiun Na Patay Ho,
Meri To Her Khushi Tum Se,
Meri To Zindagi Tum Se,
Meri Her Aarzo Tum Se,
Mujhe Kiun Satatay Ho,
Mera Dil Tarapta Hai
Na Tum Bin Kahin Pe Lagta Hai
Tumhare Pass Jana Hai,
Yehi Her Pal Yeh Kehta Hai,
To Phir Tum Kiun Na Atay Ho,
Judai Mai Jalatay Ho........

Khatam Huay Peighaam Salaam.


Khatam Huay Peighaam Salaam.
Us k Hijr k Naam Salaam.
Lamha-e-Be'Anjaam! Dua,
Deeda-e-Be'Aaraam! Salaam.
Maand parra hr yaad ka Chaand,
Ae Gard-e-Ayyaam! Salaam.
Teri marzi deikh na deikh,
Raah'Geeron ka Kaam, Salaam.
Kehna Ghazlon ko Maktoob,
Likhna Us k Naam Salaam.
Jaag Meri Sub'h-e-A'zaaz!
Krny aai Shaam Salaam.
Lutt'ty Sheher Azaab-Ba'khair!
Bujhty Koocha-o-BaaM, Salaam!
Khhuaahish-e-Taskeen! UmrDaraaz!
Hasrat-e-Dard'Anjaam! Salaam!
MOHSIN Us k Taur Akhheer,
Naaz, Andaaz, Khhiraam, Salaam. . .

Urr Jaayein Gay, Tasweer K Rangon Ki Tarah Hain


Urr Jaayein Gay, Tasweer K Rangon Ki Tarah Hain
Hum Waqt Ki Tehni Pay Prindon Ki Tarah Hein
Tum Sahil Pay Kharray Huey Phoolon Ki Tarah Ho
Hum Rait Pay Likhay Huey Harfon Ki Tarah Hein
Tum Aaj Bhi Aainda Zamanon Ki Jhalak Ho
Hum Aaj Bhi Guzray Huey Lamhon Ki Tarah Hein
Tanhaai K Yakh Lamhon Mein Aayein Gay Tere Kaam
Ash'aar Mere Sardi Mein Shaalon Ki Tarah Hein
Ik Umar Tarastay Hein Kisi Aik Khushi Ko
Hum Log Bhi Banjar Zameeno Ki Tarah Hein
Duniya K Liye Kuch Bhi Sahi Tere Liye Hum
Mukhlis Kisi Maa Ki Duaon Ki Tarah Hein
Taareekh Ki Nazron Mein Hum Ek Umar Say MOHSIN
School Say Bhaagay Huwe Bachon Ki Tarah Hein ....
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Yehi Nahi K Toofan Meri Talaash Mein Hai


Yehi Nahi K Toofan Meri Talaash Mein Hai
K Mausam-e-Gham-e-Jaanan Meri Talaash Mein Hai
Visaal Rut Hai Magar Dil Ko Aisa Lagta Hai
Sitaara-e-Shab-e-Hijraan Meri Talaash Mein Hai
Main Faislay Ki Ghari Se Guzar Chali Hoon
Kisi Ki Deeda-e-Hairaan Meri Talaash Mein Hai
Ye Be-Yaqeen Si Aasoodgi Batati Hai
K Ik Qirya-e-Veeran Meri Talaash Mein Hai
Main Teergi Mein Mohabbat Ki Ik Kahani Hoon
Koi Charaagh Sa Unwaan Meri Talaash Mein Hai
Ye Kaisa Khwaab Tha Dharka Sa Lag Gaya Dil Ko
K Ik Shakhs Pareshaan Meri Talaash Mein Hai ....
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Apne Badan Ki Khusbhu Se Masroor Kar do,


Apne Badan Ki Khusbhu Se Masroor Kar do,
Mujhe Apni Nazuk Bahon Mein Mehsoor Kardo,
Seenay Se Laga K Saaray Gham Door Kar do,
Main Tumse juda Na Ho Paon Itna Majboor Kar do,
Surkh Honton Se Pilao Ya In Mast Aankhon Se,
Main Tere Jism Se Lipta Rahun Itna Choor Kar do,
Leke Bahon Mein Tujhe Honton Se Itna Choom Loon,
Faslay Sharam-o-Haya K Tum Bhi Door Kar do,
Meri Nas Nas Mein Bas Jaye Pyaar Tera,
Main Kisi Or Ko Na Dekhun Itna Maghroor Kar do ...

Darr Hai Kahin Tumhara KhayaL Mujhe PaagaL Na Kar Day ..














Suno ...
Main Jab Bhi Kisi Kaam Main
DiL Laganay Ki Koshish Karta Hoon
To Na'Kaam Hota Hoon
Kisi Se Milne, Baat Karnay Ki
Fursat Nahi Milti
MiL Bhi Loon To Baat Kam Karta Hoon
Akelay Beth Kar Khud Se
Tumhari Baatain Karta Rehta Hoon
Kuch Likhnay K Liye Jo
Qalam UthaOn To Tumhara
KhayaL Aata Hai
Ph!R Us KhayaL Ko Likhta Rehta Hoon
Yaani Tumha!n Tehreer Karta Hoon
Aur
Ek PaL Ko Jo Tumhara KhayaL Na Aaye To
Apni Sochon Se Ulajhnay Lagta Hoon
Darr Hai Kahin Tumhara KhayaL
Mujhe PaagaL Na Kar Day ..
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Wo Kehti Hai Sitaaray Aansuon Main Kyun Chamaktay Hain














Wo Kehti Hai Sitaaray Aansuon Main Kyun Chamaktay Hain
Main Kehta Hoon Muhabbat Aansuon Mein Rang Bherti Hai
Wo Kehti Hai Tumhaaray Baad Baarish Kyun Naheen Hoti
Main Kehta Hoon Meri Jaan Hijr Sehraaon MainRehta Hai
Wo Boli Nain Kuch Kehtay Huay Akser Jhijaktay Hain
Main Bola Dil Main Baithay Chor Ko Rasta Naheen Milta
Wo Boli Sardion Main Dhoop Ki Hiddat Kabhi Dekhi
Main Bola Tum Nay Meray Lams Ki Shiddat Naheen Dekhi
Wo Boli Dard Kay Us Paar Bhi Ik Dard Hota Hai
Main Us Kay Baad Kitnee Deir Tak Kuch Bhi Naheen Bola ...
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Yahan Har Shaks Zulaikha Se Jawani Mange,


Yahan Har Shaks Zulaikha Se Jawani Mange,
Mout Wo Tifal K Roz Ek Kahani Mange,
Mit Gaye Taiz Hawaon Mein Shanasai K Naqsh,
Dil Magar Chehron Se Pehchan Purani Mange,
Aankh Mein Bikhra Para Hai Had_€_Nazar Dasht_€_Talab,
Kis Tawaqo Pe Koi Rait Se Pani Mange,
Waqt Ki Dhoop Ne Sanwla Diye $one Se Badan,
Aysi Rut Mein Koi Kia Fasl_€_Jawani Mange,
Na Pehchan Hai Meri Na Koi Meri Shanakht,
Waqt Mujh Se Mere Hone Ki Nishani Mange......

Jo Pari Zaad Milan'saar Hua Karte Hain


Jo Pari Zaad Milan'saar Hua Karte Hain,,,*
Kaisi Chalti H0i Tal'waar Hua Karte Hain,,,*
Zulm Karna Hi Faqat Aap Ne Seekha Hai Ya,,,*
Meharbaa'n Bhi Kabhi Sar'kaar Hua Karte Hain,,,*
Mashq Karne Se Hi H0ti Hai Mahaarat Paida,,,*
Sachhe Aashiq Bhi Ada'kaar Hua Karte Hain,,,*
Toor Par Hi Nahi Sirf Aankh Macholi Ka RawaaJ,,,*
Har Jagah Talib-€-Dee'daar Hua Karte Hain,,,*
Rab Ki Taqdeer Navesi Main Ta'asub Kaisa,,,*
Loag Khud Bakht K Me'maar Hua Karte Hain,,,*
Aey Naseem-€-Sehri Dhoop To Charrh Laine De,,,*
Dil'ruba Dair Se Be'daar Hua Karte Hain,,,*
Khizar-0-Esa Ko Bhi Milti Hain Shifaaye'n Jin Se,,,*
Wo Tere Kakul-0-Rukh'saar Hua Karte Hain,,,*
Sirf Chalne Ki Khushi Tuhfa-€-Manzil Hai Addam,,,*
Raaste ToO Sabhi Dush'waar Hua Karte Hain....

Kaheen Charaagh Hain Roshan, Kaheen Pe Maddham Hain


Kaheen Charaagh Hain Roshan, Kaheen Pe Maddham Hain
Tumhaaray Aanay Ke Imkaan Hain, Magar Kam Hain
Mein Lout-tay Howay Chupkay Se Chhor Aaya Tha
Tumhaaray Takye Pe Mere Hazaar Mausam Hain
Tumhaaray Paon Ko Chhuu Kar Zamaana Jeet Liya
Tumhaaray Paon Nahi Hain, Ye Ek Aalam Hain
Mohabbatain Huween Taqseem Tou Ye Bhaid Khulaa
Hamaray Hissay Mein Khushiyan Nahi Hain, Maatham Hain
Kuch Isi Lye Bhee Hamain Dukh Se Dar Nahi Lagta
Hamaari Dhaal Tere Dard Hain, Tere Gham Hain
Abhi Kaho, To Abhi, Ye Bhi Tum Ko De Dein Ge
Hamaaray Paas Jo Ginti Ke Ek Do Dam Hain
Abhi Khulain Ge Bhalaa Kaisay Kaainaat Ke Raaz ?
Teri Kamar Mein Kayi Morr Hain, Kayi Kham Hain ...

Poet : Wasi Shah
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Dil Mein Bikhray Howay Jaalon Se Pareshaan Na Ho


Dil Mein Bikhray Howay Jaalon Se Pareshaan Na Ho
Mere Guzray Howay Saalon Se Pareshaan Na Ho
Meri Aawaaz Ki Talkhi Ko Gawaara Kar Le
Mere Gustaakh Sawaalon Se Pareshaan Na Ho
Mein Ne Maana Teri Aankhain Nahi Khulti Hain Magar
Din Nikalnay De, Ujaalon Se Pareshaan Na Ho
Apni Zulfon Mein Utarti Howi Chaandni Ko Chhupa
Mere Bikhray Howay Baalon Se Pareshaan Na Ho
Ay Nayi Dost Mein Bharpoor Howa Hun Tera
Mere Maazi Ke Hawaalon Se Pareshaan Na Ho
Dekh Yun Door Na Ho Mujh Ko Laga Le Dil Se
Tu Meri Rooh Ke Chhaalon Se Pareshaan Na Ho
Khud Ko Veeraan Na Kar Mere Lye, Jaan Meri
In Pareshaan Khayaalon Se Pareshaan Na Ho ...
Poet : Wasi Shah
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Jab Koi Naik Kaam Kartay Hain,


Jab Koi Naik Kaam Kartay Hain,
Jaan-e-Mann Tere Naam Kartay Hain,
Tere Chehray Say Dhoop Letay Hain,
Teri Zulfon Mein Shaam Kartay Hai,
Kis Qadar Tang Hoon Mohabbat Say,
Log Ye Kesay Kaam Kartay Hain,
Un Ki Peshaniyaan Chamakti Hain,
Jo Mohabbat Ko Aam Kartay Hain,
Dil K Dalaa'n Mein Sajaa Kar Yaad,
Jashan Ka Ehtamaan Kartay Hain,
Sochtay Hain Tujhe Wuzzu Kar K,
Yoon Tera Ehteraam Kartay Hain,
Hum Say Hi Ibtedaa Hui Jaanaa'n,
Hum Hi Ab Ehtamaam Kartay Hain ...
Poet : Wasi Shah
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Dil Qalandar Hai Jiger Iishq Main Tandoor Miyaan,,


Dil Qalandar Hai Jiger Iishq Main Tandoor Miyaan,,
Shoq-E-Deedar Rawaana Hai Suu-E-Toor Miyaan,,
Gul Badan Shola-E-Aflaas Main Jal Jate Hain,,
Jism Bazaar Main Bik Jatay Hain Majboor Miyaan,,
Dil K Zindano Se Aaye Gi Anal-Haq Ki Sada,,
Shehr-E-Aashoob Se Uthay Koi Mansoor Miyaan,,
Mar Gaye Shah Sada Jeenay Ki Hasrat Lay Kar,,
Hum Faqeeron Ne Likha Marnay Ka Manshoor Miyaan,,

Kaha Us Ne Suno Lafzon K Jadugar,,


Kaha Us Ne Suno Lafzon K Jadugar,,
Kitna Bolty Ho Tum
Tumhari Zaat Be-Mani,
Tumhari Baat Be-Mani,,
Tum Kitna Muskuraty Ho
Boht Khuwabon Me Rehty Ho,,
Tumhary Khuwab Be-Mani,,
Kya Tum Ne Duniya Dekhi Hai,,
Boht Hi Dard Deti Hai,
Sabhi Kuch Chheen Leti Hai,
Ye Wapas Kuch Nhi Deti,
Sabhi Lafzon Ki Baaten Hain,
Tum Itny Khuwab Mat Dekho,
Kaha Main Ne Suno Larrki,
Haan Main Ne Duniya Dekhi Hai,
Ye Zalim Be'Wafa Duniya,
Jahan Pr Log Badal Jaen,
Bichharr Jaen, Ujarr Jaen,
Boht Hi Door Nikal Jaen,
Mgr Ye Be'Wafa Duniya,
Mujhy Khuwabon Me Rehny Pr,
Boht Majbo0r Krti Hai,
Ghamon Se Choor Krti Hai,
Tasalli Dil Ko Ho Jay,
Ghamon Me Ye Na Kho Jay,
To Bs Main Muskurata Hun,
Kabhi Khuwabon Me Rehta Hun,
Haan Main Lafzon Ka Jadugar,
Kabhi Baaten Banata Hun,
Haan Meri Zaat Be-Mani,
Haan Meri Baat Be-Mani,
Mgr Such To Suno Larrki,
Woh Sb Jhooti Si Batain Hain,,

'' MERA ASASA''


Kuch Waaday Qasmein, Yaadein Theen,
Kuch Qehqahay Thay, Faryadein Theen,
Kuch Aansoo Thay, Jo Bahaye Thay,
Kuch Dhokay Thay, Jo Khaye Thay,
Kuch Lehjon Ki Parchhaiyan Theen,
Kuch DiL Ko ROG Lagaye Thay,
Ab Paas Hamary Kuch B Nhi,
Ab Aas K Maary Kuch B Nhi,
Bas ...
Yaadon ki Zanjeerain Hein,
Kuch Rang Urri Tasveerain Hain,
Kuch Lafz Miti Tehreerain hein,
Ek DiL Jo Deed Ka Piyasa Hai,
Bas Yehi '' MERA ASASA'' Hai ..

www.zahid-shah.blogspot.com/

Apno'n Nay Gham Diye To Mujhe Yaad Aa Gaya,


Apno'n Nay Gham Diye To Mujhe Yaad Aa Gaya,
Ik Ajnabi Jo Ghair Tha Aur Gham-gusaar Tha,
Wo Saath Tha To Duniya K Gham Dil Say Door Thay,
Khushiyon Ko Saath Lay K Na-Janay Kahan Gaya,
Ik Ajnabi Jo Ghair Tha Aur Gham-gusaar Tha,
Duniya Samajh Rahi Hai Judaa Mujh Say Ho Gaya,
Nazron Say Door Ja K Bhi Dil Say Na Jaa Saka,
Ik Ajnabi Jo Ghair Tha Aur Gham-gusaar Tha,
Ab Zindagi Ki Koi Tamanna Nahi Mujhe,
Roshan Usi K Damm Say Tha Bhujta Hua Diyaa,
Apno'n Nay Gham Diye To Mujhe Yaad Aa Gaya,
Ik Ajnabi Jo Ghair Tha Aur Gham-gusaar Tha ....
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Tumhare Aks Ko Aankhon Mein Hum Tasveer Kar Letay.


Tumhare Aks Ko Aankhon Mein Hum Tasveer Kar Letay.
Zara Jo Tum Thehar Jatay Koi Tadbeer Kar Letay,

Tumhara Haath Mere Haath Se Yun Choot Jaye Ga.
Agar Mujh Ko Khabar Hoti Isay Zanjeer Kar Letay,

Sunehray Khowab Thay Mere Tumhari Jheel Aankhon Mein,
Hum In Mein Doob Jatay Aur Phir Taabeer Kar Letay,

Bichartay Waqt Chehre Par Jo Sadiyon Ki Udasi Thi.
Agar Hum Hosh Mein Hotay Usay Tehreer Kar Letay ...

Kabhi Aisa Bhi Hota Hai ...


Kabhi Aisa Bhi Hota Hai ...
Koi Be-Naam Si Wehshat Mujhe Yoon Ghair Leti Hai
Her Ik Shay Zehar Lagti Hai
Koi Chehra, Koi Paikar Mujhe Acha Nahi Lagta
Nihayat Dilruba, Behad Hasee'n, Rangeen Qurbat Bhi
Mujhe Be-Kaif Karti Hai
Mujhe Apni Pasandeeda Si Sorat Bhi
Pheeki Pheeki Lagti Hai
Tanaazur Hi Badal Jata Hai
Meri Khush-Nigaahi, Khush-Mizaaji Ka
Mere Sun'ny, Mere Chakhnay
Mere Mehsoos Karnay Ki
Har Ik HISS Mar Si Jati Hai
Bohat Maqbool Meri Khush Kalami Bhi
Nihaayet Be-Rass,
Majhool Lehja Ourh Leti Hai
Pasandeeda Mera Mashroob
Yani Aab-e-Sard-o-Sada-o-Sheeree'n Bhi
Sairaabi Nahi Deta
Zaroof-e-Khush-Numa Mein Bhaap Detay
Meri Maa'n k Mehrbaa'n
Or Taaq Hathon Say Banay
Lazzat Bharey Khaanon Ki Rughbat
Uth Si Jati Hai
Kisi K Dast-e-Nazuk Say Bani Strong Coffee Bhi
Mujhe Apne Anaari Haath Ki Chaye Si Lagti Hai
Ajab Siffaaq Wehshat Hai
Mere Dil Ki Lughat Say
Lafz "KHUSH" k Jitnay Bhi Hain
Laahqey or Saabqey, Sab Cheen Leti Hai
Main Is Wehshat Say Ghabra Kar
Nishaat-e-Shair-o-Naghma Mein Panaah Lenay Ko Aata Hoon
Mager Ik Be-Kali
Ik Jaan-Lewa Be-Kali Dasti Hi Rehti Hai
Nihayat Sada-o-PurKaar Lehjey Mein
Bahattar "Meer" K Nishtar
Wo Dil Sozi Alamnaki
Musalsal Aah-o-Garyaa
Yaas-o-Harmaa'n
Kuch Bhi To Maail Nahi Kertay
Meri Wehshat K Qaatil Zehr Ko Zaail Nahi Kertay
Mujhe "GHALIB" Ki Umda Shayari
Bharpoor Shookhi, Dil-Nawazi
Falsafa, Gehraai Sab Be-Maani Lagtey Hein
Ta'ajjub Hai K "HASRAT" Ka Bohat Dil-kash Tanzzul Bhi
Mere Dil Ko Nahi Chhoota
"JIGAR" Ki Ishq Mein Doobi Tarannum Raiz Ghazlein Bhi
Muhabbat Ka Nasha Taari Nahi Kerteen
"MAJAAZ-E-LAKHNAWI" Ki Shohra-e-Aafaaq AWAARA
Meri Wehshat K Aatish-Daa'n Mein Eendhan Sa Bharti Hai
Mujhe "SAAHIR" Ki Dil Ko Aanch Deti Shayari
Be-Zaar Karti Hai
Humare "FAIZ SAHAB" K Bohat Madham Sulagtey Narm Lehjay Ki Kasak
Yoon-hi Si Lagti Hai
"Majeed Amjad" k Misron ka Tasalsul
Munfarid Mozoo, Kamaal-e-Nazm-Goi Or Ta'assur
Mujh Pay Koi Kaifiyat Taari Nahi Kertey
Main Apne Dil Say Aksar Poochta Hoon
Ay Dil-e-Wehshi
Ye Aalam Kesa Aalam Hai
Ye Wehshat Kesi Wehshat Hai
Mujhe Kiyun Ghair Leti Hai
Badan Mein Goonjti, Mere Lahu Mein Sansanaati Hai
Ye Wehshat Kesi Wehshat Hai
Kahaan Say Ho k Aati Hai
Ye Kis Rehlat Ka Noha Hai
Ye Kis Hasrat Ka Haasil Hai
Guzishta Shab Yehi Wehshat
Mere Dil Par Mussalat Thi
Musalsal Karwatein Thein,
Jaan Lewa Be-Kali Si Thi
Achanak Dil Ki Be-Tarteeb Dharkan Nay
Sakoot-e-Shab ko Yoon Tora
"Suno Haarey Howe Insaa'n !
Bhala kab Tak Tumhari Khud Faraibi
Tum Ko Is Wehshat Mein Rakhey Gi
Jinhein Tum Zindagi Say Be-Dakhal Kar K
Bazahir Faatihana Shaan Se Itraatay Phirtay Ho
Abhi Tak Zehan-o-Dil Per
Rooh Per Qabzaa Unhi Ka Hai
Ye Wehshat Ik Kasak Hai, Gumshuda Logon k Khoney Ki
Ye Wehshat Hi Sabab Hai Is Tarha Be-Ashk Roney Ki ..

Poet **[ Khaleel Ullah Farooqi ]**

Dil Pay Chot Lagti Hai Un K Muskurane Se


Dil Pay Chot Lagti Hai Un K Muskurane Se
Ho Sake To Aa Jao Ab Kisi Bahane Se
Tum To Ab Uthao Na Apne Aastane Se
Tere Paas Aaye Hai Rooth Kar Jamane Se
Aaj Apne Gulshan Ka Rang Hee Nirala Hai
Urh Chuka Hai Phoolon Ka Rang Un K Jaane Se
Un Ko Bhool Jaane Ka Dil Kahan Se Laaoon Main
Aag Ye Bharakti Hai Aur Bhi Bhujane Se
Ay Qamar Kisi Ko Bhi Haal-e-Dil Na Batlaao
Zakhm Aur Bharta Hai Dekhne Dikhaane Se
Dil Pay Chot Lagti Hai Unke Muskurane Se ...

Phiroon Dhoondta Maikada Tauba Tauba


Phiroon Dhoondta Maikada Tauba Tauba,
Mujhe Aaj Kal Itni Fursat Nahi Hai,
Salamat Rahay Teri Aankhon Ki Masti,
Mujhe Maikashi Ki Zaroorat Nahi Hai,
Salamat Rahein Saqi Teri Aankhein,
Jaam Par Jaam Peenay Ka Kya Faida,
Subho Tak Ye To Saari Utar Jaye Gi,
Teri Nazron Say Pee Hai Khuda Ki Kasam,
Umar Saari Nashay Mein Guzar Jaye Gi,
Khanaktay Jaam Ka Mohtaaj Main Nahi Saqi,
Teri Nigaah Salamat Mujhe Kami Kyaa Hai,
Salamat Rahein Saqi Teri Aankhein,
Salamat Rahay Teri Aankhon Ki Masti,
Mujhe Maikashi Ki Zaroorat Nahi Hai ...
Contributed : Zahid Shah

Main Apni Har Tamana ZindaGi Se Haar Baitha Hoon,,


Main Apni Har Tamana ZindaGi Se Haar Baitha Hoon,,
Magar Ik Aur Baazi Ke Liye Tayyaar Baitha Hoon,,
Jise Dekho Wahi Masroof-E-Karobar-E-Duniya Hai,,
Meri Masroofiyat Dekho Ke Main Bekaar Baitha Hoon,,
Meri Aankhon Ko Khwabon Ne Saza Kis Jurm Ki Di Hai,,
Ke Duniya So Rahi Hai Aur Main Bedaar Baitha Hoon,,
Mere Purkhon Ki Cheekhen Goonji Hain Mere Kaanon Mein,,
Main Haathon Mein Liye Raundi Hui Dastaar Baitha Hoon,,
Mujhe Ay 'Shaad' Apne Dushmanon Se Dar Nahin Lagta,,
Main Apne Aap Se Khud Bar Sar-E-Paikar Baitha Hoon,,

(Khushbir Singh Shaad)

Udaasiyaan Jo Na Laatay To Aur Kya Kartay,


Udaasiyaan Jo Na Laatay To Aur Kya Kartay,
Na Jashan-e-Shaola Manaatay To Aur Kya Kartay,
Andhera Maangnay Aaya Tha Roshni Ki Bheek,
Hum Apna Ghar Na Jalaatay To Aur Kya Kartay,
Be_Wafa Say Pyar Hota Hai, Yaar Kuch Bhi Ho, Yaar Hota Hai,
Kya Hua Gar Us K Saath Hai Naseeb, Phool K Saath Taar Hota Hai,
Husn Ka Kaainaat Mein Aakhir, Husn Parwardigaar Hota Hai,
Jab Wo Aatay Nahi To Hum Ko Maut Ka Intezaar Hota Hai,
Ishq Ka Zindagi Say Ay Purnam, Sara Kaar-o-Bazaar Hota Hai ...

Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Ay Dil Kisi Ki Yaad Mein Hota Hai Beqarar Kiyun,


Ay Dil Kisi Ki Yaad Mein Hota Hai Beqarar Kiyun,
Jis Nay Bhula Diya Tujhe, Us Ka Hai Intezar Kiyun,
Wo Na Mila Ga Ab Tujhe Jis Ki Tujhe Talash Hai,
Raahon Mein Aaj Be-Kafan Teri Wafa Ki Laash Hai,
Ye To Zara Bata Mujhe Tu Nay Kiya Tha Pyar Kiyun,
Ay Dil Kisi Ki Yaad Mein Hota Hai Beqarar Kiyun,
Aansu Jo Thay Rukay Hoay, Hans Ke Inhein Baha Bhi Day
Jitnay Hai Daagh Pyar K Ro K Inhein Mita Bhi Day
Tu Nay Hai Phir Bana Liya Gham Ko Galay Ka Haar Kiyun
Ay Dil Kisi Ki Yaad Mein Hota Hai Beqarar Kiyun,
Aaye Gi Na Ab To Roshni Ab Na Kisi K Naam Say,
Tu Wo Diya Hai Meray Dil Jo Bhuja Nahi Sham Se,
Tootay Gi Phir Koi Kiran Tujh Ko Hai Aitebar Kyun,
Ay Dil Kisi Ki Yaad Mein Hota Hai Beqarar Kiyun,
Jis Nay Bhula Diya Tujhe Us Ka Hai Intezar Kiyun ...

Wo Khobsorat Larkiyaan,, Dasht-E-Wafa Ki Hirniyaan,,


Wo Khobsorat Larkiyaan,,
Dasht-E-Wafa Ki Hirniyaan,,
Shehr-E-Shab Mehtaab Ki,,
Be'Chain Jadoo Garniyaan,,
Jo Badloon Mein Khoo Gayeen,,
Nazroon Say Oujhal Ho Gayeen,,
Ab Sard Kaali Raat Ko,,
Aankhoon Mein Gehra Gham Liye,,
Ashkoon Ki Behti Nehar Mein,,
Gullnaar Chehry Gham Kiye,,
Hasti Ki Sarhad Say Pary,,
Khovaaboon Sangeen Outt Say,,
Kehti Hai Mujh Ko Be'Vafa,,
Hum Say Bichar Kar Keya Tujhe,,
Sukh Ka Khazana Mill Gaya,,

Poet : Munir Niazi

Baithe Hue Dety Hain Wo Daman Ki Hawayen,


Baithe Hue Dety Hain Wo Daman Ki Hawayen,
.
Allah Kare Hum Na Kabhi Hosh Mein Aayen.
.
Bekhud Youn Hi Rakhen Gi Hamein Shokh Adayen,
.
Jab Saamne Hon Aap To Kya Hosh Mein Aayen.
.
Palla Rahe Dono Ka Mohabbat Mein Barabar,
.
Utni Hi Wafaye'n Hon Jitni Hon Jafayen.
.
Ho Lutf-€-Inaayat Ki Ek Had Bhi Muqarrar,
.
Rone Lagey Koi Na Yahaan Tak Wo Hansayeen.
.
Aur Is Ke Siwaa Nooh Ko Aata Nahi Kuch Bhi,
.
Yaaro'n Mein Wo Baithy Hue Toofaan Uthayeen..............

Aa Bhi Ja Rutt Badal Jaye Gi,


Aa Bhi Ja Rutt Badal Jaye Gi,
Chaandni Raat Dhal Jaye Gi,
Rukh Se Parda Hata Lijiye,
Meri Hasrat Nikal Jaye Gi,
Un Ko Lay Aao Chara-Garo,
Meri Haalat Sambhal Jaye Gi,
Tum Na Aao To Khat Bhej Do,
Kuch Tabiyat Behel Jaye Gi,
Hai Pareshan Sambhalo Zara,
Zulf Rukh Pe Machal Jaye Gi,
Tere Bin Chaandni Mere Ghar,
Aaj Aayi Hai Na Kal Aaye Gi,
Tere Koochey Ki Sarkash Hawa,
Khaak Chehray Pay Mal Jaye Gi,
Ay Fanaah Dil Laga Lo Kaheen,
Zindgi Rukh Badal Jaye Gi,
Aa Bhi Ja Rutt Badal Jaye Gi,
Chaandni Raat Dhal Jaye Gi ...
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Aik Deewana Yeh Kehtey Huwey Hansta Jata


Aik Deewana Yeh Kehtey Huwey Hansta Jata
Kash Manzil Say Bhi Aagay Koi Rasta Jata
Ay Mere Abar-e-Gurezaan Meri Aankhon Ki Tarah
Gar Barasna Hi Tujhe Tha To Barasta Jata
Aaj Tak Yaad Hai Izhar-E-Mohabbat Ka Woh Pal
K Meri Baat Ki Luknat Pay Woh Hansta Jata
Itnay Mehdood Karam To Taghaful Behter
Gar Tarasna Hi Mujhe Tha To Tarasta Jata ....

Poet : Ahmed Faraz
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Ay Khuda ... Jab Bhi Tera Asmaan Dekhti Hoon,


Ay Khuda ... Jab Bhi Tera Asmaan Dekhti Hoon,
Us Mein Basa Ek Jahan Dekhti Hoon,
Na Janay Kitnay Hi Jahaano Ki Sair Karti Hoon,
Khol Kar Jab Tera Quran Dekhti Hoon,
Tere Ehsaan Kitnay Hain Bandon Pay,
Jab Bhi Surah Rehman Dekhti Hoon,
Tu To Kehta Ha Rag-E-Jaan Sy Bhi Hoon Main Qareeb,
Phir Pareshan Kiyun Aj Ka Insan Dekhti Hoon,
Us Ki Rehmat Say Kabhi Mayoos Na Hona Ay Ibn-e-Adam,
Tujh Pay Main US Ki Rehmat K Nishan Dekhti Hoon ...

Poetess : Parveen Shakir
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Mohabbat Farz Jaisi Hai


Mohabbat Farz Jaisi Hai
Nibhaana Seekh Jao Ge
Dilon Pe Qarz Jaisi Hai
Chukaana Seekh Jao Ge
Labon Pe Phool Jaisi Hai
Khilaana Seekh Jao Ge
Nazar Mein Aag Jaisi Hai
Lagaana Seekh Jao Ge
Tum Tak Faasla Jo Hai
Mitaana Seekh Jao Ge
Kabhi Jo Dil Mein Aa Beithe
Zamaana Bhool Jao Ge ....

Kuch Baatian Hum se Suna Karo


Kuch Baatian Hum se Suna Karo
Kuch Baatain Hum se Kiya Karo
Mujhe Dil Ki Baat Bata Daalo
Tum Hont Na Apne Siya Karo
Jo Baat Labon Tak Na Aaye
Wo Ankhon Se Keh Diya Karo
Kuch Baatain Kehna Mushkil Hai
Tum Chehre Se Parh Liya Karo
Jab Tanha Tanha Hote Ho
Aawaz Mujhe Tum Diya Karo
Har Dharkan Mere Naam Karo
Her Saans Mujhko Piya Karo
Be-Rang Agar Ye Jeevan Hai
Mere Haal Se Rang Liya Karo
Jo Khushiyan Teri Chahat Hain
Mere Daaman Se Chun Liya Karo ...

Tumhare Zehan Mein Jaana, Ye Kaisay Aa Gayi Sochein ?


Tumhare Zehan Mein Jaana,
Ye Kaisay Aa Gayi Sochein ?
K Tum Ko Chhor Doon Ga Main,
Mohabbat Tor Doon Ga Main,
Nahi Shayed Pata Ho Tum Ko,
K Marzi Say Bhala Jaana,
Mohabbat Chhoot'ti Kab Hai ?
Mohabbat Toot'ti Kab Hai ?
Agar Na Ho Yaqeen Phir Bhi,
To Naqsh-e-Be_Yaqeeni Ko,
Mitaanay K Liye Jaana,
Main Phir Iqraar Karta Hoon,
K Meri Zaat Ko Tum Say,
Faqat Tum Say Mohabbat Thi,
Faqat Tum Say Mohabbat Hai,
Mohabbat Ki Qasam Mujh Ko,
Ke Jab Tak Saans Jaari Hai,
Ke Jab Tak Dil Dharakta Hai,
Ragon Mein Khoon Chalta Hai,
Mohabbat Tum Say Hi Ho Gi,
Mohabbat Tum Say Hi Ho Gi ...

www.zahid-shah.blogspot.com/

Wo Mere Paas Hai Kya Pas Bulaun Us Ko


Wo Mere Paas Hai Kya Pas Bulaun Us Ko
Dil Mein Rehta Hai, Kahan Dhoondnay Jaun Us Ko
Aaj Phir Pehli Mulaqaat Se Aaghaaz Karoon,
Aaj Phir Door Say Hi Dekh K Aaoon Us Ko
Qaid Ker Loon Usay Aankhon K Nihan Khanon Mein,
Chahta Hoon K Kisi Say Na Milaoon Us Ko
Usay Duniya Ki Nigahon Se Karoon Main Mehfooz
Wo Wahan Ho, K Jahan Dekh Na Paon Us Ko
Chalna Chahay To Rakhay Paaon Mere Seenay Per,
Baithna Chahay To Aankhon Pay Bithaoon Us Ko
Wo Mujhe Itna Subuk, Itna Subuk Lagta Hai,
Kabhi Gir Jaye To Palkon Say Uthaoon Us Ko,
Yaad Say Us Ki Nahi Khali Koi Bhi Lamha
Phir Bhi Darta Hoon Kaheen Bhool Na Jaon Us Ko,
Aaj To Dhoop Mein Tezi Hi Bohat Hai Warna,
Apne Saaye Say Bhi Shahzad Bachaon Us Ko ...

Poet: Shehzad Ahmed Shehzad
www.zahid-shah.blogspot.com/

Tumhein Hi Ko Zindagi Kehta Hoon


Tumhein Hi Ko Zindagi Kehta Hoon
Tumhein Hi Dekh Kar To Main Jeeta Hoon
Tumhare Hi Khayalon Main Pagal Rehta Hoon
Tumhein Hi Har Waqt Sochta Rehta Hoon
Tumhein Har Dua Main Mangta Hoon
Tumhein Hi To Bus Main Chahta Hoon
Tumhein Har Jaga Main Talaash Karta Hoon
Tumhein Hi Har Simt Dekhta Hoon
Jab Tum Ho Mere Saamne To Itna Karta Hoon
K Apni In Aankhon Main Tum Ko Basa Leta Hoon
Tumhein Kaise Bataoun Kitna Pyar Tum Se Karta Hoon ....

Main Baar Baar Gaya Hoon Khayaal Se Aage


Main Baar Baar Gaya Hoon Khayaal Se Aage
Hai Aur Zindagi Is Inteqaal Se Aage,
Agar_Che Un Ka Muqaddar Na Thi Koi Manzil,
Magar Mile The Musaafir Nidhaal Se, Aage,
Ajab Na Tha Ke Usey Main Shikaar Kar Leta,
Woh Tairta Badan Us Ka Tha Jaal Se Aage,
Isi Liye Main Baghal_Geer Kar Saka Na Usey,
Badan Woh Raqs Mein Tha Maah O Saal Se Aage,
Woh Ek Rang Ke Daayem Sabaat Ho Jis Ko,
Main Dekhta Hoon Urooj O Zawaal Se Aage,
Shikastgi Thi Muqaddar Ke Ja Na Sakta Tha,
Woh Kismisaata Badan, Arz-E-Haal Se Aage,
Mujhe Yaqeen Hai Muqaamaat-E-Sar_KhooshiHai Bahut,
Teri Judaayi Mein Gird-E-Malaal Se Aage,
Mujhe To Noor-E-Muhabbat Dikhaayi Deta Hai,
Kisi Ke Bujhte Badan Ke Maal Se Aage,
Kabhi Na Chaha Usey La_Jawaab Karna Zafar,
Main Ja To Sakta Tha Us Ke Sawaal Se Aage ...

Idhar Zindagi Ka Janaza Uthay Ga,


Idhar Zindagi Ka Janaza Uthay Ga,
Udhar Zindagi Un Ki Dulhan Banay Gi,
Qayamat Say Pehle Qayamat Hai Yaro,
Mere Saamnay Meri Duniya Lutay Gi,
Jawani Pay Meri Sitam Dhaanay Waalay,
Zara Soch Lay, Kya Kahay Ga Zamana,
Idhar Mere Armaan Kafan Pehan Lain Gay,
Udhar Un K Haathon Mein Mehndi Lagay Gi,
Abhi Un K Hansnay K Din Hain Wo Hans Lain,
Abhi Mere Ronay K Din Hain, Main Ro Loon,
Magar Aik Din Un Ko Rona Paray Ga,
K Jis Din Bhi Meri Maiyat Uthay Gi,
Wo Parday K Peechay, Main Parday K Aagay,
Na Wo Aayein Aagay, Na Main Jaoon Peechay,
Wo Aagay Barrhein Gay To Kuch Bhi Na Ho Ga,
Main Peechay Hatoon Ga To Duniya Hansay Gi,
Azzal Say Mohabbat Ki Dushman Hai Duniya,
Kaheen Do Dilon Ko Ye Milnay Na Day Gi,
Idhar Mere Dil Par Khanjar Chalay Ga,
Udhar Un K Maathay Pay Bindiya Sajay Gi,
Qayamat Say Pehle Qayamat Hai Yaro,
Mere Saamnay Meri Duniya Lutay Gi.

Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Mohabbat Ki Koi Manzil Nahi Hai


Mohabbat Ki Koi Manzil Nahi Hai
Mohbbat Mouj Hai, Saahil Nahi Hai
Meri Afsurdagi Pay Hasnay Walay
Tere Pehlu Mein Shayad Dil Nahi Hai
Na Ruktay Hain Aansoo, Na Thamtay Hain Naalay ...
Koi Un Say Ja K Zara Itna Keh Day,
Na Ruktay Hain Aansoo, Na Thamtay Hain Naalay ...
Qasid Payam-E-Khat Ko Daina Bohat Na Tool,
Bas Mukhtasir Yeh Kehna K Ab,
Na Ruktay Hain Aansoo, Na Thamtay Hain Naalay ...
Kaho Koi Kaisay Mohabbat Chupa Lay,
Karay Kya Koi Wo Jo Aayein Yaka-yak,
Nigaahon Ko Rokay Ya Dil Ko Sambhalay,
Chaman Walay Bijli Say Bolayein Na Chalein,
Chaman Walay Bijli Say Bolein Na Chaalein,
Ghareebon K Ghar Be-Khata Phoonk Daalein,
Qayamat Hai Zaalim Ki Neechi Nigahein
Hilna Kam Kam Kali Ne Seekha Hai,
Meer Un Neembaaz Aankhon Say,
Khuda Janay Kya Ho Jo Nazrein Utha Lein,
Karoon Aisa Sajda Woh Ghabra K Keh Day,
Khuda K Liye Ab To Sar Ko Utha Lay,
Tumhein Banda Parwar Ham He Jantay Hein,
Kabhi Hum Say Kabhi Ghairoon Say Shanasaai Hai,
Baat Kehnay Ki Nahi Tu Bhi To Harjaai Hai
Bas,
Har Aik Baat Pay Kehtay Ho K Tu Kia Hai,
Tumhi Batao Ye Andaz-E-Guftugu Kya Hai,
Baray Seedhay Saaadhay, Baray Bholay Bhalaay
Bus Itni Si Doori, Yeh Mein Hoon Ya Manzil,
Kahan Aake Phootay Hein Paaon K Chaalay,
Qamar Mein Hoon Mukhtaar Tanzeem-E-Shab Ka,
Qamar Main Hoon Mukhtaar Tanzeem-E-Shab Ka
Hai Mere Hi Bas Mein Andharay Ujalay
Na Ruktay Hain Aansoo, Na Thamtay Hain Naalay ...

Tum Mujhe Achi Lagti Ho,


Tum Mujhe Achi Lagti Ho,
Bas Tum Mujhe Achi Lagti Ho,
Tum Itni Sundar Ho K Nahi ...
Tumhein Aik Nazar Jo Dekhay Wo,
Sudh Budh Bhoolay, Madhosh Rehay,
Bas Tum Mujhe Achi Lagti Ho,
Tum Hons Do Mausam Badlein,
Tum Jaago To Duniya Jaagay,
Jhilmil-Jhilmil Manzar Hon Sab,
Aur Na Soojhay Kuch Aagay,
Bas Tum Ko Dekhein, Dekhtay Jayein,
Maaloom Nahi K Tum Itni Piyari,
Itni Sundar Ho K Nahi,
Bas Tum Mujhe Achi Lagti Ho ...

Poet : Amjad Islam Amjad
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Gungunati Hui Ek Nadi Mil Gai,


Gungunati Hui Ek Nadi Mil Gai,
Ajnabi Sheher Mein Dosti Mil Gai,
Tum Milay Kya Mujhe Zindagi Mil Gai,
Shayaron K Liye Shayari Mil Gai,
Raat K Sheher Ko Chandni Mil Gai,
Tum Milay Kya Mujhe Zindagi Mil Gai,
Har Taraf Tum Nazar Aa Rehay Ho Mujhe,
Door Hoon Paas Apne Bula Lo Mujhe,
Main Mohabbat Hoon Dil Mein Chupa Lo Mujhe,
Aaj Apne Gale Say Laga Lo Mujhe,
Dosti Mil Gai, Shayari Mil Gai,
Tum Milay Kya Mujhe Zindagi Mil Gai,
Main Ye Kehta Hoon Khwaabon Ki Jannat Ho Tum
Khwaab To Khwaab Hain Ek Haqeeqat Ho Tum
Dil Mohabbat Ka Mandir Hai Moorat Ho Tum,
Is Zameen Pay Khuda Ki Inaayat Ho Tum
Bandagi Mil Gai, Har Khushi Mil Gai,
Tum Milay Kya Mujhe Zindagi Mil Gai ...

Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Dil Tor K Hansti Ho Mera, Wafayein Meri Yaad Karo G


Dil Tor K Hansti Ho Mera, Wafayein Meri Yaad Karo Gi ***
Bikhri Bikhri Zulfein Teri, Paseena Maathay Par Hai,
Sach To Ye Hai Tum Gussay Mein Aur Bhi Piyaray Lagtay Ho,
Raahein Takna, Taaray Gin'na, Sadiq Kaam Hamara hai,
Aaj Magar Kya Baat Hai Tum Bhi Jaagay Jaagay Lagtay Ho,
Dil Tor K Hansti Ho Mera, Wafayein Meri Yaad Karo Gi,
Kar Yaad Wo Zamana Mere Pyar Ka,
Chain Loot Na Tu Dil K Qaraar Ka,
Jab Duniya Main Na Raha,
Kissay Barbaad Karo Gi ?
Dil Tor K Hansti Ho Mera, Wafayein Meri Yaad Karo Gi,
Tera Dil Koi Jab Bhi Dukhaaye Ga,
Yaad Tujh Ko Ye Mera Pyar Aaye Ga,
Tere Dil Walay Tootay Jab Taar,
To Ro K Fariyad Karo Gi,
Dil Tor K Hansti Ho Mera, Wafayein Meri Yaad Karo Gi,

Shab-E-Taveel Kisi Qissa Go Say Mil, Meray Dil,


Shab-E-Taveel Kisi Qissa Go Say Mil, Meray Dil,
Wagarna Hota Rahay Ga Younhi Khajal, Meray Dil.
Panah Gaah Bhi Or Baa'is-E-Namood Bhi Hai,
Samjh Mein Aata Nahi Mojza-E-Gil, Meray Dil.
Zara Sa Zabt Dikha Or Meri Anaa Ko Bacha,
To Dard Seh Kay Gulabo'n Ki Tarah Khil, Meray Dil.
Main Sara Saal Azadari Mein Guzarta Hoon,
Na Honay Doon Ga Kabhi Zakhm Mundamil, Meray Dil.
Kabhi Mein Misr Geya Tujh Ko Baich Aao'n Ga,
Sakot-E-Sham Mein Hota Hai Kiu'n Mukhil, Meray Dil.
Woh Mehrbaan Nigahai'n Bhi Chorr Janay Ko Hain,
Kaha Tha Kis Nay Keh Ho Itna Mushtaa'il, Meray Dil..!!

Kisi Ki Aankh Pur-Nam Hai, Mohabbat Ho Gayi Ho Gi


Kisi Ki Aankh Pur-Nam Hai, Mohabbat Ho Gayi Ho Gi
Zabaan Pay Qissa-e-Ghum Hai, Mohabbat Ho Gayi Ho Gi
Kabhi Hans'na Kabhi Rona, Kabhi Hans Hans Ke Ro Dena
Ajab Dil Ka Ye Alam Hai, Mohabbat Ho Gayi Ho Gi
Kabhi Aankhon Hi Aankhon Mein Wo Baaton Ka Bata Dena
Kabhi Takrar Baham Hai, Mohabbat Ho Gayi Ho Gi
Kisi Ko Samney Paa Kar Kisi Ke Surkh Honton Par
Anokha Saa Tabassum Hai, Mohabbat Ho Gayi Ho Gi
Hr Ik Salwat Pay Bistar Ki Kisi Ka Naam Likha Hai
Diye Ki Lo Bhi Madham Hai, Mohabbat Ho Gayi Ho Gi ...
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Koi Umeed Zindagi Say Ab Nahi Rahi,


Koi Umeed Zindagi Say Ab Nahi Rahi,
Koi Khushi Naseeb Mein Ab Nahi Rahi,
Maut To Teh Hai, Aani Hai Ik Roz,
Par Raaton Ko Neend Ab Nahi Aati,
Choti Choti Baaton Mein Dhoond Letay Thay Khushiyaan,
Aaj Kisi Baat Par Hansi Ab Nahi Aati,
Zindagi Humein Ik Aisay Mor Pay Lay Aayi,
Apni Hi Khabar Khud Tak Ab Nahi Aati,
Martay Hain Har Pal Jee Kar Aaj Hum,
Maut Hai K Bulaanay Par Ab Nahi Aati ...  

Kal Ye Likhte The Bicharna Tumhain Manzoor Nahi


Kal Ye Likhte The Bicharna Tumhain Manzoor Nahi
Ab Yeh Kehte Ho Mere Khat Mujhe Wapis Kar Do
Main Safai Koi Doon Gi Na Wazahat Doon Gi
Tum Ko Wapis Main Tumhari Yeh Amanat Doon Gi
Tum Pay Bhi Qarz Hai Awal Mujhe Wapis Kar Do
Mera Beeta Howa Har Pal Mujhe Wapis Kar Do
Mera Barsa Howa Badal Mujhy Wapis Kar Do
Apne Khat Lo Mera Kal Mujhe Wapis Kar Do
Kal Ye Likhte The Bicharna Tumhain Manzoor Nahi
Ab Yeh Kehte Ho Mere Khat Mujhe Wapis Kar Do.....

Kabhi jo na Kehny ki Himmat karun Main..


Kabhi jo na Kehny ki Himmat karun Main..
Zuban e Qalam sy wo Jurr'at karun Main..
Dam e Yaar sy Mera Dam hy Salamat..
Had e Intaha tak Mohabat karun Main..
Baad Az Wazifa Parhun Us ka Chehra..
Ibadat k Baad ik Ibadat karun Main..
Raza e Dil e Dost! Eema'n bana kr..
Duniya sy sari! Baghawat karun Main..
Tery Khal o Khadd ka karun kya Bya'n Main..
Tery Husn ki kya Wazahat karun Main..
Hawass bhi Aqeedat sy Ta'zeem Seekhy..
Jab Us ki Rida par Imamat karun Main..
Nazar kab sy Dhaaras Bandhaay huy hy..
Agar Parda Sarky to Himmat karun Main..
Hamesha hi AbbasS Pohnchu'n Usi tak.
Khyalo'n me jab bhi Musafat karun Main.

Wo Subha Ko Aaye To Karoon Baaton Mein Dopehar,


Wo Subha Ko Aaye To Karoon Baaton Mein Dopehar,
Aur Chaahoon K Din Thorha Sa Dhal Jaye To Acha,

Dhal Jaye Jo Din Bhi To Isi Tarah Karoon Shaam,
Aur Phir Kahoon Gar Aaj Say Kal Jaye To Acha,

Jab Kal Ho To Phir Wo Hi Kahoon Kal Ki Tarah Say,
Gar Aaj Ka Din Bhi Tal Jaaye To Acha,

Hai Qata'a Raah-e-Ishq Mein Ay Zauq Adab Shart,
Joo'n Shamma To Ab Sar Hi Kay Bal Jaye To Acha ...

Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Allah ... Gar Qayamat Aati Hai To Tal Jaye


Allah ... Gar Qayamat Aati Hai To Tal Jaye
Chhoo Li Hai Jo Barso'n Main Woh Ik Shaakh Jo Phal Jaye
Murjhaaye Koi Gul Na Sitaara Koi Tootey
Insaa'n Sambhal Jaye To Kya Kuch Na Sambhal Jaye
Kiyon Ishq Ki Us Aanch Say Dil Mom Na Ho Paayein
Pathar Ko Bhi Jis Aanch Pay Rakho To Pighal Jaye
Dushwaar Hai Inkaar Ko Inkaar Samajhna
Inkaar Say Chehray Ka Agar Rang Badal Jaye
Ghuncho'n Ko To Darkaar Hai Aaeena Sehar Ka
Shabnam Ko Ye Dar Hai K Kaheen Raat Na Dhal Jaye
Har Morr Pay Baitha Hai Ye Khoon-Khuwaar Darinda
Jo Lamha Guzar Jaye Usay Waqt Nighal Jaye
Shaa'ir Ko Ye Zid ... Chaand Say Kaam Kuch Nahi Lay Ga
Phoolon Pay Magar Ous Ko Daikhey To Behal Jaye ...

Poet : Ahmed Nadeem Qasmi
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Raat, Samandar, Chand, HawAa, Aur Tanha MaiN,


Raat, Samandar, Chand, HawAa, Aur Tanha MaiN,
Khuwab Aazab Ki Ye DuniyAa Aur Tanha MaiN.

Kash Koii Tu Mera Bhi Hamraz Banay,
Mujh Say Saray Logh KhafAa, Aur Tanha Mai.

Saath Nibhaya Bhi To Us Nay Yu'N Kausar,
Jesay Ek Mubham SayAa, Aur Tanha MaiN...

Bahot haseen o Jameel ho Tum...


Bahot haseen o Jameel ho Tum...
Kanwal Sarapa, Ghazal Jawaani...
Ye Dhop Jesi Sunehri Zulfeen...
Ye Chaand Jesa Chamakta Chahra...
 Ye Taara Jesi Damakti Bindiya...
Tumhary Maathy Pe RaQs Karta ShafeeQ Jhoomar...
Tumhari Masoom Jheel Ankhon Me Geet Gaata Nashila Jaadu...
Tumhary Kaanon Me Raaz Kahti RafeeQ Baali...
Dehkty Honton Ki Surkh Kaliyaan, Surahi Gardan, Siraat Shaney...
Tumhari Resham C Narm Banhon Ki Be qrari...
Tumhari Nazuk Kalaai K Khanakty Kangn...
Tmhary Paon Me Chandni C Chhanakti Payl...
Ye Dewiyon Sa Kamaal Joban...
Ye Jalpari Sa Sameen Dar'Pan...
Tumhary Lehjy Me Bulbulon Sa Suhbha-E-Tar'nam...
B0ht Haseen-0-Jameel H0 Tum...

Uljhay Raaste, Fasilay La-Mehdood




















Uljhay Raaste,
Fasilay La-Mehdood
Manzil Gum . . .
Aur Phir ...
Tanhaaii !!!
Kamraa Sakoot ...
Muheeb Sanata.!!
Kameez Par Chaaye (Tea) K Daag !!
Ungliyo'n Main Sulagta
Howa CiGrate !!
Kamre Main Dairay Banata Howa Dhunwaa !!
Dhunwo'n K Margalon Main kisi k
Aks Ki Talaash !!
Ash Tray Main Cigrate K Filter !!
Ukhrri Saansain Lene Waala Pyaar Kiss Ka Hai ????
Shaayad Tumara Hi Hai ..
Sochta Hon
In Bikhray Bikhray Lafzon Ko Tarteeb De Hi Daalo'n
Magar Nahi......
Aisay To Unka Mafhoom Waazay Ho Jayega
Jis Par Tu Sakhti Se
kaarband Hai....

Ye Kya K Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon


Ye Kya K Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon
Main Tujh Ko Kho K, Khuda Ki Bhi Justuju Na Karoon
Main Intezaar-e-Tuloo-e-Seher Mein Jeeta Hoon
Main Apna Chaak-e-Girebaan Kubhi Raffu Na Karoon
Tu Sirf Jism Nahi Hai, Waraa-e-Jism Bhi Hai
Main Tujh Ko Paa K Bhi Kiyun Teri Aarzoo Na Karoon ?
Ghaiyoor Hoon K Ijaara Pasand Hoon, Kya Hoon ?
Main Tujhe Apnay Khuda Ke Bhi Ru-Ba-Ru Na Karoon
Ye Mashwaray To Mere Tark-e-Shair K Hain Nadeem
K Jab Bhi Shair Kahoon, Dil Lahoo Lahoo Na Karoon ...

Poet : Ahmed Nadeem Qasmi
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Itna Dushwaar Nahi Maut ko Taaley Rakhna


Itna Dushwaar Nahi Maut ko Taaley Rakhna
Sar Jo kat Jaaye To Dastaar Sambhalay Rakhna,
Chot khana, Magar Is Tarah K Lodhey Uthey
Zulmat Gham Isi Tarey se Ujahely Rakhna
Apne Ahbaab ko Seeney Se Lagaye Phirna
Aik Khanjar Bhi Jaib Mein Daley Rakhna,
Meri Pehchan Mere Peer-e-Hain Zakhm Se Hai
Ab Bhi Aezaaz sahi Shaal Do Shaley Rakhna,
Dasht Ehsaas Ki Hiddat Bhi Kayamat Hai "Nadeem"
Kuch Zaroori To Nahi Paaon Mein Chaley Rakhna ..

Poet : Ahmed Nadeem Qasmi
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Abhi To Baaz Ki Asli Uraan Baaki Hai


Abhi To Baaz Ki Asli Uraan Baaki Hai
Aur Bhi Ishq Ka Ek Imtehan Baaki Hai
Ehl-e-Dil Humne Jalaaya Tha Roshni Ke Liye
Jale Makaan Ka Ab Bhi Nishaan Baaki Hai
Hum Mohabbat Mein Mitay Unke Liye Til-Til Kar
Unko Ab Bhi Hai Gumaan Ek Jaan Baaki Hai
Khata Lamhon Ki, Saza Umar Tak Saha Main Ne
Ab Janazay Mein Mere Kuch Samaan Baaki Hai
Har Ek Naqsh Ko Bigartay Hum Ne Dekha Hai
Hamara Tanha Dil Lahoo-Lahaan Baaki Hai
Hamare Pyaar Ki Zameen To Tum Ne Baant Hi Di
Hamare Dilon Ka Yeh Aasmaan Abhi Baaki Hai
Ab Na Baaki Hai Kisi Shay Pay Bharosa Karna
Haath Mein Kuch Nahi Abhi Saara Jahan Baaki Hai
Mere Khuloos-e-Ishq Ka Tu Imtehan Na Lay,
Ke Aa Jaa Ab Bhi Ek Tera Intezaar Baaki Hai ...

IK BACHPAN KA ZAMANA Tha...


IK BACHPAN KA ZAMANA Tha...
Khushiyo ka khazana tha..
Chahat chaand ko paanay ki,
Dil titli ka deewana tha..
Thak haar k aana school se,
Par khelnay bhi jaana tha..
Ami ki kahani thi..
Pariyon ka fasana tha..
kaghaz ki kashti thi,
baarish ka zamaana tha,
Har mausam suhana tha..
Har khel me saathi the..
Har rishta nibhana tha..
Ronay ki wajah na thi..
Na hasnay ka bahana tha..
"Ab nahi rahi wo Zindagi..
"Jaisa BACHPAN KA ZAMANA tha.

Sambhal Sambhal Kar Jo Zeena Zeena Utar Rahi Thi


Sambhal Sambhal Kar Jo Zeena Zeena Utar Rahi Thi
Hayaat Afrooz Marhalo'n Se guzar Rahi thi
phr Iss ne Ghar Par Balaa k Hairat Zada Keya hai
Ye Kesi Tarteeb Thi K Har shaa'bikhar Rahi thi
main Dharkano main Gulab Surat Mahek Raha Tha
Aur Aek Titali Mery Taaqub main Mar Rahi Thi
Barhana Saakho'n pe Oos Parhne Ka Saane'ha Tha
Woh Meri Khatir Ba Rang E shabnum Nikhar Rahi Thi
Wo Be Khiyali Main muj se karti Rahi Mohabat
Woh Be Dehaani Main Mujh Ko Shadaam Kar Rahi Thi...

Ye Tarkeeb Bhi Aey Dil Na Raas Aayi Mujhe,


Ye Tarkeeb Bhi Aey Dil Na Raas Aayi Mujhe,
Kaatney Ko Dorti Hai Meri Tanhaai Mujhe,
Kab Tujhe Bhoola Hoon Roz-O-Shab Ke Hangamo'n Mein,
Kab Gham-€-Jaa'n Ki Ye Haddbandi Pasand Aayi Mujhe,
Jab Kabhi Dhoonda Hai Gham Khuwaro'n Ko Sail-€-Karb Mein,
Dil Ke Pehloo Mein Hai Zauq-€-Ruswaai Mujhe,
Kitni Muskhil Se Sambhal Paaya Hoon Zaat Mein,
Phir Kahin Tanha Na Kar De Ye Shanasai Mujhe,
Har Gali Mein Tazkirey Us Ke Hain Khalid Aaj Kal,
Aur Us Pe Sitam Kehta Hai Harjaai Mujhe..

Mujhe Tum Say Mohabbat Hai,


Mujhe Tum Say Mohabbat Hai,
Main Pehlay Bhi Ye Kehti Thi,
Main Aaj Bhi Yahi Kehti Hoon,
Kesi Khushbu Ki Manind Main,
Tumhare Sang Hi Rehti Hoon,
Main Pehron Baithi Rehti Hoon,
Tumhein Socha Main Karti Thi,
Tumhein Main Sochti Rehti Hoon,
Kabhi Khud Say Tumhari Main,
Dhairon Baatein Karti Hoon,
Kabhi Be-Khayaali Mein,
Tumhara Naam Laiti Hoon,
Kabhi Be-Sabab Hi Main,
Tumhein Pukaar Laiti Hoon.
Mujhe Maaloom Hai Jaana,
Tum Mere Sang Ho Hotay Ho,
Main Har Lamha Suno Jaana,
Tumhein Mehsoos Karti Hoon,
Mujhe Ye Acha Lagta Hai,
Tumhein Bas Daiktay Rehna,
Tumhare Hi Khayaalon Mein,
Main Doobi Hi Rehti Hoon,
Tumhare Intezaar Mein Jaana,
Bataoon Main Kya Karti Hoon,
Beetay Har Pal K Saath Apni,
Main Har Dharkan Ko Ginti Hoon,
Meri Saansein Bhi Suna Jaana,
Tumhara Naam Laiti Hain,
Main Pehlay Bhi Ye Kehti Thi
Main Aaj Bhi Yahi Kehti Hoon
Mujhe Tum Say Mohabbat Hai
Tumhare Sang Main Rehti Hoon ...

Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/
~** She was a Strange Puzzle **~

Kuch Bhi To Nahi Waisa


Kuch Bhi To Nahi Waisa
Jaisa Tujhe Socha Tha
Jitna Tujhe Chaha Tha
Socha Tha Tere Lab Per
Kuch Harf Dua'on K
Kuch Phool Wafa'on K
Mehkein Gay Meri Khatir
Kuch Bhi To Nahi Waisa
Jaisa Tujhe Socha Tha
Mehsoos Yeh Hota Hai
Dukh Jheelay Thay Jo Ab Tak
Be-Naam Musaafat Mein
Likhnay Ki Mohabbat Mein
Parhnay Ki Zaroorat Mein
Be-Sood Riyazat Thi
Be-Faiz Ibaadat Thi
Jo Khawaab Bhi Dekhay Thay
In Jaagti Aankhon Nay
Sab Khaam-Khayali Thi
Phir Bhi Tujhe Paanay Ki
Dil Ke Kisi Goshay Mein
Khuwahish To Bacha Li Thi
Lekin Tujhe Paa Kar Bhi
Aur Khud Ko Ganwa Kar Bhi
Iss Habs K Mausam Ki
Khirki Say Hawa Aai
Na Phool Say Khushbo Ki
Koi Bhi Sadaa Aai
Ab Neend Hai Aankhon Mein
Na Dil Main Wo Pehli Si
Taaza Sukhan Aara'i
Na Lafz Mere Niklay
Na Harf-o-Ma'ani Ki
Danish Mere Kaam Aai
Na'deeda Rafaaqat Mein
Jitni Bhi Aziyyat Thi
Sab Mere Hi Naam Aai
Kuch Bhi To Nahi Wesa
Jesa Tujhe Socha Tha
Jitna Tujhe Chaha Tha ...

Teri Chahat Teri Justuju Is Dil Mein Hai


Teri Chahat Teri Justuju Is Dil Mein Hai
Meri Jaan Haan Mujhe Tum Se Mohabbat Hai
Tera Wo Muskurana, Sharma K Palkein Jhukana
Dabay Honton Se Phoolon Ki Wo Saugaat Yaad Hai
Phir Lagi Kis ki Nazar Tum Huay Door Mujh Se
Tera Aankhon Mein Ashk Bahatay Jaana Yaad Hai
Meri Koi Khata Na Thi, Na Teri Koi Khata Thi
Wo Bicharta Huwa Lamha Wo Siskiyan Yaad Hai
Tu Laut Aayegi Ek Din Mujhe Hai Itna Yaqeen
Aaj Bhi In Ankhon Mein Tera Intezar Hai
Phir Ayega Mausam e Ulfat Ka Wo Zamana Nasir
Barkarar Hai Umeed Haan Mujhe Un Se Mohabbat Hai ..

Hum Na Samjhe Teri Nazron Ka Taqaaza Kya Hai,


Hum Na Samjhe Teri Nazron Ka Taqaaza Kya Hai,
Kabhi Jalwa Kabhi Parda Ye Tamasha Kya Hai,
Hum Ko Madhosh Sa Kar Rakha Hai Teri Aankhon Nay,
Warna Saaqi Tere Mai-Khanai Mein Rakha Kya Hai,
Daikh Laila Tere Majnu Ka Kaleja Kya Hai,
Khaak Mein Mil K Bhi Kehta Hai K Bigra Kya Hai,
Ye Surahi Sa Badan Lay Kar Na Mere Samnay Aa,
Main Sharabi Hoon Shrabi Ka Bharosa Kya Hai,
Apnay Honton Ko Mere Honton Say Zara Choonay To Day,
Aik Do Ghoont Say Botal Ka Bigarta Kya Hai.

Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Jab Aankhen Khowab Bunti Hain,


Jab Aankhen Khowab Bunti Hain,
To Aksar Be-Khayaali Mein,
Yeh Bhi Bhool Jati Hain,
Mohabbat Ki Tamanna Mein,
Woh Apne Wastey Khud Hi,
Firaaq-O-Hijr Ke,
Sadmo'n Bharey Azaab Chunti Hain,
Jab Aankhen Khowab Bunti Hain..

Kisi roz shaam k waqt


Kisi roz shaam k waqt
Sooraj k araam k waqt
Mil jaye saath tera
Hath mein lay k hath tera
Door kahien tanhai mein
Dunya se judai mein
Apne sang bitaon tujhe
Dil ka haal sunaon tujhe
Teri izzat Ehteraam karoon
Tere hathon ki lakeeron mein
Talash apna naam karoon
Aao ik iraada karein
Phir milnay ka wada karein
Kisi roz shaam k waqt
Soraj k araam k waqt ....

Akhiyaa'n jhoot na bolein,


Akhiyaa'n jhoot na bolein,
Pehle dil ka haal kahein,
Phir apne bhaid bhi kholain,
In pay guzri jaisi jaisi,
Baat karein to waisi waisi,
Rotay rotay kabhi hansein,
Kabhi hanstay hanstay ro lein,
Kajal ke sang behtay behtay,
Thak jayen sach kehty kehty,
Saij saja kar sapno'n ki,
Tab thori dair ko so lein,
Akhiyaa'n jhoot na bolain...

Jaanay Kya Baat Hai Jo Mujh Say Khafa Baitha Hai


Jaanay Kya Baat Hai Jo Mujh Say Khafa Baitha Hai
Mujh Mein Ikk Shaks Baghawat Pey Tula Baitha Hai
Woh Parinda Jissey Parwaaz Say Fursat Hi Na Thi
Aaj Tanha Hai To Deewaar Per Aa Baitha Hai
Bolta Hoon To Mujhey Izn-e-Khamoshi Dey Ker
Kon Hai Jo Pas-e-Izhaar Chupa Baitha Hai ?
Tum Bhi Manjumla-e-Arbab-e-Jafa Nikley Ho
Tum To Kehtey Thay Der Dil Mein Khuda Baitha Hai
Thak Gaya Dasht-e-Talab Mein To Sawaali Ban Ker
Maira Saata Mairi Dehleez Pey Aa Baitha Hai
Tu Kitaabon Mein Kissey Dhoondta Rehta Hai 'Saleem'?
Ye Tu Kye Rog Mere Yaar Laga Baitha Hai ...  

Chalo Hum Maan Letay Hain


Chalo Hum Maan Letay Hain
Tumhein Ham kho chukay lekin
Tumhari yaad ab tak bhi.
Hamein be-taab rakhti hai ...
Humaari saans ab tak bhi..
Tumhaari aas rakhti hai..
Magar ab ye bhi suntay hain..
Tumhaari raah roshan hai..
Tumhen bhi mil gaya koi..
Magar afsos ... Ham Jesa..
Agar paao kahin Tum to..
Mujhe do lufz likh dena..
K
MANZIL MIL GAI MUJH KO ...

Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Wo Dil Ka Bura Na Bewafa Tha


Wo Dil Ka Bura Na Bewafa Tha
Bas Mujh Say Youn Hi Bichar Gaya Tha
Har Simt Usi Ka Tazkara Tha
Har Dil Main Woh Jaisey Bas Raha Tha
Main Us Ki Ana Ka Aasra Tha
Wo Mujh Say Kabhi Na Roothta Tha
Main Dhoop K Bina Bhe Jal Raha Tha
Woh Saya-E-Abbar Ban Gaya Tha
Ek Baar Bichar K Jab Mila Tha
Woh Mujh Say Bichar K Roo Para Tha
Kya Kuch Na Us Say Kaha Gaya Tha
Us Nay To Labon Ko See Liya Tha
Wo Chand Ka Humsafar Tha Shayad
Raaton Ko Tamam Jaghta Tha
Honton Main Gulaab Ki Naram Khushbu
Baaton Mein To Shehad Gholta Tha
Kehnay Ko Juda Tha Mujh Say Lekin
Wo Meri Raggon Main Goonjta Tha
Us Nay Jo Kaha, Kya Wo Dil Nay
Inqaar Ka Kis Main Hosla Tha
Youn Dil Main Thi Yaad Us Ki Jaisey
Masjid Main Chiraagh Jal Raha Tha
Mat Pooch Hijaab K Qareenay
Wo Mujh Say Bhi Kam Hi Khul Saka Tha
Is Din Mera Dil Bhi Tha Pareshan
Wo Bhi Mere Dil Say Kuch Khafa Tha
Main Bhi Tha Dara Hua Sa Lekin
Rang Us Ka Bhi Kuch Ura Ura Tha
Ek Khof Sa Hijar Ki Ruton Ka
Dono Pay Moheet Ho Chala Tha
Ek Raah Say Main Bhi Tha Gurayzaan
Ek Moor Pay Wo Bhi Ruk Gaya Tha
Ek Pal Main Jhapak Gayeen Jo Aankhain
Manzar Wo Manzar Doosra Tha
Socha To Tehar Gaye Zamanay
Dekha Toh Wo Door Ja Chuka Tha
Qadmon Say Zameen Sirak Gai Thi
Suraj Ka Bhi Rang Sanwla Tha
Chaltay Huey Log Bhi Ruk Gaye Thay
Thehra Hua Shehar Ghoomta Tha
Sehmay Huey Pair Kanptay Thay
Pattoon Main Hiraas Rengta Tha
Rakhta Tha Main Jis Main Khuwab Apne
Wo Kanch Ka Ghar Chatakh Gaya Tha
Hum Dono Ka Dukh Tha Aik Jaisa
Ehsas Magar Juda Juda Tha ...

Saturday, September 29, 2012

Chalo ... Un Manzaron K Saath Chaltay Hain ....

Chalo ... Un Manzaron K Saath Chaltay Hain ....

buhut din ho gay hain wehshatoon ki bheer main ham ko
darkhtoon par hawaain mousamoon key geet gati hain
jahan par chand taroon ko liye mat'ti main utra hy
jahan khamousyoun ko guftougo karny ki aadat hy
jahan sey rasty jaty hain anjani musafat ko
jahan sooraj ki kirnain rat par pehra bithati hain
Chalo ... Un Manzaron K Saath Chaltay Hain .... 

buhut din ho gay hain wehshatoon ki bheer main ham ko
zara in kashtiyon ko ghor sey dykhoo
jo patwaroon ki baNhooN main
samanadar main bichi khamooshyoun ko guftugo ka saaz dyti hain
hamain aawaz dyti hain
udhar dykhoo
parindy badloon k gird urty hian
kinaroon par utarty hain
Chalo ... Un Manzaron K Saath Chaltay Hain .... 

wo dykhoo qafla jata hy kuch naaqa sawaroon ka
musafat dhoop ki hy or safar hy reyzgaroon ka
kabhi jo rat parti hy to ye khymy lagaty hain
kisi ko yaad karny ki tarap main bhool jaty hain
inhi khymoon sy kitni dastanoo ky siry milty howy
naghmoon main dhalty hain
Chalo ... Un Manzaron K Saath Chaltay Hain .... 

kabhi banty bigarty daayroon k darmiyaan dykhoo
shikasta ho gay becheragiky dukh main aainey
tamasha ho gain wiraaniyoon ky raqs main aankhain
yahan to guftugoo k saay bhi khamoosh rehty hain
Chalo ... Un Manzaron K Saath Chaltay Hain .... 

jahan khamousyoun ko guftougo karny ki aadat hy
buhut din ho gay hain wehshatoon ki bheer main ham ko

Hawa-e-tark-e-taaluq chali hai Dhiyaan rahay

Hawa-e-tark-e-taaluq chali hai Dhiyaan rahay
magr ye baat hamaray hi darmiyaan rahay

gilaa tujhi se nahiN baam o dar ki viraani
khuli fizaa maiN bhi hum log by amaan rahay

te're aseer mizaj aashnaa e mousam haiN
so teri qaid maiN reh kr te'ri amaan rahay

shikast e jaaN pe hai tajdeed e aitebaar ki muhr
jo doob kr bhi te're saahiloN ka maan rahay

wo barg jin pe rutooN ke azaab utray thy
shajr se katt k bhi mousam k tarjumaan rahay

tu apnay haq maiN gawahi kahaN se laaye ga
te're tarf se agr hum bhi bad-gumaan rahay

Is Baar Dil Ne Tujh Say Na Milnay Ki Thani Hay

Is Baar Dil Ne Tujh Say Na Milnay Ki Thani Hay
Per Main Nay Kub Kisi Ki Koi Baat Maani Hay

Ik Subha Tere Sath Nikalna Hay Raat Say
Ik Shaam Tere Sath Kisi Din Manani Hay

Ik Bhaid Kholna Hay Mujhy Tere Roo-Ba-Roo
Ik Baat Hay Jo MaiN Nay Tujhi ko Batani Hay

Mujh Ko Bhi Taaray Torr Lanay Ka Hay Junoo'n
Main Nay Bhi Aasmaan Ki Buhat Khaak Chaani Hay

Us K Liye Bhi Shaher Basanaa Hay Ik Mujhe
Apnay Liye Bhi Ik Nai Duniya Banani Hay

Jo Kuch Main Likh Raha Hun, Woh RoDaad Hay Meri
Tum Perh Sako Tou Phir Ye Tumhari Kahani Hay

Kahta Hay Koi Aa, Issay Phir Say Likhain Saleem
Woh Daastaan-e-IshQ Buhat Hi Purani Hay

un ko meri wafaoon ka iqrar bhi nahi

un ko meri wafaoon ka iqrar bhi nahi
aur pocheye tu jurrat-e-inkaar bhi nahi

merey kholoos per jo bharosa na ho tumhain
mujh ko taluqaat pe israr bhi nahi

hain merey ghum-gusaar agar mujh sey bad gumaa.n
main ghum-gusariyoo.n ka talab-gaar bhi nahi

gull kar deye charagh kisi nay tu kya howa
ab roshni sey hum ko sar-o kaar bhi nahi

kaam un sey aa para hay muqaddar ki baat hay
hum jin sey guftugu k rawa-daar bhi nahi

un rastoo.n sey ho kar guzar aai zindagi
jin rastoo.n main saya-e dewaar bhi nahi

maazi bohat aziz hay Iqbaal ko magar
wo eh'd-e raftagaa.n ka aza-daar bhi nahi

soaz-e-gham se jis qader shikwa sada hotay hain log

soaz-e-gham se jis qader shikwa sada hotay hain log
jal bujian aur lab na kohlian woh bhi kia hotay hain log

fasl-e- gul mein saath hai khushboo daman ki tarah
ruth badaltie hai to bas moj-e-hawa hotay hain log

kis ko barham kiejea ilzam kis ko dejea
naam kis ka leajea sab bea-wafa hotay hain log

is ada ka kia tekahna is rawesh ka kia jawab
baat ranjesh ki na ho phir bhi khafa hotay hain log

hum gunahgaroun per ilzam gunahgarie baja
parsaoun mein bhi kitnay parsa hotay hain log

ghar gay Iqbal tum rangien kabaoun mein kahan
miltay deakho un se jo sada kaba hotay hain log

Wo log hi qadmon se zamin cheen rahay hain

Wo log hi qadmon se zamin cheen rahay hain
Jo log mere qad k barabar nahi aatay

Ik Tum, k Tumhare liye Main bhe,Meri jan bhe
Ik Main, k Mujhe TUM bhe muyassar nahi aatay

Jis shaan se lotay hain ganwa kar Dil-o-Jan hum,
Is tor to Haaray hue Lashkar nahi aatay

Koi to khabar lay mere dushman-e-jaan ki,
Kuch din se mere sehan main pathar nahi atay

Dil bhi koi aasaib ki nagri hai ke MOHSIN
Jo is se nikal jatay hain, murr kar nahi aatay

idraak par muheet hai arz-o-samaa ka dukh

idraak par muheet hai arz-o-samaa ka dukh
iss sy pary bhi, jo hy, wo hy maavraa ka dukh

dil ne kaha, na dekh soo-e-aasma’N, keh yun
barhta hy na rasai-e-dast-e-dua ka dukh

dil mein ab aur kya hy, jisy dhoondti hy khalq
kafi hy zindagi ko, shikast-e-anaa ka dukh

sun lo musafaraan-e-biabaan-e-sham-e-gham
bakhshy ga ibtada ka safar, intaha ka dukh

kion inn dino’N sawar hy do kashtio’N pe dil
chahat ik ajnabi ke, to ik aashnaa ka dukh

MOHSIN khiza’N ka naam, badal kar likho issy
nayabi-e-nuqoosh-e-kharaam-e-saba ka dukh

Wafa Ki Daastan-e-Gham Chalo Tumko Sunatay Hain,

Wafa Ki Daastan-e-Gham Chalo Tumko Sunatay Hain,
Jo Dil Par Daagh hain Apnay, Sabhi Tumko Dikhatay Hain,


Sukoon Nahi Aata Ka Dil Betaab Rehta Hain,
Kabhi Titli Ke Kachey Rang, Kabhi Jugnu Satatay Hain,


Suno Jab Sham Hoti Hai, Andhero Se Khafa Ho Kar,
Teri Yaadon Mein Charagh-e-shab Jalatey Hain

Tanhai kaisi hoti hai ?

Tanhai kaisi hoti hai ?
Shayad Tumhare Jaisi Ya Mere Jaisi Hoti Hain
Duniya Ki Iss Bheed Mein Maine Tumhe Or Mujhe Akela Sa Paya Hai
Ek Pyari Si Muskaan Ke Peeche Udasi Ko Paya Hai
Baat Tumhari Ho Ya Meri Aajmane Wale Khuda Ne Khub Aajmaya Hai
Bas Dil Ke Kisi Kone Me Ek Takleef Mehsus Hoti Hai Ki
Aaj Tak Na Tumne Mujhe Samajh Paya Hai Na Maine Tumhe Samajh Paya Hai…

Tha Main Neend me Aur Mujhe Itna Sajayaja Raha tha


Tha Main Neend me Aur Mujhe Itna Sajayaja Raha tha
Bade hi Pyaar se Mujhe Nehlaaya Ja raha Tha
.
Na jane tha wo kounsa ajab khel mere Ghar me,
Baccho ki tarah mujhe Kaandhe pe uthaya ja raha tha,
.
Tha paas Mere mera Har Apna us waqt,
Phir bhi mai har kisi k muh se bulaya Ja raha tha,
.
Jo kabhi daikhte bhi na the Muhabbat ki Nigah se,
Un k dil se bhi pyaar mujh pe lutaya ja raha tha,
.
Maloom nahi hairan tha har koi mujhe sote hue Daikh kar,
Zor zor se ro kar Mujhe hasaya Ja raha tha,
.
Kaanp uthi meri Rooh mera wo makan Daikh kar,
Pata chala Jab mujhe Dafnaya Ja raha tha,
.
Ro pada phir main bhi mera wo Manzar daikhkar,
Jahan mujhe hamesha k liye Sulaya Ja raha tha,
.
Muhabbat ki inteha thi jin dilo me mere liye,
Usi ghar se Aaj main aik pal me bhulaya Ja raha tha,
.
Thi Main Neend me Aur Mujhe Itna Sajayaja Raha tha
Bade hi Pyaar se Mujhe Nehlaaya Ja raha Tha

Tuesday, September 25, 2012

Aankh Se Door Na Ho, Dil Se Utar Jaye Ga

Aankh Se Door Na Ho, Dil Se Utar Jaye Ga
Waqt Ka Kia Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga

Itna Manoos Na Ho Khilwat-e-Gham Se Apni
TU Kubhi Khud Ko Bhi Dekhay Ga Tou Dar Jaye Ga

Tum Sar-e-Raah Wafa Dekhtay Reh Jao Ge
Aur Wo Baam-e-Rafaqat Se Utar Jaye Ga

Zindagi Teri Ata Hai Tou Ye Jaanay Wala
Teri Bakhshish Teri Dehleez Pe Dhar Jaye Ga

Doobtay Doobtay Kishti Ko Uchaala De Dun
Mein Nahi Koi TU Saahil Pe Utar Jaye Ga

Zabt Laazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka “Faraz”
Zaalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga Tou Mar Jaye Ga




Barish Ki Barasti Boondon Ne Jab Dastak Di Darwaze Par

Barish Ki Barasti Boondon Ne Jab Dastak Di Darwaze Par ~
Mehsus Hua Tum Aaye Ho, Andaaz Tumhare Jesa Tha ~

Hawa K Halke Jhonke Ki Jb Aahat Payee Khirki Pr ~
Mehsus Hua Tum Guzre Ho, Ehsaas Tumhare Jesa Tha ~

Mein Ne Girti Boondon Ko Rokna Chaha Haathon Pr ~
Aik Sard Sa Phir Ehsaas Howa, Wo Lams Tumhare Jesa Tha ~

Tanha Main Chala Phir Barish Me, Tab Ek Jhonke Ne Saath Diya ~
Main Samjha Tum Ho Saath Mere, Wo Saath Tumhare Jesa Tha ~

Phir Ruk Gai Wo Barish Bhi Rahi Na Baqi Ahat Bhi ~
Main Samjha Mujhe Tum Chorr Gaye, Andaz Tumhare Jesa Tha

Mohabat bhari daastan chahta hoon,

Mohabat bhari daastan chahta hoon,
Main tum sa koi meherban chahta hoan,

Na ho jis mein koi bhi dushman kisi ka,
Mohabbat ka aesa jahaan chahta hoon,

Wohi qehqahey, jhamgatey doston ke,
Mein phir wohi shokhiyan chahta hoon,

Mohabbat ki chashm-e-karam karde mujh per,
Karri dhoop mein saayebaan chahta hoon,

Wohi raat joban pe aayi huyi,
Sitaron ki woh kehkashan chahta hoon,

Bari der tak sahilon pe tehelna,
Gayi rut ka pehle samaan chahta hoon,

Kisi Mehwish Se Ulfat Ho Gai Kiya ?

Kisi Mehwish Se Ulfat Ho Gai Kiya ?
Kahin, Khud Se Adaawat Ho Gai Kiya?

Tere Haathon Mein Parcham Ishq Ka Hai
Zamaane Se Baghawat Ho Gai Kiya?

Bohot Shereen Sukhan, Shereen Dahen Ho
Muhabbat Ek Aadat Ho Gai Kiya?

Sajaaye Aankh Mein Furqat Khare Ho
Milan Ki Aas Rukhsat Ho Gai Kiya?

Dil-e-Nadaan Ki Dharkan Barh Gai Hai
Judaai Apni Qismat Ho Gai Kiya?

Kaf-e-Afsos Kaisaa “Zahid Sahib”
Lagi Dil Ki, Qayamat Ho Gai Kiya



Duniya Ne Ham Pe Jab Koi iLzaam Rakh Diya

Duniya Ne Ham Pe Jab Koi iLzaam Rakh Diya
Ham Ne Muqaabil Oske Tera Naam Rakh Diya

Ik Khaas Had Pe Aagayi Jab Be-Rukhi Teri
Naam Oska Ham Ne Gardish-e-Ayyaam Rakh Diya

Mein Larkhara Raha Hun Tujhe Dekh Dekh Kar
TU Ne Tou Mere Saamnay Ik Jaam Rakh Diya

Kitna Sitam Zareef Hai Wo Saahib-e-Jamaal
Osne Diya Jalaa Ke Lab-e-Baam Rakh Diya



Photo: Duniya Ne Ham Pe Jab Koi iLzaam Rakh Diya
Ham Ne Muqaabil Oske Tera Naam Rakh Diya

Ik Khaas Had Pe Aagayi Jab Be-Rukhi Teri
Naam Oska Ham Ne Gardish-e-Ayyaam Rakh Diya

Mein Larkhara Raha Hun Tujhe Dekh Dekh Kar
TU Ne Tou Mere Saamnay Ik Jaam Rakh Diya

Kitna Sitam Zareef Hai Wo Saahib-e-Jamaal
Osne Diya Jalaa Ke Lab-e-Baam Rakh Diya

Harf-e-tauba hamaiN sikha phir se


Manzil e Gham Ki Fizao Se Lipat Kr Ro Loon

Manzil e Gham Ki Fizao Se Lipat Kr Ro Loon
Ter Daman ki hawao se lipat ker ro loon

Jaam e may pinay se pehle mera g chahata hai
Bikhari zulfo ki gatao se lipat ker ro loon

Zard Ghuncho ki nigaho mein nigahain daloon
Surkh pholo ki qabaho mein lipat ker ro loon

Ane waley tere raste mein bichao ankhian
Jane waley tere paon se lipat ker ro loon

Apne majbor taqadus k sahare Saghar
Dair o Qaba k Khudao se lipat ker ro loon



Photo: Manzil e Gham Ki Fizao Se Lipat Kr Ro Loon
Ter Daman ki hawao se lipat ker ro loon

Jaam e may pinay se pehle mera g chahata hai
Bikhari zulfo ki gatao se lipat ker ro loon

Zard Ghuncho ki nigaho mein nigahain daloon
Surkh pholo ki qabaho mein lipat ker ro loon

Ane waley tere raste mein bichao ankhian
Jane waley tere paon se lipat ker ro loon

Apne majbor taqadus k sahare Saghar
Dair o Qaba k Khudao se lipat ker ro loon

Aainay Per Kubhi Kitaab Mein Hain

Aainay Per Kubhi Kitaab Mein Hain
Oski Aankhain Ajeeb Azaab Mein Hain

Thaktay Phirtay Hain Dhoop Mein Bachay !
Titliaan Saaya-e-Gulaab Mein Hain

Ek Kachay Gharay Ki Jurrat Per
Kitni Tugyaaniaan Chanaab Mein Hain

Wo Abhi Tak Hai Ru-Baruu Apnay,
Hum Abhi Tak Hisaar-e-Khwaab Mein Hain…!

Oski Aadat Hai Roothna Mohsin
Loog Be-Waja Iztaraab Mein Hain