Click Here

Wednesday, October 31, 2012

Aashiq Ka Janaza Uthnay Do, Phir Haath Mein Mehndi Laga Lena,













Aashiq Ka Janaza Uthnay Do,
Phir Haath Mein Mehndi Laga Lena,
Laash Humari Jalnay Do,
Phir Tum Phairay Lena,
Kal Ka Suraj Niklay Ga
Mere Marnay K Baad,
Pal Do Pal Ka Hoon Mehmaan,
Sun Meri Ye Faryaad,
Tum Aa K Meri Maiyyat Par
Ho Sakay To Phool Charrha Jana,
Aitraaz Nahi Hai Koi,
Ay Dilbar Mere Mujh Ko,
Haan Tujhe Mubarak Shadi,
Barbaadi Salamat Mujh Ko,
Chitta Humari Bujhnay Do,
Phir Tum Maang Saja Lena,
Main Door Chala Jaon Ga,
Haan Chorr K Teri Duniya,
Mar K Bhi Dua Karoon Ga,
Tujhe Milein Jahan Ki Khushiyan,
Arthi Humari Behnay Do,
Phir Wasl Ki Raat Manaa Lena ....

Tuesday, October 30, 2012

Goongi Ho Gayi Aaj Kuch Zubaan Kehtey Kehtey,



















Goongi Ho Gayi Aaj Kuch Zubaan Kehtey Kehtey,
Hichkicha Gaya Main Khud Ko Musalmaan Kehtey Kehtey.

Ye Baat Nahi K Mujh Ko Us Par Yaqeen Nahi,
Bas Dar Gaya Khud Ko Sahib-E-Imaan Kehtey Kehtey.

Taufeeq Na Hui Mujhe Ek Waqt Ki Namaz Ki,
Aur Chup Hua Moazzan Aazaan Kehtey Kehtey.

Kisi Kafir Nay Jo Poocha K Ye Kya Hai Mahina,
Sharam Sey Pani Hua Main Ramzaan Kehtey Kehtey.

Meri Almaari Mein Gard Sey Atti Kitaab Ka Jo Pucha,
Main Garh Gaya Zameen Meio Quraan Kehtey Kehtey.

Ye Sab Sun K Chup Saadh Li "IQBAL" Us Nay,
Yun Laga Jaisey Ruk Gaya Ho Mujhe Haiwaan Kehtey Kehtey.

Poet: Allama Iqbal
Contribute: Zahid Shah

Gino Na Zakhm Na Dil Say Aziyatein Poocho,

Gino Na Zakhm Na Dil Say Aziyatein Poocho,
Jo Ho Sakay To Hareefon Ki Niyatein Poocho,
Hawa Ki Simt Na Dekho, Usay To Aana Hai,
Chiraagh_E_Akhir_E_Shab Say Wasiyatein Poocho,
Ujarr Chukay Ho To Ab Khud Pay Sochna Kaisa ?
Kaha Tha Kis Nay K Us Ki Mashiyatein Poocho,
Sanaan Pay Sajj Gaye Lekin Jhukay Na Sir Apne,
Sitam Garon Say Hamari Hemayatein Poocho,
Hazaar Zakhm Saho Phir Bhi Chup Raho "MOHSIN"
Nahi Zaroori K Yaaron Ki Niyyatein Pocho.

Poet : Mohsin Naqvi
Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Ghamzada Nahi Hota K Ishaara Nahi Hota

Ghamzada Nahi Hota K Ishaara Nahi Hota
Aankh Un Say Jo Milti Hai To Kya Kya Nahi Hota
Jalwa Na Ho Ma'ani Ka To Soorat Ka Asar Kya
Bulbul Gul - E - Tasweer Ka Shaida Nahi Hota
Allah Bachaye Marz -E - Ishq Say Mujh Ko
Suntay Hain K Yeh Aarza Acha Nahi Hota
Tashbeeh Tere Chehre Ko Kya Doon Gul -E- Tar Say
Hota Hai Shugufta , Magar Itna Nahi Hota
Hum Aah Bhi Kartay Hain To Ho Jatay Hain Badnaam
Who Qatal Bhi Kartay Hain To Charcha Nahi Hota ....

Poet : Akbar Alaabadi
Contribute : Zahid Shah

GHAM-E-AASHIQUI SEY KEH DO RAAH-E-AAM TAK NA POHANCHEY

GHAM-E-AASHIQUI SEY KEH DO RAAH-E-AAM TAK NA POHANCHEY
MUJHEY KHOUF HAI YE TOHMAT MERE NAAM TAK NA POHANCHEY,
MAIN NAZAR SEY PEE RAHA THA TO YE DIL NE BADUAA DI
TERA HAATH ZINDAGI BHAR KISI JAAM TAK NA POHANCHEY
NAE SUBAH PEY NAZAR HAI MAGAR AAH YE BHI DARR HAI
YE SEHAR BHI RAFTA RAFTA KAHEEN SHAAM TAK NA POHANCHEY,
UNHEIN MERE DIL KI KHABREIN MERE DIL SEY MIL RAHI HAIN
MAIN JO UN SEY ROOTH JAOON TO PEYAAM TAK NA POHANCHEY
YE ADAA-E-BE NEYAAZI TUJHEY BEWAFA MUBARIK,
MAGAR AISI BHI BERUKHI KEYA K SALAAM TAK NA POHANCHEY,
JO NAQAAB RUKH UTHAA DI TO YEH QAID BHI LAGA DI,
UTHHEY HAR NIGAAH LEKIN KOI BAAMTAK NA POHANCHEY,
WOHI IK HASEEN NAGHMA HAI SHAKEEL JAAN-E-HASTI,
JO ZUBAAN TAK NA POHANCHEY, JO KALAAM TAK NA POHANCHEY ...

POET : SHAKEEL BADEWAANI
CONTRIBUTION: ZAHID SHAH

Geeli Zulfon Ko Jab Chehray Pay Sajaya Us Nay

Geeli Zulfon Ko Jab Chehray Pay Sajaya Us Nay
Jesay Mahtaab Ko Badal Mein Chupaya Us Nay
Ruk Gai Gurdish_E_Duniya Bhi Us K Julway Ki Khatir
Jesay Hi Baalon Ko Chehray Say Hataya Us Nay
Moo_E_Be_Niaz Jabeen Par Bikhary Jis Waqt
Chand Roshan Ko Girhan Jesay Lagaya Us Nay
Wo Jo Rukhsron Pay Gesoo Si Giri Thi Shubnam
Boond Ko Moti Ki Sorat Mein Banaya Us Nay
Tab Mera Hosila_E_Emaan Dugmagata Raha
Jab Bhi Zulfon Ki Chhaoon Mein Solaya Us Nay
Lay Chali Aankhon Say Neendain Wo Chora Kar 'MOHSIN'
Jab Say Baalon K Thapheron Say Jagaya Us Nay.....

Poet : Mohsin Naqvi

Gaye Dinon Ka Suraag Lay Kar Kahan Say Aaya, Kidhar Gaya Wo ?

Gaye Dinon Ka Suraag Lay Kar Kahan Say Aaya, Kidhar Gaya Wo ?
Ajeeb Maanoos Ajnabi Tha Mujhe To Hairan Kar Gaya Wo,
Khushi Ki Rut Ho K Gham Ka Mousum, Nazar Usay Dhoondhti hai har dam
Wo Boo-e-Gul tha k naghma-e-jaan, mere to dil mein utar gaya Wo
Kuch Ab Sambhalnay Lagi Hai Jaan Bhi, Badal Chala Rang-e-Aasman Bhi
Jo Raat Bhaari Thi Tall Gai Hai, Jo Din Karra Tha Guzar Gaya Wo
Shikasta_Paa Raah Mein Khara Hoon,
Gaye Dinon Ko Pukarta Hoon
Jo Qafila Mera Hamsafar Tha,
Misl-e-Gard-e-Safar Gaya Wo
Bas Aik Manzil Hai Bas Hawas Ki Hazar Rastay Hain Ahl-e-Dil K
Yehi To Hai Farq Mujh Mein Us Mein, Guzar gaya Main Thehr Gaya Wo
Wo Jis K Shanay Pay Hath Rakh K Safar Kia Tu Nay Manzilon Ka
Teri Gali Se Najanay Kiyun Aaj Sar Jhukaye Guzar Gaya Wo
Wo Hijr Ki Raat Ka Sitara Wo Hum Nafas Hum Sukhan Hamara
Sada Rahay Naam Us Ka Piyara Suna Hai Kal Raat Mar Gaya Wo
Na ab Wo Yaadon Ka Charhta Dariya Na Fusaton Ki Udaas Barkha
Yunhi Zara Si Kasak Hai Dil Mein Jo Zakhm Gehra Tha Bhar Gaya Wo
Wo Raat Ka Be_Nawa Musafir Wo Tera Shayir Wo Tera NASIR
Teri Gali Tak To Hum Nay Dekha Phir Najanay Kidhar Gaya Wo

Poet : NASIR KAZMI
Contribute : Zahid Shah

Gar Yehi Haal Raha Mai_Khano'n Mein,

Gar Yehi Haal Raha Mai_Khano'n Mein,
Dhair Lag Jaye Ga Tootay Huey Paimaano'n Ka,
Qehat Duniya Mein Hai Ab Aisay Musalmaano'n Ka,
Zor Jo Torr Diya Kartay Thay Tufaano'n Ka,
Koi "Khalid" Hai Na "Tariq " Hai Na Ko "Ibn_e_Qasim"
Raasta Saaf Hai Barrhtay Huey Shetaano'n Ka,
Jis Jagah Chaaho, Jahan Chaaho, Bahaa Do Is Ko,
Khoon Is Dor Mein Sasta Hai Musalmaano'n Ka .....

GARMI-E-HASRAT-E-NAKAAM SAY JAL JAATEY HAIN,
















GARMI-E-HASRAT-E-NAKAAM SAY JAL JAATEY HAIN,
Hum Charaaghon Ki Tarha Shaam Say Jal Jaatey Hain,
Bach Nikaltey Hain Agar Aatish-e-Sayyad Say Hum,
Sholaa-e-Aatish-e-Gulfaam Say Jal Jaatey Hain,
Khud_Numaai To Nahi Shewa-e-Arbaab-e-Wafa,
Jin Ko Jalna Ho Wo Aaraam Say Jal Jaatey Hain,
Shamma Jis Aag Mein Jalti Hai Numaish Kay Liye,
Hum Usi Aag Mein Gum_Naam Say Jal Jaatey Hain,
Jab Bhi Aata Hai Tera Naam Meray Naam Kay Saath,
Jaaney Kiyon Log Meray Naam Say Jal Jaatey Hain,
Rabt-e-Baaham Pay Humein Kiya Na Kahein Gay Dushman,
Aashnaa Jab Teray Paighaam Say Jal Jaatey Hain,
Poet: Qateel Shifaai
Contribute: Zahid Shah

Gali Koonchey Mein Barg-E-Khushki Ki Soorat Bikherna Tha,

Gali Koonchey Mein Barg-E-Khushki Ki Soorat Bikherna Tha,
Hawa Sey Dosti Ka Koi To Anjaam Hona Tha,
Junoonkey Sheher Mein Lekin Humari Haar Lazim Thi,
Idhar Ek Shaira Thi, Us Taraf Zamana Tha,
Ye Sara Umar Kis Aashuftagi Mein Raeygaan Kar Di,
Usi Ko Yaad Rakha Hai, Jisey Dil Se Bhulana Tha,
Ajab Wehshat Ka Alam Hai Samajh Mein Kuch Nahi Aata,
Safar Ki Shab Musafir Ko Kahan Khaima Lagana Tha,
Diye Jo Baam Par Rakhey They Main Nay, Bujh Gaye Saare,
Isi Tareek Shab Mein Usi Ko Mere Gaaon Aana Tha,
Wo Jab Ojhal Hua To Hum Bhi Apne Aap Se Chaunkey,
Usey Awaaz Deni Thi, Usey Wapas Bulana Tha.

Gadaa-Dast Ehal-E-Karam Dekhty Hain..

Gadaa-Dast Ehal-E-Karam Dekhty Hain..
Hum Apnaa Hi Dam Or Qadam Dekhty Hain..
Na Dekha J0 Kuch Jaam Mein Jamm Ney Apne..
S00 Yakk Qatra-E-May Mein Hum Daikhty Hain..
Yeh RanjiSh Mein Hum K0 Hai Be-Ekhtiyaari.
Tujhe TEri Khaa Kar QaSam Dekhty Hain..
Gharz Kufr Say Kuch Na Hai Be-Matllab..
Tamasha-E-Dayr-O-Harram Dekhty Hain..
Mittaa Jaaye Hai Harf Harf Aans00'n Say..
J0 Nama Ussy Kar Raqam Daikhty Hain..
Magar Tujh Say Ranjeda-E-Khaatir Hai *Sauda..
Ussy TEre K0chy Mein Kam Daikhty Hain..

Poet : Mirza Mohammad Rafi Sauda

Ey Dil-e-Be_Qaraar Chup Ho Ja ,












Ey Dil-e-Be_Qaraar Chup Ho Ja ,
Ja Chuki Hai Bahaar Chup Ho Ja
Ab Na Aayein Gay Roothnay Waalay
Deeda-e-Ashq-baar Chup Ho Ja
Choot Jaati Hai Phool Se Khushbu,
Rooth Jatay Hain Yaar Chup Ho Ja
Hum Faqeero'n Ka Is Zamaanay Mein
Kaun Hai Ghum-Gusaar Chup Ho Ja
Geet Ki Zarb Se Bhi Ay Sagar ,
Toot Jatay Hain Taar Chup Ho Ja ....
Poet : Sagar Siddiqui
Contributed : Zahid Shah

Maar Hi Daal Mujhe Chasm-E-Adaa Sey Pehlay,

Maar Hi Daal Mujhe Chasm-E-Adaa Sey Pehlay,
Apni Manzil Ko Pohunch Jaon Qaza Sey Pehlay,
Ik Nazar Dekh Loon Aa Jaao Qaza Se Pehlay,
Tum Sey Milney Ki Tamanna Hai Khuda Sey Pehlay,
Hashr K Roz Main Poochoon Ga Khuda Sey Pehlay,
Tu Ney Roka Nahi Kiyun Mujh Ko Khata Sey Pehlay,
Ay Meri Mout Thahar Un Ko Zara Aaney Dey,
Zahar Ka Jaam Na Dey Mujh Ko Dawa Sey Pehley,
Haath Pohnchey Bhi Na Thay Zulf Dota Tak "Momin"
Hathkarri Daal Di Zaalim Ney Khata Sey Pehlay ..!

Poet: Momin Khan Momin
Contribute: Zahid Shah

Sari Raat Ki Jagi Aankhein, College Mein Kiya Parrhti Hon Gi,

Sari Raat Ki Jagi Aankhein,
College Mein Kiya Parrhti Hon Gi,
Yonhi khoye, Dil Hi Dil Mein..
Jaanay Kiya Kiya Karti Hon Gi..
Sari Raat Ki Jaagi Aankhein..
Koi Bolay, Kaan Na Dharna..
Koi Hillay To Ek Dam Darna..
Koi Daikhey In Ka Barhna..
Apne Aap Say Larti Hon Gi..
Sari Raat Ki Jagi Aankhein,
Apni Kitaabein Phartey Rehna..
Us ki Baatein Kartey Rehna..
Us ki Yaadein Ghartey Rehna,
Jeetay Jeetay Marti Hon Gi..
Sari Raat Ki Jagi Aankhein,
College Mein Kiya Parrhti Hon Gi,

Poet: Wasi Shah
Contribute: Zahid Shah

Insha jee Utho ! ab kooch karo, is sheher mein jee ka lagana kya.














Insha jee Utho ! ab kooch karo, is sheher mein jee ka lagana kya.
wehshi ko sukoon sey kya matlab, jogi ka nagar mein Thikana kya.
Is dil k dareeda daman ko dekho to sahi, socho to sahi;
Jis jholi mein sau chhed huey us jholi ko phailana kya.
Shab beeti, chaand bhi Doob gaya, zanjeer pari darwazey mein;
Kiyon der gaye ghar aaye ho, sajni sey karo gey bahana kya.
Us husn k sachey moti ko ham dekh sakein, par chhu na sakein;
Jisey dekh sakein par chhu na sakein Wo doulat kya Wo Khazana kya.
Us ko bhi jala dukhtey huey man, ek shola laal bhabhooka ban;
Yoon aansu ban beh jana kya, yoon matti mein mil jana kya.
Jab shehar ke log na rasta dain, kiyon ban mein na ja bisram karey;
Deewaano'n ki si na baat karey, to aur karey deewaana kya.
Poet: Ibn-e-Insha
Contribute: Zahid Shah

Dasht_E_Dariya Kay Yeh Us Paar Kahan Tak Jaati ?

Dasht_E_Dariya Kay Yeh Us Paar Kahan Tak Jaati ?
Ghar Ki Deewar Thi Deewar Kahan Tak Jaati ?
Mitt Gayi Hasrat_E_Deedar Bhi Rafta Rafta,
Hijar Mein Hasrat_E_Deedar Kahan Tak Jaati ?
Thak Gaye Hont Tera Naam Bhi Letay Letay,
Aik Hi Lafz Ki Takraar Kahan Tak Jaati?
Tu Bohat Door Bohat Door Gaya Tha Mujh Say,
Meri Aawaz Meray Yaar Kahan Tak Jaati?
Har Taraf Husn Kay Bazaar Lagay Thay MOHSIN,
To Meri Chashm_E_ Khareedar Kahan Tak Jaati,?
Poet: Mohsin Naqvi
Contribute: Zahid Shah

Aap Ki Nazron Nay Samjah Piyar K Qabil Mujhe

















Aap Ki Nazron Nay Samjah Piyar K Qabil Mujhe
Dil Ki Ay Dharken Ther Ja Mil Gai Manzil Mujhe
Jee Humain Manzoor Hy Aap Ka Ye Faisla
Keh Rahi Hai Har Nazar Banda_Parwar Shukariya
Hans K Apni Zindgi Main Kar Liya Shamil Mujhe
Aap Ki Nazron Nay Samjha Piyar K Qabil Mujhe
Aap Ki Manzil Hoon Main, Meri Manzil Aap Hain
Kiyun Main Tufaanon Say Daroon Mera Sahil Aap Hain
Koi Tufaanon Say Keh day Mil Gai Manzil Mujhe
Bhar Gai Dilbar Mere Aap Ki Parchaeyan
Har Tarf Bajhnay Lagi Sankrron Shahnaiyan
Do Jahan Ki Aaj Khushiyan Ho Gai Hasil Mujhe .......

Hum Nazuk Nazuk Dil walay, Bus Aisay Hi To Hotay Hain,


















Hum Nazuk Nazuk Dil walay, Bus Aisay Hi To Hotay Hain,
Kabhi Hanstay Hain, Kabhi Rotay Hain, Kabhi Dil Mein Khwaab Pirotay Hain,
Kabhi Mehfil Mehfil Phirtay Hain, Kabhi Zaat Mein Tanha Hotay Hain,
Kabhi Chup Ki Mohar Sajatay Hain, Kabhi Geet Labon Par Hotay Hain,
Kabhi Sub Ka Dil behlatay hain' kabhi khud Mein Tanha Rotay Hain,
Kabhi Shab Bhar Jaagtay Rehtay Hain, Kabhi Lambi Taan K Sotay Hain,
Hum Nazuk Nazuk Dil walay, Bus Aisay Hi To Hotay Hain !

Har haqeeqat majaaz ho jaye,



















Har haqeeqat majaaz ho jaye,
kafiron ki namaaz ho jaye
minnat-e-charasaz kaun karey,
dard jab jaan_nawaz ho jaye,
ishq dil main rahey to ruswa ho,
lab pey aaye to raaz ho jaye,
lutf ka intazaar karta hun
jor ta hadd-e-naaz ho jaye
umer bey_sood kat rahi hai Faiz
kash afsha-e-raaz ho jaye !

Ehsaan Itna Sa Kar De

Ehsaan Itna Sa Kar De
Mujhe Phir Tanha Sa Kar De
Tere Bina Jeena Sakoon Ga
Mil Ke Yeh Tujh Se
Keh Na Sakoon Ga
Tera Mera Yeh Nata Kiyon Toota
Tera Mera Yeh Pyaar Kiyon Rootha
Aadhi Baatein, Adhoori Raatein
Reh Gai Tere Bina
Reh Gai Tere Bina
Tanhaiyan Seh Na Sakoon Ga
Tere Bina Jee Na Sakoon Ga
Tu Nahi Raha Teri Yaad Reh Gai
Palkon Pe Teri Aas Reh Gai
Koi To Ho Ga Bahana Bata
Tujhko Bhula Denay Ka ...

www.zahid-shah.blogspot.com/

Azaab-e-Deed mein Aankhein Lahoo Lahoo kar k,















Azaab-e-Deed mein Aankhein Lahoo Lahoo kar k,

Main Sharamsaar huwa Teri Justujoo kar k,

Khandar ki tarha say Bareeda Badan Saron k siwa,

Mila na kuch bhi Khazano'n ki Aarzoo kar k,

Suna hai sheher mein Zakhmi Dilo'n ka Mela hai,

Chalein gay hum bhi Magar Perahan Raffoo kar k,

Musafat-e-Shab-Hijraan k baad Bhaid Khula,

Hawaa Dukhi hai Charaagho'n ki Aabroo kar k,

Zameen ki Piyaas usi k Lahoo ko chaat gayi,

Wo Khush huwa tha Samandar ko Aab-e-Jo kar k,

Ye kis nay Hum say Lahoo ka Khiraaj phir Maanga,

Abhi to soay thay Maqtal ko Surkharoo kar k,

Jaloos-e-Ahl-e-Wafa kis k darr pay Phohncha hai ?

Nishaan-e-Tauq-Wafa Zeenat-e-Galoo kar k,

Ujaar Roth ko Gulaabi Banaaye rakhti hai,

Hamari aankh teri Deed say Wazzoo kar k,

Koi to Habs-e_Hawa se ye poochta MOHSIN,

Mila hai kya Usey kaliyo'n ko Bey-Namoo kar k !

Poet: Mohsin Naqvi
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Wednesday, October 24, 2012

Shikwa Poem By Allama Iqbal





Kiyun Ziyaan Kaar Banun, Sood Framosh Rahun
Fikr-e-Farda Na Karum, Mahw-e-Ghum-e-Dosh Rahun

Naale Bulbul Ke Sunoon, Aur Hama Tan Gosh Rahun
Humnawa Main Bhi Koi Gul Hun Ke Khamosh Rahun

Jurrat Aamoz Miri Taab-e-Sakhun Hai Mujh Ko
Shikwa Allah Se Khakam Badahan Hai Mujh Ko

Hai Baja Shewa-e-Tasleem Mein Mashoor Hain Hum
Qissa-e-Dard Sunate Hain Ke Majboor Hain Hum

Saaz-e-Khamosh Hain, Faryad Se Maamoor Hain Hum
Nala Ata Hai Agar Lab Pe To Maazoor Hain Hum

Ae Khuda Shikwa-e-Arbab-e-Wafa Bhi Sun Le
Khugar-e-Hamd Se Thora Sa Gila Bhi Sun Le

Thi To Maujood Azal Se Hi Teri Zaat-e-Qadim
Phool Tha Zaib-e-Chaman, Par Na Preshan Thi Shamim

Shart Insaaf Hai, Ae Sahib-e-Altaf-e-Amim
Boo-e-Gul Phailti Kis Tarah Jo Hoti Na Nasim

Hum Ko Jamiat-e-Khatir Ye Preshani Thi
Warna Ummat Tere Mehboob (S.A.W.) Ki Diwani Thi

Hum Se Pehle Tha Ajab Tere Jahan Ka Manzar
Kahin Masjood The Pathar, Kahin Maabood Shajar

Khugar-e-Paikar-e-Mahsoos Thi Insaan Ki Nazar
Manta Phir Koi Un-Dekhe Khuda Ko Kyunkar

Tujh Ko Maalum Hai Leta Tha Koi Naam Tera?
Quwwat-e-Baazoo-e-Muslim Ne Kiya Kaam Tera

Bas Rahe The Yahin Saljuq Bhi, Toorani Bhi
Ahl-e-Chin Cheen Mein, Iran Mein Sasaani Bhi

Issi Maamoore Mein Aabad The Yoonani Bhi
Issi Dunya Mein Yahudi Bhi The, Nusraani Bhi

Par Tere Naam Pe Talwar Uthai Kis Ne
Baat Jo Bigri Huwi Thi, Woh Banaai Kis Ne

The Hameen Ek Tire Maarka Aaraaon Mein!
Khushkion Mein Kabhi Larte, Kabhi Dariyaon Mein,

Deen Azaanen Kabhi Europe Ke Kaleesaaon Mein
Kabhi Africa Ke Tapte Huwe Sehraaon Mein.

Shan Ankhon Mein Na Jachti Thi Jahan Daron Ki
Kalima Parhte The Hum Chaon Mein Talwaron Ki

Hum Jo Jeete The To Jnagon Ki Musibat Ke Liye
Aur Merte The Tere Naam Ki Azmat Ke Liye

Thi Na Kuch Taeg-Zani Apni Hukumat Ke Liye
Sar-Bakaf Phirte The Kya Dehar Mein Doulat Ke Liye

Qaum Apni Jo Zar-o-Maal-e-Jahan Par Marti,
But Faroshi Ke Iwaz But Shikni Kyon Karti?

Tal Na Sakte The Agar Jang Mein Arh Jate The
Paon Sheron Ke Bhi Maidan Se Ukhar Jate The

Tujh Se Sarkash Huwa Koi To Bighar Jate The
Taeg Kya Cheez Hai, Hum Toup Se Larh Jate The

Naqsh Tauheed Ka Har Dil Pe Bithaya Hum Ne
Zer-e-Khanjar Bhi Yeh Paigham Sunaya Hum Ne

Tu Hi Keh De Ke Ukhara Dar-e-Khyber Kis Ne
Sheher Qaiser Ka Jo Tha, Us Ko Kiya Sar Kis Ne

Tore Makhluq Khudawandon Ke Paikar Kis Ne
Kaat Kar Rakh Diye Kuffaar Ke Lashkar Kis Ne

Kis Ne Thanda Kiya Atishkuda-e-Iran Ko?
Kis Ne Phir Zinda Kiya Tazkara-e-Yazdaan Ko?

Kon Si Qoum Faqat Teri Talabgar Huwi
Aur Tere Liye Zehmat Kash-e-Paikaar Huwi

Kis Ki Shamsheer Jahangeer, Jahandar Huwi
Kis Ki Takbeer Se Dunya Teri Baidar Huwi

Kis Ki Haibat Se Sanam Sehme Huwe Rehte The
Munh Ke Bal Gir Ke 'HU WA-ALLAH HU AHAD' Kehte The

Aa Gaya Ain Laraai Mein Agar Waqt-e-Namaz
Qibla Ru Ho Ke Zameen Bos Huwi Qoum-e-Hijaz

Ek Hi Saf Mein Khare Ho Gaye Mahmood-o-Ayaz,
No Koi Banda Raha Aur Na Koi Banda Nawaz.

Banda-o-Sahib-o-Mauhtaaj-o-Ghani Aik Huwe
Teri Sarkar Mein Pohanche To Sabhi Aik Huwe

Mehfil-e-Kon-o-Makan Mein Sehar-o-Sham Phire
Mai-e-Tauheed Ko Lekar Sifat-e-Jam Phire

Koh Mein, Dasht Mein Le Kar Tera Pegham Phire
Aur Maaloom Hai Tujh Ko, Kabhi Nakaam Phire !

Dasht To Dasht Hain, Darya Bhi Na Chhore Hum Ne
Bahr-e-Zulmaat Mein Daura Diye Ghore Hum Ne

Safah-e-Dahar Se Baatil Ko Mitaya Hum Ne
Nau-e-Insaan Ko Ghulami Se Chhuraya Hum Ne

Tere Kaabe Ko Jabeenon Se Basaya Hum Ne
Tere Quran Ko Seenon Se Lagaya Hum Ne

Phir Bhi Hum Se Yeh Gila Hai Ke Wafadar Nahin
Hum Wafadar Nahin, Tu Bhi To Dildar Nahin!

Ummatain Aur Bhi Hain, In Mein Gunahgar Bhi Hain
Ejz Wale Bhi Hain, Mast-e-Mai-e-Pindar Bhi Hain

In Mein Kahil Bhi Hain, Ghafil Bhi Hain, Hushyar Bhi Hain
Saikron Hain Ke Tere Naam Se Baizar Bhi Hain

Rehmatain Hain Teri Aghiyar Ke Kashaanon Par
Barq Girti Hai To Bechare Musalmanon Par

Butt Sanam Khanon Mein Kehte Hain, Musalman Gye
Hai Khushi In Ko Ke Kaabe Ke Nigehban Gye

Manzil-e-dehr Se Unthon Ke Hudi Khawan Gye
Apni Baghlon Mein Dabaye Huwe Quran Gye

Khandah Zan Kufr Hai, Ehsas Tujhe Hai Ke Nahin
Apni Touheed Ka Kuch Paas Tujhe Hai Ke Nahin

Ye Shikayatt Nahin, Hain Un Ke Khazane Maamur
Nahin Mehfil Mein Jinhain Baat Bhi Karne Ka Shaur

Qehar To Ye Hai Ke Kafir Ko Milain Hoor-o-Qasoor
Aur Bechare Musalman Ko Faqat Wada-e-Hoor

Ab Woh Altaf Nahin, Hum Pe Anayat Nahin
Baat Ye Kya Hai Ke Pehli Si Madarat Nahin

Kyun Musalmanon Mein Hai Doulat-e-Dunya Nayaab
Teri Qudrat To Hai Woh Jis Ki Na Had Hai Na Hisab

Tu Jo Chahe To Uthe Seena-e-Sehra Se Habab
Rahroo-e-Dasht Ho Seeli Zada Mouj-e-Saraab

Taan-e-Aghiyaar Hai, Ruswai Hai, Nadaari Hai,
Kya Tere Nam Pe Marne Ka Iwaz Khwari Hai?

Bani Aghyar Ki Ab Chahne Wali Dunya
Reh Gyi Apne Liye Aik Khiyali Dunya

Hum To Rukhsat Huwe, Auron Ne Sanbhali Dunya
Phir Na Kehna Huwi Touheed Se Khali Dunya

Hum Tau Jeete Hain Ke Duniya Mein Tira Naam Rahe,
Kahin Mumkin Hai Saqi Na Rahe, Jaam Rahe?

Teri Mehfil Bhi Gai, Chahne Walw Bhi Gaye,
Shab Ki Aahen Bhi Gaien, Subah Ke Nale Bhi Gaye,

Dil Tujhe Debhi Gaye, Apna Sila Le Bhi Gaye,
Aa Ke Baithe Bhi Na The, Ke Nikaale Bhi Gaye.

Aae Ushaaq, Gaye Waada-e-Farda Lekar,
Ab Unhen Dhoond Charag-e-Rukh-e-Zeba Lekar!

Dard-e-Laila Bhi Wohi, Qais Ka Pahlu Bhi Wohi,
Nejd Ke Dasht-o-Jabal Mein Ram-e-Aahoo Bhi Wohi,

Ishq Ka Dil Bhi Wohi, Husn Ka Jaadoo Bhi Wohi,
Ummat-e-Ahmed-e-Mursil Bhi Wohi, Tu Bhi Wohi,

Phir Yeh Aazurdagi-e-Ghair-Sabab Kya Maani,
Apne Shaidaaon Pe Yeh Chashm-e-Ghazab Kya Maani?

Tujh Ko Chora Ke Rasool-e-Arabi (S.A.W.) Ko Chora?
Boutgari Paisha Kiya, Bout Shikani Ko Chora?

Ishq Ko, Ishq Ki Ashuftah-Sari Ko Chora?
Rasm-e- Salman (R.A.) -o- Awais-e-Qarani (R.A.) Ko Chora?

Aag Takbeer Ki Seenon Mein Dabi Rakhte Hain
Zindagi Misl-e- Bilal-e-Habshi (R.A.) Rakhte Hain

Ishq Ki Khair, Who Pehli Si Ada Bhi Na Sahi,
Jaada Paimaai Taslim-o-Raza Bhi Na Sahi,

Muztarib Dil Sifat-e-Qibla Nama Bhi Na Sahi
Aur Pabandi-e-Aaeen-e-Wafa Bhi Na Sahi

Kabhi Hum Se, Kabhi Ghairon Se Shanasaai Hai
Baat Kehne Ki Nahin, Tu Bhi To Harjaai Hai

Sar-e-Faran Pe Kiya Deen Ko Kamil Tu Ne
Ek Ishare Mein Hazaron Ke Liye Dil Tu Ne

Atish Andoz Kiya Ishq Ka Hasil Tu Ne
Phoonk Di Garmi-e-Rukhsar Se Mehfil Tu Ne

Aaj Kyun Seene Humare Sharar Abad Nahin
Hum Wohi Sokhta Saman Hain, Tuhe Yaad Nahin?

Wadi-e-Najd Mein Woh Shor-e-Silasil Na Raha
Qais Diwana-e-Nazara Mehmil Na Raha

Hosle Woh Na Rahe, Hum Na Rahe, Dil Na Raha
Ghar Ye Ujhra Hai Ke Tu Ronaq-e-Mehfil Na Raha

Ae Khush Aan Roz Ke Ayi-o-Bsad Naz Ayi
Be-Hijabana Soo'ay Mehfil-e-Ma Baaz Ayi

Badahkash Gair Hain Gulshan Mein Lab-e-Joo Baithe
Sunte Hain Jaam Bakaf Naghma-e-Kuku Baithe

Door Hungama-e-Gulzar Se Yak Soo Baithe
Tere Diwane Bhi Hain Muntazir 'Hoo' Baithe

Apne Parwanon Ko Phir Zauq-e-Khud Afrozi De
Barq-e-Dairina Ko Farman-e-Jigar Sozi De

Qoum-e-Awara Anaa Taab Hai Phir Soo'ay Hijaz
Le Ura Bulbul-e-Be Par Ko Mazak-e-Parwaz

Muztarib Bagh Ke Har Ghunche Mein Hai Boo'ay Niaz
Tu Zara Chair To De, Tashna-e-Mizrab Hai Saaz

Naghme Betaab Hain Taron Se Niklne Ke Liye
Toor Muztar Hai Ussi Aag Mein Jalne Ke Liye

Mushkalain Ummat-e-Marhoom Ki Asan Kar De
Moor-e-Bemaya Ko Humdosh-e-Suleman Kar De

Jins-e-Nayaab-e-Mohabbat Ko Phir Arzaan Kar De
Hind Ke Dair Nasheenon Ko Musalman Kar De

Joo'ay Khoon Mee Chakad Az Hasrat-e-Dairina-e-Maa
Mee Tapd Nala Ba Nashtar Kadah-e-Seena-e-Maa

Boo-e-Gul Le Gyi Bairun-e-Chaman Raaz-e-Chaman
Kya Qayamat Hai Ke Khud Phool Hain Ghammaz-e-Chaman !

Ahd-e-Gul Khatam Hua, Tut Gaya Saaz-e-Chaman,
Ur Gaye Dalion Se Zamzama Pardaaz-e-Chaman.

Ek Bulbul Hai Ke Hai Mahw-e-Tarannum Ab Tak,
Us Ke Seene Mein Hai Naghmon Ka Talatam Ab Tak.

Qumrian Shaakh-e-Sanober Se Gurezaan Bhi Huin,
Pattian Phool Ki Jhar Jhar Ke Pareshan Bhi Huin;

Wo Purani Ravishen Bagh Ki Weeran Bhi Huin,
Daalian Parahan-e-Barg Se Uriaan Bhi Huin.

Qaid-e-Mausim Se Tabiat Rahi Aazad Uski,
Kaash Gulshan Mein Samjhta Koi Faryaad Uski.

Lutf Merne Main Hai Baqi, Na Maza Jeene Mein
Kuch Maza Hai To Yehi Khoon-e-Jigar Peene Mein

Kitne Betaab Hain Jouhar Mere Aaeene Mein
Kis Qadar Jalwe Tarapte Hain Mere Seene Mein

Iss Gulistan Mein Magar Dekhne Wale Hi Nahin
Dagh Jo Seene Mein Rakhte Hun, Woh Lale Hi Nahin

Chaak Iss Bulbul-e-Tanha Ki Nawa Se Dil Hon
Jaagne Wale Issi Bang-e-Dara Se Dil Hon

Yani Phir Zinda Naye Ehd-e-Wafa Se Dil Hon
Phir Issi Bada-e-Deerina Ke Pyaase Dil Hon

Ajami Khum Hai To Kya, Mai To Hijazi Hai Meri
Naghma Hindi Hai To Kya, Lai To Hijazi Hai Meri ....

Shikwa Poem By Allama Iqbal
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Jawab-e-Shikwa By Allama Iqbal




Dil Se Jo Baat Nikalti Hai, Asar Rakhti Hai
Par Nahi, Taaqat-e-Parwaaz Magar Rakhti Hai

Qudsi-Ul-Asal Hai, Riffat Pe Nazar Rakhti Hai
Khaak Se Uthti Hai, Gardoon Pe Guzar Rakhti Hai

Ishq Tha Fitna Gar-o-Sarkash-o-Chalaak Mera
Aasman Cheer Gaya Nala-e-Bebaak Mera

Peer-e-Gardoon Ne Kaha Sun K, Kahin Hai Koi
Bole Sayyaare, Sar-e-Arsh-e-Bareen Hai Koi!

Chaand Kahta Tha, Nahi, Ahl-e-Zameen Hai Koi!
Kehkashaan Kehti Thi, Poshida Yahin Hai Koi!

Kuch Jo Samjha To Mere Shikwe Ko Rizwan Samjha
Mujhe Jannat Se Nikala Huwa Insan Samjha

Thi Farishton Ko Bhi Hairat, K Ye Awaz Hai Kya!
Arsh Walon Pe Bhi Khulta Nahi Ye Raaz Hai Kya!

Taa Sar-e-Arsh Bhi Insan Ki Tag-o-Taaz Hai Kya?
Aa Gyi Khak Ki Chutki Ko Bhi Parwaaz Hai Kya?

Ghafil Aadaab Se Yeh Sukkaan-e-Zameen Kaise Hain
Shokh-o-Gustakh Yeh Pasti Ke Makeen Kaise Hain!

Iss Qadar Shokh Ke Allah Se Bhi Barham Hai
Tha Jo Masjood-e-Malaeek Yeh Wohi Aadam Hai?

Alam-e-Kaif Hai, Dana-e-Ramooz-e-Kam Hai
Haan, Magar Ijz Ke Asrar Se Namehram Hai

Naaz Hai Taaqat-e-Guftaar Pe Insanon Ko
Baat Karne Ka Saliqa Nahin Nadanon Ko!

Ayi Aawaz Ghum-Angaiz Hai Afsana Tera
Ashk-e-Betaab Se Labraiz Hai Paimana Tera

Asmangeer Huwa Naara-e-Mastana Tera
Kis Qadar Shokh Zuban Hai Dil-e-Diwana Tera

Shukr Shikwe Ko Kiya Husn-e-Ada Se Tu Ne
Hum Sukhan Kar Diya Bandon Ko Khuda Se Tu Ne

Hum Tau Mayal Ba-Karam Hain, Koi Sayal Hi Nahi
Rah Dikhlaen Kise Rahraw-e-Manzil Hi Nahi

Tarbiat Aam To Hai, Jauhar-e-Qabil Hi Nahi
Jis Se Taamir Ho Aadam Ki Yeh Woh Gil Hi Nahi

Koi Qabil Ho To Hum Shan-e-Kai Dete Hain
Dhoondne Walon Ko Dunya Bhi Nai Dete Hain!

Hath Be-Zor Hain, Ilhaad Se Dil Khoo-Gar Hain
Ummati Baais-e-Ruswai-e- Paighamber (S.A.W) Hain

But-Shikan Uth Gaye, Baqi Jo Rahe But-Gar Hain
Tha Braheem Pidar, Aur Pisar Aazar Hain

Badah Aasham Naye, Bada Naya, Khum Bhi Naye
Harm-e-Kaaba Naya, But Bhi Naye, Tum Bhi Naye

Woh Bhi Din The Ke Yehi Maya-e-Raanai Tha
Nazish-e-Mousam-e-Gul Lala-e-Sahrai Tha!

Jo Musalmaan Tha Allah Ka Saudai Tha
Kabhi Mehboob Tumhara Yehi Harjai Tha

Kisi Yakjai Se Ab Ehd-e-Ghulami Kar Lo
Millat-e- Ahmad (S.A.W.) Ko Maqami Kar Lo!

Kis Qadar Tum Pe Garan Subah Ki Baidari Hai
Hum Se Kab Pyar Hai! Haan Neend Tumhain Pyari Hai

Tabaa-e-Azad Pe Qaid-e-Ramazan Bhari Hai
Tumhi Keh Do, Yehi Aaeen-e-Wafadari Hai?

Qoum Mazhab Se Hai, Mazhab Jo Nahi, Tum Bhi Nahi
Jazb-e-Baham Jo Nahi, Mehfil-e-Anjum Bhi Nahi

Jin Ko Ata Nahi Dunya Mein Koi Fann, Tum Ho
Nahi Jis Qoum Ko Parwaye Nasheman, Tum Ho

Bijliyan Jis Mein Hon Aasudah, Woh Khirman Tum Ho
Baich Khate Hain Jo Aslaaf Ke Madfan, Tum Ho

Ho Niko Naam Jo Qabaron Ki Tajarat Kar Ke
Kya Na Baicho Ge Jo Mil Jaen Sanam Pathar Ke

Safah-e-Dehar Se Batil Ko Mitaya Kis Ne?
Nau-e-Insan Ko Ghulami Se Chhuraya Kis Ne?

Mere Kaabe Ko Jabeenon Se Basaya Kis Ne ?
Mere Quran Ko Seenon Se Lagaya Kis Ne ?

The To Aaba Wo Tumhare Hi, Magar Tum Kya Ho ?
Hath Par Hath Dhare Muntazir-e-Farda Ho !

Kya Kaha ? "Bahr-e-Musalman Hai Faqt Wade-e-Hoor
Shikwa Be-Ja Bhi Kare Koi Tau Lazim Hai Shaoor !

Adal Hai Fatir-e-Hasti Ka Azal Se Dastoor
Muslim Aaeen Huwa Kafir To Mile Hoor-o-Qasoor

Tum Mein Hooron Ka Koi Chahne Wala Hi Nahi
Jalwa-e-Toor To Maujood Hai, Moosa Hi Nahi

Manfa'at Aik Hai Is Qaum Ki, Nuqsan Bhi Aik
Ek Hi Sab Ka Nabi (S.A.W), Din Bhi, Iman Bhi Aik

Harm-e-Paak Bhi, Allah Bhi, Quran Bhi Aik,
Kuch Bari Baat Thi Hote Jo Musalmaan Bhi Aik!

Firqa Bandi Hai Kahin, Aur Kahin Zaatain Hain
Kya Zamane Mein Panapne Ki Yehi Baatain Hain?

Kon Hai Taarik-e-Aaeen-e-Rasool-e- Mukhtar (S.A.W.) ?
Maslihat Waqt Ki Hai Kis Ke Amal Ka Maayaar?

Kis Ki Ankhon Mein Samaya Hai Sha'ar-e-Aghyar
Ho Gyi Kis Ki Nigah Tarz-e-Salaf Se Baizar?

Qalb Mein Souz Nahi, Rooh Mein Ehsas Nahi
Kuch Bhi Paigham-e- Muhammad (S.A.W.) Ka Tumhain Paas Nahi

Jaa Ke Hote Hain Masajid Mein Saf-Aara, To Ghareeb
Zehmat-e-Roza Jo Karte Hain Gawara, To Ghareeb

Naam Leta Hai Agar Koi Hamara, To Ghareeb
Pardah Rakhta Hai Agar Koi Tumhara, To Ghareeb

Umra Nasha-e-Doulat Mein Hain Ghafil Hum Se
Zinda Hai Millat-e-Baiza Ghurba Ke Dam Se

Waaiz-e-Qoum Ki Woh Pukhta Khayali Na Rahi
Barq Taba'ee Na Rahi, Shaola Maqali Na Rahi

Reh Gyi Rasm-e-Azan, Rooh-e-Bilali Na Rahi
Falsafa Reh Gya, Talqeen-e-Ghazali Na Rahi

Masjidain Marsiya Khawan Hain Ke Namazi Na Rahe
Yani Woh Sahib-e-Ausaf-e-Hijazi Na Rahe

Shor Hai Ho Gaye Dunya Se Musalman Nabood
Hum Ye Kehte Hain Ke The Bhi Kahin Muslim Maujood!

Waza Mein Tum Ho Nisara, Tau Tamaddun Mein Hanood,
Yeh Musalman Hain! Jinhain Dekh Ke Sharmaen Yahood ?

Yun To Syed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho
Tum Sabhi Kuch Ho, Batao To Musalman Bhi Ho!

Dam-e-Taqreer Thi Muslim Ki Sadaqat Bebak
Adal Uss Ka Tha Qawi, Loos-e-Mara'at Se Pak

Shajar-e-Fitrat-e-Muslim Tha Haya Se Namnak
Tha Shujaat Mein Woh Ek Hasti-e-Fouq-Ul-Idraak

Khud Gudazi Nam-e-Kaifiat-e-Sehbayesh Bood
Khali Az Khawaish Shudan Soorat-e-Meenayesh Bood

Har Musalman Rag-e-Batil Ke Liye Nashtar Tha
Uss Ke Aaeena-e-Hasti Mein Amal Jouhar Tha

Jo Bharosa Tha Usse Quwwat-e-Bazoo Par Tha
Hai Tumhain Mout Ka Dar, Uss Ko Khuda Ka Dar Tha

Baap Ka Ilm Na Bete Ko Agar Azbar Ho
Phir Pisar Qabil-e-Miraas-e-Pidar Kyunkar Ho!

Har Koi Mast-e-Mai-e-Zauq-e-Tan Asani Hai,
Tum Musalman Ho? Ye Andaaz-e-Musalmani Hai?

Haidari Faqr Hai Ne Doulat-e-Usmani Hai
Tum Ko Aslaaf Se Kya Nisbat-e-Rohani Hai?

Woh Zamane Mein Mu'azzaz The Musalman Ho Kar
Aur Tum Khawar Huwe Taarik-e-Quran Ho Kar

Tum Ho Apas Mein Ghazabnak, Woh Apas Mein Raheem
Tum Khatakaar-o-Khatabeen, Woh Khata Posh-o-Kareem

Chahte Sub Hain Ke Hon Auj-e-Surayya Pe Muqeem,
Pehle Waisa Koi Paida Tau Kare Qalb-e-Salim!

Takht-e-Faghfoor Bhi Un Ka Tha, Sareer-e-Ke Bhi
Yunhi Baatain Hain Ke Tum Mein Woh Hameeyyat Hai Bhi?

Khudkushi Shewa Tumhara, Woh Ghayoor-o-Khuddar
Tum Akhuwat Se Gurezan, Woh Akhuwat Pe Nisar

Tum Ho Guftar Sarapa, Woh Sarapa Kirdar
Tum Taraste Ho Kali Ko, Woh Gulistan Bah Kinar

Ab Talak Yaad Hai Qoumon Ko Hikayat Un Ki
Naqsh Hai Safah-e-Hasti Pe Sadaqat Un Ki

Misl-e-Anjum Ufaq-e-Qoum Pe Roshan Bhi Huwe
But-e-Hindi Ki Mohabbat Mein Barhman Bhi Huwe

Shauq-e-Parwaz Mein Mehjoor-e-Nasheman Bhi Huwe
Be-Amal The Hi Jawan, Deen-e-Se Badzan Bhi Huwe

In Ko Tehzeeb Ne Har Bande Se Azad Kiya
La Ke Kaabe Se Sanamkhane Mein Abad Kiya

Qais Zehmat Kash-e-Tanhai-e-Sehra Na Rahe
Shehr Ki Khaye Huwa, Bad Ye Pema Na Rahe!

Woh To Diwana Hai, Basti Mein Rahe Ya Na Rahe
Ye Zaroori Hai Hijab-e-Rukh-e-Laila Na Rahe!

Gila-e-Jor Na Ho, Shikwa-e-Baidad Na Ho
Ishq Azad Hai, Kyun Husn Bhi Azad Na Ho!

Ehd-e-Nau Barq Hai, Aatish Zan-e-Har Khirman Hai
Ayman Is Se Koi Sehra No Koi Gulshan Hai

Is Nayi Aag Ka Aqwam-e-Kuhan Indhan Hai
Millat-e-Khatam-e- Rusal (S.A.W.) Shaola Ba Perahan Hai

Aaj Bhi Jo Baraheem (A.S.) Ka Imaan Paida
Aag Kar Sakti Hai Andaz-e-Gulistan Paida

Dekh Kar Rang-e-Chaman Ho Na Pareshan Mali
Koukab-e-Ghuncha Se Shakhain Hain Chamakne Wali

Khas-o-Khashaak Se Hota Hai Gulistan Khali
Gul Bar Andaaz Hai Khoon-e-Shuhada Ki Laali

Rang Gardoon Ka Zara Dekh Tau Unnabi Hai
Yeh Nikalte Huwe Suraj Ki Ufaq Taabi Hai

Ummatain Gulshan-e-Hasti Mein Samar Cheeda Bhi Hain
Aur Mehroom-e-Samar Bhi Hain, Khazan Didah Bhi Hain

Saikron Nakhl Hain, Kaheeda Bhi, Baleeda Bhi Hain
Saikron Batan-e-Chaman Mein Abhi Poshida Bhi Hain

Nakhl-e-Islam Namoona Hai Bru-Mandi Ka
Phal Hai Ye Saikron Saalon Ki Chaman Bandi Ka

Pak Hai Gard-e-Watan Se Sirr-e-Daman Tera
Tu Woh Yousaf Hai Ke Har Misr Hai Kinaan Tera

Qafila Ho Na Sake Ga Kabhi Weeran Tera
Ghair Yak Bang-e-Dara Kuch Nahin Saman Tera

Nakhl-e-Shama Asti-o-Dar Shaola Dawad Resha-e-Tu
Aaqbat Soz Bawad Saya-e-Andesha-e-Tu

Tu Na Mit Jaye Ga Iran Ke Mit Jane Se
Nasha-e-Mai Ko Ta'aluq Nahin Pemane Se

Hai Ayan Yorish-e-Tataar Ke Afsane Se
Pasban Mil Gaye Kaabe Ko Sanam Khane Se

Kashti-e-Haq Ka Zamane Mein Sahara Tu Hai
Asr-e-Nau Raat Hai, Dhundla Sa Sitara Tu Hai

Hai Jo Hangama Bipa Yorish-e-Balghari Ka
Ghafilon Ke Liye Pegham Hai Baidari Ka

Tu Samajhta Hai Ye Saman Hai Dil Aazari Ka
Imtihan Hai Tere Isaar Ka, Khud-Dari Ka

Kyun Harasan Hai Saheel-e-Faras-e-Aada Se
Noor-e-Haq Bujh Na Sake Ga Nafs-e-Aada Se

Chashme-e-Aqwam Se Makhfi Hai Haqiqat Teri
Hai Abhi Mehfil-e-Hasti Ko Zaroorat Teri

Zinda Rakhti Hai Zamane Ko Hararat Teri
Koukab-e-Qismat-e-Imkan Hai Khilafat Teri

Waqt-e-Fursat Hai Kahan, Kaam Abhi Baqi Hai
Noor-e-Touheed Ka Itmam Abhi Baqi Hai

Misl-e-Bu Qaid Hai Ghunche Mein, Preshan Ho Ja
Rakht Bar Dosh Hawaye Chamanistan Ho Ja

Hai Tunk Maya To Zarre Se Byaban Ho Ja
Naghma-e-Mouj Se Hangama-e-Toofan Ho Ja!

Quwwat-e-Ishq Se Har Past Ko Bala Kar De
Dehr Mein Ism-e- Muhammad (S.A.W.) Se Ujala Kar De

Ho Na Ye Phool To Bulbul Ka Tarannum Bhi Na Ho
Chaman-e-Dehr Mein Kaliyon Ka Tabassum Bhi Na Ho

Ye Na Saqi Ho To Phir Mai Bhi Na Ho, Khum Bhi Na Ho
Bazm-e-Touheed Bhi Dunya Mein Na Ho, Tum Bhi Na Ho

Khema Aflak Ka Istada Issi Naam Se Hai
Nabz-e-Hasti Tapish Aamadah Issi Naam Se Hai

Dasht Mein, Daman-e-Kuhsar Mein, Maidan Mein Hai
Behr Mein, Mouj Ki Aghosh Mein, Toofan Mein Hai

Cheen Ke Shehr, Maraqash Ke Byaban Mein Hai
Aur Poshida Musalman Ke Iman Mein Hai

Chashm-e-Aqwam Ye Nazara Abad Tak Dekhe
Riffat-e-Shan-e- 'Rafaana La Ka Zikrak' Dekhe

Mardam-e-Chashm-e-Zameen Yani Woh Kali Dunya
Woh Tumhare Shuhada Palne Wali Dunya

Garmi-e-Mehr Ki Parwarda Hilali Dunya
Ishq Wale Jise Kehte Hain Bilali Dunya

Tapish Andoz Hai Iss Naam Se Paare Ki Tarah
Ghouta Zan Noor Mein Hai Aankh Ke Tare Ki Tarah

Aqal Hai Teri Sipar, Ishq Hai Shamsheer Teri
Mere Darvaish! Khilafat Hai Jahangeer Teri

Ma Siwa Allah Ke Liye Aag Hai Takbeer Teri
Tu Musalman Ho To Taqdeer Hai Tadbeer Teri

Ki Muhammed (S.A.W.) Se Wafa Tu Ne Tau Hum Tere Hain
Yeh Jahan Cheez Hai Kya, Loh-o-Qalam Tere Hain ..

Jawab-e-Shikwa By Allama Iqbal
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Tuesday, October 23, 2012

Kuch Bhi To Nahi Waisa

Kuch Bhi To Nahi Waisa
Jaisa Tujhe Socha Tha
Jitna Tujhe Chaha Tha
Socha Tha Tere Lab Per
Kuch Harf Dua'on K
Kuch Phool Wafa'on K
Mehkein Gay Meri Khatir
Kuch Bhi To Nahi Waisa
Jaisa Tujhe Socha Tha
Mehsoos Yeh Hota Hai
Dukh Jheelay Thay Jo Ab Tak
Be-Naam Musaafat Mein
Likhnay Ki Mohabbat Mein
Parhnay Ki Zaroorat Mein
Be-Sood Riyazat Thi
Be-Faiz Ibaadat Thi
Jo Khawaab Bhi Dekhay Thay
In Jaagti Aankhon Nay
Sab Khaam-Khayali Thi
Phir Bhi Tujhe Paanay Ki
Dil Ke Kisi Goshay Mein
Khuwahish To Bacha Li Thi
Lekin Tujhe Paa Kar Bhi
Aur Khud Ko Ganwa Kar Bhi
Iss Habs K Mausam Ki
Khirki Say Hawa Aai
Na Phool Say Khushbo Ki
Koi Bhi Sadaa Aai
Ab Neend Hai Aankhon Mein
Na Dil Main Wo Pehli Si
Taaza Sukhan Aara'i
Na Lafz Mere Niklay
Na Harf-o-Ma'ani Ki
Danish Mere Kaam Aai
Na'deeda Rafaaqat Mein
Jitni Bhi Aziyyat Thi
Sab Mere Hi Naam Aai
Kuch Bhi To Nahi Wesa
Jesa Tujhe Socha Tha
Jitna Tujhe Chaha Tha ...

Wo Hata Rahay Hain Parda, Sar-e-Aam Chupkay Chupkay,














Wo Hata Rahay Hain Parda, Sar-e-Aam Chupkay Chupkay,
Koi Qatal Ho Raha Hai, Dar-e-Baam Chupkay Chupkay,
Ye Jhuki Jhuki Nigaahein, Ye Haseen Haseen Ishaaray,
Kaheen Lay Na Jayein Shayad, Meri Jaan Chupkay Chupkay,
Kabhi Shokhiyaan Dikhana Kabhi Un Ka Muskurana,
Ye Adaa'ein Kar Na Daalein, Mera Kaam Chupkay Chupkay,
Ye Jo Hichkiyaan Musalsal Mujhe Aa Rahi Hain Yaaro,
Koi Lay Raha Hai Shayad, Mera Naam Chupkay Chupkay !

Har Zakham Ki A aghosh Me Hai Dard Tumhara,

Har Zakham Ki A aghosh Me Hai Dard Tumhara,

Har Dard Me Taskeen Ka Ehsaas Bhi Tum Ho,

Kho Jao To Weeran Si Ho Jaati Hain Rahein,

Mil Jao To Phir Jeena y Ka Ehsaas Bhi Tum Ho,

Likhta Hoon To Tum Hi Utarta y Ho Qalam Se,

Parhta Hoon To Lehja Bhi Tum Aawaz Bhi Tum Ho.

Monday, October 22, 2012

Dil Ka Armaan Thi, Tu Meri Jaan Thi













Dil Ka Armaan Thi, Tu Meri Jaan Thi
Tu Meri Zindagi, Meri Pehchaan Thi
Tu Ne Dil Tor K, Barbaad Kiya
Barbaad Kiya, Barbaad Kiya
Hadd Se Zyaada Sanam, Tujhse Pyaar Kiya -

Tera Gham Sataaye, Meri Jaan Jalaaye
Ye Dard-e-judaai, Ab Saha Na Jaaye
Ab Saha Na Jaaye
Tu Ne Jeena Mera, Dushwaar Kiya -
Hadd Se Zyaada Sanam, Tujhse Pyaar Kiya -

Dil Ka Armaan Thi, Tu Meri Jaan Thi
Tu Meri Zindagi, Meri Pehchaan Thi
Tu Ne Dil Tor K, Barbaad Kiya
Barbaad Kiya, Barbaad Kiya ...

www.zahid-shah.blogspot.com/

Mujhe Tum Say Mohabbat Hai,

Mujhe Tum Say Mohabbat Hai,
Main Pehlay Bhi Ye Kehti Thi,
Main Aaj Bhi Yahi Kehti Hoon,
Kesi Khushbu Ki Manind Main,
Tumhare Sang Hi Rehti Hoon,
Main Pehron Baithi Rehti Hoon,
Tumhein Socha Main Karti Thi,
Tumhein Main Sochti Rehti Hoon,
Kabhi Khud Say Tumhari Main,
Dhairon Baatein Karti Hoon,
Kabhi Be-Khayaali Mein,
Tumhara Naam Laiti Hoon,
Kabhi Be-Sabab Hi Main,
Tumhein Pukaar Laiti Hoon.
Mujhe Maaloom Hai Jaana,
Tum Mere Sang Ho Hotay Ho,
Main Har Lamha Suno Jaana,
Tumhein Mehsoos Karti Hoon,
Mujhe Ye Acha Lagta Hai,
Tumhein Bas Daiktay Rehna,
Tumhare Hi Khayaalon Mein,
Main Doobi Hi Rehti Hoon,
Tumhare Intezaar Mein Jaana,
Bataoon Main Kya Karti Hoon,
Beetay Har Pal K Saath Apni,
Main Har Dharkan Ko Ginti Hoon,
Meri Saansein Bhi Suna Jaana,
Tumhara Naam Laiti Hain,
Main Pehlay Bhi Ye Kehti Thi
Main Aaj Bhi Yahi Kehti Hoon
Mujhe Tum Say Mohabbat Hai
Tumhare Sang Main Rehti Hoon ...
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/
~** She was a Strange Puzzle **~

Kat Hi Gai Judaai Bhi Kab Yun Hua Ke Mar Gaye,

Kat Hi Gai Judaai Bhi Kab Yun Hua Ke Mar Gaye,

Tere Bhi Din Guzar Gaye Mere Bhi Din Guzar Gaye,

Tu Bhi Kuch Aur Aur Hai Ham Bhi Kuch Aur Aur Hain,

Jaane Wo Tu Kidhar Gaya Jaane Wo Ham Kidhar Gaye,

Raahon Main Hi Mile The Ham Raahein Naseeb Ban Gai,

Tu Bhi Na Apne Ghar Gaya Ham Bhi Na Apne Ghar Gaye,

Wo Bhi Gubaar-e-Khaak Tha Ham Bhi Gubaar-e-Khaak Thi,

Wo Bhi Kahin Bikhar Gaya Ham Bhi Kahin Bikhar Gaye,

Koi Kinaar-e-Aab-e- Ju Baitha Hua Hai Sar.nigun,

Kashti Kidhar Chali Gai Jaane Kidhar Bhanwar Gaye,

Tere Liye Chale Thy Ham Tere Liye Thehar Gaye,

Tu Ne Kaha To Ji Uthe Tu Ne Kaha To Mar Gaye,

Waqt Hi Kuch Judaai Ka Itna Tavil Ho Gaya,

Dil Main Tere Firaaq Ke Jitne The Zakhm Bhar Gaye,

Baarish-e-wasl Wo Hui Saara Ghubaar Dhul Gaya,

Wo Bhi Nikhar Nikhar Gaya Ham Bhi Nikhar Nikhar Gaye,

Itne Qarib Ho Gaye Itne Raqeeb Ho Gaye,

Wo Bhi "Adeem" Dar Gaya Ham Bhi "Adeem" Dar Gaye ...

Aik Gulaab Tha, Bara Hi Udaas Tha ...


















Aik Gulab Tha
Bara Hi Udaas Tha
Rang Bhi Us Ka Tha Ura Ura Sa
Shabnam K Aansu Rawan Thay Us K
Dil Tha Us ka Kuch Bujha Bujha Sa
Bahar Ka Tha Mausam Phir Bhi Na Khila Tha
Daali Say Tha Wo Apni Kuch Jhuka Jhuka Sa
Main Ne Jo Dekha Usay,
Paas Ja K Poocha Usay,
Kyun Hai Udaas Tu ?
Kyun Karta Hai Dil Barbaad Tu ?
Yeh Sun kar Woh Ronay Laga
Shabnam K Aansuon Say Moonh Dhonay Laga
Aur Rotay Rotay Bas Ye Kehnay Laga
Mera Yaar Mujhko Chor Gaya Hai
Mera Pyar Mujh Say Moonh Mor Gaya Hai
Ab Main Kis K Liye Khil Jaun ?
Ab Main Kis K Liye Khushbu Mehkaaon ?
Mujhe Kaun Apne Dil Se Lagaye Ga ?
Mujh Ko Kaun Apni Saanson Mein Basaye Ga ?
Mera Chaman Ujar Gaya Hai
Mera Yaar Mujhse Bichar Gaya Hai
Bas Ab To Har Lamha Ussi Ki Yaad Hai
Bas Beqarari Hai Tarap Hai Fariyad Hai
Mujhko Mere Yaar Se Mila Day
Mujhko Koi Mera Pyar Lauta Day
Wo Aaye Ga To Khil Jaon Ga Main
Apni Zindagi Se Mil Jaon Ga Main ...

Contributed : Zahid Shah

RISHTA TOR K JANAY WALAY, MUJH KO CHOR K JANAY WALAY















RISHTA TOR K JANAY WALAY
MUJH KO CHOR K JANAY WALAY
AB K EID PAY
MUJHKO JITNAY CARD MILAY HAIN
UN CARDON MAIN
SAB SE PYARA
SAB SE ACHA
PEHLA CARD TUMHARA HAI
MUJH KO CHOR K JANAY WALAY
ZARA KAHO TO ...
YEH KIS AOR ISHARA HAI ... ?

Poet : Wasi Shah
Contributed : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Ye Sun Kar Hum Nay May-Khaanay Mein Apna Naam Likhwaaya,

Ye Sun Kar Hum Nay May-Khaanay Mein Apna Naam Likhwaaya,
Jo May-Kash Larkharaata Hai Wo Baazu Thaam Laitay Hain,

Sehar Tak Chaand Mere Saamnay Rakhta Hai Aks Un Ka,
Sitaaray Shab Ko Mere Saath Un Ka Naam Laitay Hain,

Nahi Maaloom Kya Khoyi Shay Yaad Aati Hai,
Hawa Jab Sard Chalti Hai Kalaija Thaam Laitay Hain,

Qareeb Raah-Guzar Turbat Ka Hona Bhi Qayaamat Hai,
Idhar Say Jo Guzartay Hain Tumhaara Naam Laitay Hain ...

www.zahid-shah.blogspot.com/

Sabhi Jazbaat Khayaalat Badal Jaatay HaiN,















Sabhi Jazbaat Khayaalat Badal Jaatay HaiN,

YooN Mohabbat MaiN Ye Din Raat Badal Jaatay HaiN,

Pyaar To unko Bhi Hum Se hai Magar Jaanay KiyuN,

Hum KaraiN Baat To Wo Baat Badal Jaatay HaiN,

Aarzuu To Hai Ke Izhaar-e-Mohabbat Kar DooN,

Lafz Chunta HooN To Lamhaat Badal Jaatay HaiN,

Kitni Nafrat Thi Kabhi Pehle' Mohabbat Se HamaiN,

Ho Mohabbat To Khayaalat Badal Jaatay HaiN,

Aik Sa Waqt Mohabbat MeiN KahaaN Rehta Hai,

Gardish-e-Waqt Se Haalaat Badal Jaatay HaiN ...

Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Bhool Jana Bhi Usay, Yaad bhi Kartay Rehna,



















Bhool Jana Bhi Usay, Yaad bhi Kartay Rehna,

Acha Lagta Hai Isi Dhun Mein Bikhartay Rehna,

Hijr Waalon Se Bari Dair Se Sikha Hum Ne,

Zinda Rehnay K Liye Jaan Se Guzartay Rehna,

Kya Kahoon Kiyun Mere Neendon Mein Khalal Dalta Hai,

Chand K Aks Ka Pani Mein Utartay Rehna,

Main Agar Toot Bhi Jaon To Phir Aaina Hoon,

Tum Mere Baad Bhi har Roz Sanwartay Rehna,

Shaam Ko Doobtay Suraj Ki Hai Aadat,

Subha Hotay Hi Mere Sath Ubhartay Rehna ...

Mili Har Qadam Per Rafaqat Tumhari,

Mili Har Qadam Per Rafaqat Tumhari,

Kahan Hum Kahan Yeh Inayat Tumhari,

Humein Chahiye Bus Ta'alluq Tumhara,

Mohabbat Milay Yah Adawat Tumhari,

Isi Say Bhi Milna Usay Jeet Laina,

Bari Dil Nasheen Hai Yeh Aadat Tumhari,

Na Dekha Jahan Main Koi Aur Tum Sa,

Bari Munfarid Hay Tabiyat Tumhari,

Humhein Zindagi K Kaee Rastoon Par,

Hamesha Rahay Gi Zaroorat Tumhari ...

Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Tumhari Wo Mohabatein Tumhari Wo Chahatein Yaad Aati Hein



















Tumhari Wo Mohabatein Tumhari Wo Chahatein Yaad Aati Hein

Tumhare Wo Wadey Tumhari Woh Qasmein Yaad Aati Hein

Main Jab Bhi Dekhta Hoon Tanhai Mein Tumhari Tasweerein

Tasweeron Mein Tumhari Adayein Yaad Aati Hein

Tum Jo Karti Thi Aksar Wafa Aur Pyaar Ki Batein

Tumhara Wo Ahad-E-Wafa Aur Wo Batein Yaad Aati Hein

Tumhara Wo Parday Mein Reh Kar Humein Baar Baar Dekhna

Tumhara Woh Dekhna Aur Wo Aankhein Yaad Aati Hein

Tumhara Wo Un Raahon Par Humare Sath Sath Chalna

Tanha Safer Par Nikalta Hoon To Wo Raahein Yaad Aati Hein

Faqat Roshani Se Poocho Is Nayi Mohabat K Andaaz

Jisey Is Mohabbat Ki Har Wo Anayatein Yaad Aati Hein ...

Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Aankhon Ko Kisi Roz Koi Khuwab Atta Kar,

Aankhon Ko Kisi Roz Koi Khuwab Atta Kar,

Yun Mujh Ko Mere Dard K Gardab Atta Kar,

Hoti Hy Musalsal Koi Barish Mere Andar,

Sehra Ko Kisi Sham Ye Selaab Atta Kar,

Mehfil Me Sar-E-Sham Tamasha To Bana Hon,

Az' Raah-E-Karam Ab Mujhe Aadaab Atta Kar,

Main Aam Si Ulfat Ki Kahani To Nahi Hon,

Jo Mit Na Saky Aisa Koi Khuwab Atta Kar,

Dushman To Meri Zaat K Rashid Hain Hazaaron,

Jo Dard Atta Kar Mujhe Nayab Atta Kar ...

www.zahid-shah.blogspot.com/

Jaanay Kya Baat Hai Jo Mujh Say Khafa Baitha Hai













Jaanay Kya Baat Hai Jo Mujh Say Khafa Baitha Hai

Mujh Mein Ikk Shaks Baghawat Pey Tula Baitha Hai

Woh Parinda Jissey Parwaaz Say Fursat Hi Na Thi

Aaj Tanha Hai To Deewaar Per Aa Baitha Hai

Bolta Hoon To Mujhey Izn-e-Khamoshi Dey Ker

Kon Hai Jo Pas-e-Izhaar Chupa Baitha Hai ?

Tum Bhi Manjumla-e-Arbab-e-Jafa Nikley Ho

Tum To Kehtey Thay Der Dil Mein Khuda Baitha Hai

Thak Gaya Dasht-e-Talab Mein To Sawaali Ban Ker

Maira Saata Mairi Dehleez Pey Aa Baitha Hai

Tu Kitaabon Mein Kissey Dhoondta Rehta Hai 'Saleem'?

Ye Tu Kye Rog Mere Yaar Laga Baitha Hai ...

Gum_Sum Si Rah_Guzar Thi, Kinara Nadi Ka Tha,














Gum_Sum Si Rah_Guzar Thi, Kinara Nadi Ka Tha,

Pani Mein Chand, Chand Mein Chehra Kisi Ka Tha,

Ab Zindagi Sanmbhal K Leta Hai Tera Naam,

Ye Dil K Jis Ko Shoq Kabhi Khud_kushi Ka Tha,

Kuch Abar Bhi Thay Banjh Zameen Say Darrey Huey,

Kuch Zaiqa Hawa Mein Meri Tishnagi Ka Tha,

Kehney Ko Dhoondtey Thay Sabhi Apne Khad-o-Khaal,

Warna Meri Ghazal Mein To Sab Kuch Usi Ka Tha,

Wo Ehtiyaat-e-Jaan Thi K Bey_Rabti-e-Khayal,

Saaye Pay Bhi Gumaan Mujhe Aadmi Ka Tha,

Mushkil Kahan Thay Tark-e-Mohabbat K Marhalay,

Ey Dil Magar Sawaal Teri Zindagi Ka Tha,

Wo Jis Ki Dosti Hi Mataa-e-Khaloos Thi Mohsin,

Wo Shakhs Bhi Mera Dushman Kabhi Ka Tha.

Poet : Mohsin Naqvi
Contribute: Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Friday, October 19, 2012

Suno Sajnaa'n, Tumhein kuch Yaad To hoga,



Suno Sajnaa'n,
.
Tumhein kuch Yaad To hoga,
.
Tumhari Band Mutthi Mein Mera ik Khowaab Adhoora Tha,
.
Mohabbat ki woh ik Sa'at,
.
Judaayi ke kai Lamhe Bhi Qaidi They,
.
Mere Us Khowaab se mansoob kuch Kaliyaa'n kayi Ghunchey Hazaaro'n phool They,
.
Jo Sab Hamare They,
.
Tumharey ishq ke inaam saarey They,
.
Ke Seeney Mein Jo Gham they woh Tumharey isteaarey They,
.
Hamein To Jaan se Pyaarey They,
.
Chalo Choro,
.
Ke Guzri Daastaa'n ko Yaad kya karna,
.
Muqaddar hi Andhera Ho To Phir Faryaad kya karna,
.
Milann To ab nahi Mumkin,
.
Magar Sajnaa'n,
.
Meri ik iltejaa sun Lo,
.
Mujhey woh Khowaab Lauta do,
.
Shikasta Ho Chuka Hai Gar,
.
To Phir woh Khowaab Dafna do...|   

Tum Kya Jano Pagal Pritam



Tum Kya Jano Pagal Pritam
jab Se Tum Perdas Gaye Ho
Ghar Khaali Aangan Soona Hi
Sawan,Eiden,Berang Guzareen 
Kuch To Soocho Saajan Tum Bin
Kaisi Eiden,Kaisi Khushiyaan
Choori,Baali,Kaajal,Bindiyaan
Chanda,Titli,Phol Aur Shabnam
Sab Kehte Hain Aa Jao Naa. . . .
Tum Kya Janoo Har Ahat Par
Dil  Ki Dadhkan Kehti Hai. . . 
Tum Aye Hooo. . . . . Pagal PritamTumhen Pata Hai Kitne Din Se
Chakat Par Baithi Sajti Rasta Dekh Rahi hai
Us Ki Sanwli Sundarta Mein Peela Pan Hai
Jaldi LAuto Eid Aai Hai. . . 
Ab To Tum Ko Aana Hoga
Eid Ko Khaas Banana Hoga. . . 

Dard Hi Dard Hai Meri Zindagi Mein,



Dard Hi Dard Hai Meri Zindagi Mein,
Tum Nahi Ho To Chain Ek Pal Nahi Hai,
Mila Hai Mujhe Har Jagah Se Jo Sila,
Khuda Na Kare Kisi Chahne Wale Ko Mile,
Main Sochun Tumhe Chahun Tumhe,
Aisa Bhi Waqt Guzra Hai Harjayi,
Teri Yaadne Kya Kya Na Sitam KiyeHai,
Ek Baar Dard Ko Mehsoos To Kiya Hota,
Apne Haath Ko Mere Haath Mein Rakha To Hota,
Hum Wafa Na Karenge Itna Yaqeen Kyon Tha,
Aaj Bhi Teri Yaad Rula Rahi Hai,
Tum Kahan Ho Dekho Ye Dard Bahut Betaab Hai,
Kehta Hai Dil Ek Dard Aur Chahiye Jeene Ke Liye,
Dard Hi Dard Hai Meri Zindagi Mein...    

Ay Khuda Yeh Kesa Inqlaab Aya Hay,



Ek Larki Rozana Gali Say Guzra Karti Thi,
Us kay Chehray Par Niqaab Hua Karta Tha,
Aik Larka Us Pay Marta Tha 
Shayed Woh Us Say Payar Karta Tha,
Aik Din Us Larki Nay Us Karkay Kay Parosi Say Poocha,
To Usnay Bataya Aap Ko Aanay Mein Bohat Dair ho Gai,
Us Dewanay Ki Teen Din Pehlay Hi Mout Ho Gai,
Parosi Nay Apna farz Nibhaya,
Larki Ko Qabar Tak Lay Aaya 
Larki Qabar Par ronay Lagi 
Apnay Ashqo'N Say Qabar ko Bighonay lagi,
Tab Qabar Say Awaaz Aai,
Aye Khuda Yeh Kesa Inqlaab Aya Hay,
Aaj Main Parday Mein Ho'n Aur Mera MEHBOOB bay Niqaab Aya Hay !

Main Khizaan K Mosam Main Sookhay Pat'tay Ki Tarah,,



Main Khizaan K Mosam Main Sookhay Pat'tay Ki Tarah,,
Bikhar Chuka Hoon,,
Aur Band Darwaze K Peechay,,
Mera Khaali Badan Chup Gaya Hai,,
Aashnaa Mosam Bhi Ajnabi Ruton Ki Tarah Guzar Rahe Hain,,
Main Nayaa Jism Nahen Le Sakta,,
Mera Yeh Hansnta Huwa Chehra,,
Aur Meri Yeh Roti Huwi Aankhen,,
Bus Ek Dhoka Hain K Main Koi Aur Hoon.

Gungunatay Huey Anchal Ki Hawa Dey Mujh Ko,



Gungunatay Huey Anchal Ki Hawa Dey Mujh Ko,
Ungliyaan phair K Baalon Main Sulla Dey Mujh Ko,
Jis Tarah Faaltu Guldaan Paray Rehtay Hain,
Apne Ghar K Kisi Konay Se Lagga Dey Mujh Ko,
Yaad Kar K Mujhe Takleef Hi Hoti Ho Gi,
Aik Qissa Hoon Purana Sa Bhula Dey Mujh Ko,
Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon,
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Dey Mujh Ko,
Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin 
Main Hoon Saktay Main Kabhi Aa K Rula Dey Mujh Ko,
Dekh Main Ho Gaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah,
Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jala Dey Mujh Ko,
Roothna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai,
Aesay Naraaz Na Ho Hans K Dekha Dey Mujh Ko,
Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se,
Us Ki Galiyoon Main Parri Khaak Banaa Dey Mujh Ko
Log Kehtay Hain K Ye Ishq Niggal Jata Hai,
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hon, Dua Dey Mujh Ko,
Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein,
Ke Main Koi Kamzor Sa Lamha Hon, Bhula Dey Mujh Ko !

Kehnay ko us say mera koi waasta nahi



Kehnay ko us say mera koi waasta nahi
Amjad magar woh shakhs mujhay bhoolta nahi
Darta hoon aankh kholoon to manzar badal naa jaye
Main jaag to raha hoon magar jaagta nahi 
Aashaftagi say uski usay bay wafa naa jaan
Aadat ki baat aur hay dil ka bura nahi
Tanha udaas chaand ko samjho naa bay_khabar
Har baat sun raha hay magar bolta nahi
Khamosh ratjagon ka dhuwaan tha chaar soo
Nikla kub aaftaab mujhay to pata nahi
Amjad woh aankhain jheel see gehri to hain magar
Un main koi bhi aks meray naam ka nahi..
Poet: Amjad Islam Amjad
Contribute: Zahid Shah 

Ye Pehlay Hijar Ka Qissa Hai,



Ye Pehlay Hijar Ka Qissa Hai,
Jo Aaj k Din Ki Baat Nahi,
Kuch Umar Bhi Thi Deewaano'n Si,
Kuch Chaal Bhi Thi Mastaano'n Si,
Hathn Mein Phool Sajatay Thay,
Sajh_Dhaj Kar college Jatay Thay,
Kab Itnay Seedhay Saadhay Thay,
Us Waqt To Hum Shehzaday Thay,
Phir Ik Chehra Bhaa Sa Gaya,
Nazdeek Wo Dil k Aa Sa Gaya,
Phir wo Tha Aur Baatain Us ki,
Din Sab Us k Raatain Uss ki,
Phir Aisa Bichrra Mila Nahi,
Is Dil ka Phool Phir Khila Nhi,
Phir Uss k Baad Jo Log Milay,
Is Dil ko Jitnay Rog Milay,
Har Saans Ussi k Naam Rahi,
Har Sham Ussi ki Sham Rahi,
Ye Pehlay Hijar Ka Qissa Hai,
Jo Aaj Bhi Hum Pe Taari Hai,
Ye Hijr Abhi Tak Jaari Hai.

Ishq Sehra Hai K Darya Hai Kabhi Socha Tu Ne



Ishq Sehra Hai K Darya Hai Kabhi Socha Tu Ne
Tujh se Kya Hai Mera Nata Kabhi Socha Tu Ne
Haan Me Tanha Hun Ye Iqrar Bhi Karta Hun
Khud B Kitna Tu Tanha Hai Kabhi Socha TuNe
Ye Alag Baat Hai Jataya Nhi Me Ne Tujh Ko
Warna Kitna Tujhe Chaha Hai Kabhi Socha Tu Ne
Tujhe awaz Likha,   Phool Likha
Me Ne Kya Kya Tujhe Likha Hai Kabhi Socha TuNe
Mutmain Hun Tujhe Lafzon Ki Hararat De Kar
Me Ne Kitna Tujhe Socha Hai Kabhi Socha Tu Ne ?

Kabhi Jo Chhir Gai Yaad-e-Raftgaan Mohsin,




Kabhi Jo Chhir Gai Yaad-e-Raftgaan Mohsin,
Bikhr Gai Hain Nigahein Kahan Kahan Mohsin,
Hawaa ne Raakh Uraai "Tu" Dil ko Yaad Aya,
k Jal Bujheen Mere Khuwabon ki Bastiyaan Mohsin,
Mila To Aur Bhi Taqseem kar Gya Mujhko,
Sametna Theen Jisey Meri Kirchiyaan Mohsin,
Kaheen se Us ne Bhi Tora Hai Mujhse Rabt-e-Wafa,
Kaheen se Bhool Gya Main Bhi Daastan Mohsin.. 

Bikhar Rahi Hai Meri Zaat Usay Kehna,



Bikhar Rahi Hai Meri Zaat Usay Kehna,
Kabhi Milay To Yeh Baat Usay Kehna,
Woh Saath Tha To Zamana Tha Humsafar Mera,
Magar Ab Koi Nahi Mere Saath Usay Kehna,
Usay Kehna K Bin Us K din Nahi Kut'ta,
Sisak Sisak K Kat'ti Hai Raat Usay Kehna,
Usay Pukaron K Khud Hi Pohanch jaon Us K Paas,
Nahi Rahay Woh Halaat Usay kehna,
Agar Woh Phir Na Lautay To Ay Meharban,
Qasid Humari Zeest K Halaat Usay Kehna,
Her Jeet Us K Naam kar Raha Hon Main,
Main Maanta Hon Apni Haar Usay kehna !
Poet: Qasid Dehlvi
Contribute: Zahid Shah  

Gardish K Baad Zaat Ka mehwar mila mujhe.



Gardish K Baad Zaat Ka mehwar mila mujhe.
Jis say nikal gaya tha wohi ghar mila mujhe.
Zarray k aik juzz sey khula Raaz-E-kainaat.
Qatray ki wuss'aton mein samundar mila mujhe.
Kitni Ajeeb baat hai jo chahta tha main.
Qismat sey us tarha ka muqaddar mila mujhe.
Main tha k kaifiyaat k pardon mein qaid tha
Wo tha k har lihaaz sey khul kar mila mujhe.
Duniya ki wuss'aton mein Usay dhoondta raha.
Lekin KHUDA meri zaat k Andar mila mujhe

Bheerr Mein Ik Ajnabi Ka Samaana Acha Laga,



Bheerr Mein Ik Ajnabi Ka Samaana Acha Laga,
sab sey chup kar wo kisi ka dekhna acha laga,
surmai aankhon k neechey phool sey khilney lagey,
kehtey kehtey kuch kisi ka sochna acha laga,
baat to kuch bhi nahi thi lekin us ka ek dam,
hath ko honton pey rakh kar rokna acha laga,
chaaye main chini milana us ghari bhaya bahut,
zer-e lab vo muskurata shukriya acha laga,
dil main kitney Ehad bandhey tha bhoolaney k usey,
wo mila to sab iraadey torna acha laga,
be_irada lams ki Wo sansani pyari lagi,
kam tawajjo aankh ka wo dekhna acha laga,
neem shab ki Khamoshi main bheegti sarkon pey,
kal teri yaadon k jalo main ghoomna acha laga,
us udu-e-jan ko 'Amjad' main bura kaise kahoon,
jab bhi aya saamney wo Be_vafa acha laga !
Poet: Amjad Islam Amjad

Dasht-e-Wafa Main Pyaas Ka Aalam Ajeeb tha,



Dasht-e-Wafa Main Pyaas Ka Aalam Ajeeb tha,
Dekha to Aik Dard Ka Darya Qareeb tha,
Guzray Jidhar Jidhar Se Tamanna K Qaafilay..
Har Har Qadam Pe Aik Nishaan-e-Saleeb tha,
Kuch Aisi Meharban to Na thi Hum Pe Zindagi..
Kyun Har Koi Jahan Main Hamara Raqeeb tha,
Kya Kya Lahu Se Apnay Kiya Hum Ne SurKharoo..
Us Door K Nagar Ko Jo Dil K Qareeb tha,
Apna Pata to Usne Diya tha Mujhe..
Main Khud Hi Kho Gaya to Ye Mera Naseeb tha

Maangna Khuda se Dua Chahta hon



Maangna Khuda se Dua Chahta hon
Tere Ishq ki inteha Chahta hon
MaaL-o-doulat ki na hasrat Mujhe
Faqat ek Teri Wafa Chahta hon
Jo na khatam ho Sakay Umer Bhar
Chahat ka aisa Silsila Chahta hon
Fursat na Milay Ghair ko Dekhnay ki
Muhabat Teri be-Panaah Chahta hon
jis ney Banaya Tha Majnoo Ko Diwaana
Laila ki wo Adaa Chahta hon
Jis ney Badli Zulaikha ki Taqdeer
Ishq ki aisi Nighah Chahta hon.

Main aksar Usey kehta hon,



Main aksar Usey kehta hon,
Tum shor bohat Machati ho,
Phir wo mujh sey kehti hai
Jab kalaai meri tum pakro gay,
Chorri to meri khankay gi,
Chorri ka shor to hota hai,
Jab pyar say mujhe bulaao gay,
Tab Dourr k main aaoon gi,
Phir Payal meri khanky gi
Payal ka shor to hota hai
Jab bindiya meri Chamkay gi,
Aankh mein tumhari Damkay gi
Jazbay shor Machayein gey,
Jazbon ka shor to hota hai
Zulf meri suljhaty huey,
Jab Gajray ko Bikhrao gey,
Tab Saansein meri Mehkein gi,
Saanso'n ka shor to hota Hai.

Dilon Mai Sama Nahi Sakti



Dilon Mai Sama Nahi Sakti 
Labon Pe Rukti, Dilon Mai Sama Nahi Sakti
Wo Ek Baat Jo Lafzon Main Aa Nahi Sakti
Jo Dil Main Ho Nazar-e-Gham To Ashq Paani Hai
K Aag Khaak Ko Kundan Bana Nahi Sakti
Yaqeen, Gumaan Se Bahar To Ho Nahi Sakta
Nazar Khayaal Se Aagey To Ja Nahi Sakti
Dilon Ki Ramz Faqat Ehl-e-Dil Jaantey Hein
Teri Samajh Mein Meri Baat Aa Nahi Sakti
Ye Souz-e-Ishq To Goongey Ka Khuaab Hai
Jesey Meri Zubaan Meri Haalat Bataa Nahi Sakti 
Simat Rahi Hai Mere Baazuon K Halqay Mein
Haya K Boojh Se Palkein Utha Nahi Sakti
Jo Keh Raha Hai Sulagta Hua Badan Us Ka,
Bata Bhi Paati Nahi, Aur Chupa Nahi Sakti
Ek Aise Hijar Ki Aatish Hai Mere Dil Mein
Jesey Kisi Visal Ki Baarish Bujhaa Nahi Sakti
To Jo Bhi Hona Hai, Amjad Yaheen Pe Hona Hai
Zameen Madaar Se Bahar To Jaa Nahi Sakti
Poet: Amjad Islam Amjad
Contribute: Zahid Shah

Main Zindagi K Rastey Mein Chup Chaap Bikhar Jata,



Main Zindagi K Rastey Mein Chup Chaap Bikhar Jata,
Ek Din Bhi Agar Apni Tanhai Se Dar Jata,
Main Tark E Ta'alluq Par Zinda Hun So Mujrim Hun,
Kaash Uss K Leye Jeeta, Apney Leye Mar Jata,
Uss Raat Koii Khushbu Qurbat Mein Nahi Jaagi,
Main Warna Sanwar Jata,Aur Woh Bhi Nikhar Jata,
Uss Jaan-E-Takallum Ko Tum Mujh Se Tou Milvatey,
Taskheer Na Kar Paataa, Hairaan Tou Kar Jata,
Kal Saamney Manzil Thii, Peechhey Meri Awaazein 
Chaltaa Tou Bichhar Jata,Ruktaa Tou Safar Jata,
Main Sheher Ki Rounaq Mein, Gum Ho K Bohot Khush Thaa 
Ik Shaam Bachaa Laitaa, Ik Roz Tou Ghhar Jata 
Mehroom Fazaaoun Mein,Maayoos Nazaron Mein,
Tum AZM Nahi Thehrey, Main Kaise Thehar Jata !