Click Here

Friday, August 30, 2013

Jeene Laga Hoon Pehle Se Ziada Lyrics

Jeene Laga Hoon Pehle Se Ziada,
Pehle Se Ziada Tum Pe Marne Laga Hoon,
Main, Mera Dil Aur Tum Ho Yahan,
Phir Kiyun Ho Palkein Jhukaye Wahan,
Tum Sa Haseen Pehle Dekha Nahi,
Tum Is Se Pehle The Jaane Kahan,
Jeene Laga Hoon Pehle Se Ziada,
Pehle Se Ziada Tum Pe Marne Laga,
Hmmmmm ... Hoo ...

Rehte Ho Aa Ke Jo Tum Paas Mere,
Tham Jaye Pal Ye Waheen,
Bas Main Ye Sochoon,
Sochon Mein Tham Jaye Pal Ye,
Paas Mere Jab Ho Tum ... (x2)
Chalti Hain Saansein Pehle Se Ziada,
Pehle Se Ziada Dil Theharne Laga ...
Hmmmmm ... Hoo ...

Tanhaiyon Mein Tujhe Dhoonde Mera Dil,
Har Pal Ye Tujh Ko Hi Soche Bhala Kiyun ?
Tanhai Mein Dhoonde Tujhe Dil,
Har Pal Tujh Ko Soche (x2)
Milne lage Dil, Pehle Se Ziada
Pehle Se Ziada Ishq Hone Laga ...
Hmmmm ... Hoo ...

Thursday, August 29, 2013

بس ایک معافی ، ہماری توبہ کبھی جو ایسے ستائیںتم کو

بس ایک معافی ، ہماری توبہ کبھی جو ایسے ستائیں تم کو
لو ہاتھ جوڑے ، لو کان پکڑے ، اب اور کیسے منائیں تم کو

تمہارے آتے ہی اس نگر سے، ہمیں رقابت سی ہو گئی ہے
میں یہ شرارت بھی کیسے سہہ لوں کہ چھو رہی ہیں ہوائیں تم کو

تم آئینہ ہو اور سنگ باری یہاں کے لوگوں کا مشغلہ ہے
ہر ایک پتھر سے ڈھال بن کر،بھلا کہاں تک بچائیں تم کو

جو سچ کہیں تو ، تمھیں تو غصے نے اور دلکش بنا دیا ہے
ہمارے من کو تو سوجھتا ہے ، اب اورغصہ دلائیں تم کو

تو کیا تم اب تک ، ہماری نظروں کے سب تقاضوں سے بے خبر ہو؟
ہمیں محبت ہے تم سے پاگل، اب اور کیسے بتائیں تم کو

بتائیں تم کو بچھڑتے لمحے ، لبوں کی لغزش کا کیا سبب تھا؟
سنا تھا وقتِ قبولیت ہے ، سو دے رہے تھے دعائیں تم کو

خواب اس کے ہیں جو چرا لے جاۓ

خواب اس کے ہیں جو چرا لے جاۓ
نیند اس کی ہے جو اڑا لے جاۓ

زلف اس کی ہے جو اسے چھو لے
بات اس کی ہے جو بنا لے جاۓ

تیغ اس کی ہے شاخ_ گل اس کی
جو اسے کھینچتا ہوا لے جاۓ

یوں تو اس پاس کیا نہیں پھر بھی
ایک درویش کی دعا لے جاۓ

زخم ہو تو کوئی دہائی دے
تیر ہو تو کوئی اٹھا لے جاۓ

قرض ہو تو کوئی ادا کر دے
ہاتھ ہو تو کوئی چھڑا لے جاۓ

لو دیے کی نگاہ میں رکھنا
جانے کس سمت راستہ لے جاۓ

دل میں آباد ہیں جو صدیوں سے
ان بتوں کو کہاں خدا لے جاۓ

خواب ایسا کہ دیکھتے رہیے
یاد ایسی کہ حافظہ لے جاۓ

میں غریب الدیار، میرا کیا
موج لے جاۓ یا ہوا لے جاۓ

خاک ہونا ہی جب مقدر ہے
اب جہاں بخت نارسا لے جاۓ

کوئی بھی کیوں مجھ سے شرمندہ ہوا

کوئی بھی کیوں مجھ سے شرمندہ ہوا
میں ہوں اپنے طور کا ہارا ہوا

دل میں ہے میرے کئی چہروں کی یاد
جانیے میں کِس سے ہوں رُوٹھا ہوا

شہر میں آیا ہوں اپنے آج شام
اک سرائے میں ہوں میں ٹھیرا ہوا

بے تعلق ہوں اب اپنے دل سے بھی
میں عجب عالم میں بے دنیا ہوا

ہے عجب اک تیرگی در تیرگی
کہکشانوں میں ہوں میں لپٹا ہوا

اب ہے میرا کربِ ذات آساں بہت
اب تو میں اس کو بھی ہوں بھُولا ہوا

مال بازارِ زمیں کا تھا میں *جون*
آسمانوں میں میرا سودا ہوا

Wednesday, August 28, 2013

وفا سا قیمتی گوہر لٹا کر لوٹ آئی ہوں

وفا سا قیمتی گوہر لٹا کر لوٹ آئی ہوں
کسی کے ظرف کی حد آزما کر لوٹ آئی ہوں

بجھی آنکھوں میں اب صحرا‘ بسے یا خواب یا بادل
میں ہر امید اشکوں میں بہا کر لوٹ آئی ہوں

اچانک ہی مسیحا کی حقیقت کھل گئی مجھ پر
میں رستے زخم سینے سے لگا کر لوٹ آئی ہوں

وہ اک سپنا کہ جس کی چاہ میں اک عمر جاگی تھی
اسی سپنے سے اب نظریں چرا کر لوٹ آئی ہوں

کہاں سودا سمایا تھا کہ منزل تک پہنچنا ہے
کہاں منزل کو پھر نزدیک پا کر لوٹ آئی ہوں

مجھے اسکو بتانا تھا میں اس بن جی نہیں سکتی
مگر یہ بات ہونٹوں میں دبا کر لوٹ آئی ہوں

بہت ہی زعم تھا ناصح کو اپنی پارسائی پر
اسے میں سچ کا آئینہ دکھا کر لوٹ آئی ہوں

کسی کی راہ میں آنکھیں جلائیں دل جلا ڈالا
پھر انکی راکھ ساگر میں بہا کر لوٹ آئی ہوں

مجھے اب عمر ساری دشتِ حیراں میں بھٹکناہے
پلٹ جانے کا ہر نقشہ مٹا کر لوٹ آئی ہوں

یہ دل پر منکشف ہے کہ جدا ہے اسکا ہر رستہ
مگر پھر دل کی ہی باتوں میں آکر لوٹ آئی ہوں

وہ جو شہرِ دل تھا اجڑ گیا

وہ جو شہرِ دل تھا اجڑ گیا
وہ جو خواب تھا بکھر گیا
کبھی موسموں کی نظر لگی
کبھی وہموں نے ڈرا دیا
کبھی زندگی کی کتاب سے
ہمیں جس نے چاہا مٹا دیا
بس اسی لیے وہ جو جا رہا تھا دور تک
اُسے دیکھتے ہی رہے مگر، نہیں دی صدا
اسے روکتے بھی تو کس لیے؟
اسے روکتے بھی تو کس لیے؟

اے دل ان آنکھوں پر نہ جا

اے دل ان آنکھوں پر نہ جا
جن میں وفور_ رنج سے
کچھ دیر کو تیرے لئے
آنسو اگر لہرا گئے
یہ چند لمحوں کی چمک
جو تجھ کو پاگل کر گئی!
ان جگنوؤں کے نور سے
چمکی ہے کب وہ زندگی
جس کے مقدر میں رہی
صبح طلب سے تیرگی
کس سوچ میں گم سم ہے تو
اے بے خبر! ناداں نہ بن
تیری فسردہ روح کو
چاہت کے کانٹوں کی طلب
اور اس کے دامن میں
فقط
ہمدردیوں کے پھول ہیں

احمد فراز

ہم جو ڈوبے ہیں تو سورج کی طرح

وہ کہ خود اپنے تغافل سے بھی انجان رہے
ہم وفا کرتے رہے اور پشیمان رہے

زرد پتے کی طرح ترک_ تعلق نہ کریں
ہوں الگ ایسے کہ تجدید کا امکان رہے

نفرتیں، پیار، وفا، جزبہ ایثار و خلوص
دل وہ گھر جس میں ہمیشہ نئے مہمان رہے

اک نیا آدمی ڈھونڈا ہے خود اپنے اندر
یعنی اک عمر تک اس وصف سے انجان رہے

اس بلندی نے تو رشتہ بھی زمین سے توڑا
فاصلے کم ہوں تو اپنوں کی بھی پہچان رہے

ہم جو ڈوبے ہیں تو سورج کی طرح اے مہدی
تا کہ اک اور نئی صبح کا امکان رہے

چراغ دینے لگے گا دھواں نہ چھو لینا

چراغ دینے لگے گا دھواں نہ چھو لینا
تو میرا جسم کہیں میری جاں نہ چھو لینا

زمیں چھٹی تو بھٹک جاؤ گے خلاؤں میں
تم اڑتے اڑتے کہیں آسماں نہ چھو لینا

نہیں تو برف سا پانی تمہیں جلا دے گا
گلاس لیتے ہوۓ انگلیاں نہ چھو لینا

ہمارے لہجے کی شائستگی کے دھوکے میں
ہماری باتوں کی گہرائیاں نہ چھو لینا

اڑے تو پھر نہ ملیں گے رفاقتوں کے پرند
شکایتوں سے بھری ٹہنیاں نہ چھو لینا

مروتوں کو محبت نہ جاننا، عرفان
تم اپنے سینے سے نوک_ سناں نہ چھو لینا !

پنچھی پر جانے کیا بیتی‎ ‎؟

ماتھے پر اک چاند جڑا ہے
گھر پھر بھی تاریک پڑا ہے

داغ رہا ہے سوہل کلائی
بانہہ میں سرخ انگار کڑہ ہے

دلہن گھٹ کر مر جاۓ گی
مان لیا سسرال بڑا ہے

برف پہ اپنے نام کھدے ہیں
سر پر سورج آن کھڑا ہے

پنچھی پر جانے کیا بیتی
پنجرے میں اک پنکھ پڑا ہے

ماں کے پیار سے مہنگی موٹر
بچہ اپنی ضد پہ اڑا ہے

دھرتی مانگے بیج اور پانی
دہقاں خالی ہاتھ کھڑا ہے

رستے میں ہے آگ کا دریا
سحر ترا کاغذ کا گھڑا ہے

Tuesday, August 27, 2013

میرے چارہ گر‎ ‎!

میرے چارہ گر‎ ‎!

میرے درد کی تجھے کیا خبر
تو میرے سفر کا شریک ہے
نہیں ہم سفر؟
میرے چارہ گر،میری چارہ گر
میرے ہاتھ سے تیرے ہاتھ تک
وہ جو ہاتھ بھر کا تھا فاصلہ
کئی موسموں میں بدل گیا
اسے ناپتے اسے کاٹتے
میرا سارا وقت نکل گیا
نہیں جس پہ کوئی نشانِ پا
میرے سامنے ہی وہ رہ گذر
میرے چارہ گر
میرے درد کی تجھے کیا خبر‎ ‎؟؟

Lag Ja Gale Ke Phir Ye Haseen Raat Ho Na Ho,

Lag Ja Gale Ke Phir Ye Haseen Raat Ho Na Ho,
Shayad Phir Is Janam Mein Mulaqaat Ho Na Ho,
Hum Ko Mili Hain Aaj, Ye Gharriyan Naseeb Se,
Jee Bhar Ke Dekh Lijiye Hum Ko Qareeb Se,
Phir Aap Ke Naseeb Mein Ye Baat Ho Na Ho,
Phir Is Janam Mein Mulaqaat Ho Na Ho,
Lag Ja Gale Ke Phir Ye Haseen Raat Ho Na Ho,
Paas Aaiye Ke Hum Nahi Aaein Ge Baar Baar,
Baanhein Gale Mmein Daal Ke Hum Ro Lain Zaar Zaar,
Aankhon Se Phir Ye Pyar Ki Barsaat Ho Na Ho,
Lag Ja Gale Ke Phir Ye Haseen Raat Ho Na Ho,
Shayad Phir Is Janam Mein Mulaqaat Ho Na Ho ...

www.zahid-shah.blogspot.com/

Lyrics Of Deewana Kar Raha Hai ...

Teri Baanhon Mein Mili,
Aisi Raahat Si Mujhe,
Ho Gai Jaan-e-Jaan,
Teri Aadat Si Mujhe,
Dekhoon Main Jab Tujh Ko To,
Tab Mera Din Ye Dhale,
Deewana Kar Raha Hai,
Tera Roop Sunehra,
Musalsal Khal Raha Hai,
Mujh Ko Ab Ye Sehra,
Bata Ab Jayein To Jayein Kahaan ?

Dard Ka Aalam Hai Har Dam,
Tere Bin O Mere Humdam,
Aankhon Mein Dikhti Hain Maayoosiyan,
Jahan Bhi Jaoon Tere Bin,
Bari Mushkil Se Guzre Din,
Chubhti Hain Dil Ko Teri Khaamoshiyan,
Raaz Gehra Jo Hai Tera,
Dar Hai Kaisa, Tu Hai Mera,
Deewana Kar Raha Hai,
Tera Roop Sunehra,
Musalsal Khal Raha Hai,
Mujh Ko Ab Ye Sehra,
Bata Ab Jayein To Jayein Kahaan ?

Dhul Gaye Dil Ke Saare Gham,
Khushi Se Aankhein Hai Ye Nam,
Zindagi Mein Tu Meri Jab Se Aa Geya,
Dil Ka Armaan Bana Hai Tu,
Meri Pehchaan Bana Hai Tu,
Saanson Mein Rooh Ban Ke Tu Samaa Geya,
Jaan Bhi Teri, Dil Bhi Tera,
Tujh Se Hai Mera Sawera,
Deewana Kar Raha Hai,
Tera Roop Sunehra,
Musalsal Khal Raha Hai,
Mujh Ko Ab Ye Sehra,
Bata Ab Jayein To Jayein Kahaan ?

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Tum Hi Ho Lyrics

Hum Tere Bin Ab Reh Nahi Sakte,
Tere Bina Kya Wajood Mere ?
Tujh Se Juda Gar Ho Jayein
To Khud Se Hi Ho Jayein Ge Judaa ...
Kiyun Ke Tum Hi Ho ... Ab Tum Hi Ho ...
Zindagi ... Ab Tum Hi Ho ...
Chain Bhi, Mera Dard Bhi,
Meri Aashqui Ab Tum Hi Ho ...

Tera Mera Rishta Hai Kaisa ?
Ik Pal Door Gawaara Nahi,
Tere Liye Har Roz Hain Jeete,
Tujh Ko Diya Mera Waqt Sabhi,
Koi Lamha Mera Na Ho Tere Bina,
Har Saans Pe Naam Tera,
Kiyun Ke Tum Hi Ho ... Ab Tum Hi Ho ...
Zindagi ... Ab Tum Hi Ho ...
Chain Bhi, Mera Dard Bhi,
Meri Aashqui Ab Tum Hi Ho ...

Tere Liye Hi Jiya Main,
Khud Ko Jo Yoon De Diya Hai,
Teri Wafa Ne Mujh Ko Sambhala,
Saare Ghamon Ko Dil Se Nikala,
Tere Sath Mera Hai Naseeb Jura,
Tujhe Paa Ke Adhoora Na Raha,
Kiyun Ke Tum Hi Ho ... Ab Tum Hi Ho ...
Zindagi ... Ab Tum Hi Ho ...
Chain Bhi, Mera Dard Bhi,
Meri Aashqui Ab Tum Hi Ho ...

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Friday, August 16, 2013

Kabhi Jo Hum Nahi Hon Ge ...


Kabhi Jo Hum Nahi Hon Ge,
Kaho Kis Ko Bataao Ge ?
Wo Apni Uljahnain Sari,
Wo Becheni Mein Doobe Pal,
Wo Aankhon Mein Chupe Aansu,
Kise Phir Tum Dikhao Ye,
Kabhi Jo Hum Nahi Hoon Ge,
Bohat Bechain Ho Ge Tum,
Bohat Tunha Reh Jao Ge,
Abhi Bhi Tum Nahi Sumjhe,
Hamari An-Kahi Baatein,
Mager Jab Yaad Aayen Ge,
Bohat Tum Ko Rulayen Ge,
Bohat Chaho Ge Phir Bhi Tum,
Humein Na Dhoond Pao Ge,
Kabhi Jo Hum Nahi Hoon Ge ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Tumhein Jaana Ijaazat Hai ...



















Tumhein Jana Ijazat Hai
Ke In Tareek Raahon Per
Thakkan Si Khud Mein Pao To
Andheron Se Kabhi Dil Dol Jaye
Thakk Si Jao To
Mere Jalte Hue Lamhon
Mere Kangaal Hathon Se Chhora Ke Apne Hathon Ko
Fiza Ki Nagmagi Se Tum Naey Geet Chun Lena
Haseen Pulkon Ki Nokon Per Naey Kuch Khuwab Bun Lena
Koi Agar Poochh Le Mera To Us Se Zikr Mat Karna
Mere Jeewan Ki Jalti Dopehar Se Begarz Ho Ker
Tum Apni Chandni Raaton Mein Jugnu Palti Rehna
Meri Tunhaiyon Ki Wehshat Ki Fikr Mat Karna
Tumhein Iski Ijazat Hai
Mere Sab Khut Jula Dena
Mere Tohfon Ko Darya Mein Baha Dena,
Duba Dena
Tumhein Bilkul Ijazat Hai
Ke Jab Chaho Bhula Dena
Magar Itni Guzarish Hai
Agar Aisa Na Ho Jana
To Acha Hai ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Teri Jabeen Pe Likha Tha K Tu Bhula De Ga ...




Teri Jabeen Pe Likha Tha K Tu Bhula De Ga.

So Main Bhi Bhaanp Gaya Tha K Tu Bhula De Ga.

Har Ik Shakhs Se Larrta Raha Main Tere Liye.

Har Ik Ne Mujh Se Kaha Tha K Tu Bhula De Ga.

Ye Teri Aankhon Pe Halke Se Par Gaye Kaise ?

Mujhe To Tu Ne Kaha Tha K Tu Bhula De Ga.

Nikaal Laya Hai Ilzaam Phir Puraany Tu.

Ye Hum Ne Tay Bhi Kiya Tha K Tu Bhula De Ga.

Kuch Is Liye Bhi K Ik Till Tha Teri Aankhon Mein.

Mujhe Tu Tab Bhi Pata Tha K Tu Bhula De Ga ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Yaad Aaon Ga ...


Tum Meri Aankh K Tewer Na Bhoola Pao Gay,
Unkahi Baat Ko Samjho Gay to Yaad Aaon Ga,

Hum Nay Khushiyon Ki Tarah Dukh Bhi Akathay Dekhe,
Safha-e-Zeest Ko Palto Gay To Yaad Aaon Ga,

Is Judai Main Tum Ander Say Bikhar Jao Gay,
Kisi Mazoor Ko Dekho Gay To Yaad Aaon Ga,

Isi Andaz Main Hotay Thay Mukhatib Mujh Say,
Khat Kisi Or Ko Likho Gay To Yaad Aaon Ga,

Meri Khusboo Tumhein Kholey Gi Gulabon Ki Tarah,
Tum Agar Khud Say Na Bolo Ge to Yaad Aaon Ga,

Sard Raaton K Mahektey Huey Sannaaton Mein,
Jab Kisi Phool Ko Choomo Gay To Yaad Aaon Ga,


Aaj To Mehfil-e-Yaran Pay Ho Maghroor Bohat,
Jab Kabhi Toot K Bikhro Gay To Yaad Aaon Ga,

Ab To Ye Ashq Main Honton Say Chura Leta Hoon,
Hath Say Khud Inhein Poncho Gay To Yaad Aaon Ga,

Shaal Pehnaaye Ka Ab Kon December Main Tumhein,
Barishon Main Kabhi Bheego Gay To Yaad Aaon Ga,

Haadsey Aayein Gay Jeewan Main To Tum Ho Gay Nidhaal,
Kisi Deewaar Ko Thamo Gay To Yaad Aaon Ga,

Is Main Shamil Hai Mere Bakht Ki Tareeki Bhi,
Tum Siyah Rang Jo Pehno Gay To Yaad Aaon Ga ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/


Hazaaron Dukh Parein Sehna Mohabbat Mar Nahi Sakti ...

Hazaaron Dukh Parein Sehna Mohabbat Mar Nahi Sakti,

Hai Tum Se Bas Yehi Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Tera Har Baar Mere Khat Ko Parhna Or Ro Dena,

Mera Har Baar Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Kia Tha Hum Ne Kempas Ki Nadi Pe Ikk Haseen Wada,

Bhalay Hum Ko Parey Marna Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Jahan Main Jab Talak Panchi Chehaktey Urtey Phirtey Hain,

Hai Jab Tak Phool Ka Khilna Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Puraney Ahad Ko Jab Zinda Karne Ka Khyaal Aaye,

Mujhy Bas Itna Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti.



Woh Tera Hajar Ki Shab Phone Rakhne Se Zara Pehley,

Buhat Rotey Hooye Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Agar Hum Hasrton Ki Qabar Main Hi Dafan Ho Jayen,

To Ye Katboon Pe Likh Dena Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Puraaney Raabton Ko Phir Se Naye Wade Ki Khwahish Hai,

Zara Ikk Baar Tu Kehna Mohabbat Mar Nahi Sakti.

Gaye Lamhaat Fursat Ke Kahan Se Doond Ker Laoon

Wo Pehroon Haath Per Likhna Mohabbat Mar Nahi Sakti ...

Poet : Wasi Shah
Contributed : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Mujh Ko Maaloom Hai Tum Badal Jao Gey Ja Ke Pardes Mein ...

Mujh Ko Maaloom Hai Tum Badal Jao Gey Ja Ke Pardes Mein,

Chahaton ki haddon se nikal jao gey ja k pardes mein,

Raakh ho jaye gi qurbaton mein mehakti hui zindagi,

Hijar ki aag mein tum pigal jao gay ja k pardes mein,

Sab ko bhoolo gay par apne bachon ki jab tum ko yaad aaye gi,

Khud bhi bachun ki soorat machal jao gay ja k pardes main.

Apni pehchan ko khawahishoon k sumandar main gar kho diya,

Dastaanon mein phir tum bhi dhal jao gay ja k pardes main.

Ain mumkin hai jab tum wahan jao tu aur barh jayein dukh,

Kis ne tum se kaha hai behal jao gay ja k pardes main.

Ye bata don tumhen sardiyan Aag barsayen gi us jaga,

Soch lo ab bhi tum, warna jal jao gay ja k pardes main.

Tum pe yoon hath daalein gi tanhayian aik waqt aaye ga,

koi aahat b ho gi dehal jao gay ja k pardes mein ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

AAJ YOON MAUSAM NE DI JASHAN-E-MOHABBAT KI KHABAR ...



AAJ YOON MAUSAM NE DI JASHAN-E-MOHABBAT KI KHABAR,

PHOOT PHOOT K RONE LAGE HAIN, MAIN, MOHABBAT AUR TUM,

HUM NE JOONHI KAR LIYA MEHSOOS MANZIL HAI QAREEB,

RAASTE KHONE LAGE HAIN, MAIN, MOHABBAT AUR TUM,

CHAAND KI KIRNON NE HUM KO IS TARHA BOSA DIYA,

DEVTA HONE LAGE HAIN, MAIN, MOHABBAT AUR TUM,

AAJ PHIR MEHROOMIYON KI DAASTAANEIN OURRH KAR,

KHUWAAB MEIN SONE LAGE HAIN, MAIN, MOHABBAT AUR TUM,

KHO GAYE, AWAAZ BHI, ANDAAZ BHI, ALFAAZ BHI,

KHAMOSHI DHOONDNE LAGE HAIN, MAIN, MOHABBAT AUR TUM ...

POET : WASI SHAH
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Jaan-e- Jaana Tum Kehti TheeN ... Wasi Shah's Beautiful Poem ...



















Jaan - e - Jaana
Tum Kehti TheeN,
Jaanu Aap ! Mere Bachche Ho,
Mujh Ko Aisa Lagta Hai
Tum Orrh Ke Mere Lahoo Ko
Mere Badan Mein Soye Rehay Ho
Meri Rooh Ka Nasha Pee Kar
Mere Andar Khoye Rehay Ho
Mere Jism Ka Hi Hissa Ho

Jaan - e - Jaana
Tum To Kehti TheeN,
Jaanu Aap Mere Bachche Ho
Lekin Aise
Jis Ko Main Aanchal Ke Goshon Mein To
Chhupa Kar Rakh Sakti Hoon
Jis Ko Aankh Ki Putli Mein PinhaaN To Kar Sakti Hoon
Is Bachche Ko
Jaanu ! Aap Ko
Duniya Ki Nazron Mein Lana Mumkin Nahi
Bara Kat'thin Hai
Is Dharti Ki Zalim Rasmein
Sab Jhagre Aur Sabhi Masaa'il
Kab Tasleem Nahi Hain Mujh Ko
Lekin Jaana
Ye Batlao
Kya Koi Maa
Apne Bachche Ko Sardi Mein
Khuli Hawa Mein Veeraan Sarak Par
Raat Ki Bheegi Tanhai Mein
Sun-Sun Karti Hui Hawa Ke JhoNkoN Ke Maqtal Mein
Chor Ke Tanha
Manzil Wali Roshan Raah Par Chal Sakti Hai
Kya Koi Maa
Aisa Bhi Kar Sakti Hai
Lekin Tum Ne Yehi Kiya Hai
Jaan - e - Jaana ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Kal Ajab Saniha Sa Hua Rait Par ...



Kal Ajab Saniha Sa Hua Rait Par
Naam Tera Nahi Likh Saka Rait Par

Kis Ki Awaz Se Tham Gaye Hain Qadam
Phir Se Kis Ne Mujhe Di Sada Rait Par

Us Ki Aankhon Se Sholay Nikalte Rahe
Naachti Reh Gai Kal Ghata Rait Par

Tu Ne Jo Bhi Hawa Se Kaha Reh Gaya
Mit Gaya Mai Ne Jo Bhi Likha Rait Par

Ab Yeh Sehra Hi Tere Muqaddar Mai Hain
Tu Ne Maangi Hi Kiyu Thi Dua Rait Par

Ek Shola Utha Us Jaga Se WASI,
Mera Aansu Jahan Gir Gaya Rait Par ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Kitni Zulfein Khuleen Kitnay Aanchal Urray ? Chand Ko Kiya Khabar ?



Kitni Zulfein Khuleen Kitnay Aanchal Urray ? Chand Ko Kiya Khabar

Kitna Maatam Hua Kitnay Aansu Bahay ? Chand Ko Kiya Khabar

Muddaton Us Ki Khuwahish Mein Chaltay Rahey Haath Aata Nahi

Chah Mein Is Ki Pairon Mein Hain Aablay ! Chand Ko Kiya Khabar

Wo Jo Nikla Nahi To Bhataktay Rahey Hain Musafir Kai

Aur Lut'tay Rahey Hain Kai Qaafilay ! Chand Ko Kiya Khabar

Wo To Apni Nagri Mein Madhosh Hai Kab Say Khamosh Hai

Kon Raja Bana Kitnay Syed Lutey ? Chand Ko Kiya Khabar

Is Ko Daawa Bohot Meethe-Pan Ka Wasi Chandni Se Kaho

Is Ki Kiranon Se Kitne Hi Ghar Jal Gaye Chand Ko Kiya Khabar ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Tamaam Shehar Main Ab To Hai Raaj Kaanton Ka ...



Tamaam Shehar Main Ab To Hai Raaj Kaanton Ka

Mujhe Qubool Nahi Yeh Samaaj Kaanton Ka

Chalo Ke Kuch To Tasalli Hui Mere Dil Ko

Isi Main Khush Hon Ke Paa ya Khiraaj Kaanton Ka

Hamare Phool Se Chehron Ko Nochnay Waalo

Kabhi To Tum Pe Bhi Utray Ga Anaaj Kaanton Ka

Sambhal Sakte Nahin Hum Yeh Gham Ki Jageeren

Utaar Li Ji ye Sar Se Yeh Taaj Kaanton Ka

Yeh Aur Baat Keh Gul Ki Tarhan Mehekte Rahe

Wagarna Rakhte Thay Hum Bhi Mizaaj Kaanton Ka

Bohat Ajeeb Se Lehja yMain Baat Karta Hai

Hai Aaj Phool Main Kuch Imtezaaj Kaanton Ka ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Thursday, August 15, 2013

Kal Hamesha ki Tarah Us Ne Kaha Yeh Phone Par ...



Kal Hamesha ki tarah us nay kaha yeh phone par ...

Main bohot masroof hoon, mujh ko bohot sey kaam hain ...

Is liye tum aao milney, mai to aa sakti nahi ...

Har riwaayat torr kar is baar main ne keh diya ...

Tum jo ho masroof to main bhi bohot masroof hoon ...

Tum agar ghamgeen ho, main bhi bohot ranjoor hoon ...

Tum thakan sey choor to main bhi thakan sey choor hoon ...

Jaan-e-man hai waqt mera bhi bohot hi qeemti ...

Kuch puraanay doston nay milnay aana hai abhi ...

Main bhi ab farigh nahi, mujh ko bhi laakhon kaam hain ...

Warna kehney ko to sab lamhey tumhare naam hain ...

Meri Aankhein bhi bohat bojhal hain, sona hai mujhe ...

Ratjago'n k baad ab neendon main khona hai mujhe ...

Main lahoo apni anaaon ka baha sakta nahi ...

Tum nahi aateen to milney main bhi aa sakta nahi ...

Us ko yeh keh ke WASI main nay receiver rakh diya ...

Aur phir apni anaa k paaoon pay sar rakh diya ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Kisi Ki Aankh Se Sapney Chura Kar Kuch Nahi Milta ...



Kisi Ki Aankh Say Sapney Chura Kar Kuch Nahi Milta,

Mandiron Say Chiraaghon Ko Bhuja Kar Kuch Nahi Milta,

Koi Aik Aadha Sapna Ho To Ho , Acha Bhi Lagta Hai,

Hazaaron Khwaab Aankhon Mein Saja Kar Kuch Nahi Milta,

Sakoon Un Ko Nahi Milta Kabhi Pardais Mein Bhi,

Jinhen Apne Watan Say Dil Laga Kar Kuch Nahi Milta,

Usay Kehna K Palkon Per Na Taanay Khawbon Ki Jhalar,

Samandar K Kinarey Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta,

Yeh Acha Hai K Apas K Bharam Na Tootney Payein,

Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Kar Kuch Nahi Milta,

Mujhe Aksar Sitaaron Sey Yehi Awaaz Aati Hai,

Kisi K Hijr Mein Neendein Ga'nwaa Kar Kuch Nahi Milta,

Jigar Ho Jaye Ga Chalni Yeh Ankhein Khoon Royein Gi,

Wasi Be_Faiz Logon Sey Nibha Kar Kuch Nahi Milta !

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Dukh Dard K Maaron Say Mera Zikar Na Karna ...



Dukh Dard K Maaron Say Mera Zikar Na Karna,

Ghar Jao To Mere Yaaron Say Mera zikar Na Karna,

Woh Zabt Na Kar Payein Gay Ankhoon Kay Samadar,

Tum Ghum_Guzaaron Say Mera Zikar Na Karna,

Phoolon K Nasheman Mein Raha Hoon Main Sada Say,

Dekho Kabhi Kharoon Say Mera Zikar Na Karna,

Shahyad Yeh Andehray Hi Mujhe Raah Dikhayen Ab,

Tum Chaand Sitaroon Say Mera Zikar Na Karna,

Wo Meri Kahani Ko Ghalat Rang Na Dey Dein,

Afsana_Nigaaron Say mera Zikar Na Karna,

Shayad Wo Mere Haal Pay Bey_Saakhta Ro Dein,

Is Baar Bahaaron Say mera Zikar Na Karna,

Lay Jayein Gay Gehraai Mein Tum Ko Bhi Baha Kar,

Darya K Kinaaron Say Mera Zikar Na Karna,

Woh Shakhs Milay To Usay Har Baat Bataana,

Tum Sirf Ishaaron Say Mera Zikar Na Karna ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Samundar Mein Utarta Hoon To Aankhain Bheeg Jaati Hain ...



Samundar Mein Utarta Hoon To Aankhain Bheeg Jaati Hain

teri aankhon ko parhta hoon to aankhain bheeg jati hain

tumhara naam likhnay ki ijaazat chin gai jab sey

koi bhi lafz likhtaa hoon to aankhain bheeg jati hain

teri yaadoon ki khushboo khirkiyon main raqs karti hay

tere gham main sulagta hoon to aankhain bheeg jati hain

Na_jaaney ho gaya hoon is_qadar hassaas main kab sey

kisi se baat kartaa hoon to aankhain bheeg jati hain

wo sab guzrey hoey lamhaat mujh ko yaad aatey hain

tumhare khat jo parhta hoon to aankhain bheeg jati hain

main sara din bohat masroof rehta hoon magar joon hi

qadam chaukhat pey rakhta hoon to aankhain bheeg jati hain

tere koochey sey ab mera ta'alluq waajbi sa hai

magar jab bhi guzarta hoon to aankhain bheeg jati hain

Hazaaron mausamo'n ki hukmaarani hai meray dil par

Wasi main jab bhi tanha hon to aankhein bheeg jati hain !

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Main Is Hisaar Se Nikloon To Kuch Aur Sochoon ...



Main Is Hisaar Say Nikloon To Kuch Aur Sochoon

Tumhare Pyaar Say Nikloon To Kuch Aur Sochoon

Teri Gali Ke Ilaawa Bhi Aur Qirye Hain

Jo Is Dayaar Say Nikloon To Kuch Aur Sochoon

Tumhare Hijr Ki Sadiyaan Tumhare Wasl K Din

Mein Is Shumaar Say Nikloon To Kuch Aur Sochoon

Racha Howa Hai Tera Ishq Meri Pooron Mein

Main Is Khumaar Say Nikloon To Kuch Aur Sochoon

Ye Mera Jism Ke Maatam Saraa-e-Hasrat Hai

Main Is Mazaar Say Nikloon To Kuch Aur Sochoon

Ye Mujh Mein Kon Mere Raat Din Sambhalta Hai ?

Is Ikhtiyaar Se Nikloon To Kuch Aur Sochoon,

Tumhari Jism Ki Khushbuu Nay Kar Diya Mas-hoor

Is Aabshaar Say Nikloon To Kuch Aur Sochoon

Ye Be-Qaraari Meri Rooh Ka Ujaala Hai

Main Is Qaraar Say Nikloon To Kuch Aur Sochoon ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Apne Ehsaas Se Chhoo Kar Mujhe Sandal Kar Do ...



Apne Ehsaas Se Chhoo Kar Mujhe Sandal Kar Do,

K Main Saddiyon Say Adhoora Hon, Mukammal Kar Do,

Na Tumhein Hosh Rahay Aur Na Mujhe Hosh Rahay,

Is_Qadar Toot K Chaho, K Mujhe Pagal Kar Do,

Tum Hatheli Ko Mere Piyar Ki Mehndi Say Rango,

Apni Aankhon Mein Mere Naam Ka Kajal Kar Do,

Is K Saaye Mein Mere Khwaab Dhak Utthein Gay.

Mere Chehrey Pay Chamakta Hua Aanchal Kar Do,

Dhoop Hi Dhoop Hon Main Toot K Barso Mujh Par,

Is_Qadar Barso Meri Rooh Mein Jall_Thall Kar Do,

Jesay Sehraaon Mein Har Shaam Hawa Chalti Hai,

Is Tarha Mujh Mein Chalo Aur Mujhe Thall Kar Do,

Tum Chupaa Lo Mera Dil Aot Mein Apnay Dil Ki,

Aur Mujhe Meri Nigaahon Say Bhi Oojhal Kar Do,

Masla Hon To Nigaahein Na Churaao Mujh Say,

Apni Chahat Say, Tawajjo Say Mujhe Hall Kar Do,

Apnay Gham Say Kaho K Har Waqt Mere Saath Rahay,

Aik Ehsaan Karo, Is Ko Musalsal Kar Do,

Mujh Pay Chhaa Jao Kisi Aag Ki Soorat Jaanaa'n

Aur Meri Zaat Ko Sookha Hua Jangal Kar Do !

Poet : Wasi Shah
Contribut : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Tab Yaad Bohat Tum Aate Ho ...



Jab Raat Ki Naagin Dasti Hai,
Nas Nas Mein Zeher Utarta Hai,

Jab Chaand Ki Kirne Tezi Se,
Is Dilko Cheer Ke Aati Hai,

Jab Aankh Ke Andar Hi Aansu,
Zanjeeron Mein Bandh Jaate Hai,

Sab Jazbo Par Chha Jaate Ho,
Tab Yaad Bohat Tum Aate Ho,

Jab Dard Ki Jhanjhar Bajti Hai,
Jab Raag Ghamon ka Hota Hai….!

Khwabon Ki Taal Pe Saare Dukh,
Wehshat Ke Saaz Bajate Hai,

Gaate Hai Khwahish Ki Lay Mein,
Masti Me JhuMte Jaate Hai,

Sab Jazbon Par Chha Jaate Ho
Tab Yaad Bohat Tum Aate Ho ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

" Matt Cheeno " ( A Beautiful Ghazal By Wasi Shah )



Kalam Ho Taigh Ho Tesha kay Dhaal Mat Cheeno

Kabhi Kisi se kisi ka kamaal Mat Cheeno

Khushi Agar isi main hain to,Har khushi lay lo

Yeh Dukh yeh dard yeh Huzn O Malaal Mat Cheeno

Isi Khalash kay sabab Phir Mujhay Ubharna hain

Khuda Kay Wastay Ehd e Zawaal Mat Cheeno

Main Chor Sakta Nahi Saath Istakamat ka

Meri Azaan se Josh e BILAL Mat Cheeno

Abhi Kitaab Na Cheeno tum un kay Haatho se

Humare Bachon ka Husn O Jamaal Mat Cheeno

Humari Aankh Mein Yaadon kay Zakham Rehnay Do

Humare Haath se Phoolon ki Dhaal Mat Cheeno

Abhi Bujhao Na Candle,Na Cake Kaato Abhi

Kuch Aur Dair Mera Pichla Saal Mat Cheeno

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai ?




Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai ?

Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai,

Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta,

Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,

Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain,

Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai,

Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne,

Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai,

Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hoon,

Ta’alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Sochta Hoon Ke Usay Neend Bhi Aati Ho Gi ... ?



Sochta Hoon Ke Usay Neend Bhi Aati Ho Gi,

Ya Meri Tarah Faqat Ashk Bahati Ho Gi,

Wo Meri Shakal Mera Naam Bhulanay Wali,

Apni Tasweer Se Kia Aankh Milati Ho Gi ?

Is Zameen Pe Bhi Hay Selaab Mere Ashkon Say,

Mere Matam Ki Sada Arsh Helati Ho Gi,

Shaam Hotay Hi Wo Chokhat Pay Jala Kar Shamain,

Apni Palkon Pay Ka'ee Khowab Sulati Ho Gi,

Us Nay Silwa Bhi Liye Hongay Siya Rang Libaas,

Ab Moharram Ki Tarah Eid Manati Ho Gi,

Hoti Ho Gi Mere Bosay Ki Talab Main Pagal,

Jab Bhi Zulfon Main Koii Phool Sajati Ho Gi,

Mere Tareek Zamano Say Nikalnay Wali,

Roshni Tujh Ko Meri Yaad Dilati Ho Gi,

Dil Ki Masoom Ragain Khud Hi Sulagti Ho Gi,

Joon Hi Tasweer Ka Kona Wo Jalati Ho Gi,

Roop Day Kar Mujhe Us Mein Kisi Shehzaday Ka,

Apne Bachon Ko Kahani Wo Sunati Ho Gi ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Tum Mera Dard Bhi, Gham Bhi, Alam Bhi Tum ...



Tum Mera Dard Bhi, Gham Bhi, Alaam Bhi Tum,

Tum mera chain ho jana, mera araam bhi tum,

Kamyaabi ko nahi hum ne tumhen chaha hai,

Hum tumhare hain bhaley ho gaye nakaam bhi tum,

Main maseeha hoon agar, mera wazeefa tum ho,

Main hoon mujrim meri jaan mera ilzaam bhi tum,

Kya zaroorat hai mujhe dard ke May-khaanon ki,

Tumhi nasha, tumhi paimaana, mera jaam bhi tum,

Mukhtalif se bahaanon se mujhe sochtey ho,

Aik din khul ke pukaro ge mera naam bhi tum,

Ye siasat bhi ajab khail hai bholey panchi,

Yahan Siyaad bhi tum ho, to teh-daam bhi tum,

Jis se roshan mera aangan hai tumhi ho woh chiraag,

Sach to yeh hai ke tumhi ghar ho, dar-o-baam bhi tum,

Raat din tum ko faqat tum ko mujhe sochna hai,

Meri fursat bhi tumhi aur mera har kaam bhi tum ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah ...



Dheeray Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah,

Us Ka Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah,

Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga,

Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah,

Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’oon Ga,

Sar-e-Sham Hi Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,

Mere Hi Dil Ka Makeen Nikla Wo Shakhs “Wasi”

Aur Mein Shehar Bhar Mein Dhoondta Raha Usay Kisi Pagal Ki Tarah ...

Poet : Wasi Shah
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Tehwaar To Naam Hai Khushyon Ka ...
















Tehwaar To Naam Hai Khushyon Ka,
Lekin Meri Eid Per,
Mere Dardon Ka Raqs Hota Hai,
Mere Aankhon K Aansoo Muskurate Hain,
Meri Payalen Zanjeer Ban Kar Mujh Pe Sitam Karti Hain,
Meri Khushyan Sisakti Rehti Hain,
Mere Armaan Damm Tote Hain,
Meri Aahen Hansti Rehti Hai,
Main Hoti Hoon Aur Tanhai,
Saath Aansoo, Armaan, Aahen Aur Zanjeeren,
Inhi Khilonon Se,
Eid Ka Roz Behlati Hoon.

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Main Laal Dupatta Laya Hoon ...



















Main Laal Dupatta Laya Hoon,

Tere Ujlay Ujlay Chehray Ko..

Aaj Husn Duhaai Day Ga,

Aaj Chandni Raqs Kare Gi,

Aaj Baharein Saari Jhoomein Gi,

Tere Qadmon Ko Bhi Choomay Gi,

Aaj Dhanak K Rung Sub Bikhre Gay,

Roop Nazarein Nikhrein Gay,

Main Kahin Bhool Na Jaon Baaton Mein.

Zara Dekh Main Apne Haathon Mein...

Kya Rang Saja K Aaya Hoon,

Main Laal Dupatta Laya Hoon,

Mujhe Logon Ne Bhi Roka Tha,

Mujhe Rasmon Ne Bhi Toka Tha,

Kuch Rasmein Thin,
Kuch Bandhan Thay,

Kuch Logon Ka Khayaal Bhi Tha,

Tujh Se Milna Bi Aasaan Na Tha,

Bin Tere Jeena Mohaal Bi Tha,

Har Rasm Bandhan Torr Liya,

Sirf Tujh Se Rishta Jor Liya,

Jab Tu Bhi Rishta Joray Gi,

Yeh Laal Dupatta Orrhay Gi,

Tab Iss Duniya Mein Dharti Par...

Meri Mohabbaton Ka,
Meri Chahat Ka,

Aakhir Sach Wo Sapna Ho,

Rasmon Se, Rawajaon Se,

Kitne Zulm Samajon Se...

Dekh Akele Hi Takraya Hoon,

Main Laal Dupatta Laya Hoon,

Main Laal Dupatta ...

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Ye Mera Shehr-E-Wafa Aur Maen Akela Aadmi ...

Ye Mera Shehr-E-Wafa Aur Maen Akela Aadmi,

Mere Laakho'n Aashna Aur Maen Akela Aadmi,

Ghoomta Phirta Hoon Shayad Mujh Sa Koi Aa Milay,

Gham K Mailay Ja-Ba-Ja Aur Maen Akela Aadmi,

Apni Tanhaai Say Bhi Hoti Nahin Ab Guftgu,

Be-Kran Qaid-E-Anaa Aur Maen Akela Aadmi,

Mera Saya Mar Na Jaye Raat K Iss Dasht Main,

Itna Lamba Raasta Aur Maen Akela Aadmi,

Aik Hi Sar Hai Jhuka Skta Hoon Kis Kis K Liye,

Un-Ginat Meray Khuda Aur Maen Akela Aadmi,

Uski Rahmat K Hazaron Dar Magar Wo Be-Niaz,

Mere So Dast-E-Dua Aur Maen Akela Aadmi,

Dard Ke Ilhaam Nazil Ho Rahy Hain Dam Badam,

Dil Ka Ye Ghaar-E-Hira Aur Akela Aadmi ...

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Humein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo ...



Husn Walay Wafa Nahi Kartay,
Ishq Walay Dagha Nahi Kartay,
Zulm Karna To Inki Aadat Hai,
Yeh Kisi Ka Bhala Nahi Kartay,
Jo Nazar Aar Paar Ho Jaye,
Wohi Dil Ka Qaraar Ho Jaye,
Apni Zulfon Ka Daal Do Saya,
Teergi Khush_gawaar Ho Jaye,
Teri Nazron Ko Dekh Paye Agar,
Shaikh Bhi Mai_gusaar Ho Jaye,
Tujh Ko Daikhay Jo Ik Nazar Wo Rang,
Chand Bhi Sharam_Saar Ho Jaye,
Aaeena Apne Saamnay Say Hata,
Ye Na Ho Khud Say Pyar Ho Jaye,
Bhool Ho Jati Hai Yoon Taish Mein Aaya Na Karo,
Faaslay Khatam Karo Baat Barhaya Na Karo,
Ye Nigahein, Ye Ishaaray, Ye Adaayein Tauba,
In Sharabon Ko Sar-e-Aam Lutaya Na Karo,
Shaam Gehri Ho To Kuch Aur Haseen Hoti Hai,
Saya-e-zulf Ko Chehray Say Hataya Na Karo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo,
Na Chey'ro Humein, Hum Sataye Huey Hein,
Bohat Zakhm Seenay Pay Khaaye Huey Hein,
Sitam_Gar Ho Tum, Khoob Pehchantay Hein,
Tumhari Adaaon Ko Hum Jantay Hein,
Dagha_Baaz Ho Tum Sitam Dhaanay Walay,
Faraib-e-Mohabbat Mein Uljhanay Walay,
Ye Rangeen Kahani Tumhi Ko Mubarak,
Tumhari Jawani Tumhi Ko Mubarak,
Humari Taraf Say Nigaahein Hata Lo,
Hamein Zinda Rehnay Do Ay Husn Walo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Daalo,
Zanjeer Mein Zulfoon Ki Phans Janay Ko Kia Kahiye,
Deewana Mera Dil Hai, Deewanay Ko Kya Kahiye,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo,
Sambhalo Zara Apna Aanchal Gulabi,
Dikhao Na Hans Hans K Aankhein Sharabi,
Sulook Inka Dunya Mein Acha Nahi Hai,
Haseeno'n Pay Hum Ko Bharosa Nahi Hai,
Utha'tay Hein Nazrein To Girti Hai Bijli,
Adaa Jo Bhi Nikli, Qayamat Hi Nikli,
Jahaan Tum Nay Chehray Say Aanchal Hataya,
Waheen Ehl-e-dil Ko Tamasha Banaya,
Khuda K Liye Hum Pay Dorein Na Dalo,
Hamein Zinda Rehnay Do Ey Husn Walo,
Kali Kali Zulfoon Ke Phanday Na Dalo,
Aawara Hui Jaati Hein Zulfon Ko Sambhalo,
Dil Mera Ulajh Jaye Ga Yeh Jaal Na Dalo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Hamein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo,
Apni Is Zulf-e-pareshaan Ko Sambhalo Warna,
Aisay Gustaakh Ko Hum Choom Liya Kartay Hain,
Uljha Hai Paaon Yaar Ka Zulf-e-daraaz Mein,
Lo Aap Apne Dam Mein Sayyad Aa Gaya,
Sada_waar Kartay Ho Tum Deg-e-jafa Ka,
Bahatay Ho Tum Khoon Ehl-e-wafa Ka,
Ye Nagan Si Zulfein, Ye Zehreeli Nazrein,
Wo Pani Na Mangay Ye Jiss Ko Bhi Das Lay,
Wo Lut Jaye Jo Tum Say Dil Ko Laga Lay,
Phiray Hasraton Ka Janaza Uthaye,
Hai Maloom Hum Ko Tumhari Haqeeqat,
Mohabbat K Parday Mein Kartay Ho Nafrat,
Kaheen Aur Ja K Adaayein Uchalo,
Humein Zinda Rehnay Do Ey Husn Walo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Ye Jhooti Numaish Ye Jhooti Banaawat,
Faraib_E_Nazar Hai Nazar Ki Lagawat,
Ye Sumbal Say Gesu, Ye Aariz Gulabi,
Zamanay Milayein Gay Ik Din Kharabi,
Fana Hum Ko Kar Dena Ye Muskarana,
Adaa Kafirana Chalan Zaalimana,
Dikhao Na Ye Ishwa-o-naz Hum Ko,
Sikhao Na Ulfat K Andaaz Hum Ko,
Kisi Aur Per Zulf Ka Jaal Dalo,
Humein Zinda Rehnay Do Ey Husn Walo,
Kali Kali Zulfoon K Phanday Na Dalo,
Apni Zulfon Ka Prudah Bana Lijiye,
Husn_e_Masoom Ab Fitna_gar Ho Gaya,
Palkein Gir Jayein Gi, Door Jal Jaye Ga,
Rukh Tumhari Nazar Ka Jidhar Ho Gaya,
Humein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo,
Humein Zinda Rehnay Do, Ay Husn Walo ...

Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/