Ab Teri Zaroorat Bhi Bohat Kam Hai, Meri Jaa'n,
Ab Shouq Ka Kuch Aur Hi Aalam Hai, Meri Jaa'n,
Ab Tazkara_e_Khanda_e_Gul, Baar Hai Jee Par,
Jaa'n Waqf_e_Gham Garya_e_Shabnam Hai Meri Jaa'n,
Rukh Pay Tere Bikhri Hui Ye Zulf Siyah_Taab,
Tasweer Pareshani_e_Aalam Hai, Meri Jaa'n,
Ye Kya K Tujhe Bhi Hai Zamaanay Say Shikaayat,
Ye Kya K Teri Aankh Bhi Pur_Nam Hai, Meri Jaa'n,
Hum Saada Dilo'n Par Ye Shab_e_Gham Ka Tasallat,
Maayoos Na Ho, Aur Koi Dam Hai, Meri Jaa'n,
Ye Teri Tawajjo Ka Hai Ejaz K Mujh Say,
Har Shakhs Tere Sheher Ka Barham Hai, Meri Jaa'n,
Ay Nuzhat_e_Maahtaab, Tera Gham Hai Meri Zeest,
Ay Naazish_e_Khurseed, Tera Gham Hai, Meri Jaa'n,
..................................................................................................
Poet : Habib Jalib
Contribute : Zahid Shah
No comments:
Post a Comment