Ban K Tasweer-e-Gham Reh Gaye Hain,
Khoye-Khoye Say Hum Reh Gaye Hain.
Baant Li Sab Nay Aapas Mein Khushiyan,
Mere Hissay Mein Gham Reh Gaye Hain.
Ab Na Uthna Sarhanay Say Mere,
Ab To Ginti K Dum Reh Gaye Hain.
Qaafila Chal Ke Manzil Ko Pohncha,
Thehro Thehro Mein Hum Reh Gaye Hain.
Ay Sabah Ek Zehmat Zara Phir,
Unki Zulfon Mein Kham Reh Gaye Hain.
Dekh Kar Unke Mangton Ki Gairat,
Danng Ehal-e-Haram Reh Gaye Hain.
Un Ki Saptariyan Kuch Na Poocho,
Aasiyon K Bharam Reh Gaye Hain.
Qaynaat-e-Jafa-o-Wafa Mein,
Ek Tum Ek Hum Reh Gaye Hain.
Aaj Saaqi Pila Shaikh Ko Bhi,
Ek Ye Mohtaram Reh Gaye Hain.
Allah Allah Ye Kiski Gali Hai,
Uthtay Uthtay Qadam Reh Gaye Hain ...
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/
Hey can anybody translate this please? If not the whole thing at least let me know what saptariya means
ReplyDeleteSaptariya nahi hei bhai,
DeleteSattariya hei
What does sattariya means too
Deletethe art of covering,concealing
DeleteNusrat <3
ReplyDeleteWho wrote this?
ReplyDeletePir naseer ud din naseer
DeleteKmaaaaaaal
ReplyDeletewho wrote this
ReplyDeletePeer Naseer ud din naseer
ReplyDeleteKamaal ka mizaaj tha Peer Sayyed Naseer Uddin Naseer Alaiyhi Rehma ka
ReplyDelete