Chehray Parhta Aankhein Likhta Rehta Hoon
Main Bhi Kaisi Baatein Likhta Rehta Hun
Saray Jism Darakhton Jaisay Lagtay Hain
Aur Baahon Ko Shaakhein Likhta Rehta Hun
Tujh Ko Khat Likhnay K Tewar Bhool Gaye
Aarhi Tirchi Satrein Likhta Rehta Hun
Tere Hijr Mein Aur Mujhay Kya Karna Hai ?
Tere Naam Kitaabein Likhta Rehta Hun
Teri Zulf K Saaye Dheyaan Mein Rehtay Hain,
Main Subho'n Ki Shaamein Likhta Rehta Hoon,
Apne Piyar K Phool Mehekti Raahon Mein,
Logon Ki Deewaarein Likhta Rehta Hoon,
Tujh Say Mil Kar Saaray Dukh Dohrawon Ga
Hijr Ki Saari Baatein Likhta Rehta Hoon,
Sookhay Pattay, Phool, Kitaabein, Zakham Judayi K
Teri Sub Soghaatein Likhta Rehta Hoon,
Us Ki Bheegi Palkein Hansti Rehti Hain.
''Mohsin'' Jab Tak Ghazlein Likhta Rehta Hoon ....
No comments:
Post a Comment