Justaju khoye huon ki umar bhar kartay rahay
chand k hamrah ham har shab safar kartay rahay
raaston ka ilm tha ham ko na simton ki khabar
shahar-e-namalum ki chahat magar kartay rahay
hum nay khud say bhi chupaya aur saaray shahar say
tere janay ki khabar dar-o-deewaar kartay rahay
wo na aaaye ga hamain maloom tha us sham bhi
intazaar us ka magar kuch soch kar kartay rahay
aaj aaya hai hamain bhi un uraanon ka khayal
jin ko tere zaum main be-baal-o-par kartay rahay ...
By Parveen Shakir
Contributed : Zahid Shah
No comments:
Post a Comment