Sab Kehtay Hain Kaise Garoor Ki Baat Hui Hai
Main Apni Haryaali Ko Khud Apne Lahoo Se Seench Rahi Hon
Mere Saare Pat'ton Ki Shadaabi Meri Apni Naik Kamaaii Hai
Mere Aik Shagofe Par Bhi Kisi Hawaa Ka Kisi Baarish Ka Baal Barabar Qaraz Nahi Hai
Main Jab Chaahon Khil Sakti Hon Mera Saaraa Roop Meri Apni Daryaaft Hai
Main Ab Har Mosam Se Sar Oncha Kar K Mil Sakti Hon
Aik Tanaawar Pairrh (Tree) Hon Main Ab
Aur Apni Zar-Khez Nammo K Saare Imkaanaat Ko Bhi Pehchaan Rahi Hon
Lekin Mere Andar Ki Yeh Bohat Puraani Bhel Kabhi Kabhi Jab Tez Hawaa Ho
Kisi Bohat Mazboot Shajar K Tann Se Lipatnaa Chaahti Hai ...
Poem : Working Women
Poetess: Parveen Shakir
Contributed : Zahid Shah
No comments:
Post a Comment