Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza,
Koi Apna Bana K Dagha De Gaya,
Mujh Se Jeene Ka Haq Chheen Kar,
Zindagi Ki Dua De Gaya,
Be_Wafa Ne Tor Di Jab Pyar Ki Pehli Qasam,
Us Ki Zulfein Theen Pareshaan, Meri Bhi Aankhein Theen Nam,
Waqt-e- Rukhsat Be_wafa Ne Mujh Pay Ye Dhaaya Sitam.
Aik Tasweer K Us Ne Tukre Kiye, Meri Soorat Ka Hissa Mujhe De Gaya,
Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza,
Koi Apna Bana K Dagha De Gaya,
Waqt K Be_Reham Haathon Say Luti Jaageer Thi,
Main Ne Jab Dekha Use To, Wo Meri Tasweer Thi,
Us Nay Mujh Ko Jo Diya Hai Wo Meri Taqdeer Thi,
Tohfe Ghairon Ko Us Ne Wafa K Diye,
Be_Wafai Ka Qissa Mujhe De Gaya,
Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza,
Koi Apna Bana K Dagha De Gaya,
Kaash Hum Bhi Ishq Ki Yoon Tohmaton Se Khailte
Apni Ye Qismat Kahan K Gaisu'on Se Khailte,
Dil_Jalon Ko Main Ne Dekha Aansu'on Se Khailte,
Apna Sab Kuch Ganwa K Main Rota Raha,
Koi Chahat Ka Acha Sila De Gaya,
Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza,
Koi Apna Bana K Dagha De Gaya,
Aik Din Us Be_Wafa Se Main Ne Milne Ko Kaha,
Ik Nazar Dekha Mujhe To Kar Li Phir Neechi Nigaah,
Main Nay Poocha, Us Ne "SADIQ" Muskura K Ye Kaha,
Ab k Bichhre Milein Ge Hashar Mein Sabhi,
Wo Hashar Ka Dilasa Mujhe De Gaya,
Dil Lagane Ki Hum Ko Mili Ye Saza,
Koi Apna Bana K Dagha De Gaya,
Mujh Se Jeene Ka Haq Chheen Kar,
Zindagi Ki Dua De Gaya ...
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/
name of the poet pl???
ReplyDeletename of the poet pl???
ReplyDeleteMy fav ghazal
ReplyDelete