Click Here

Thursday, August 15, 2013

Darvaish Mile Koi Peer Mile ...

Darvaish Mile Koi Peer Mile,

Mujhe Khwabon Ki Tabeer Mile,

Paaband Jo Kar De Yaadon Ko,

Ya Rab Aisi Zanjeer Mile,

Maqbool Dua'ein Ho Jayen,

Gar Lafzon Ko Taseer Mile,

Roothe Ko Mana Loon Main Phir Se,

Koi Mauqa To Taqdeer Mile,

Phir is Mein Ta'ajub Kya Ho Agar,

Mujh Se Na Meri Tasveer Mile,

Main Kaise Basaoon Khwab Nagar ?

Koi Laila, Shireen Heer Mile?

NAYAR ! Main Lagaoon Aankhon Se,

Un Ki Jo Koi Tehreer Mile ..!

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Ujra Sa Tanha Koi Shakhs ...



Veeraan Sa Ujra Sa Tanha Koi Shakhs ...

Kal Raat Akaile Mein Shayad..

Kuch Warq Jala Raha Tha..

Uthte Huwe Sholon Mein...

Khud Bhi Ik Shola Nazar Aa Raha Tha..

Jhatak Raha Tha Sar Woh...

Aansu Baha Raha Tha..

Aise Mein Kisi Ne Guzarte Huwe Pucha...

Pagal! Kitaab Jala Rahe Ho ?

Tarap Kar Bola Nahi ... Khawab ...

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Maano To Maano ! Mannat-e-Niaz-e-Aarzu,

Maano To Maano ! Mannat-e-Niaz-e-Aarzu,

Parrho To Parrho ! Aaj se Namaz-e-Aarzu,

Usi se Aagay ! Hayal hai, Sabar Ka Bayabaan,

Khatm Jahan pe Hota hai, Aghaaz-e-Aarzu,

Unhi ki GoOnj Phelti hai, DoOr Tak Miyan,

Khamosh Hua Karte hen, Jo ! Saaz-e-Aarzu,

Hoti hai ! Is k Peeche, Koi Qeemti Chubhan,

Bekaar Nahi hota hai, Jawaz-e-Aarzu,

Sanam ! Kisi Bhi Shakal me, MojoOd Mile ga,

Jahan Bhi Chal k Dekh lO ! Hijaz-e-Aarzu,

Anfaas Ki Talaash hai, Umeed-e-iKhtlaat,

Arwaah ki Qana'at hai, Parwaz-e-Aarzu,

Khwahish-e-Ra'naai ki Hon, Taaj Poshiyaan,

Sharminda-e-Tabeer Ho, Gar ! Naaz-e-Aarzu,

Bazurg Khandan ka, Wahid Kafeel hai,

Khamosh Tab'a ! Rehta hai, Ayyaz-e-Aarzu,

DhoOl k Buton ne, Isko ! Di Nahi Panah,

Pataal me Chupa ge Ab ! Ye Raaz-e-Aarzu,

RAZAB ! Aqal k Waste, Sahulatein Liye,

Maanoos-e-Chashm Rehta hai, Ejaaz-e-Aarzu ...

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Pair Ko Deemak Lag Jaye Ya Aadam Zaad Ko Gham ...

Pair Ko Deemak Lag Jaye Ya Aadam Zaad Ko Gham,

Dono Hi Ko Amjid Hum Ne Bachte Dekha Kam,

Tareeki K Hath Pe Baiat Karne Walon Ka,

Soraj Ki Bas Aik Kiran Se Ghutt Jata Hai Dam,

Rango Ko Kalion Mein Jeena Kon Sekhata Hai,

Shabnam Kaise Rukna Seekhi Titli Kaise Ram,

Aankhon Mein Ye Palne Wale Khawab Na Bujhne Pain,

Dil K Chand Charagh Ki Dekho Lao Na Ho Madham,

Hans Parta Hai Bahut Ziada Gham Mein Bhi Insan,

Bahut Khushi Se Bhi To Aankhain Ho Jati Hain Nam ...

Poet : Amjad Islam Amjad
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/

Suno ... Bohat Hi Pyar Karte Hain ...















Suno ...
Kuch Din Se Aisa Hai
K Hum Khamosh Rehte Hain

Koi Gehra Hai Gham Shayad
Jisse Chup Chaap Sehte Hain

Yunhi Chalte Howe Tanha

Koi Ghamgeen Sa Naghma

Hum Aksar GunGunate Hain

Doran-e-Guftugu Yun Milen

Nazron Se Jab Nazrein

To Batein Bhool Jate Hain

Kisi Gum Sum Si Halat Mein

Ya Phir Barish K Mousam Mein

Faqat Itna Hi Kehte Hain

Udaasi Be-Waja Si Hai

Bohzt Bojhal Tabiyat Hai

Kabhi Hum Such Nahi Kehte ?

K Kis Ko Yaad Karte Hain..?

Hum Kis Se Pyar Karte Hain..?

Bohat Hi Pyar Karte Hain,

Bohat Hi Pyar Karte Hain ...

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay ...

Jaanay Kaisay Sambhaal Kar Rakhay,
Sab Iraday Sambhaal Kar Rakhay.

Kuch Naye Rang Hain Mohabbat Ke,
Kuch Puraanay Sambhaal Kar Rakhay.

Mausam-e-Ishq Teri Baarish Mein,
Khat Jo Bheegay Sambhaal Kar Rakhay.

Jin Ki Khushbu Udaas Karti Thi,
Wo Bhi Gajray Sambhaal Kar Rakhay.

Tujh Se Milnay Ke Aur Bichadnay Ke,
Saaray Khadshay Sambhaal Kar Rakhay.

Jab Hawa Ka Mizaaj Barham Tha,
Ham Ne Pattay Sambhaal Kar Rakhay.

Aarzo Ke Hasen Pinjray Mein,
Kuch Parinday Sambhaal Kar Rakhay.

Ham Ne Dil Ki Kitab Mein Tere,
Saray Waday Sambhal Kar Rakhay.

Tere Dukh Ke Tamam He Mausam,
Ay Zamanay Sambhaal Kar Rakhay.

Mere Khwaabon Ko Raakh Kar Daala,
Aur Apnay Sambhaal Kar Rakhay ...

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Tu Kisi Aur Ki Jageer Hai Ey Jaan-e-Ghazal ...



Tu Kisi Or Ki Jageer Hai Ai Jaan-E-Ghazal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal !

Pehele Haq Tha Teri Chahat K Chaman Per Mera !
Pehele Haq Tha Teri Khushbu-E-Badan Per Mera !

Ab Mera Pyaar Tere Pyaar Ka Haqdar Nahi !
Main Tere Gesu-O-Rukhsar Ka Haqdar Nahi !

Ab Kisi Or K Shano Pe Hai Tera Aanchal !
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal,

Main Tere Pyaar Se Ghar Apna Basaoon Kaise ?
Main Teri Maang Sitaroon Se Sajaoon Kaise ?

Meri Qismat Mein Nahi Pyaar Ki Khushbu Shaiyad,
Mere Haathon Ki Lakeeron Mein Nahi Tu Shaiyad,

Apni Taqdeer Bana Mera Muqaddar Na Badal,
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal,

Mujh se Kehtein Hein Ye Khamosh Nigahein Teri,
Meri Parvaaz Se Oonchi Hein Pnaahein Teri,

Or Gairat-E-Ehsaas Pe Sharminda Hoon,
Ab Kisi Or Ki Baahon Mein Hein Bahein Teri,

Ab Kahaan Mera Thikana Hai Kahaan Tera Mehal,
Log Tufaan Utha Denge Mere Saath Na Chal ...

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Wo Hijr Thehra Wisaal Thehra ...

Wo Hijr Thehra Wisaal Thehra,
Kia Aadmi Tha Kamaal Thehra,

Afsurdagi K Har Ek Nagar Mein,
Wo Qeh Qahon Ki Misaal Thehra,

Wo Kis Ki Khatir Guzar Gia Hai,
Sab Ki Khatir Sawal Thehra,

Haan Us K Lehje Ki Tazgi Se,
Jo Khawab Tha Wo Khayal Thehra,

Kahan Se Lain Rafeeq Tujh Sa,
Muhabbaton Mein Zawal Thehra,

Too Ne Hum Ko Ye Dukh Dia Hai,
K Ab To Jeena Mohaal Thehra ...

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Sunday, February 17, 2013

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Mila Na Mujh Sa Jo Ehl -e- Wafa To Kya Ho Ga,
Taras K Rah Gaya Shauq-e-Jafa To Kya Ho Ga,
Huzoor Ko Faqt Apne Shabaab Par Hai Ghuroor,
Agar Shabaab De Gaya Dagha To Kya Ho Ga,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Kya Yehi Rasm-e-Wafa Haim Kya Yehi Khuloos ?

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Tum Chhup Nahi Sakte, Kaheen Tum Ja Nahi Sakte,
Tum Mere Takhaiyul Mein Ho, Tum Meri Nazar Mein,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Daaman Churra K Aap Ne Jaana Hi Tha Agar,
Nazrein Utha K Pyar Se Dekha Tha Kis Liye ?
Thehro Zara K Main Tumhein Jee Bhar K Dekh Loon,
Aisa Na Hi Ke Gir Parre Deewaar Khwaab Ki,

Kya Khushaamad Ho Rahi Thi Dil K Lene Ke Liye,
Kaise Nazrein Phair Lee'n Matlab Nikal Jaane Ke Baad,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Zara Apni Utthti Jawani Ka Sadqa,
Idhar Bhi Nigaah_e_Karam Chaltay Chaltay,

Abroo Na Sanwaara Karo, Katt Jaye Gi Ungli,
Naadaan ! Kabhi Talwaar Se Khaila Nahi Karte,

Pyar Hota Hai To Ik Dil Mein Jalan Rehti Hai,
Khaar Chubh Jaane Se Jese K Chubhan Rehti Hai,
Faasla Ishq Ki Manzil Ka Hai Do Chaar Qadam,
Saal-ha Saal Magar Iski Thakan Rehti Hai,

Meri Jaan Idhar Bhi To Aik Nigaah-e-Naaz Ho,
Husn Kare Taraqqiyaan Umar Teri Daraaz Ho,

Nigaahein Chura Kar K O Janay Walay,
Munaasib Nahi Ye Sitam Chaltay Chaltay,

Chalay Aaye Thay Aaj Us Ki Gali Say,
Yehi Soch Kar Wahaan Na Jayein Gay Lekin,

Jo Peechay Say Us Be_wafa Nay Pukara,
Wahee'n Ruk Gaye Bas Qadam Chaltay Chaltay,

Likha Khat Usi Ko Mukhaatab Koi Tha,
Magar Baar-ha Aisa Aalam Bhi Guzra,
Khayaal Aa Gaya Us Gharri Jab Tumhara,
Waheen Ruk Gaya Bas Qalam Chaltay Chalay,

Na Taana_Zani Kar Meri May_Kashi Par
Zara Pooch Apni Nasheeli Nazar Say,
Khata_Gar Nahi Teri Nazaro'n Ki Zalim
To Kiyon Larkharraye Qadam Chaltay Chaltay,

Raqeebo'n Say Milna, Humein Bhool Jana,
Kahaan Ka Ye Insaaf Hai O Sitam_Gar,
Karo Yaad Wo Din K Hum Say Wafa Ki,
Uthaai Thi Tu Nay Qasam Chaltay Chaltay ...

Contribute : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

Wednesday, February 6, 2013

Aap Agar Ham Ko Mil Gaye Hote,,

Aap Agar Ham Ko Mil Gaye Hote,,
Baagh Men Phool Khil Gaye Hote,,

Aap Ne Yoon Hi Ghoor Kar Dekhaa,,
Honth To Yoon Bhi Sil Gaye Hote,,

Kaash Ham Aap Is Tarah Milte,,
Jaise Do Vaqt Mil Gaye Hote,,

Ham Ko Ahl-E-Khirad Mile Hi Nahi,,
Varnaa Kuchh Munfail Gaye Hote,,

Us Ki Aankhen Hi Kaj-Nazar Thin "Adam"
Dil Ke Parde To Hil Gaye Hote ...

Poet : Abdul Hameed Adam
Contribute : Zahid Shah

www.zahid-shah.blogspot.com/