Jo Ratjagay Mein Badan Per Azaab Rakhta Hai
Wohi Tou Aankh Mein Jheelon Ke Khwaab Rakhta Hai
Wohi Tou Hai Jo Badalta Hai Mausamon Ke Rang
Jo Apne Pehluu Mein Sookhay Gulaab Rakhta Hai
Wo Ujri Basti Mein Dholak Ki Thaap Per Naachay
Jo Apni Hasti Mein Zewar Ke Khwaab Rakhta Hai
Nikhaar Paye Ga Kiun Ker Labon Ka Rung Mera ?
Visaal Apna Jo Masl-e-Saraab Rakhta Hai
Wohi Tou “Zaira” Ko Boond Boond Tarsaaye
Jo Dasht-e-Hijr Mein Baadal Ke Khwaab Rakhta Hai
No comments:
Post a Comment