Click Here

Saturday, August 11, 2012

meri ghazalon mein dhal gaya hoga
















meri ghazalon mein dhal gaya hoga
janay kitna badal gayaa ho ga.

dhoop sar par utar gayi hogi
chand chehre ka dhal gayaa hoga.

besabab ashk beh nahi sakty
koi patthar pighal gayaa ho ga.

raaston ko wo janta kab tha
paaon hi tha phisal gayaa ho ga.

manzilein door kyun hui hain ‘nizam’
rasta rasta badal gayaa ho ga.

SHEEN KAAF NIZAM

No comments:

Post a Comment