Click Here

Tuesday, August 7, 2012

Muhabbatoon Ki Kahaaniyaan Aaam Hain Jahan Mein


Muhabbatoon Ki Kahaaniyaan Aaam Hain Jahan Mein
Magar
Hamari Ye Dastaan Sab Say Munfarid Hai

Na Husn Hayrat Faruoz Tera
Na Ishq Hasrat Faruos Mera

Hum Aam Say Log Hain Magar Jaanan
Hamari Chahat Aazeem-Tar Hai
Hamare Daman Main WasaL Kam Hai
Firaaq_Zada
Hamari Aankhoon Main Rat-jagon K
Aazaab-Zada
Bohat Kathan Raaston Say Ho Kar
Hum Apne Palkoon Say Khaar Cun Kar
Aik Aisi Manzil Ki Simt
Mehw-e-Safar Hain Ab Tak
Jahan Gulaabon K Kunjh Hon Gay ...
Jahan Hawa Aatar'Baiz Ho Gi
Jahan Faza Nagma Raiz Ho Gi
Jahan Par Sukh Ki Haseen Pariyaan
Hateliyon Pay Hina Sajayi,
Damaktay Haathon Mein Phool Thaamay
Gulaab Honton Pay Chahat K
Haseen Naghmon Ki Dhun Baasayee
Hamare Aanay Ki Muntazeer Hain
Mujhe Khabar Hai Aayi Jaan-e-Jaanan
Abhi Ye Manzil Hamari Aankhoon Say Door Tar Hai
Magar Chalo Khuwaab Dekh Lainay Mein
HARJ HI KYA HAI

Poet Khalil Ullah Farooqi
Contribute : Zahid Shah

No comments:

Post a Comment