Eid Ka Din Hai Galay Aaj To Mil Lay Zalim,
Rasm_e_Duniya Bhi Hai, Mauqa Bhi Hai, Dastoor Bhi Hai,
Ishq Is Tarah K Gustaakh Taqaazay Na Karay,
Husn Mastoor Bhi Majboor Bhi, Maghroor Bhi Hai,
Ghuroor e Husn K Sadqay Mohabbat Yoon Nahi Kartay,
Bhari Mehfil Mein Zaahir Dil Ki Wehshat Yoon Nahi Kartay,
Ye Maana Tum Haseen Ho Aur Tumhein Haq Hai Shararat Ka,
Kisi Ki Jaan Pay Bann Jaye, Shararat Yoon Nahi Kartay,
Jisay Tum Husn Kehtay Ho, Wo Kaaba Hai Nighaahon Ka,
Adab Laazim Hai Kaabay Ki Ziyarat Yoon Nahi Kartay,
Kuch Apne Husn Ki Khairaat Day Do Hum Faqeeron Ko,
Kisi Saa'il Ko Apne Dar Say Rukhsat Yoon Nahi Kartay,
Haya Aur Sharm Ko Hum Ko Hum Husn Zaiwar Samajhtay Hain,
Ye Zaiwar Lut K Reh Jaye, Sakhaawat Yoon Nahi Karatay,
Tumhari Ik Nazar Par Faislaa Hai Zindgani Ka,
Maseeha Ho K Bemaaron Say Ghaflat Yoon Nahi Kartay,
Maseeha Aur Hum ? In Kufr Ki Baaton Say Baaz Aao,
Khuda Ko Chor Kar Butt Ki Ibaadat Yoon Nahi Kartay,
Aap Nay Jo Kaha Wo Theek Sahi, Mera Kehna Bhi Bura Nahi,
Eid Ka Din Hai Galay Aaj To Mil Lay Zalim,
Rasm_e_Duniya Bhi Hai, Mauqa Bhi Hai, Dastoor Bhi Hai .....
Contributed : Zahid Shah
Kambakht_Ishq
beautiful
ReplyDeleteVery Nice and beautiful heart touching poetry ....
ReplyDeleteYour collection is Awesome .... Thumbs up for you ...
bhai jan yeh mere khayal se 2 ghazlon ko mila kar bana gaya hai.ek ka radeef "bhi hai" aur dosra " nahi karte" example ghuroor e husn ke sadqe mohabbat yun nahi karte.. ye ek alag ghazal hai.aur eid ka din hai yeh alag hai..
ReplyDeletemay be you are right brother, but jahan tak mujhe Ilm hai ye aik Old Film ka Song hai, aur ye lyrics accurate hain, Jo aap keh rehay hain wo bhi theek hi hoga ...
Deleteyeah bro this is song from rishi kapoors movie
Deletevery very nice
ReplyDeleteV. 9ic ghazal.........
ReplyDelete