Kabhi Aisa Bhi Hota Hai ...
Koi Be-Naam Si Wehshat Mujhe Yoon Ghair Leti Hai
Her Ik Shay Zehar Lagti Hai
Koi Chehra, Koi Paikar Mujhe Acha Nahi Lagta
Nihayat Dilruba, Behad Hasee'n, Rangeen Qurbat Bhi
Mujhe Be-Kaif Karti Hai
Mujhe Apni Pasandeeda Si Sorat Bhi
Pheeki Pheeki Lagti Hai
Tanaazur Hi Badal Jata Hai
Meri Khush-Nigaahi, Khush-Mizaaji Ka
Mere Sun'ny, Mere Chakhnay
Mere Mehsoos Karnay Ki
Har Ik HISS Mar Si Jati Hai
Bohat Maqbool Meri Khush Kalami Bhi
Nihaayet Be-Rass,
Majhool Lehja Ourh Leti Hai
Pasandeeda Mera Mashroob
Yani Aab-e-Sard-o-Sada-o-Sheeree'n Bhi
Sairaabi Nahi Deta
Zaroof-e-Khush-Numa Mein Bhaap Detay
Meri Maa'n k Mehrbaa'n
Or Taaq Hathon Say Banay
Lazzat Bharey Khaanon Ki Rughbat
Uth Si Jati Hai
Kisi K Dast-e-Nazuk Say Bani Strong Coffee Bhi
Mujhe Apne Anaari Haath Ki Chaye Si Lagti Hai
Ajab Siffaaq Wehshat Hai
Mere Dil Ki Lughat Say
Lafz "KHUSH" k Jitnay Bhi Hain
Laahqey or Saabqey, Sab Cheen Leti Hai
Main Is Wehshat Say Ghabra Kar
Nishaat-e-Shair-o-Naghma Mein Panaah Lenay Ko Aata Hoon
Mager Ik Be-Kali
Ik Jaan-Lewa Be-Kali Dasti Hi Rehti Hai
Nihayat Sada-o-PurKaar Lehjey Mein
Bahattar "Meer" K Nishtar
Wo Dil Sozi Alamnaki
Musalsal Aah-o-Garyaa
Yaas-o-Harmaa'n
Kuch Bhi To Maail Nahi Kertay
Meri Wehshat K Qaatil Zehr Ko Zaail Nahi Kertay
Mujhe "GHALIB" Ki Umda Shayari
Bharpoor Shookhi, Dil-Nawazi
Falsafa, Gehraai Sab Be-Maani Lagtey Hein
Ta'ajjub Hai K "HASRAT" Ka Bohat Dil-kash Tanzzul Bhi
Mere Dil Ko Nahi Chhoota
"JIGAR" Ki Ishq Mein Doobi Tarannum Raiz Ghazlein Bhi
Muhabbat Ka Nasha Taari Nahi Kerteen
"MAJAAZ-E-LAKHNAWI" Ki Shohra-e-Aafaaq AWAARA
Meri Wehshat K Aatish-Daa'n Mein Eendhan Sa Bharti Hai
Mujhe "SAAHIR" Ki Dil Ko Aanch Deti Shayari
Be-Zaar Karti Hai
Humare "FAIZ SAHAB" K Bohat Madham Sulagtey Narm Lehjay Ki Kasak
Yoon-hi Si Lagti Hai
"Majeed Amjad" k Misron ka Tasalsul
Munfarid Mozoo, Kamaal-e-Nazm-Goi Or Ta'assur
Mujh Pay Koi Kaifiyat Taari Nahi Kertey
Main Apne Dil Say Aksar Poochta Hoon
Ay Dil-e-Wehshi
Ye Aalam Kesa Aalam Hai
Ye Wehshat Kesi Wehshat Hai
Mujhe Kiyun Ghair Leti Hai
Badan Mein Goonjti, Mere Lahu Mein Sansanaati Hai
Ye Wehshat Kesi Wehshat Hai
Kahaan Say Ho k Aati Hai
Ye Kis Rehlat Ka Noha Hai
Ye Kis Hasrat Ka Haasil Hai
Guzishta Shab Yehi Wehshat
Mere Dil Par Mussalat Thi
Musalsal Karwatein Thein,
Jaan Lewa Be-Kali Si Thi
Achanak Dil Ki Be-Tarteeb Dharkan Nay
Sakoot-e-Shab ko Yoon Tora
"Suno Haarey Howe Insaa'n !
Bhala kab Tak Tumhari Khud Faraibi
Tum Ko Is Wehshat Mein Rakhey Gi
Jinhein Tum Zindagi Say Be-Dakhal Kar K
Bazahir Faatihana Shaan Se Itraatay Phirtay Ho
Abhi Tak Zehan-o-Dil Per
Rooh Per Qabzaa Unhi Ka Hai
Ye Wehshat Ik Kasak Hai, Gumshuda Logon k Khoney Ki
Ye Wehshat Hi Sabab Hai Is Tarha Be-Ashk Roney Ki ..
Poet **[ Khaleel Ullah Farooqi ]**
nice poetry share ki hai aap ne
ReplyDeletethanks dear friend .... Khush rehein ....