Click Here

Thursday, September 13, 2012

Ye na thi hamari qismat ke visal-e-yar hota

Ye na thi hamari qismat ke visal-e-yar hota
agar aur jite rehte yahi intazar hota

tere wade par jiye hum to ye jan jhooth jana
ke khushi se mar na jate agar aitabar hota

teri nazuki se jana ki bandha tha ahdboda
kabhi tu na tod sakata agar ustavar hota

koi mere dil se puche tere tir-e-nimakash ko
ye khalish kahan se hoti jo jigar ke par hota

ye kahan ke dosti hai ke bane hain dost naseh
koi charasaz hota, koi gamgusar hota

rag-e-sang se tapakata wo lahu ki phir na thamata
jise gham samajh rahe ho ye agar sharar hota

gham agarche jangusil hai, pe kahan bachen ke dil hai
gam-e-ishq gar na hota, gam-e-rozagar hota

kahun kis se main ke kya hai, shab-e-gam buri bala hai
mujhe kya bura tha marana agar ek bar hota

hue mar ke hum jo rusava, hue kyon na garq-e-dariya
na kabhi janaza uthata, na kaheen mazar hota

use kon dekh sakata ki yagana hai wo yakta
jo dui ke bu bhi hoti to kaheen do char hota

ye masail-e-tasavvuf, ye tera bayan ‘ghalib’
tujhe hum wali samajhate, jo na badakhvar hota

No comments:

Post a Comment