Ab Ye sochoon to bhanwar zehan main par jatay hain
Kesay chehray hain jo miltay hain bichar jatay hain
Kiyun tere dard ko dain tohmat-e-veeraani-e-Dil
Zalzalon main to bharay shehar ujar jaatay hain
Mausam-e-zard main ik dil ko Bachaoon kesay ?
Aisi rut main to ghannay Pairr bhi jhar jatay hain
Ab koi kya mere qadmon k nishaan dhoonday ga ?
Taiz aandhi main to khaimay bhi ukhar jatay hain
Soch ka aaeena dhundla ho to phir waqt k sath
Chand chehron k khad-o-khaal bigar jatay hain
Shiddat-e-Gham main bhi zinda hoon to hairat kesi ?
Kuch diye tund hawaon say bhi lar jatay hain
Wo bhi kya loog hain "Mohsin" jo wafa ki khatir
Khud tarasheeda Asoolon pay bhi arr jatay hain ...
Contributed : Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/
No comments:
Post a Comment