Dil Hai Aashiq Ka, Zara Pyaar Say Rakhna Ho Ga,
Wasta, yaar, apney yaar sey rakhna ho ga,
Goonjti hain tamaam shab, hazaar Aawaazein,
Silsila, zeest ko, us paar sey rakhna ho ga,
Deeda-e-shoukh, utarney ko dil mein, hain mushtaaq,
Ab to parda naye izhaar sey rakhna ho ga,
Hijr ta_hashr rahey, tab bhi noor-e-saqi ko,
Rabta rind-e-nau_bahaar sey rakhna ho ga,
Baad-e-kousar hai wahaan, dukhtar-e-angoor nahi,
Jaam ko wasl lab-e-khwaar sey rakhna ho ga,
Jo ta'alluq gul-o-bulbul mein hai zamaaney sey,
Chaara_gar ko wohi beymaar sey rakhna hoga !
No comments:
Post a Comment