Dilon Mai Sama Nahi Sakti
Labon Pe Rukti, Dilon Mai Sama Nahi Sakti
Wo Ek Baat Jo Lafzon Main Aa Nahi Sakti
Jo Dil Main Ho Nazar-e-Gham To Ashq Paani Hai
K Aag Khaak Ko Kundan Bana Nahi Sakti
Yaqeen, Gumaan Se Bahar To Ho Nahi Sakta
Nazar Khayaal Se Aagey To Ja Nahi Sakti
Dilon Ki Ramz Faqat Ehl-e-Dil Jaantey Hein
Teri Samajh Mein Meri Baat Aa Nahi Sakti
Ye Souz-e-Ishq To Goongey Ka Khuaab Hai
Jesey Meri Zubaan Meri Haalat Bataa Nahi Sakti
Simat Rahi Hai Mere Baazuon K Halqay Mein
Haya K Boojh Se Palkein Utha Nahi Sakti
Jo Keh Raha Hai Sulagta Hua Badan Us Ka,
Bata Bhi Paati Nahi, Aur Chupa Nahi Sakti
Ek Aise Hijar Ki Aatish Hai Mere Dil Mein
Jesey Kisi Visal Ki Baarish Bujhaa Nahi Sakti
To Jo Bhi Hona Hai, Amjad Yaheen Pe Hona Hai
Zameen Madaar Se Bahar To Jaa Nahi Sakti
Poet: Amjad Islam Amjad
Contribute: Zahid Shah
No comments:
Post a Comment