Gum_Sum Si Rah_Guzar Thi, Kinara Nadi Ka Tha,
Pani Mein Chand, Chand Mein Chehra Kisi Ka Tha,
Ab Zindagi Sanmbhal K Leta Hai Tera Naam,
Ye Dil K Jis Ko Shoq Kabhi Khud_kushi Ka Tha,
Kuch Abar Bhi Thay Banjh Zameen Say Darrey Huey,
Kuch Zaiqa Hawa Mein Meri Tishnagi Ka Tha,
Kehney Ko Dhoondtey Thay Sabhi Apne Khad-o-Khaal,
Warna Meri Ghazal Mein To Sab Kuch Usi Ka Tha,
Wo Ehtiyaat-e-Jaan Thi K Bey_Rabti-e-Khayal,
Saaye Pay Bhi Gumaan Mujhe Aadmi Ka Tha,
Mushkil Kahan Thay Tark-e-Mohabbat K Marhalay,
Ey Dil Magar Sawaal Teri Zindagi Ka Tha,
Wo Jis Ki Dosti Hi Mataa-e-Khaloos Thi Mohsin,
Wo Shakhs Bhi Mera Dushman Kabhi Ka Tha.
Poet : Mohsin Naqvi
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/
No comments:
Post a Comment