Click Here

Friday, October 19, 2012

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna,



Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna,
Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna,
Hamein Bhi Yaad Hai Aaj Tak Wo,
Nazar Say Harf-e-Salam Likhna,
Wo Chand Chehray, Wo Behki Batein,
Sulagtay Din Thay, Sulagti Ratein,
Wo Chotay Chotay Se Kaghazon Par,
Muhabbaton Kay Payaam Likhna,
Gulab Chehron Say Dil Lagana,
Wo Chupkey Chupkey Nazar Milana,
Wo Arzu'on Kay Khwab Bun'na,
Wo Qissa-e-Na_Tamaam Likhna,
Mere Nagar Ki Haseen Fizao,
Kaheen Jo Un Ka Nishan Pao 
To Poochna Ke Kahan Basay Wo,
Kahan Hai Un Ka Qayam Likhna,
Gaee Rutton Mein Rubab Apna,
Bas Ek Yeh Hi To Mashghala Tha,
Kisi Kay Chehray Ko Subah Likhna,
Kisi Kay Chehray Ko Sham Likhna !   

1 comment: