suno tum nay kaha tha na ...
Mujhe jazba-e-mohabbat say kabhi jo tum pukaaro gi,
Main us din laut aaon ga ...
To daikho na,
kai lamhon,
kai saloon,
kai sadiyon,
say tera rasta takti
yeh meri muntazir ankhain
mere dil ki ye dharkan aur sansain
bus tumhara naam laiti hain,
wohi ik wird karti hain,
meri aankhon k sahil par,
teri khwahish ki moujon nay,
bari halchal machai hai,
teri tasveer, sookhay phool aur tohfay!
teri chahat ki khushbu main
abhi takk saans laitay hain
wo sab rastay k jin par tum hamare sath chaltay thay
wo sab rastay jahan teri hansi k phool khiltay thay
jahan pairron ki shakhon par
hum apna naam likhtay thay
udasi say bharay manzar
tumhare laut kar aanay ki umeedain dilatay hain
suno kuch bhi nahi badla
tumharay paaun ki awaz sunnay ki
mere kamray ki be tarteeb chezain muntazir hain
suno!!!
takmeel paati chahton ko yun adhoora to nahi choro
Mujhe matt azmao tum
Chalo Ab Laut Aao Tum ...!
No comments:
Post a Comment