Talab ko ujar na doon, fiker-e-rah-ghuzar na keroon
Safar mein ab ke hawa ko bhi humsafar na keroon
Ubhartay suraj se torde loon rishta
Mein shaam urdhe ke so jaoon aur sehar na keroon
Yeah mere durd ki doulat, meri mata-e-firaq
In ansoon ki wazahat mein umer bhar na keroon
Ujar shab ki khalish ban ke “BUN” mein kho jaoon
Mein chandni ki tarah khud ko dar badar na keroon
Wo aik pal ko Dekhaye to de kahien “Mohsin”
Mein jaan ghanwa ker bhi us pal ko mukhtasar na keroon
By Mohsin Naqvi
No comments:
Post a Comment