Tere Badan Say Jo Chhu Kar Idhar Bhi Aata Hai,
Misl e rang wo jhonka nazar bhi aata hai,
Tamaam shab jahan jalta hai ik udaas diya,
Hawa ki raah mein ik aisa ghar bhi aata hai,
wo mujh ko toot k chahay ga , chhor jaye ga,
Mujhe khabar thi usay ye hunar bhi aata hai,
Ujaar Bann mein utarta hai ik jugnu bhi,
Hawa k saath koi hamsafar bhi aata hai,
Wafa ki kaun si manzil pay us nay chora tha,
K wo to yaad humain bhool kar bhi aata hai,
Jahan lahu k samandar ki hadd Thehrti hai,
Waheen jazeera laal-o-Gohar bhi aata hai,
Chalay jo Zikr farishton ki parsaayi ka,
To Zair-e-behes Muqaam-e-Bashar bhi aata hai,
Abhi sinaan ko sambhalay rahain adoo mere,
K in safon mein kaheen mera sar bhi aata hai,
kabhi kabhi mujhe milnay bulandiyon say koi,
shuwaa-e-subh ki soorat utar bhi ataa hai,
Issi liye main kisi shab na so saka mohsin,
wo maahtaab kabhi baam par bhi ataa hai ...
Contributed : Zahid Shah
No comments:
Post a Comment