Ye Pehlay Hijar Ka Qissa Hai,
Jo Aaj k Din Ki Baat Nahi,
Kuch Umar Bhi Thi Deewaano'n Si,
Kuch Chaal Bhi Thi Mastaano'n Si,
Hathn Mein Phool Sajatay Thay,
Sajh_Dhaj Kar college Jatay Thay,
Kab Itnay Seedhay Saadhay Thay,
Us Waqt To Hum Shehzaday Thay,
Phir Ik Chehra Bhaa Sa Gaya,
Nazdeek Wo Dil k Aa Sa Gaya,
Phir wo Tha Aur Baatain Us ki,
Din Sab Us k Raatain Uss ki,
Phir Aisa Bichrra Mila Nahi,
Is Dil ka Phool Phir Khila Nhi,
Phir Uss k Baad Jo Log Milay,
Is Dil ko Jitnay Rog Milay,
Har Saans Ussi k Naam Rahi,
Har Sham Ussi ki Sham Rahi,
Ye Pehlay Hijar Ka Qissa Hai,
Jo Aaj Bhi Hum Pe Taari Hai,
Ye Hijr Abhi Tak Jaari Hai.
No comments:
Post a Comment