Ab K Tajdeed-E-Wafa Ka Nahi Imkaan Jaana,
Yaad Kya Tujh Ko Dilaaye Tera Paimaan Jaana,
Yoon Hi Mausam Ki Adaa Dekh K Yaad Aaya Hai,
Kis Qadar Jald Badal Jaatey Hain Insaan Jaana,
Zindagi Teri Ataa Thi So Tere Naam Ki Hai,
Hum Ney Jaise Bhi Basar Ki Tera Ehsaan Jaana,
Dil Ye Kehta Hai Ki Shayad Ho Fasurda Tu Bhi,
Dil Ki Kya Baat Karain Dil To Hai Nadaan Jaana,
Awwal-Awwal Ki Mohabbat K Nashey Yaad To Kar,
Be-Piye Bhi Tera Chehra Tha Gulistaan Jaana,
Aakhir Aakhir To Ye Aalam Hai Ki Ab Hosh Nahi,
Rag-E-Meena Sulag Utthi Ki Rag-E-Jaan Jaana,
Muddaton Say Ye Aalam Na Tawaqqo Na Umeed,
Dil Pukarey Hi Chala Jaata Hai Jaana Jaana,
Hum Bhi Kya Saada Thay Hum Ne Bhi Samajh Rakha Tha,
Gham-E-Doraa'n Say Juda Hai Gham-E-Jaana Jaana,
Ab Ki Kuch Aisi Saji Mehfil-E-Yaaran Jaana,
Sar-Ba-Zaanu Hai Koi Sar-Ba-Gharibaan Jaana,
Har Koi Apani Hi Awaaz Say Kaanp Uthta Hai,
Har Koi Apne Hi Saaye Say Hiraasan Jaana,
Jis Ko Dekho Wahi Zanjeer-Ba-Paa Lagata Hai,
Shahar Ka Shahar Hua Dakhil-E-Zindaan Jaana,
Ab Tera Zikr Bhi Shayad Hi Ghazal Main Aaye,
Aur Say Aur Hua Dard Ka Unwaan Jaana,
Hum Ki Roothi Hui Rut Ko Bhi Mana Letey Thay,
Hum Nay Dekhaa Hi Na Tha Mausam-E-Hijraan Jaana,
Hosh Aaya To Sabhi Khuwab Thay Rezaa-Rezaa,
Jaisey Urrtay Huey Auraaq-E-Pareshaan Jaana !
Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah
No comments:
Post a Comment