
Be Niyaz-E-Gham-E-Paimaan-E-Wafa Ho Jaana,
Tum Bhi Auron Ki Tarah Mujh Say Juda Ho Jaana,
Main Bhi Palkon Pay Sajaa Loon Ga Lahu Ki Boondein,
Tum Bhi Paabasta-E-Zanjir-E-Hina Ho Jaana,
Khalq Ki Sang_zani Meri Khataaon Ka Sila,
Tum To Masoom Ho Tum Door Zaraa Ho Jaana,
Ab Mere Waastey Tariyaq Hai Ilhad Ka Zahar,
Tum Kisi Aur Pujaari K Khuda Ho Jaana !
Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah
No comments:
Post a Comment