Haath Uthey Hain Magar Lab Pay Dua Koi Nahi,
Ki Ibaadat Bhi Wo Jis Ki Jaza Koi Nahi,
Ye Bhi Waqt Aana Tha Ab To Gosh Har Awaaz Hai,
Or Mere Barbaad-E-Dil Mein Sadaa Koi Nahi,
Aa K Ab Tasleem Kar Ley Tu Nahi To Main Sahi,
Kon Maaney Ga K Hum Mein Bewafa Koi Nahi,
Waqt Ney Wo Khaak Uraai Hai K Dil K Dasht Sey,
Qaafiley Guzrey Hain Phir Bhi Naqsh-E-Paa Koi Nahi,
Khud Ko Yon Mehsoor Kar Baithaa Hoon Apni Zaat Main,
Manzilein Chaaron Taraf Hain Raasta Koi Nahi,
Kaisey Raaston Se Chale Aur Kis Jagah Pohnchey 'Faraz'
Ya Hujoom-E-Dostaan Tha Saath Ya Koi Nahi !
Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah
No comments:
Post a Comment