Har Lehza Hai Momin Ki Nayi Shan, Nayi Aan,
Guftar Mein, Kirdar Mein, Allah Ki Burhan!
Qahhari-o-Ghaffari-o-Quddusi-o-Jabroot,
Ye Char Anasir Hon To Banta Hai Musalman,
Humsaya-e-Jibreel-e-Ameen Banda-e-Khaki,
Hai Iss Ka Nasheman Na Bukhara Na Badakhshan,
Ye Raaz Kisi Ko Nahin Maloom Ke Momin,
Qari Nazar Ata Hai, Haqiqat Mein Hai Quran!
Qudrat Ke Maqasid Ka Ayar Uss Ke Irade,
Dunya Mein Bhi Meezan, Qayamat Mein Bhi Meezan,
Jis Se Jigar-e-Lala Mein Thandak Ho, Woh Shabnam,
Daryaon Ke Dil Jis Se Dehel Jaen, Woh Toofan,
Firat Ka Surood-e-Azali Iss Ke Shab-o-Roz,
Ahang Mein Yakta Sift-e-Soorah-e-Rehman,
Bante Hain Meri Kargah-e-Fikr Mein Anjum,
Le Apne Muqaddar Ke Sitare Ko Tu Pehchan !
Poet : Allam Iqbal
Contribute: Zahid Shah
No comments:
Post a Comment