Hawa K Zor Sey Pindaar-E-Baam-O-Dar Bhi Gaya,
Chiraag Ko Jo Bachaatey Thay Un Ka Ghar Bhi Gaya,
Pukaartey Rahey Mehfooz Kishtiyon Walay,
Main Doobata Hua Dariya K Paar Utar Bhi Gaya,
Ab Ehtiyaat Ki Diwaar Kya Uthaatey Ho,
Jo Chor Dil Main Chupa Tha Wo Kaam Kar Bhi Gaya,
Main Chup Raha K Is Main Thi Aafiyat Jaan K,
Koi To Meri Tarah Tha Jo Daar Par Bhi Gaya,
Sulagtey Sochtey Veeraan Mausamon Ki Tarah,
Karraa Tha Ahad-E-Jawani Magar Guzar Bhi Gaya,
Jisey Bhoola Na Saka Us Ko Yaad Kya Rakhta,
Jo Naam Dil Main Raha Zehan Sey Utar Bhi Gaya,
Phati-Phati Hui Aankhon Sey Yoon Na Dekh Mujhe,
Tujhe Talaash Hai Jis Ki Wo Shakhs Mar Bhi Gaya,
Magar Falak Ki Adaawat Usi K Ghar Sey Na Thi,
Jahaan 'Faraz' Na Tha Sail-E-Gham Udhar Bhi Gaya !
Poet: Ahmed Faraz
Contribute: Zahid Shah
No comments:
Post a Comment