Ik Husn Ki Devi Say Mujhe Piyar Hua Tha,
Dil Us Ki Mohabbat Mein Giraftaar Hua Tha,
Wo Roop K Jis Roop Say Kalliyaa'n Bhi Khil Jayein,
Wo Zulf K Jis Zulf Say Sharmaayein Ghattaayein,
May_Khanay Nigaahon Kay, Adaao'n Kay Taraanay,
Day dalay mujhe us nay muhabbat kay khazaanay,
Haan ... Aisi hi ik raat thi aisa hi samaa'n tha,
Ye chaand bhi poora tha, zamaana bhi jawaa'n tha,
ik pairr kay saaye mein jab ikraar hua tha,
Kashmir ki wadi kay pur_kaif nazaaray,
Lamhaat Muhabbat kay jahaan hum nay guzaray,
Angrraiyaa'n lay kar meri Baanho'n kay sahaaray,
Gulnaar nazar aati thi wo sharm kay maaray,
yak_tarfa na thay husn_o_muhabbat kay ishaaray
us ney bhi kai baar mere baal sanwaaray,
Ehsaas ka, jazbaat ka, izhaar huwa tha,
kuch roz kaatay yoon hi bura wakt jab aaya,
us husn ki devi nay bhi nazron say giraya,
Ghurbat nay mujhe zamaanay ki nigaahon say giraya,
Aanchal mere haathon say Muhabbat nay churaya,
Ik raat ko us nay mujhe Sota huwa chora,
chal di wo kaheen piyaar ko Rota huwa chora,
Khoya huwa main neend say Jaaga jo saweray,
wo jab na mili Chha gaye Aankhon mein andheray,
Taqdeer Kisi Ko Bhi Buray Din Na Dikhaye,
Hotay Hain Buray Waqt Mein Apne Bhi Paraaye,
Kya Piyar Ki Daulat Ka Talab'gaar Hua Tha,
Ik Husn Ki Devi Say Mujhe Piyar Hua Tha ....
Contribute: Zahid Shah
No comments:
Post a Comment