Kabhi Ay Haqeeqat-e-Muntazir Nazar Aa Libaas-e-Majaaz Mein,
K Hazaaron Sajday Tarap Rahay Hain Teri Jabeen-e-Niyaaz Mein,
Tarap Aashnaa-e-Kharosh Ho Tu Nawaa Hai Mehram-e- Gosh Ho,
Wo Suroor Kiya K Chhaya Hua Ho Sukoot-e-Pardaa-o-Saaz Mein,
Tu Bacha Bacha K Na Rakh Isay Tera Aaeena Hai Wo Aaeena,
K Shikastaa Ho To Azeez_Tar Hai Nigaah-e-Aaeena Saaz Mein,
Dam-e-Tauf Kar Mak-e-Shammaa Na Ye Kaha Ke Wo Asr-e-Kohan,
Na Teri Hikaayat-e-Soz Mein Na Meri Hadees-e-Gudaaz Mein,
Na Kaheen Jahaan Mein Aman Mili Jo Aman Mili To Kahaan Mili,
Mere Jurm-e-Khaanaa Kharaab Ko Tere Azo-e-Bandaa_Nawaaz Mein,
Na Wo Ishq Mein Raheen Garmiyaan Na Wo Husn Mein Raheen Shokhiyaan,
Na Wo Ghaznavi Mein Tarrap Rahi Na Wo Kham Hai Zulf-e-Ayaaz Mein,
Jo Main Sar Ba_Sajda Kabhi Hua To Zameen Say Aanay Lagi Sadaa,
Tera Dil To Hai Sanam_Aashnaa Tujhe Kiya Milay Ga Namaaz Mein !
Poet: Dr. Allam Iqbal
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/
No comments:
Post a Comment