Click Here

Thursday, November 1, 2012

Mohabbat Ki Tabiyyat Mein Ye Kaisa Bachpan'na Qudrat Nay Rakha Hai














Mohabbat Ki Tabiyyat Mein
Ye Kaisa Bachpan'na Qudrat Nay Rakha Hai
K Ye Jitni Purani, Jitni Bhi Mazboot Ho Jaye
Isay Taa'eed Taaza Ki Zaroorat Phir Bhi Rehti Hai,
Yaqee'n K Aakhri Had Tak Dilo'n Mein Lehlahaati Hai,
Nigaaho'n Say Tapakti Hai, Lahu Mein Jagmagaati Hai,
Hazaaron Tarah Say Dil-Kash, Hasee'n Heelay Banaati Hai,
Isay Izhaaz K Lafzon Ki Haajat Bhi Rehti Hai,
Mohabbat Maangti Hai Yoon Gawaahi Apne Honay Ki,
K Jesay Taffal Saada Shaam Ko Ik Beej Boey,
Aur Shab Mein Baar-haa Uthay,
Zameen Ko Khoud kar Dekhay,
K Pauda Ab Kahaan Tak Hai,
Mohabbat Ki Tabiyyat Mein Ajab Takraar Ki Kho Hai,
K Ye Iqraar K Lafzon Ko Sun'nay Say Nahi Thakti,
Bicharnay Ki Ghari Ho Ya Koi Milnay Ki Saa'at Ho
Isay Bas Aik Hi Dhun Hai,
" Kaho Mujh Say Mohabbat Hai "
" Kaho Mujh Say Mohabbat Hai "
" Tumhein Mujh Say Mohabbat Hai "
Kuch Aisi Be-Sakooni Hai Wafa Ki Sar-Zameenon Mein,
K Jo Ehl-e-Mohabbat Ko Sadaa Be-Cheez Dikhti Hai,
K Jesay Haath Mein Khushbu, K Jesay Haath Mein Paara,
K Jesay Shaam Ka Taara,
Mohabbat Karnay Walon Ki Sahar Raaton Mein Rehti Hai,
Gumaa'n Ki Shaakhon Par Aashiyaa'n Banta Hai Ulfat Ka,
Ye Ain Wasl Mein Bhi Hijr K Khadsho'n Mein Rehti Hai,
Mohabbat K Musaafir Zindagi Jab Kaat Chuktay Hain,
Thakkan Ki Kirchiyaa'n Chuntay, Wafa Ki Ajrakein Pehnay,
Samay Ki Raah-Guzar Ki Aakhri Sarhad Pay Ruktay Hain,
To Koi Doobti Saanso'n Ki Dori Thaam Kar
Dheeray Say Kehta Hai,
" Ye Sach Hai Naa "
Humari Zindagi Ik Doosray K Naam Likhi Thi,
Ye Dhundlaka Sa Jo Nigaaho'n Say Qareeb O Door Phaila Hai,
Isi Ka Naam Chaahat Hai !
" Tumhein Mujh Say Mohabbat Thi "
" Tumhein Mujh Say Mohabbat Hai "
Mohabbat Ki Tabiyyat Mein
Ye Kaisa Bachpan'na Qudrat Nay Rakha Hai ....

Poet : Amjad Islam Amjad
Contribute : Zahid Shah

No comments:

Post a Comment