Click Here

Thursday, November 1, 2012

" MUSLIM " By ALLAMA IQBAL














Har Nafas Iqbal Tera Aah Mein Mastoor Hai
Seena-e-Sozaa'n Tera Faryad Say Maamoor Hai
Naghma-e-Umeed Teri Barbat-e-Dil Mein Nahi
Hum Samajhtay Hain Ye Laila Tere Mahmil Mein Nahi
Gosh Awaz-e-Surood-e-Rafta Ka Joya (Talash) Tera
Aur Dil Hungama-e-Hazir Say Be_Parwa Tera
Qissa-e-Gul Hum Nawayan-e-Chaman Suntay Nahi
Ahl-e-Mehfil Tera Pegham-e-Kuhan Suntay Nahi
Ay Dara-e-Karwan-e-Khufta_Paa ! Khamosh Reh
Hai Bohat Yaas Afreen Teri Sada Khamosh Reh
Zinda Phir Woh Mehfil-e-Dairina Ho Sakti Nahi
Shama Se Roshan Shab-e-Dosheena Ho Sakti Nahi
Hum Nasheen ! Muslim Hun Mein, Touheed Ka Hamil Hun Main
Iss Sadaqat Par Azal Say Shahid-e-Adil Hun Main
Nabz-e-Moujudaat Main Paida Haraarat Iss Say Hai
Aur Muslim K Takhiyyul Main Jasaarat Iss Say Hai
Haq Nay Alam Iss Sadaqat K Liye Paida Kiya
Aur Mujhe Is Ki Hifazat K Liye Paida Kiya
Dehr Mein Gharat Gar-e-Batil Parasti Main Huwa
Haq To Ye Hai Hafiz-e-Namoos-e-Hasti Main Huwa
Meri Hasti Pairhan Uryani-e-Alam Ki Hai
Mere Mit Jane Say Ruswayi Bani Adam Ki Hai
Qismat-e-Alam Ka Muslim Koukab-e-Tabinda Hai
Jis Ki Tabani Say Afsoon-e-Sehar Sharminda Hai
Ashkara Hain Meri Aankhon Pay Asrar-e-Hayat
Keh Nahi Saktay Mujhe Naumeed-e-Paikaar-e-Hayat
Yaas K Unsar Say Hai Azaad Mera Rozgaar
Fateh-e-Kamil Ki Khabar Deta Hai Josh-e-Karzaar
Haan Ye Sach Hai Chashm-e-Bar Ehd-e-Kuhan Rehta Hun Main
Ahl-e-Mehfil Say Purani Dastan Kehta Hun Mein
Yad-e-Ehd-e-Rafta Meri Khak Ko Ikseer Hai
Mera Mazi Mere Istaqbal Ki Tafseer Hai
Saamnay Rakhta Hun Uss Dor-e-Nishat Afza Ko Main
Dekhta Hun Dosh Ke Aaeenay Mein Farda Ko Main .....

Poet : Allama Iqbal
Contribute : Zahid Shah

No comments:

Post a Comment