Suna Hai Log Usey Aankh Bhar Kay Dekhtay Hain,
so us kay shehar mein kuch din Theher kay dekhtay hain
suna hai rabt hai us ko Kharaab haalon say
so apne aap ko barbaad kar kay dekhtay hain
suna hai dard ki gaahak hai chashm-e-naazuk us ki
so hum bhi us ki gali say guzar kar dekhtay hain
suna hai us ko bhi hai sher-o-shaairi say shagaf
so hum bhi moajzay apne hunar kay dekhtay hain
suna hai boley to baaton say phool jharrtay hain
ye baat hai to chalo baat kar kay dekhtay hain
suna hai raat usey chaand taktaa rehta hai
sitaarey baam-e-falak say uter kar dekhtay hain
suna hai hasher hain us ki Ghazaal si Aankhein
suna hai us ko hiran dasht bhar kay dekhtay hain
suna hai din ko usey titliyaan sataati hain
suna hai raat ko jugnoo Theher kay dekhtay hain
suna hai raat say barrh kar hain kokalein us ki
suna hai shaam ko saaye guzar kay dekhtay hain
suna hai us ki siyaah chashamgi qayamat hai
so us ko surmaa farosh aankh bhar kay dekhtay hain
suna hai us kay labon say gulaab jaltay hain
so hum bahaar par ilzaam dhar kay dekhtay hain
suna hai aaeena tamaasal hai jabeen us ka
jo saada dil hain ban sanwar kay dekhtay hain
suna hai jab se Hamaail hain us ki gardan mein,
mizaaj aur hi laal-o-gauhar kay dekhtay hain
suna hai chashm-e-tasawwur say dasht-e-imkaan mein
palang zaaviye us ki Kamar kay dekhtay hain
suna hai us kay badan kay taraashai say hain
ke phool apni qabaayein kutar kay dekhtay hain
Wo Sarv-qadd Hai Magar Bey-Gull-e-Muraad Nahi,
kay us shajar pay shagoofay samar kay dekhtay hain
Bus Ek Nigaah Say Loota Hai Qaafila Dil Ka
So Rah_Rawaan-e-Tamanna Bhi Darr Kay Dekhtay Hain
Suna Hai Us Kay Shabistaan Say Mutta'sil hain
Behisht Makeen udhar kay Bhii Jalway Idhar Kay Dekhtay Hain
Rukay To Gardishein Us Ka Tuwaaf Karti Hain,
Chalay To Us Ko Zamaaney Theher kay dekhtay hain
Kissey Naseeb Kay Bey-Pairahan Usey Dekhay
Kabhi Kabhi Darr-o-Diwaar Ghar Kay Dekhtay Hain
Kahaniyaan Hi Sehi Sab Mubaal'ghey Hi Sehi
Agar Wo Khwaab Hai Taabeer Kar Kay Dekhtay Hain
Ab Us Kay Sheher Mein Theherein K Kooch Kar Jaaein
'Faraz' Aao Sitaarey Safar Kay Dekhtey Hain
Poet : Ahmed Faraz
Contributed : Zahid Shah
No comments:
Post a Comment