Click Here

Friday, November 2, 2012

Tasveer-e-Dard (The Portrait Of Anguish)















Nahi Minnat-kash-e-Taab-e-Shaneedan Dastan Meri

Khamoshi Guftugu Hai, Be-Zubani Hai Zuban Meri

Ye Dastoor-e-Zuban Bandi Hai Kaisa Teri Mehfil Mein

Yahan To Baat Karne Ko Tarasti Hai Zuban Meri

Uthaye Kuch Waraq Lale Ne, Kuch Nargis Ne, Kuch Gul Ne

Chaman Mein Har Taraf Bikhri Huwi Hai Dastan Meri

Urha Li Qumriyon Ne, Tootiyon Ne, Andleebon Ne

Chaman Walon Ne Mil Kar Loot Li Tarz-e-Faghan Meri

Tapak Ae Shama Ansu Ban Ke Parwane Ki Ankhon Se

Sarapa Darun Hun, Hasrat Bhari Hai Dastan Meri

Elahi ! Phir Maza Kiya Hai Yahan Dunya Mein Rehne Ka

Hayat-e-Javidan Meri! Na Marg-e-Naghaan Meri !

Mera Rona Nahi, Rona Hai Ye Sare Gulistan Ka

Woh Gul Hon Main, Khazan Har Gul Ki Hai Goya Khazan Meri

"Dareen Hasrat Sra Umarist Afsoon-e-Jaras Daram

Za-Faiz-e-Dil Tapeedan Ha Kharosh-e-Be Nafas Daram"

Riyadh-e-Dehr Mein Na-Ashnaye Bazm-e-Ishrat Hon

Khushi Roti Hai Jis Ko, Main Woh Mehroom-e-Mussarat Hun

Meri Bigharti Huwi Taqdeer Ko Roti Hai Goyai

Main Harf-e-Zair-e-Lab, Sharminda’ay Gosh-e-Sama'at Hun

Preshan Hun Main Musht-e-Khaak, Lekin Kuch Nahin Khulta

Sikandar Hun Ke Aaeena Hun Ya Gard-e-Kadoorat Hun

Ye Sub Kuch Hai Magar Hasti Meri Maqsad Hai Qudrat Ka

Sarapa Noor Ho Jis Ki Haqiqat, Main Woh Zulmat Hun

Khazeena Hun, Chupaya Mujh Ko Musht-e-Khak-e-Sehra Ne

Kisi Ko Kya Khabar Hai Main Kahan Hun Kis Ki Doulat Hun!

Nazar Meri Nahin Mamnoon-e-Sair-e-Arsa-e-Hasti

Main Woh Chotti Si Dunya Hon Ke Ap Apni Walayat Hon

Na Sehba Hun Na Saqi Hon, Na Masti Hon Na Pemana

Main Iss Mai Khana-e-Hasti Mein Har Shay Ki Haqiqat Hun

Mujhe Raaz-e-Do Alam Dil Ka Aaeena Dikhata Hai

Wohi Kehta Hun Jo Kuch Samne Aankhon Ke Ata Hai

Atta Aesa Byan Mujh Ko Huwa Rangeen Byabanon Mein

Ke Baam-e-Arsh Ke Taa'ir Hain Mere Hum Zubanon Mein

Asar Ye Bhi Hai Ek Mere Junoon-e-Fitna Saman Ka

Mera Aeena-e-Dil Hai Qaza Ke Raaz Danon Mein

Rulata Hai Tera Nazara Ae Hinduston! Mujh Ko

Ke Ibrat Khaiz Hai Tera Fasana Sub Fasanon Mein

Diya Rona Mujhe Aesa Ke Sub Kuch De Diya Goya

Likha Kalk-e-Azal Ne Mujh Ko Tere Noha Khawanon Mein

Nishan-e-Barg-e-Gul Tak Bhi Na Chorh Iss Bagh Mein Gul-Cheen !

Teri Qismat Se Razm Arayan Hain Baghbanon Mein

Chupa Kar Asteen Mein Bijliyan Rakhi Hain Gardoon Ne

Anadil Bagh Ke Ghafil Na Baithen Ashiyon Mein

Sun Ae Ghafil Sada Meri, Ye Aesi Cheez Hai Jis Ko

Wazifa Jaan Kar Perhte Hain Taair Bostanon Mein

Watan Ki Fikar Kar Nadan! Musibat Ane Wali Hai

Teri Barbadiyon Ke Mashware Hain Asmanon Mein

Zara Dekh Us Ko Jo Kuch Ho Raha Hai, Hone Wala Hai

Dhara Kya Hai Bhala Ehd-e-Kuhan Ki Dastanon Mein

Ye Khamoshi Kahan Tak? Lazzat-e-Faryad Paida Kar

Zameen Par Tu Ho Aur Teri Sada Ho Asmanon Mein

Na Samjho Ge To Mit Jao Ge Ae Hindustanon Walo!

Tumhari Dastan Tak Bhi Na Ho Gi Dastaon Mein

Ye Aaeen-e-Qudrat Hai, Yehi Asloob-e-Fitrat Hai

Jo Hai Rah-e-Amal Mein Gaamzan, Mehboob-e-Fitrat Hai

Hawaida Aaj Apne Zakhm-e-Pinhan Kar Ke Chorun Ga

Lahoo Ro Ro Ke Mehfil Ko Gulistan Kar Ke Chorun Ga

Jalana Hai Mujhe Har Shama-e-Dil Ko Souz-e-Pinhan Se

Teri Tareek Raaton Mein Charaghan Kar Ke Chorun Ga

Magar Ghunchon Ki Soorat Hon Dil-e-Dard Ashna Paida

Chaman Mein Musht-e-Khak Apni Preshan Kar Ke Chorun Ga

Parona Aik Hi Tasbeeh Mein In Bikhare Danon Ko

Jo Muskhil Hai, To Iss Mushkil Ki Asan Kar Ke Chorun Ga

Mujhe Ae Hum Nasheen Rehne De Shughal-e-Seena Kawi Mein

Ke Main Dagh-e-Mohabbat Ko Numayan Kar Ke Chorun Ga

Dikha Doon Ga Jahan Ko Jo Meri Ankhon Ne Dekha Hai

Tujhe Bhi Soorat-e-Aaeena Hairan Kar Ke Chorun Ga

Jo Hai Pardon Mein Pinhan, Chashm-e-Beena Dekh Leti Hai

Zamane Ki Tabiyat Ka Taqaza Dekh Leti Hai

Kiya Riffat Ki Lazzat Se Na Dil Ko Ashna Tu Ne

Guzri Umer Pasti Mein Misal-e-Naqsh-e-Pa Tu Ne

Raha Dil Basta-e-Mehfil, Magar Apni Nigahon Ko

Kiya Bairoon-e-Mehfil Se Na Hairat Ashna Tu Ne

Fida Karta Raha Dil Ko Haseenon Ki Adaon Par

Magar Dekhi Na Iss Aaeene Mein Apni Ada Tu Ne

Taassub Chorh Nadan! Dehr Ke Aaeena Khane Mein

Ye Tasveerain Hain Teri Jin Ko Samjha Hai Bura Tu Ne

Sarapa Nala-e-Baidad-e-Souz-e-Zindagi Ho Ja

Sapand Aasa Girah Mein Bandh Rakhi Hai Sada Tu Ne

Safa'ay Dil Ko Kiya Araish-e-Rang-e-Taaluq Se

Kaf-e-Aaeena Par Baandhi Hai O Nadan Hina Tu Ne

Zameen Kya, Asman Bhi Teri Kaj Beeni Pe Rota Hai

Ghazab Hai Satar-e-Quran Ko Chalipa Kar Diya Tu Ne !

Zuban Se Gar Kiya Touheed Ka Dawa To Kya Hasil!

Banya Hai Butt-e-Pindar Ko Apna Khuda Tu Ne

Kunwain Mein Tu Ne Yousaf Ko Jo Dekha Bhi To Kya Dekha

Are Ghafil! Jo Mutliq Tha Muqayyad Kar Diya Tu Ne

Hawas Bala'ay Manbar Hai Tujhe Rangeen Byani Ki

Nasihat Bhi Teri Soorat Hai, Ek Afsana Khawani Ki

Dikha Woh Husn-e-Alam Souz Apni Chashme-Purnam Ko

Jo Tarpata Hai Parwane Ko, Rulata Hai Shabnam Ko

Nira Nazara Hi Ae Bu-Al-Hos Maqsad Nahin Iss Ka

Banaya Hai Kissi Ne Kuch Samajh Kar Chashme-e-Adam Ko

Agar Dekha Bhi Uss Ne Sare Alam Ko To Kya Dekha

Nazar Ayi Na Kuch Apni Haqiqat Jaam Se Jam Ko

Shajar Hai Firqa Arayi, Taassuf Hai Samar Iss Ka

Ye Woh Phal Hai Ke Jannat Se Nikalwata Hai Adam Ko

Na Utha Jazba-e-Khursheed Se Ek Barg-e-Gul Tak Bhi

Ye Riffat Ki Tamana Hai Ke Le Urti Hai Shabnam Ko

Phira Karte Nahi Majrooh-e-Ulfat Fikar-e-Darman Mein

Ye Zakhami Aap Kar Lete Hain Paida Apne Marham Ko

Mohabbat Ke Sharar Se Dil Sarapa Noor Hota Hai

Zara Se Beej Se Paida Riyaaz-e-Toor Hota Hai

Dawa Har Dukh Ki Hai Majrooh-e-Taegh-e-Arzoo Rehna

Elaj-e-Zakham Hai Azad-e-Ehsaan-e-Rafoo Rehna

Sharab-e-Bekhudi Se Ta Falak Parwaz Ha Meri

Shikast-e-Rang Se Sikha Hai Main Ne Ban Ke Boo Rehna

Thame Kya Dida'ay Giryan Watan Ki Noha Khawani Mein

Ibadat Chashm-e-Shayar Ki Hai Har Dam Ba-Wazoo Rehna

Banayen Kya Samajh Kar Shakh-e-Gul Par Ashiyan Apna

Chaman Mein Aah! Kya Rehna Jo Ho Be Abroo Rehna

Jo Tu Samjhe To Azadi Hai Poshida Mohabat Mein

Ghulami Hai Aseer-e-Imtiaz-e-Mawatu Rehna

Ye Astagna Hai, Pani Mein Nigun Rakhta Hai Saghar Ko

Tujhe Bhi Chahye Misl-e-Habab-e-Aabju Rehna

Na Reh Apnon Se Beparwa, Issi Mein Khair Hai Teri

Agar Manzoor Hai Dunya Mein Ao Begana Khor! Rehna

Sharab-e-Rooh Parwar Hai Mohabbat Nu-e-Insan Ki

Shikaya Iss Ne Mujh Ko Mast Bejaam-o Saboo Rehna

Mohabbat Hi Se Payi Hai Shafa Bimaar Qoumon Ne

Kiya Hai Apne Bakht-e-Khufta Ko Baidar Qoumon Ne

Biyaban-e-Mohabbat Dasht-e-Ghurbat Bhi, Watan Bhi Hai

Ye Wairana Qafas Bhi, Ashiyana Bhi, Chaman Bhi Hai

Mohabbat Hi Woh Manzil Hai Ke Manzil Bhi Hai, Sehra Bhi

Jaras Bhi, Karwan Bhi, Rahbar Bhi, Rahzan Bhi Hai

Marz Kehte Hain Sub Iss Ko, Ye Hai Lekin Marz Aesa

Chupa Jis Mein Ilaj-e-Gardish-e-Charakh-e-Kuhan Bhi Hai

Jalana Dil Ka Hai Goya Sarapa Noor Ho Jana

Ye Parwana Jo Souzan Ho To Shama-e-Anjuman Bhi Hai

Wohi Ek Husn Hai, Lekin Nazar Ata Hai Har Shay Mein

Ye Sheerin Bhi Hai Goya, Bestoon Bhi, Kohkan Bhi Hai

Ujaarha Hai Tameez-e-Millat-o-Aaeen Ne Qoumon Ko

Mere Ahl-e-Watan Ke Dil Mein Kuch Fikar-e-Watan Bhi Hai?

Sakoot Aamoz Tool-e-Dastan-e-Dard Hai Warna

Zuban Bhi Hai Humare Munh Mein Aur Taab-e-Sukhan Bhi Hai

"Nameegar Deed Ko The Rishta'ay Ma'ani Raha Kardam

Hikayat-e-Bood Be Payan, Bakhamoshi Ada Kardam" ...

Poet : Allama Iqbal
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

No comments:

Post a Comment