Wo Sheher Jo Hum Say Choota Hai, Wo Sheher Humara Kesa Hai,
Sab Dost Humain Piyaray Hain, Magar Wo Jaan Say Piyara Kesa Hai,
Shab Bazam-e-Harifaan Sajti Hai, Ya Sham Dhalay So Jaatay Hain,
Yaaron Ki Basar_Auqaat Hai Kiya, Har Anjuman_Aara Kesa Hai,
Jab Bhi May_Khanay Band Hi Thay Aur Warid-e-Zindaan Rehta Tha,
Ab Mufti-e-Deen Kiya Kehta Hai, Mousam Ka Ishaara Kesa Hai,
May_Khanay Ka Pindaar Gaya, Paimanay Ka Mayaar Kahan,
Kal Talkhi Say Bhi Khulti Thi Ab Duhar Gawara Kesa Hai,
Wo Paas Nahi Ehsaas To Hai Ik Yaad To Hai, Ik Aas To Hai,
Darya-e-Judai Mein Dekho, Tinkay Ka Sahara Kesa Hai,
Mulko'n Mulko'n Ghoomay Hain Bohat, Jaagay Hain Bohat, Roye Hain Bohat,
Ab Tum Ko Bataa'ein Kiya Yaaro ? Duniya Ka Nazara Kesa Hai,
Ye Shaam-e-Sitam Kat'ti Hi Nahi, Ye Zulmat_e_Shab Ghat'ti Hi Nahi,
Main Badd_Qismat, Logo'n Ki Qismaat Ka Sitara Kesa Hai,
Ay Dais Say Aanay Walay Magar Tum Nay To Itna Bhi Na Poocha,
Wo Qawwi, Jissay Gham Ka Dariya Mila, Wo Dard Ka Maara Kesa Hai ...!
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/
heart touching! I've been searching this poem but only found versions posted with wrong accent and missing words.. thanks for sharing it. I think I got original one finally :)
ReplyDelete