Ay Falak Chaahiye Nazar Bhar Ke Nazaara Ham Ko,
Jaa Ke Aana Nahin Duniya Mein Dobara Ham Ko,
Ham Kisi Zulf-E-Parishaan Ki Tarah Aaye Taqdeer,
Khoob Bigre The Magar Khoob Saanwara Ham Ko,
Shukar-Sad-Shukar K Ab Qabar Mein Ham Jaa Pohnche,
Tauseen-E-Umar Ne Manzil Pe Utaara Ham Ko,
Bad-Salooki Mein Maza Kya Hai Maza Hai Is Mein,
Ki Hamaara Ho Tumhein Paas Tumhara Ham Ko,
Behr-E-Hasti Mein Huay Kashti-E-Toofaan Ham To,
Nahin Milta Hai Kahin, 'Daagh' Kinaara Ham Ko ...
Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah
www.zahid-shah.blogspot.com/

No comments:
Post a Comment