ChaaNd SitaaroN Se Kya PochhooN Kab DiN Mere Phirte HaiN,
Vo To Bechaare Khud HaiN Bhikaari Dere Dere Phirte HaiN,
JiN GaliyoN MeN Ham Ne Sukh Ki SeJ Pe RaateN Kaati ThiiN,
UN GaliyoN MeN Vyaakul Ho Kar SaaNJh Savere Phirte HaiN,
Ruup-Saruup Ki Jot JagaaNa Is Nagari MeN Jokhim Hai,
ChaaroN KhuuNt Baguule BaN Kar Ghor ANdhere Phirte HaiN,
JiN Ke Shaam-BadaN Saaye MeN Mera MaN Sustaaya Tha,
Ab Tak AaNkhoN Ke Aage Vo Baal GhaNere Phirte HaiN,
Koi HameN Bhi Ye SamJha Do UN Par Dill KyoN RiiJh Gaya,
Teekhi ChitavaN Baa'Nki Chhab Vaale Bahutere Phirte HaiN,
Is Nagari MeN BaaG Aur BaN Ki Yaaro Liilaa Nyaari Hai,
PaNchi ApNe Sar Pe Uthaakar ApNe Basere Phirte HaiN,
Log To DaamaN Si Lete HaiN Jaise Ho Ji Lete HaiN,
Abid Hum DeevaaNe HaiN Jo Baal Bikhere Phirte HaiN ...
www.zahid-shah.blogspot.com/
No comments:
Post a Comment