Jalway Meri Nigaah Mein Kaun-O-Makaan Ke Hain,
Mujh Se Kahaan Chhupein Ge Woh Aise Kahaan Ke Hain,
Jis Din Se Kuch Shareek Hui Meri Musht-E-Khaak,
Us Roz Se Zameen Pe Sitam Aasmaan Ke Hain,
Kya Iztaraab-E-Shauq Ne Mujh Ko Khazil Kiya,
Woh Poochte Hain Kehiye Iraade Kahaan KeHainm
Qaasid Yahaan Se Barq Tha Par Nisf Raah Mein,
Beemaar Ki Hai Chaal Qadam Naa-Tawaan Ke Hain,
Aashiq Tere Adam Ko Gaye Kis Qadar Tabaah,
Poocha Har Ek Musafir Ne Yeh Musafir Kahaan Ke Hain ...
Poet : Daagh Dehlvi
Contribute: Zahid Shah

No comments:
Post a Comment