Kash Hum Khul kay zindagi kartay,
Umar guzri hai khud-kushi kartay,
Bijliyan is taraf nahi aayeen,
Warna hum ghar mein roshni kartay,
kaun dushman teri tarha ka tha?
Aur hum kis say dosti kartay ?
Bujh gaye kitnay chaand say chehray,
badal kay sehra mein chandni kartay,
ishq ujrat talab na tha warna,
hum tere dar pay naukri kartay,
Is tamanna mein ho gaye ruswa,
Hum bhi jee bher kay aashiqi kartay,
husn us ka na khul saka mohsin,
thak gaye log shayeri kartay ...
Poet : Mohsin Naqvi
Contribute : Zahid Shah
Umar guzri hai khud-kushi kartay,
Bijliyan is taraf nahi aayeen,
Warna hum ghar mein roshni kartay,
kaun dushman teri tarha ka tha?
Aur hum kis say dosti kartay ?
Bujh gaye kitnay chaand say chehray,
badal kay sehra mein chandni kartay,
ishq ujrat talab na tha warna,
hum tere dar pay naukri kartay,
Is tamanna mein ho gaye ruswa,
Hum bhi jee bher kay aashiqi kartay,
husn us ka na khul saka mohsin,
thak gaye log shayeri kartay ...
Poet : Mohsin Naqvi
Contribute : Zahid Shah
No comments:
Post a Comment