Bhooli Hui sadaa hoon mujhe yaad kijiye
Tum say kaheen milaa hoon mujhe yaad kijiye
Manzil nahi hoon, Khizr nahi, Raahzan nahi,
Manzil ka Raastaa hoon mujhe yaad kijiye
Meri Nigaah-e-shouq say har Gull hai devtaa
Main ishq kaa Khuda hoon mujhe yaad kijiye
Naghmon ki ibtedaa thi kabhi Mere naam say,
Ashkon ki intehaa hoon mujhe yaad kijiye,
Gum-sum kharri hain dono'n Jahaan ki haqeeqatein
Main un say keh rahaa hoon mujhe yaad kijiye
"Sagar" kisi k husn-e-taghaaful shaar ki
Behki hui adaa hoon mujhe yaad kijiye ...
Poet : Sagar Siddiqui
Contribute : Zahid Shah

No comments:
Post a Comment