Dar K Kisi Se Chup Jata Hai Jaise Saanp Khazaane main,
zar k zor se zinda hain sab khak k is veerane main,
jaise rasm adaa karte hon shehron ki abadi main,
subah ko ghar se dur nikal kar sham ko wapis aane main,
neele rang main doobi ankhen khuli pari theen sabze par,
aks para tha asman ka shayad is paimaane main,
dil kuch aur bhi sard hua hai sham-e-shehar ki ronaq main,
kitni ziya be-sood gai hai sheeshe k lafz jalane main,
main to 'Munir' aaeene main khud ko tak kar hairaan hua,
ye chehra kuch aur tarah tha pahle kisi zamane main ...
Poet : Munir Niazi

No comments:
Post a Comment