Dil -e- Naakaam K Hain Kaam Kharaab,
Kar Liya Aashqi Mein Naam Kharaab,
Is Kharaabat Ka Yahi Hai Mazaa,
K Rahay ... Aadmi Muddaam Kharaab,
Zulf Hai Choar, Chashm Yaar Shareer,
Husn Ka Sub Hai Intizaam Kharaab.,
Dekh Kar Jins Dil W0 Kehtay Hain,
Kiyun Karay Koi Apnay Daam Kharaab,
Abar-e-Tar Say Saba Hi Achi Thi,
Meri Matti Hui Tamaam ...Kharaab,
Woh Bhi Saaqi MuJhe Nahi Daita,
Woh Jo Toota Para Hai Jaam Kharaab,
Kya Mila Hum Ko Zindagi K Siwaa ?
Wo Bhi Dushwaar, Na_Tamaam Kharaab,
Wo Kya Moonh Say Phool Jhartay Hain,
Khoob_Roo Ho K Ye Kalaam Kharaab,
Chal K Raah Numay-E-Ishq Nay Bhi,
Wo Dikhaya Jo Tha ! Maqaam Kharaab,
Daagh' Hai Bad_Chalan To Honay Do,
So Mein Hota Hai Ik Ghulaam Kharaab ...
Poet : Daagh Dehlvi
Contribute : Zahid Shah
No comments:
Post a Comment