Click Here

Monday, January 7, 2013

Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khisht Dard Se Bhar Na Aaye Kiyun,

Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khisht Dard Se Bhar Na Aaye Kiyun,

Royein Ge Hum hazaar baar koi hamein sataye kiyun,

Dair nahi, haram nahi, dar nahi, aastan nahi,

Baithe hain Rah-guzar pe hum ghair humein uthaye kiyun,

Jab Wo Jamaal-e-dil-Faroz, Soorat-e-Mehar-E-Neemroz,

Aap hi ho Nazaara-soz, parde mein Moonh chhupaye kiyun ?

Dushna-- ghamzah jaansataan, naawik-e- naaz be-panah

Tera hi aqsi rukh sahi, saamne tere aaye kiyun ?

Qaid e hayat o band e gham asl mein donon ek hain,

Maut se pehle admi gham se Nijaat paye kiyun,

Husn aur uspe husn e zan, reh gayi bul hawas ki sharam

Apne pe aitmaad hai, ghair ko aazmayen kyun?

Waan wo ghuroor e azzo naaz, yaan ye hijab e paas e waza

Raah mein hum milen kahaan?bazm mein woh bulaye kyun?

Haan wo nahi kkhuda parast jao wo bewafa sahi

Jisko ho din o dil azeez uski gali mein jaye kyon?

Ghalib e khasta ke baghair kaun se kaam band hain

roiye zar zar kyaa kijiye hai hai kyon ?

Poet : Mirza Ghalib
Contribute : Zahid Shah

No comments:

Post a Comment