Click Here

Wednesday, January 2, 2013

Dost Kya, Khud Ko Bhi Prastish Ki Ijazat Nahi Di,

Dost Kya, Khud Ko Bhi Prastish Ki Ijazat Nahi Di,

Dil Ko Khoo'n Honay Diya, Aankh Ko Zehmat Nahi Di

Hum Bhi Us Sisila-E-Ishq Mein Be'at Hain Jisay

Hijr Nay Dukh Na Diya, Wasal Nay Rahat Nahi Di

Hum Bhi Ik Sham Bohat Uljhay Huay Thay Khud Mein

Aik Sham Us Ko Bhi Halaat Nay Mohlat Nahi Di

Aajzi Bakhshi Gai Tamkinat-e-Fuqr K Sath

Denay Walay Nay Humein Kaun Si Daulat Nahi Di

Be'wafa Dost Kabhi Laut K Aaye To Unhain

Hum Nay Izhaar-E-Nadamat Ki Azziyat Nahi Di

Dil Kabhi Khuwab K Peechay, Kabhi Duniya Ki Taraf,

Aik Nay Ajar Na Diya, Aik Nay Ujrat Nahi Di....

Poet : Iftikhar Arif
Contribute: Zahid Shah

No comments:

Post a Comment