Harf -e- Taaza Nai Khushboo Mein Likha Chahta Hai,
Baab Ik Aur Mohabbat Ka Khula Chahta Hai,
Ek Lamhay Ki Tawajo Nahin Haasil Uss Ki,
Aur Yeh Dil Ke Ussay Had Se Siwa Chahta Hai,
Ik Hijaab Tah-E-Iqraar Hai Ma'nay Manay Warna,
Gul Ko Maaloom Hai Kaya Dast-E-Saba Chahta Hai,
Ret He Ret Hai Iss Dil Mein Musaafir Mere,
Aur Yeh Sehra Tera Naqsh-E-Kaf-E-Paa Chahta Hai,
Yehi Khamoshi Ke Rung Mein Zaahir Ho Gi,
Aur Kuch Roz Ke Woh Shokh Khula Chahta Hai,
Raat Ko Maan Liya Dil Ne Muqaddar Lekin,
Raat Ke Haath Pe Ab Koi Diya Chahta Hai,
Tere Paimaane Mein Gardish Nahin Baaqi Saaqi,
Aur Teri Bazm Se Ab Koi Utha Chahta Hai ...
Poetess : Parveen Shakir
Contribute: Zahid Shah

No comments:
Post a Comment