Click Here

Monday, January 7, 2013

Hazaaron Khuwaahishein Aisi K Har Khuwaahish Pay Dam Niklay,

Hazaaron Khuwaahishein Aisi K Har Khuwaahish Pay Dam Niklay,

Bohat Niklay Mere Armaan Lekin Phir Bhi Kam Niklay,

Darray Kiyun Mera Qatil Kya Rahay Ga Us ki Gardan Par,

wo khun jo chashm-e-tar say umar_bhar yun dam-ba-dam niklay,

Nikalna khuld say adam ka suntay aaye hain lekin

bohat be-aabru ho kar tere koochay say ham niklay,

Bharam khul jaye zalim tere qaamat ki daraazi ka

Agar is turra-e-purapech-o-kham ka paich-o-kham niklay

magar likhwaye koi us ko khat to ham say likhwaye

hui subah aur ghar say kan par rakh kar qalam niklay

hui is daur mein mansoob mujh say bada-ashmi

phir aaya wo zamana jo jahan se jam-e-jam niklay

hui jin say tawaqqo khastagi ki daad panay ki

wo hum say bhi ziyada khasta-e-teg-e-sitam niklay,

Muhabbat mein nahi hai farq jeenay aur marnay ka,

usi ko dekh kar jeetay hain jis kafir pay dam niklay,

zara kar jor sine par ki tir-e-pursitam niklay,

Jo wo niklay to dil niklay, jo dil niklay to dam niklay

Khuda k wastay parda na kaa'bay say utha zalim

kaheen aisa na ho yaan bhi wahi kafir sanam niklay

kahan mai_khanay ka darwaza 'ghalib' aur kahan waiz

par itna jantay hain kal wo jata tha k ham niklay ....

Poet : Mirza Ghalib
Contribute : Zahid Shah

No comments:

Post a Comment